Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy?


SAWAL:

SURAH AL-HADEED KI CHAUTHI AYAT KI ROSHNI MEIN YEH KEHNA KI ALLAH TAALA HAR JAGAH MAUJOOD HAI, KYA YEH SAHEEH HAI? AGAR NAHI TOH IS KI KYA DALEEL HAI? (Abdul Mateen, Lahore)

JAWAB:

Irshad-e-Bari Taala hai:

هُوَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ يَعْلَمُ مَا يَلِجُ فِي الْأَرْضِ وَمَا يَخْرُجُ مِنْهَا وَمَا يَنزِلُ مِنَ السَّمَاءِ وَمَا يَعْرُجُ فِيهَا وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ

'Wohi hai Jis ne aasmano aur zameen ko chhe(6) dino mein paida kiya, phir Arsh par mustawi ho gaya, Woh (khoob) janta hai us cheez ko jo zameen mein jaye aur jo is se nikle aur jo aasman se niche aaye aur jo kuchh chadh kar us mein jaye, AUR JAHAN KAHIN TUM HO WOH TUMHARE SAATH HAI aur jo tum kar rahe ho Allah dekh raha hai.

[Surah al-Hadeed(57), Ayat 4]

Is Ayat e Kareema mein 'وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ' ki tasreeh mein Qadeem Mufassir e Qur'an Imaam Muhammad Bin Jarir at-Tabari Rahimahullah (310 H.) farmate hain: "Aur Aey logon! Woh (Allah) tum par gawah hai, tum jahan bhi ho Woh tumhein janata hai, Woh tumhare Aamal, phirna aur thikana janta hai aur Woh apne saat aasmanon se upar apne Arsh par hai.

(Tafseer Tabari, Jild 27 Safa 125)

Isi mafhoom ki ek Ayat karima ke baare mein Mufassir Zahak Bin Mazaham al-Hilali al-Khurasani Rahimahullah (106 Hijri) farmate hain: Woh Arsh par hai aur Us ka Ilm un (logon) ke saath hai chahe woh jahan kahin bhi hon.

(Tafseer Tabari, Jild 28 Safa 10 Wa Sanadahu Hasan)

Imam Muqarra Muhaqqiq Muhaddis Ashar Abu Umar Ahmad Bin Muhammad Bin Abdullah At-Talamanki Al-Andalusi Rahimahullah (429 Hijri) farmate hain:

"Ahle Sunnat Musalmano ka is par ijma’ hai ki 'وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ' (Al-Hadeed: 4) wagaira Ayaat ka mutalba yeh hai ki 'Beshak is se Allah ka muraad hai, Allah apni zaat ke lihaz se aasmanon par, Arsh par mustawi hai jis tarah Us ki shaan ke layeq hai."

(Sharh Hadees an-Nujool li Ibn Taimiyyah Safa 144, 145)

Is ijma' se maloom huwa ki baaz un-Naas ka is Ayat karima se yeh masla tarashna ki "Allah Apni zaat ke saath har jagah maujood hai." Galat aur Baatil hai lihaza Kitab o Sunnat aur Ijma' ke mukhalif hone ki wajah se mardood hai.

Masawal Ayat e karima mein 'يَعْلَمُ' ka lafz bhi bilkul wajeh is par dalalat karta hai ki yahan ma'yat se Ilm wa Qudrat muraad hai, Tafseel ke liye dekhiye Humare Ustaad Muhtaram Shaikh Badee Uddin ar-Rashidi Rahimahullah ki kitab "Tauheed Khalis" (Safa 277)

Haris Bin Asad al-Muhasibi Rahimahullah (243 Hijri) farmate hain: 'Aur is tarah yeh kehna jayez nahi hai ki.....Allah zameen par hai. (Faham al-Qur'an wa Maa'ni)

Hafiz Ibn al-Jawzi farmate hain: "(Jahmiyyah ke firqe) multazam ne Bari Taala ko har jagah (Maujood) qarar diya hai." (Talbees Iblees Safa 30, Raqam al-Huroof ki kitab: Bidati ke pichhe Namaaz ka hukum Safa 19)

Shaykh Abdul Qadir Jilani Rahimahullah farmate hain: ‘Aur yun kehna jayez nahi ki Woh (Allah) har makan mein hai balki yun kehna chahiye ki Who Aasman mein Arsh par hai.”

(Guniyatut Talibeen, Jild 1 Safa 100)

Neez dekhiye Al-Hadees: 10 Safa 43-46

[Fatawaa Ilmiya|Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah: Jild 1, Kitabul Aqa’id,Saff no;29,30]


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Owais Salafi

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023