Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi

Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم

Kisi Sahabi se bhi Islam laaney ke b'ad shirk saabit nahi hai, Walhumdulillah.

Yeh kehna ke b'aaz ummat e muslimah mein ya jazeerah arab mein qayamat tak shirk nahi hoga, be-daleel hai.

Poori ummat kabhi bil-ijmaa' shirk nahi karegi. Ummat e Muhammadiyah mein b'aaz log shirk karenge.

Jazeerah arab mein qayamat se pehle shirk kiya jayega.

Azwaa ul-Masabeeh Hadees 72:

وَعَنْهُ، قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اللهِ ﷺ؛ اِنَّ الشَّیطَانَ قَدْ اَیِسَ مِنْ اَنْ یَّعْبُدَهُ الْمُصَلُّوْنَ فِیْ جَزِیرَةِ الْعَرَبِ وَلٰکِنْ فِی التَّحْرِیشِ بَینَھُمْ

Aur inhi (Sayyiduna Jaabir bin Abdullah al-Ansari Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

"Shaitaan (iblees) is se mayoos ho gaya hai ke jazeerah arab mein (ahle emaan) namazi us ki ibaadat karen, lekin wo inhen aapas mein ladaana chahaata hai."

(Sahih Muslim: 65/2812)

Yeh hadees is silsiley mein bahut waazeh hai ke Sahaba e Kiraam shirk nahi karenge aur waaqi'atan aisa hi huwa, kisi Sahabi se bhi Islam laaney ke b'ad shirk saabit nahi hai. Walhumdulillah

Is hadees mein Sahaba e Kiraam ki baahami ladaaiyon masalan jung e jamal aur jung e siffeen ki taraf ishaarah hai.

Yeh kehna ke b'aaz ummat e muslimah mein ya jazeerah arab mein qayamat tak shirk waaqi' nahi hoga, be-daleel da'waa hai, jis ke liye b'aaz ahadees ke mafhoom mein rad o badal karney ki koshish ki jaati hai, jabke Sahih Ahadees se yeh saabit hai ke ummat e muslimah ke b'aaz afraad mein shirk ka wuqoo' hoga, maslan Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

لاَ تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّی تَضْطَرِبَ أَلَیَاتُ نِسَاءِ دَوْسٍ عَلَی ذِی الخَلَصَةِ

"Us waqt tak qayamat nahi hogi jab tak daws (qabiley) ki auraten jism matkaatey huwey zul khalasah (qabiley daws ke but aur taghoot) ka tawaaf nahi karengi."

(Sahih Bukhari: 7116, Sahih Muslim: 2906)

Is hadees se saabit huwa ke jazeerah arab mein qayamat se pehle shirk kiya jaayega.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

وَلَا تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّی تَلْحَقَ قَبَائِلُ مِنْ أُمَّتِی بِالْمُشْرِکِینَ وَحَتَّی تَعْبُدَ قَبَائِلُ مِنْ أُمَّتِی الْأَوْثَانَ

"Aur us waqt tak qayamat qaayim nahi hogi jab tak meri ummat ke (kuch) qabaayil mushrikon se na mil jaayenge aur jab tak meri ummat ke (kuch) qabaayil button ki ibaadat na karenge."

(Sunan Abi Dawood: 4252, Wa Sanadahu Sahih)

Is hadees se maloom huwa ke Ummat e Muhammadiyah mein b'aaz log shirk karenge.

Ek Sahih Riwayat mein aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

مَا أَخَافُ عَلَیْکُمْ أَنْ تُشْرِکُوْا

"Mujhe yeh dar nahi hai ke tum shirk karoge."

(Sahih Bukhari: 1344, Sahih Muslim: 2296)

Is hadees ki tashreeh mein Hafiz Ibne Hajar al-'Asqalani likhtey hain:

أَیْ عَلَی مَجْمُوعِکُمْ لِأَنَّ ذَلِکَ قَدْ وَقَعَ مِنَ الْبَعْضِ أَعَاذَنَا اللہُ تَعَالٰی

"Yane bil-ijmaa' tum shirk nahi karoge, kiyunke is (shirk) ka wuqoo' b'aaz (ummatiyon) se huwa hai, Allah hamen panaah mein rakhey."

(Fath ul Baari: 3/211)

Nawawi ne kaha:

وَأَنَّهَا لَا تَرْتَدُّ جُمْلَةً

"Aur beshak wo (ummat) bil-ijmaa' murtad nahi hogi."

(Sharh Sahih Muslim Lil Nawawi: Darsi Nuskha, Jild 2, Page 250)

'Ayni Hanafi ne kaha:

مَعْنَاہُ عَلَی مَجْمُوْعَکُمْ، لِأَنَّ ذَلِکَ قَدْ وَقَعَ مِنَ الْبَعْضِ، وَالْعِیَاذُ بِاللہِ تَعَالٰی

"Is ka ma'na yeh hai ke tum bil-ijmaa' shirk nahi karoge, kiyunke is (shirk) ka wuqoo' b'aaz se huwa hai aur Allah ta'ala apni panaah mein rakhey."

('Umdatul Qaari: Jild 8, Page 157)

Karmaani ne kaha:

وَأَنَّهَا لَا تَرْتَدُّ جُمْلَةً وَقَدْ عَصَمَهَا مِنْ ذَلِکَ

"Aur wo (ummat) bil-ijmaa' murtad nahi hogi aur yaqeenan us (Allah) ne ise mehfooz rakha."

(Sharh Sahih Bukhari Lil Karmaani: 7/123, Hadees 1267/1346)

Qastallani ne kaha:

أَيْ مَا أَخَافُ عَلٰی جَمِیْعُکُمُ الْإِشْرَاکَ بَلْ عَلَی مَجْمُوْعِکُم، لِأَنَّ ذَلِکَ قَدْ وَقَعَ مِنْ بَعْضٍ

"Yane mujhe tum sab (ummatiyon) ka bil-ijmaa' shirk karney ka khauf nahi, kiyunke b'aaz logon se is (shirk) ka wuqoo' huwa hai."

(Qastallani Sharh Sahih Bukhari: Jild 2, Page 440)

Ghulaam Rasool Sayeedi Baralwi likhtey hain:

"Yane Aap ko iska khadshah nahi tha ke poori ummat mushrik ho jaayegi, siwa b'aaz logon ka murtad ho kar hindu ya 'esaayi ho jaana is hadees ke paish gooyi ke khilaaf nahi hai."

(Sharh Sahih Muslim: Jild 6, Page 738)

In tasrihaat se maloom huwa ke poori ummat kabhi bil-ijmaa' shirk nahi karegi, taahim aisa hoga ke b'aaz ummati shirk karenge lehaza jo log yeh kehtey hain ke Ummat e Muhammadiyah mein shirk waaqi' nahi hoga, in ka qaul (Sahih Bukhari, Sahih Muslim aur) Sunan Abi Dawood ki Sahih Hadees aur Sharaheen e Hadees ki tasrihaat aur kudh baralwi tehqiqaat ke bhi khilaaf hai.

Tafseel ke liye dekhe Mahnamah al-Hadees Hazro (39 - 46) mein shaayi' shudah mohtaram Abul Asjad Muhammad Siddiq Raza Hafizahullah ka tehqeeqi mazmoon: "Ummat E Mustafa ﷺ Aur Shirk" us mazmoon ka mutaala'ah behad mufeed hai aur is se daur e jadeed mein mubtadi'een e baralwiyah ke tamaam shubhaat ka izaalah ho jaata hai. Walhumdulillah


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.28, Safa no.7, Azwaa ul-Masabeeh Hadees No. 72]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023