Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye?



(Shaikh Hafiz Nadeem Zaheer (hafizahullah) se Mahnama Al hadees hazro mein is ma'sle ke muta'lliq sawal kiya gaya).

Sawal: Hamare yaha ba'az masajid mein Namaz ki jamaat ka waqt hojane per log (muqtadi) ghadi (watch) dekh ker khade hojate hai aur saff bandi karlete hai, halanke pichli safoun mein imam masjid mein pehle hi se maujood hota hai, uske baithe howe bhi log iss tarha karte hai aur kabhi kabhar imam abhi masjid ke main hall mein dakhil nahi hota ke log safein bana ker piche mudh mudh ker uska yani imam ka intezaar karte hai hatta ke ba'az awqaat mazeed intezaar kiye baghair koi bhi shakhs takbeer (iqamat) kehde ta hai aur muqtadiyon mein se kisi ko bhi imam bana diya jata hai aur namaz shuru kardi jati hai, phir thodi der ba'ad imam muqtadi ki haisiyat mein shamil hojata hai- kiya is tarha ke muaamilaat durust hai ke muqtadi jab chahe imamat ke liye khada hojayd ya phir shar'ai hudood wo quyood hai?? {Abu anas, hyderabad}.

Jawab: Is silsile mein Rajeh yahi hai ke log safaon mein baith kar imam ka intezaar karein, izteraab-o-be chaini ka muzahera Na kare, imam masjid mein maujood ho ya phir bahar se tashreef laye jab tak wo apni jaye imamat ki taraf chal Na de, muqtadiyon ko saff mein baithe rehna chahiye.

Sayyiduna Jaber bin samurah (Razi' Allahu anhu) se riwayat hai ke

كان مؤذن النبي صلى الله عليه وسلم يؤذن، ثم يمهل، فإذا رأى النبي صلى الله عليه وسلم قد أقبل أخذ في الإقامة

Nabi {ﷺ} ka mo'azzin azan kehta, phir intezaar kerta, jab wo nabi{ﷺ} ko dekh leta ke aap tashreef le aayien hai to iqamat kehna shuru kardeta".

(Sahih ibne khuzaimah:1525 wa sanaduhu hasan, neez dekhiye Sahih muslim:606)

Sayyiduna Abu qatadah (razi' Allahu anhu) se riwayat hai ke nabi {ﷺ} ne farmaya:

إذا أقيمت الصلاة، فلا تقوموا حتى تروني وعليكم بالسكينة

"jab namaz ki iqamat kahi jaye to tum mujhe dekhe baghair khade Na hona aur sakinat ko lazim karlo."

(Sahih bukhari:638)

Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne is hadees ke ba'ad farmaya:

وقد كره قوم من أهل العلم من أصحاب النبي صلى الله عليه وسلم وغيرهم أن ينتظر الناس الإمام وهم قيام

"Nabi {ﷺ} ke sahaba wo deegar Ahle ilm mein se ek jamaat ne ye Makrooh jana ke log (safaon mein) khade ho kar imam ka intezaar kare".

(Sunan tirmazi:592)

Imam Ibne khuzaima (Rahimahullah) ne is hadees ko naqal karne ke ba'ad farmaya:

باب النهي عن قيام الناس إلى الصلاة قبل رؤيتهم إمامهم

"logon ka apne imam ko dekh ne se pehle namaz ke liye khada hona mamnoo' hai".

(Sahih ibne khuzaima,Qabl hadees:1526)

Imam baghwi (Rahimahullah) ne is hadees ko naqal karne ke baad farmaya:

وقد كره قوم من أهل العلم أن ينتظر الناس الإمام وهم قيام

"Ahle ilm ki ek jamaat ne logo ke khade hokar (safao mein) imam ka intezaar karne ko Na pasand kiya hai".

(sharh-us-sunnah:Jild 2 Safa:89)

Imam Ibnul Munzir (Rahimahullah) ne farmaya:

"agar imam masjid mein maujood hai, phir jab wo (jaye namaz ki taraf) khada ho to log bhi (safein banane ke liye) khade hojaye, lekin agar (Surate haal ye hai ke) wo us ke baher se Aane ke muntazir hai to jab tak imam ko (jaye namaz ki taraf aate hue) dekh Na le, khade na ho".

(Al-Ausat Jild:4 safa no.188)

Abu Khaled Al waalbi Ka bayan hai:

"Sayyiduna Ali (Razi' Allahu anhu) Hamari Taraf Aaye aur iqamath Kehdi Gayi (Jab ke) Hum UnKe Intezaar Mein khadhe the, Aap (Razi' Allahu anhu) Ne Farmaya:

ما لي أراكم سامدين؟

"Kiya Baat Hai Ke Mai Tumhe Lahw o laib Mein Dekh Raha Hoon?."

(Sharh Mushkil Al-Asar Jild:10 Safa:395 Wallafzu Lahu, Assalah li Abi-Nuaim:292 Wa Sanaduhu Hasan)

Mazkurah Baala Daleyel Se Wazeh Ho Jata Hai Ke Imam Ke Intezaar Mein Khade Rehna Durust Nahi Aur Neki Ke Umoor Mein Izteraab-O-Bechaini Kisi Muslaman Ko Laeq Nahi.

Sahaba kraam (Razi' Allahu anhum) Safaon Mein baith Ker Intezaar Kiya Karte the.

Sayyiduna Anas bin malik (razi' Allahu anhu) Ne Farmaya:

كان أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم ينتظرون العشاء الآخرة حتى تخفق رءوسهم

"Ashabe Rasool {ﷺ} Namaze Isha Ka Intezaar Karte Rehte Hatta Ke unke Sar (ounghne Ki Wajeh Se) Jhuk Jate the."

(Sahih, Sunan Abi Dawood:200)

Rasoolullah {ﷺ} ne Farmaya:

لا يرد الدعاء بين الأذان والإقامة

"Azan Aur iqamath Ke Darmiyan Dua Radd Nahi Hoti."

(Sahih, sunan Abi Dawood:521)

Jab Muqtadi Hazraat Azan aur iqamath ka Darmiyaani Waqt Zikr-O-Adhkaar Aur Dua Mein Guzarenge to unhe Ehsaas Hi Nahi Hoga Ke Kab Imam Aaya Aur Iqamath Kehdi Gaye! Iss Per Amal Paira Hone Se Har Qisam Ki Bechaini aur Izteraab Khatam Hojayega. In sha Allah.

Mas'le Ka Dusra Pehlu:

Ba'az Ahadees Mein Imam Dekhne Se Pehle Safein BanaNe Ka Zikr Bhi Hai. Masalan:

Sayyiduna Abu Hurairah (Razi' Allahu anhu) Ne Farmaya:

أقيمت الصلاة فقمنا فعدلنا الصفوف قبل أن يخرج إلينا رسول الله صلى الله عليه وسلم»

"Iqamath kahi gayi To Hum Ne Khade hokar Safaon Ko BaraBar Kiya, isse Pehle Ke Rasoolullah {ﷺ} Hamari Taraf Tashreef Laye".

(Sahih Muslim:605, sahih Bukhari:275, Sunan Abi Dawood:235)

Is Hadees Ki Tawzeeh wo taujeeh Mein Muhaddiseen Ke Aqwaal Darj Zail Hai:

  • Imam Ibne Kaseer (Rahimahullah) Ne Farmaya:

    هذا محمول علي أنه كان في بعض الأوقات وكان الغالب ما جاء في حديث جابر بن سمرة

    "Yani, Ye A'mal ba'az Awqaat Per Mahmool Hai Warna Aksar A'mal Hadeese Jaber hi Par Hai."

    (Kitab Al-Ahkaam Al-Kabeer, Jild No.2 Safa 265)

  • Ba'az Ulma ke Nazdeek Ye A'mal Hadees((فلا تقوموا حتي تروني)) Se Pehle Ka Hai.
  • Hafiz Ibne Hajr Asqalani (Rahimahullah) Ne Farmaya:

    في حديث أبي هريرة كان سبب النهي عن ذلك

    Yani: "Sahaba kram (Razi' Allahu anhum) Nabi Kareem {ﷺ} ke Tashreef Laane Se Pehle Khade ho Jate the, To Yahi Amr Us Mumani'at Ka Ba'is Huwa".

    (Fathul Bari Jild:2 Safa No.265)

In Tasreehaat Se khoob Wazeh Ho Jata Hai Ke Ab Hadees Abu Hurairah (Razi' Allahu anhu) ke Bajaye Hadees Abu Khatadah (Razi' Allahu anhu) Per A'mal Kiya Jaye ga.

Agar Kisi Bashari Taqaze Ki Wajeh Se Imam Ke Aane Mein Kuch Taakheer Ho to Faoran Kisi Dusre Ko Imamat Ke Liye Khada Karna Jaiz Nahi, Balke uss Ka Intezaar Karna Chahiye, Jaisa Ke Guzar Chuka Hai Ke Sahaba kram, Nabi {ﷺ} Ka Intezaar Karte the, Agar Zyadah Der Hojaye Ya Confirm Hojaye Ke Imam Sahab Nahi Pahunch Sakte To Naeb Wagaira Namaz Pardha Sakte Hai.

Imam Ibne Khuzaima (Rahimahullah) Ne Farmaya:

"Jab Imam (Zyadah) Taakheer Karde To Uska Intezaar Na Karne Ki Ijazat Aur Muqtadiyo Ka Kisi Ek Muqtadi Ko Imamat ke Liye Hukm Dena (jaiz hai)".

(Saheeh ibne Khuzaima Qabl Hadees 1514)

Answered By: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: Hafiz Muhammad Shahed Hyderabadi.

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.119, Safa no.11-14]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023