Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat


Nabi E Kareem ﷺ ka irshaad hai:

أوّل جيش مّن أمّتي يغزون البحر قد أو جبو

"Meri ummat ka pehla lashkar jo samandar mein jihaad karega, un (mujahid e deen) ke liye (jannat) wajib hai."

(Sahih Bukhaari: 2924)

Yeh jihaad Sayyiduna Mu'aawiya Bin Abi Sufiyaan (Razi Allahu Anhu) (ki khilafat) ke zamane mein huwa tha. (Sahih Bukhaari: 6282,6283)

Aur is jihaad mein Sayyiduna Muaawiya (Razi Allahu Anhu) shamil thhey. (Sahih Bukhaari: 2799,2800)

Aap fateh makkah se kuch pehle ya fateh makkah ke din musalmaan huwe.

Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Razi Allahu Anhu) ney farmaya:

"Main bachchon ke saath khel raha tha ke itney mein Rasoolullah ﷺ tashreef laye, main yeh samjha ke aap mere liye tashreef laaye hai lehaza main darwaze ke peechey chop gaya tou aap ney meri kamar par thapki dey kar farmaya:

"Jaou aur Mu'aawiya ko bulaou, wo (Muaawiya Razi Allahu Anhu) wahi likhtey thhey."

(Dalaayil An-Nabuwah Lil Bihaqi: 2/243 Wa Sanadahu Hasan)

Maloom huwa Sayyiduna Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) Katib E Wahi thhey.

Hafiz Ibne Aasakir likhtey hain:

خال المؤمنین وكاتب وحي رب العالمين، أسلم يوم الفتح

"Momino ke mamu aur Rabbul Aalameen ki wahi likhney waaley, aap fateh makkah ke din musalmaan huwe."

(Tareeq E Damishq 62/38)

Jaleel Ul Qadr Tabayee Abdullah Bin Ubaidullah Bin Abi Mulaika Al-Makki Rahimahullah sey riwayat hai ke Muaawiya (Razi Allahu Anhu) ney esha ke b'ad ek rakat witar padhi, phir Ibne Abbas (Radhi Allahu Anhu) ney farmaya: "أصاب إنه فقيه" "Unhon ne sahih kiya, wo faqeeh hain." (Sahih Bukhaari: 3765)

Is riwayat ke muqable mein Tahawi Hanafi ney مالك بن يحيىٰ الهمداني ((و ثقه ابن حبان وحده)) ثنا عبدالوهاب بن عطاء قال؛ أنا عمران بن حدير ki sanad se ek munkar riwayat bayaan ki hai. (Sharah Maani Al-Aasaar 1/289)

Yeh riwayat Sahih Bukhari ke mukhalif honay ki wajhe se mardood hai aur Tahawi ka yeh kehna ke Ibne Abbas (Razi Allahu Anhu) ney "Unhon ne sahih kiya hai" bataure taqiya kaha tha, ghalat hai.

Sahabi Abdur Rahman Bin Abi Umaira (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) ney Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) ke liye farmaya tha:

اللهم اجعله هادياً مهدياً واهدِ به

"Aye Allah! Isey Hadi Mehdi bana dey aur is ke zari'ye logon ko hidayat dey."

(Sunan Tirmizi: 3842 aur kaha: "yeh Hadees Hasan Ghareeb hai" At-Tareeq Ul Kabeer Lil Bukhaari: 5/240, Tabqaat Ibne Saad 7/487, Al Aahaad Wal Masani Li Ibne Abi Aasim 2/358 Hadees 1129, Musnad Ahmed 4/216 Hadees 17895, Wa'Huwa Hadees un Sahih)

Yeh riwayat Marwaan bin Muhammad wagera ney Saeed Bin Abdul Aziz se bayaan kar rakkhi hai aur Marwaan ki Saeed se riwayat Sahih Muslim mein hai, Dekhiye: 108/1043 Aw Tarqeem Darussalaam: 2403) lehaza sabit huwa ke Abdul Aziz ney yeh riwayat aqtelaat se pehle bayaan ki hai. neez dekhiye As-Saheeha (1929)

Umme Alqama (marjanah) se riwayat hai ke Mu'aawiya Bin Abi Sufiyaan (Razi Allahu Anhu) madina tashreef laaye tou (Sayyidah) Aisha (Razi Allahu Anha) sey Rasoolullah ﷺ ki chadar aur baal mangga. phir unhon ne chadar oudh li aur baal pani mein dobo kar wo pani piya aur apne jism par bhi dala. (Tareeq E Damishq 62/106 Wa Sanadahu Hasan, Marjanah Wa Siquha Al-Aajali Wa Ibne Hibbaan)

Miswar Bin Mukhrama (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke wo ek wafd ke saath Mu'aawiya Bin Abi Sufiyaan (Razi Allahu Anhu) ke paas gaye tou unhon (Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu)) ney un (Miswar (Razi Allahu Anhu)) ki zarorat puri ki phir taqliye mein bulaa kar kaha: tumhara hukmarano par taan karna kya huwa? miswar ney kaha: yeh chhorren aur achchaa sulook kare jo hum pehle baech chuke hai. Mu'aawiya ney kaha: nahi, Allah ki khasam! tumhe apne baray mein batana padaygaa aur tum mujh par jo tanqeed kartey ho. miswar ney kaha: maine unki tamaam qabil e aib baaten (ghaltiya) unhen bata diyen. Mu'aawiya ney kaha: koi bhi gunha se bari nahi hai. Aye Miswar! kya tumhe pata hai ke main ney awaam ki islah ki kitni koshis ki hai, ek neki ka aajar dus nekiyon ke barabar milega. ya tum gunha hi ginte rehte ho aur nekiya chhor deyte ho? miswar ney kaha: nahi, Allah ki khasam! hum tou inhi gunhaon ka zikr kartey hai jo hum dekhte hai. Mu'aawiya ney kaha: hum apne har gunha ko Allah ke saamney tasleem kartey hai. aye miswar! kya tumhare aise gunha hai jin ke baray mein tumhe yeh khauf hai ke agar bakhseh na gaye tou tum halaak ho jaouge? miswar ney kaha: ji han. Mu'aawiya ney kaha: kis baat ney tumhe apne baray mein bakshshis ka mustahiq bana diya hai aur mere baray mein tum yeh umeed nahi rakhte ho? Allah ki khasam! main tum sey ziyada islah ki koshis kar raha hu lekin Allah ki khasam! do baaton mein sirf ek hi baat ko ikhtiyaar karta hu. Allah aur ghairullah ke darmiyaan sirf Allah hi ko chunta hu. main is deen par hu jis mein Allah aamal qubool farmata hai, wo nekiyon aur gunhaon ka badla deyta hai siwaye is ke ke wo jise mu'aaf kar dey. main har neki ke badley yeh umeed rakhta hu ke Allah mujhe kayi guna aajar aata farmayega. main in azeem umoor ka saamna kar raha hu jinhen main aur tum gin nahi saktey. maine aqamatis salaat ka nizaam, jihaad fee sabilillah aur Allah ke nazil karda ahkamaat ka nizaam qayim kar rakkha hai aur aise bhi kaam hai aagar main tumhe wo bata don tou tum inhe shumaar nahi kar saktey, is baray mein ghaur o fikr karo. miswar (Razi Allahu Anhu) farmate hai ke main jaan gaya ke Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) mujh par is guftagu mein ghalib ho gaye. Urwa Bin Zubair farmate hai ke is ke b'ad kabhi nahi suna gaya ke Miswar (Razi Allahu Anhu) ney Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) ki kabhi mazammat ki ho. wo tou unke liye dua e maghfirat hi kiya kartey thhey. (Tareeq E Bagdaad Jild 1 Safa 208,209 Ta 47 Wa Sanadahu Sahih)

Imaam Jaffar As-Sadiq ney قاسم محمد بن قال قال معاوية بن أبي سفيان ki sanad se ek hadees bayaan ki hai jis mein aaya hai ke Qasim Bin Muhammad (Bin Abi Bakr) ney farmaya:

فتعجب الناس من صدق معاوية

"Bas logon ko Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) ki sachchayi par bada tajub huwa."

(Tareeq E Damishq 62/115 Wa Sanadahu Hasan)

Is riwayat se maloom huwa ke Ameer Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) logon ke nazdeek sachche thhey.

Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Razi Allahu Anhu) ney farmaya:

مارأيت رجلاً كان أخلق يعني للملك من معاوية

"Maine Mu'aawiya se ziyada hukumat ke liye munasib (Khulfa e Rashedeen ke b'ad) koi nahi dekha.

(Tareeq E Damishq 62/121 Wa Sanadahu Sahih, Musannaf Abdur Razzak 11/453 Hadees 20985)

'Irbaaz Bin Sariyah al-Aslami (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:

اللهم علّم معاوية الكتاب والحساب، وقه العذاب

"Aye Mere Allah! Mu'aawiya ko Kitaab o Hisaab sikha aur usey aazaab se bacha."

(Musnad Ahmed 4/127 Hadees 17152, Wa Sanadahu Hasan, Sahih Ibne Kuzaima: 1938)

Haris bin Ziyaad aur Yunus bin Yusuf dono Sudooq rawi hain, in ki marwi riwayaat darjah e hasan se nichey nahi hai, in par jo jarah hai wo mardood hai.

Ameer Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) satth (60 hijri) mein foot huwe.

Sahaba e Kiraam ke darmiyaan ijtehadi wujuh se jo jangge huwe un mein sukoot ikhtiyaar karna chahiye.

Imam Ahle Sunnat Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah ney farmaya:

Jab tum kisi aise shaksh ko dekho jo Rasoolullah (ﷺ) ke Sahaba ko bura kehta hai tou uske Islam par tohmat lagao.

(Manaqib e Ahmed Li Ibne Jauzi Safa 160 Wa Sanadahu Sahih, Tareeq E Damishq 62/144)

Imam Mu'afa Bin Imraan al-Mausuli Rahimahullah (died 185 hijri) se Ameer Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) ke baray mein pouchaa gaya tou unhon ne farmaya: Rasoolullah (ﷺ) ke Sahaba ke saath kisi ko bhi barabar qaraar nahi diya jaa sakta. Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) aap ke Sahabi, Ummul Momineen Umme Habiba (Razi Allahu Anha) ke bhai, aap ke Katib aur Allah ki wahi (likhney) ke ameen hai. (Tareeq E Bagdaad 1/209 Wa Sanadahu Sahih, al-Hadees: 19 Safa 57, Tareeq E Damishq 62/143)

Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah ney farmaya:

من تنقص أحداً من أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم فلا ينطوى إلا على بلية، وله خبيئة سوء إذا قصد إلى خير الناس وهم أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم

"Jo shaksh Rasoolullah (ﷺ) ke Sahaba mein se kisi ek ki tanqees kare tou wo apne andar maseebat chupaye huwe hai. uske dil mein burayi hai jis ki wajhe se wo Rasoolullah (ﷺ) ke Sahaba par hamla karta hai halanke wo (Anbiya ke b'ad) logon mein sab se behtareen thhey."

(As-Sunnah Lil Khallal 2/477 Hadees 758 Wa Qaal Al-Muhaqaq: Isnadahu Sahih)

Ibarheem Bin Maisarah at-Tayifih Rahimahullahu se riwayat hai ke Umar Bin Abdul Aziz Rahimahullah ney kisi insaan ko nahi maara siwaye ek insaan ko jisne Mu'aawiya (Razi Allahu Anhu) ko galiya di thi, unhon ne usey kayi kordey maarey. (Tareeq E Damishq 62/145 Wa Sanadahu Sahih. neez dekhiye Mahana Al-Hadees: 26 Safa 27,28)

Musnad Baqi Bin Makhlad mein Ameer Muaawiya (Razi Allahu Anhu) ki bayaan karda ek saow tirsatt (163) hadeese maujood hai. (Siyar A’lamin Nubala 3/162)

Ameer Muaawiya (Razi Allahu Anhu) se Jareer Bin Abdullah Al-Bajali, As-Saaib Bin Yazeed al-Kindi, Abdullah Bin Abbas, Mu'aawiya Bin Hudayj aur Abu Saeed al-Khudri wagera Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhu Ajmayeen) aur, Abush Sha'saa Jabir Bin Zaid, Hasan Basri, Saeed Bin Musaeeb, Saeed Al-Maqburi, Aata Bin Abi Rabah, Muhammad Bin Sereen, Muhammad Bin Ali Bin Abi Talib Al-Maroof Bi Ibne Hanafiya, Hamaam Bin Munbeh aur Abu Salma Bin Abdur Rahman Bin Awaaf wageraa tabayeen Rahamahumallah ney riwayat bayaan ki hai. (Tehzeebul Kamaal 18/201,202)

Ahle Sunnat Wal Jamaat ke nazdeek tamaam Sahaba aadil (riwayat mein sachche) hai. (Iktesaar Uloom Ul Hadees Li Ibne Kaseer 2/498)

Un ke darmiyaan jo ijtehadi ikhtilafaat aur sangeen jangge huwi hain, un mein wo mazoor o majoor hain aur humme is baray mein mukammal sukoot ikhtiyaar karna chahiye.

Aye Allah! Hummare Dilon Ko Tamaam Sahaba Ki Muhabbat Se Bhar Dey Aur Unki Tauheen o Tanqees Se Bacha. Aameen.

Yaad rahe ke jamhoor muhaddiseen ke nazdeek Abu Rihanah mausaq hai lehaza wo Hasan Ul Hadeees hai. Walhumdulillah.

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.29, Safa no.60-64]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023