Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju?

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah


Sanabil sahaab Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah ke baray mein likhtey hain:

"In ke jis qaul mein yazeed bin muaawiya par zulm wa loot maar ka ilzaam hai, is qaul sey Imaam Ahmed Rahimahullah ruju kar chuke hain, sirf yehi nahi ke Imaam Ahmed Rahimahullah ney aakhir mein yazeed bin muaawiya ke baray mein apni jarh sey ruju kar liya, balke isey khair ul quroon ki fazilat ka haamil bhi batlaya hai, chunaanche Imaam Abu Bakr al-Khallaal (died 311 hijri) ney kaha: "Abu talib esmaah bin abi esmaah kehtey hain ke maine Imaam Ahmed Rahimahullah sey pochaa ke jo kahey ke yazeed bin muaawiya par Allah ki lanat ho, is baray mein aap kya farmatey hain? kaha: main is baray mein kalaam nahi karta, maine kaha: aap kya farmatey hain, kiyunke jis ney yeh baat kahi hai wo mutabar aadmi hai aur main aap ke qaul ko apnaonga! Imaam Ahmed Rahimahullah ney kaha: Allah ke Nabi (ﷺ) ka farmaan hai: momin par laanat karna us ko qatal karney ki tarha hai, neez aap ney yeh bhi farmaya: sab sey behtar zamana mera zamana hai, phir in ka zamana, jo iske baad aayenge, aur yazeed us daur ke logon mein shamil hai, neez aap ney yeh bhi farmaya: maine jis par laanat ki ya buraa bhalaa kaha tou Aye Allah! isey us ke haq mein rahmat bana dey, is liye khamoshi hi mere nazdeek behtar hai."

(Yazeed bin Muaawiya...... safa: 782)

Tabsarah:

Jo shaksh mazkoorah ibaarat ka ba-ghaur mutaala kareyga us par yeh haqeeqat munkashif ho jayegi ki sanabil sahaab Imaam Ahmed Rahimahullah ki jarah sey mutalliq dawa e naskh kar ke "sawaal chana aur jawaab gandum" ki akkasi kar rahey hain, kiyunke Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah sey yazeed par laanat ke baray mein sawaal huwa tha na ke loot khasoot aur is sey hadees bayaan karney ya na karney sey mutalliq, lehaza inhon ney lanat hi sey khamoshi akhtiyaar ki hai, yeh sabhi jaantey hain ke lanat shadeed kalaam hai aur yazeed ke baray mein mutashaddid tareen log hi yeh rawish apnatey hain, jabke Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah tou fikr e aitedaal ke imaam hain, hummarey mauqif ki mazeed wazahat is sey bhi hoti hai ke jab sayil ney lanat waala sawaab dauhraya tou aap ney wo ahadees bayaan kiyen jin mein lanat ki mazammat hai aur lanat na karney ki doosri wajah yeh hai ke yazeed khair ul quroon ka musalmaan hai, wazeh rahey ke khair ul quroon ka yeh matlab hargis nahi hai ke is daur mein kisi zalim ya za'eef rawi ka sirey sey wujood na hoga.

Is dawa e naskh par shaandaar "faqaahat" ka muzahaira karney par hum sanabil sahaab hi ke alfaaz mein khiraaj e tehseen paish kartey hain ke "jin ke yahan naskh ka isbaat is tarha ki faqaahat balke faqaahat par mabni ho wo Imaam Ahmed Rahimahullah ke kalaam ko mazkoorah buniyaad par mansookh batlayen tou in ka haq hai lekin ilmi maidaan mein is ki koi haisiyat ek lateefeh sey ziyada kuch bhi nahi."

Tanbeeh: Sanabil sahaab ney dr. muhammad bin haadi ke hawaley sey likkha:

"Imaam Ahmed Rahimahullah ki wafaat sey teen din qabl in ke jo aqaayid likhey gaye, in mein Imaam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah yazeed bin muaawiya ke baray mein khamoshi akhtiyaar kartey thhey aur in ka mu'aamlah Allah par chhodtey thhey."

(Yazeed bin Muaawiya ..... safa: 781)

Yeh bilkul ghalat hai, kiyunke Imaam Ahmed Rahimahullah sey yazeed par mehaz lanat sey mutalliq tou khamoshi sabit hai lekin mutlaq khamoshi kisi wazeh aur sareeh qaul (daleel) sey qata'an sabit nahi hai.

Yaad rahey ke Imaam Ahmed Rahimahullah ke mazkoorah qaul sey yazeed par ki gayi jarh sey ruju tou sabit nahi hota lekin yeh zaroor wazeh ho rahaa hai ke Imaam Ahmed Rahimahullah ke nazdeek bhi yazeed maghfirat ki basharat waaley lashkar mein shamil nahi hai kiyunke agar wo shamil hota tou Imaam mausoof khair ul quroon waali aam daleel ki bajaye maghfirat ki basharat waali khaas daleel sey istedaal kartey, yehi nahi balke baaz mutakhareen ke alawa kisi ek mutaqaddim muhaddis ney bhi isey yazeed ke haq mein paish nahi kiya.

………… Asal Mazmoon …………

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

Reference: Manama Ishaatulhadith Hazro Shumara 134, Page 39-41

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023