Fazail E Salaam (By Sheikh Nadeem Zaheer Hafizahullah)


Salaam musalmano ka imteyazi wasf aur waqaar hai, ibteda e aafrinish se (yani shuru se hi) "salaam" ki jaami’iyyat, fazilat aur ahmiyat musallam hai, ahd e Nabawi (ﷺ) mein bhi is ki tarweej (phailaane) par khoob ziyada zor diya gaya hai, ab qayamat tak ye musalmano ka shi’aar hai.

Irshaad e Bari Ta'ala hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ بُيُوتِكُمْ حَتَّىٰ تَسْتَأْنِسُوا وَتُسَلِّمُوا عَلَىٰ أَهْلِهَا ۚ ​

"Aye emaan walon! apne gharon ke alawa dusre gharon mein us waqt tak dakhil na ho jab tak tum ijazat na ley lo aur ghar walon ko salaam na kar lo."

(An-Noor: 27)

Doosre maqaam par farmaya:

فَإِذَا دَخَلْتُم بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَىٰ أَنفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً ۚ ​

"Pas jab tum gharon mein dakhil hone lago to tum apne ghar walon par salaam karo ye Allah Ta'ala ki taraf se mubarak aur pakiza tohfa hai."

(An-Noor: 61)

Salaam ka Aaghaaz:

Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Jab Allah(ﷻ) ney Aadam (Alaihis Salaam) ko paidaa farmaya tou un se kaha: "Jaao aur fariston ki us jama’at ko salaam karo aur wo jo jawaab dey usey ghaur se suno kyun ki wahi teri aulaad ka salaam hoga" pas Sayyiduna Aadam (Alaihis Salaam) ney jaa kar kaha: "Assalamu Aalaikum" to unhon ne kaha: "Walaikumus Salaam wa Rahmatullah" yane unhon ne Rahmatullah ka izafa kar diya"

(Saheeh Bukhaari: 6227, Saheeh Muslim: 2841)

Salaam ka Tohfa:

Irshaad e Bari Ta'ala hai:

وَإِذَا حُيِّيتُم بِتَحِيَّةٍ فَحَيُّوا بِأَحْسَنَ مِنْهَا أَوْ رُدُّوهَا ۗ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ حَسِيبًا​

"Aur jab tumhen (salaam ka) tohfa diya jaye tou tum bhi us sey behtar tohfa unhen do, ya wahi unhen lauta do."

(An-Nisaa: 86)

Is Aayat ki taeed is hadees se bhi hoti hai: Imraan bin Hussain (Radhi Allahu Anhu) bayaan kartey hain: Ek shakhs Nabi (ﷺ) ki khidmat mein hazir huwa, us ney "Assalamu Aalaikum" kaha, Aap (ﷺ) ney uska jawaab diya us ke baad wo baith gaya, Nabi (ﷺ) ney farmaya: "Dus (10) nekiyan ho gayi" phir ek dusra shakhs aaya us ney "Assalamu Aalaikum wa Rahmatullah" kaha, Aap (ﷺ) ney salaam ka jawaab diya, chunanche wo baith gaya, Aap (ﷺ) ney farmaya: "Biyees (20) nekiyan ho gayi, baad mein ek aur shakhs aaya us ney "Assalamu Aalaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu" kaha, Aap (ﷺ) ney uske salaam ka jawaab diya, wo baith gaya Aap (ﷺ) ney farmaya: "Tees (30) nekiyan ho gayi.

(Sunan Abi Dawood: 5195, Tirmidhi: 2689. Iski Sanad Hasan Hai)

Behtareen Salaam:

Ek aadmi ney Rasoolullah (ﷺ) se puchaa ke "Islam mein behtar baat kya hai"? Tou Aap (ﷺ) ney farmaya: "Sab se behtar baat ye hai ke tu (bhooke ko) khana khilaye aur har waqif aur na'waqif ko salaam kahe."

(Saheeh Bukhaari: 12, Saheeh Muslim: 39)

Mubabbat aur Salaam:

Bughaz o inaad, fitna aur fasaad ko kis tarha Nabi e Rahmat (ﷺ) ney ulfat o muhabbat, ikhuwwat aur bhai chare mein tabdeel kar diya? Wo kaunsa behtareen nuskha hai? Ji han, isey Nabi e Kareem (ﷺ) ki mubarak zubaan se suniye aur apni zindagiyon ko muhabbaton se bhar lijiye,

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Tum jannat mein nahi jaaoge yahan tak ke emaan ley aaoo aur tum momin nahi hogey yahan tak ke ek dusre se muhabbat karo, kya main tumhen aisi cheez na bataon ke jab tum usey ikhtiyaar karoge tou aapas mein muhabbat karne lagoge (aur wo yeh hai ke) tum aapas mein salaam ko phailaao aur aam karo."

(Saheeh Muslim: 54)

Jannat aur Salaam:

Sayyiduna Abdullah Bin Salaam (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke maine Rasoolullah (ﷺ) ko farmate huwe suna, "Aye logon! Salaam ko phailaao, logon ko khana khilaao, rishtedaron aur aqriba ke huqooq ada karo aur us waqt uth kar namaz padho jab log sooye huwe hon (yane raat ke aakhir pehar mein) tou tum "Jannat" mein salamati ke sath dakhil ho jaaoge."

[Sunan Tirmizi: 2485]

Allah ﷻ ki qurbat aur Salaam:

Salaam mein pehal karna Allah ﷻ ki qurbat hasil karne ka behtareen zariya hai, Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: " Sab se ziyada Allah ke qareeb wo log honge jo salaam kehne mein pehal kartey hain."

(Abu Dawood: 5197. Iski Sanad Sahih hai)

Qayireen Akraam:

Upar zikr ki gayi lines mein intehayi ikhtesaar ke sath salaam ki fazilat bayan ki gayi hai lehaza hamein musalmaan hone ki haisiyat se "salaam" ko aam karna chahiye aur kyunki yeh Allah ﷻ ki qurbat ke husool aur jannat mein dakhile ka zariya hai aur ghair musalmano ke banaaye huwe: Hi, Bye, Hello aur Namaste wagera alfaaz se bachna chahiye, kyunki kafiron se mushabihat se mana kiya gaya hai. Allah hamein nek aamaal ki tawfeeq dey. (Aameen)

Aur hamare zimme bas pahunchana hai....

Author: Hafiz Nadeem Zaheer Hafidahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi (via romanquranohadees.com)

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.5, Safa no.28-29]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023