Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq

Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah


Taqreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

❀ Ghair Muqalid ka matlab hey taqleed na karney wala, jo key lafzi tarjuma hey.

❀ Ahle Hadees ka matlab hey hadees wala aur yeah lafzi tarjuma hey.

Ab tashreeh yeah hey:

❀ Taqleed kisey kehty hein?

Taqleed kehtey hein Aankhein band kar key bey sochey samjhey aur baghair daleel key kisi ki pairwi karna.

❀ "Bey Daleel" ka kia matlab hey?

Bey daleel ka matlab hey keh

1- Quran na ho, kionkeh Quran tou daleel hey

2- Hadees bhi na ho, kionkeh hadees bhi daleel hey

3- Ejmah na ho, yeah bhi daleel hey

Isi tara aur bhi hein, maslan:

4- Aami ka mufti ki taraf rujooh karna

5- Qazi ka gawahi sunn kar faislah karna

Is ko chor kar chati cheez hey: baghair daleel key pairwi karna aur yeah taqleed hey.

❀ Ghair muqalid usey kehty hein jo bey sochey samjhey, baghair daleel key aankhein band kar key kisi key peechey na chaley.

Tou ghair muqalid aik lafaz hey jis ka mahna hey: Taqleed na karney wala.

Kia yeah kitab-o-sunnat par amal karney wala bhi hey? Yeah sabit nahein.

❀ Ahle Hadees kehtey hein hadees waley ko.

Hadees waley 2 tarah key log hein:

1- Muhadiseen e Kiram jinhon ney ahadees sunein, ahadees likhein, hadeeson ko yaad rakha, unhein parhaya aur hadeeson key madrasey chalahey they.

2- Doosrey log hadees par amal karney waley hein.

Mein yeah baat apni taraf sey nahein keh raha. Shaikhul Islam Ibne Taimiah Rahimahullah ney apney fatawa mein yeah baat bayan farmahi hey keh ahle hadees 2 qisam key log hein. (Majmooh Fatawa ibne taimiah jild 4 safaha: 95, mahnama alhadees hazro: shumara 29 safaha 32)

Ab yeah jo muhadiseen they. Yeah jo hadees par amal karney waley they. In ka manhaj kia tha? Yeah kis tarah amal kartey they? Yeah log Quran ko mantey they. Hadees ko mantey they. Yeah log salaf saliheen key faham par kitab o sunnat par amal kartey they. Apni marzi key mutabiq Quran o Hadees par amal nahein kartey they, balkeh jo sahabah, tabiheen, salaf saliheen sey sabit hota tha.

❀ Tou ahle hadees us ko kehtey hein jo hadees aur ejmah ko hujjat samajhta hey. Aur Quran wa hadees par salaf saliheen key faham ki roshni mein amal karta hey. Aur is tarah sarey sahaba kiram sey muhabbat karta hey. Sahaba kiram ki gustakhi nahein karta. Jitney bhi siqqah tabiheen they, jitney bhi siqqah qabile ehtimaad tabah tabiheen they, unn sey muhabbat karta hey, unn ka ehtiraam karta hey. Kisi ki gustakhi nahein karta. Salaf saliheen key manhaj aur faham par hota hey. Baqi jo batein bhi hein, maslan ALLAH tabarik watahala 7 aasmanon sey ooper arash par mustawi hey, saari sifaak ko kama yaleeqo bishanihi kama yaleeqo bijalalihi maanta hey, wo ahle hadees hey.

Bhahio! Ghair muqalid alahida cheez hey. Ahle Hadees wo hein jo taqleed key baghair kitab o sunnat par salaf saliheen key manhaj ki roshni mein amal kartey hein.

(Note: Aap humari mobile app mein videos waley section mein isi unwaan sey asal taqreer yani video daikh saktey hein)

……… Hawaley ………

Taqleed key lughawi mahna ke liey daikhiey Alqamoos ul waheed (safaha 1346).

Taqleed key istilahi mahna/mafhoom key liey daikhiey kitabul funoon le ibne aqeel (3/ 604 behawala mahnama altouheed safaha 9 bemutabiq jully 2006) waghera.

Aami ka mufti ki taraf rujooh karna aur Qazi ka gawahi sunn kar faisla karna ke liey daikhiey hanfieon ki mohtabar kitab "Muslim Al-Suboot" (Safaha 289 Tabah 1316 hijri wafawateh al rahmoot safaha 400).

Neez daikeiy "Deem Mein Taqleed Ka Masla" (Safaha 84) waghera.

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023