Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein


Fazilat us Shaikh ABDUL SATTAR HAMMAD hafizahullah likhte hai:

"Asma-Ur-Rijaal ke fun mein aap badi maharat Rakhte the, Hanafiyyat ke hawale se bada jandaar tabsarah hota tha, ekhtelaf ko Bardasht karne waale the, Allah unhe ghareeqe Rahmath kare. (Aameen)".

FaziLat us shaikh Muhaddis asr IRSHAD UL HAQ ASRI Hafizahullah likhte hai:

"Shaikh Zubair ali zai rahimahullah, Masha Allah! Allah ne unhe jo salahiyate ata farmayi thi wo unhi ka khaasa hai, Hadees wa Rijaal par unki badi Gahri nazar thi, Allah ne unhe bada hifz wa zabt ata kiya tha, Mai to unhe us waqt se jaanta hun jab wo ta'leem haasil karrahe the, balke usse pahle se bhi jaanta hun jab mai unki dukaan par aata jaata tha, phir wo dar-ud-Da'watusSalafiyyah aagaye the, Waha unhone 4 mahine mein poora qur'ane majeed hifz kiya, Allah ne unhe badi badi salahiyate Ata farmayi thi, lekin har shakhs ka waqt likha hota hai, aane ka bhi aur jaane ka bhi, Lekin Aap bahut jald hi chalegaye, jitni unse tawaqqu'aat thi ke wo Allah ke fazal wa karam se ke wo hadees ki khidmat ko saranjaam denge, wo adhoori rahgayi, Allah se dua hai ke Allah unke hasnath ko qubool farmaye .Aameen".

Fazilat us shaikh ABDULLAH NASER RAHMANI hafizahullah likhte hai:

"Wo bade Azeem Aalime deen the, bilkhusoos Ilm-ur-Rijaal mein Wo khaas malka Rakhte the ke poore Pakistan Mein iss Fun mein inka koi saani nahi, wo nihayat saadah tab'iyat ke malik the, Zohad wa Taqwa aur qawi hafizah unki shakhsiyyat ke numaya pahlu hain."

Fazilat us shaikh Mufti Maulana MUBASHIR AHMED RABBANI Hafizahullah Likhte hai:

"Aap beshumaar khoobiyo ke maalik the aur apne hum Asr ul'ama mein se pakistan ke andar Asma-ur-Rijal ke zyadah Mahir the aur gumrah kun Afkar ke hamil afrad ke khilaf kitabo sunnat ki raushni mein bahut jald maidan mein utar aate the, Mahnama Alhadees is baath ka bahut bada Shahid hai, isi tarah khidmate hadees par unki kutub aur Maqalaath ek shahkaar ki haisiyath rakhti hai.isi tarah jab bhi Ahle bid'at ke khilaf koi bhi Munazirah ka mahaz garam hua to shaikh Zubair Ali zai rahimahullah apne rufaqa ke shana bashaana chale aur apne saathiyo se badhkar dalayel ki tayyari ke saath maidan me utre, iss Tarah ka abqari shakhs saalo baad paida hota hai hai, Allah ta'ala inko Anmbiya,shohada aur saliheen ke saath naseeb farma aur unhe jannatul firdaus ke oonche muqam par fayez kare, aur Allah ta'ala Ahlehadees ul'ama me jo khala' paida hua hai , use apni rahmath se pur farmade aur shaikh saab jaisi khoobiyon ka hamil aalim ata farmade.Aameen ya rabbul aalamaeen".

Fazi lat us Shaikh Maulana KHALEEL UR RAHMAN LAKHWI hafizahullah likhte hai:

"Aap maidane tahqeeq ke shaheswar the, aapki wafath se jamat ka bada nuqsan hua".

Fazilat us shaikh MAHMOOD UL HASAN hafizahullah likhte hai:

"Muhaddis Shaheer hafiz zubair ali zai bahut hi Azeem Aalim aur Muhaddis the".

Fazilat us shaikh Mufassire quran HAFIZ SALAH UDDIN YOUSUF hafizahullah likhte hai:

"Maulana hafiz zubair ali zai hafizahullah Jama'te Ahlehadees ke Namoor faazil, Muhaqqiq Aalim aur kamiyab Munazir Hai,Tahqeeq hadees inka khaas mauzoo hai, hamiyate Hadees inka imtiyaz aur siyanate hadees inka maqsade Hayat hai, Yahi wajah hai ke jab kabhi aur jahan kahi se bhi hadees par hamla ho, chahe Wo inkar ki soorat mein ho ya lafzi wo ma'anwi tahreef ki soorat mein, Mausoof beqarar Hojate hai aur unka Qalam harkat mein Aajata hai".(Namaz ke ahem masael:peshe lafz ,safa no.5)

Fazilat us shaikh Maulana Rafeeq Asri Hafizahullah:

"Mai unki wafath ko jama'th ke liye bahut bada nuqsan samajhta hun, Rijaal par unki Bahut gahri nazar thi, Allah unhe ghareeqe rahmath kare, Aale deoband waghairah ke hawale se likhne mein bhi unka andaz munfarid tha, Agarche bahut se log unke peeche padhe huwe the,lekin wo kisi ki parwah nahi karte the,mustahkam dalayel ke saath ache andaz mein jawab dete the."

Jama wa Tarteeb: Hafiz Muhammad Younus Asri Karachi (حافظ محمد یونس اثری کراچی)

Romanised: Hafiz Muhammad Shahed hyderabadi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.114, Safa no.47-49]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023