Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat

Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah


بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم

Nabi e Kareem ﷺ ne Sayyiduna Hasan bin Ali aur Sayyiduna Husain bin Ali Razi Allahu Anhuma ke barey mein farmaaya:

هما ريحانتاي من الدنيا

"Wo dono duniya mein se mere do phool hain."

(Sahih Bukhari: 3753)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

حسين مني وانا من حسين، احب الله من احب حسينا، حسين سبط من الاسباط

"Husain mujh se hai aur main Husain se hon, Allah us se muhabbat karey jo Husain se muhabbat karta hai, Husain meri naslon mein se ek nasl hai."

(Sunan Tirmizi: 3775, Wa Qaal: Hazaa Hadees Hasan, Musnad Ahmed: 4/172, Mahnamah al-Hadees: 24 Page 48, yeh riwayat Hasan Li Zaatihi hai)

Sayyiduna Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke jab yeh (mubaahiley waali) aayat

﴿نَـــدْعُ أَبْـــنَاءَنَا وَأَبْـــنَاءَكُمْ﴾

"Aur (mubaahiley ke liye) hum apne bete bulaayen tum apne bete bulaao."

(Surah aal-Imran: 61)

naazil huwi tou Rasoolullah ﷺ ne Ali, Fatima, Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) ko bulaaya aur farmaaya:

﴿اللـــهم هـــــؤلاء اهلي﴾

"Aye Allah! yeh mere ahl (ghar waaley, ahle bait) hain."

(Sahih Muslim: 32/2404, Tarqeem Darussalaam: 6220)

Sayyidah Aisha Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke ek din subh ko Nabi ﷺ baahar tashreef laaye aur aap ke jism e mubarak par oont ke kajaawey jaisi dhariyon waali ek ooni chadar thi tou Hasan bin Ali (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye, aap ne unhen chadar mein dakhil kar liya, phir Husain (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye, wo chadar ke andar dakhil ho gaye, phir Fatima (Razi Allahu Anha) tashreef laayen tou unhen aap ne chadar ke andar dakhil kar liya, phir Ali (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye tou unhen (bhi) aap ne chadar ke andar dakhil kar liya, phir Aap ﷺ ne farmaaya:

إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا

"Aye ahle bait Allah sirf yeh chahata hai ke tum se palidi door kar dey aur tumhen khoob paak saaf kar dey."

(Surah al-Ahzaab: 33) (Sahih Muslim: 61/2422 Darussalaam: 6261)

Sayyiduna Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu ne farmaaya:

نساؤه من اهل بيته، ولكن اهل بيته من حرم الصدقة بعده

"Aap (ﷺ) ki biwiyan aap ke ahle bait mein se hain lekin (is hadees mein) ahle bait se muraad wo hain jin par aap ke b'ad sadaqah (leyna) haraam hai yane aal e 'ali, aal e 'aqeel, aal e jafar aur aal e 'abbas."

(Sahih Muslim: 2408 Wa Tarqeem Darussalaam: 6225)

Sayyiduna Wasila bin Asqa Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne apni daayen taraf Fatima ko aur baayen taraf 'Ali ko baithaya aur apne saamney Hasn o Husian (Razi Allahu Anhum) ko baithaya (phir) farmaaya:

إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا

"Aye ahle bait Allah sirf yeh chahata hai ke tum se palidi door kar dey aur tumhen khoob paak saaf kar dey." (al-Ahzaab: 33) Aye Allah yeh meri ahle bait hain.

(Sahih Ibne Hibbaan, al-Ihsaan: 6937,6976, al-Mawaarid; 2245, Musnad Ahmed: 4/107, Aw Sahhahul Baihaqi 2/152 Awil Haakim: 3/147 Hadees: 4706 'Ala Shartil Shaykhain Wa Wafaqahuz Zehbi 'Ala Shart Muslim Wal Hadees Sanadahu Sahih)

Sayyidah Umme Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne Ali, Fatima, Hasn o Husain Razi Allahu Anhum ke barey mein farmaaya:

﴿اللـــهم هــؤلاء أهل بيتي﴾

Aye Mere Allah! yeh meri ahle bait hain."

(al-Mustadrak 2/416 Hadees 3558 Wa Sanadahu Hasan Wa Sahhahul Haakim 'Ala Shartil Bukhari)

Musnad Ahmed (6/292 Hadees 26508) mein Sahih Sanad se is hadees ka shahid (taayidi riwayat) maujood hai, Sayyiduna Ali, Sayyidah Fatima, Sayyiduna Hasan aur Husain Razi Allahu Anhum ke ahle bait mein honey ke bayaan waali ek hadees Umar bin Abi Salma Razi Allahu Anha (Tirmizi: 3787 Wa Sanadahu Hasan) se bhi marwi hai, Sayyidah Umme Salma Razi Allahu Anha ki ek riwayat mein aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne Umme Salma ko farmaaya: ﴾أنت من أهلي﴿ Tu meri ahl (bait) se hai. (Mushkil ul Aasaar Lit Tahaawi/Tohfat ul Akhyar: 8/471 Hadees 6147 Wa Sanadahu Hasan)

Mukhtasar yeh ke Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu, Sayyiduna Hasan Razi Allahu Anhu aur Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu ka ahle bait mein se hona sahih qatyi dalaayil mein se hai, is ke bawajood baaz bad-naseeb hazraat naasbiyat ka jhanda utthaye huwey yeh keh deyte hain ke "yeh ahle bait mein se nahi hain."!!!

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

الحسن والحسين سيدا شباب أهل الجنة

"Hasan aur Husain jannat ke naujawaano ke sardaar hain."

(Musnad Ahmed 3/3 Hadees 10999 An Abi Sayeed al-Khudri Razi Allahu Anhu Wa Sanadahu Sahih, an-Nasaayi Fil Kubraa: 8525 Wa Fi Khasaais Ali: 140)

Sayyiduna Huzaifah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: us faristey ne mujhe khushkhabri di ke:

﴿وأن الحسن والحسين سيّد شباب أهل الجنة﴾

"Aur beshak Hasan o Husain (Razi Allahu Anhuma) ahle jannat ke naujawaano ke sardaar hain."

(Tirmizi: 3781 Wa Isnaadahu Hasan, Wa Qaal al-Tirmizi: "Hasan Ghareeb" Wa Sahhaha Ibne Hibbaan, al-Mawaarid: 2229 Wa Ibne Khuzaimah: 1194 Waz Zehbi Fi Talkhees ul-Mustadrak 3/381)

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

الحسن والحسين سيدا شباب أهل الجنة وأبوهما خيرمنهما

"Hasan aur Husain ahle jannat ke naujawaano ke sardaar hain aur inke abaa (Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu) in dono se behtar hain."

(al-Mustadrak Lil Haakim: 3/167 Hadees 4779 Wa Sanadahu Hasan, Wa Sahhahul Haakim Wa Wafaqahuz Zehbi)

﴿سـيـدا شـبـاب أهـل الـجـنـة﴾

waali hadees mutawaatir hai.

(Nazmu al-Mutanasir Min al Hadees al-Mutawaatir Page 207 Hadees: 235, Qatf ul-Azhaar al-Mutanasir Fil-Akhbaar al-Mutawatir Lis Suyuti Page 286, Hadees: 105, Laqat al-Laali al-Mutanasir Fil Ahadees al-Mutawaatir Liz Zabidi Page 149 Hadees 45)

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

هذان ابناي وابنا ابنتي، اللهم إنّي أحبهما فأحبهما وأحبّ من يحبّهما

"Yeh dono (Hasan o Husain) mere bete aur nawase hain, Aye Mere Allah! main inse muhabbat karta hon tu bhi in dono se muhabbat kar aur jo inse muhabbat karey tu us se muhabbat kar."

(Tirmizi: 3769 Wa Sanadahu Hasan Wa Qaal "Haza Hadees Hasan Ghareeb")

فیه موسیٰ بن یعقوب الزمعی حسن الحدیث وثقه الجمهور

'Ataa bin Yasaar (tabaayi) Rahimahullah bayaan kartey hain ke unhen ek aadmi (Sahabi) ne bataya: unhon ne dekha ke Nabi ﷺ Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhuma) ko seeney se laga kar farmaaya tha:

اللهم إني أحبهما فأحبهما

"Aye Allah! main in dono se muhabbat karta hon tu (bhi) in dono se muhabbat kar."

(Musnad Ahmed: 5/369 Hadees 23133 Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

أحبو الله لما يغذوكم من نعمه، وأحبوني بحب الله، وأحبوا أهل بيتي لحبي

"Allah tumhen jo nematen khilaata hai un ki wajah se Allah se muhabbat karo, Allah ki muhabbat ki wajah se mujh se muhabbat karo, aur meri muhabbat ki wajah se mere ahle bait se muhabbat karo."

(Tirmizi: 3789 Wa Sanadahu Hasan Wa Qalal Tirmizi "Hasan Ghareeb" Wa Sahhahul Haakim 3/150 Hadees 4716 Wa Wafaqahuz Zehbi Wa Qalal Mizzi "Haza Hadees Hasan Ghareeb" Tehzeeb ul Kamaal 10/199)

عبداللہ بن سلیمان النوفلی وثقه الترمذی والحاکم والذهبی فھو حسن الحدیث

Sayyiduna al-Imam Abu Bakr as-Siddiq Razi Allahu Anhu ne farmaaya:

ارقبوا محمدًا ﷺ في أھل بیته

"Muhammad ﷺ ke ahle bait (se muhabbat) mein aap ki muhabbat talaash karo."

(Sahih Bukhari: 3751)

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

من أحبھما فقد أحبني ومن أبغضھما فقد أبغضني

"Jis shaksh ne in (Hasan aur Husain Razi Allahu Anhuma) se muhabbat ki yaqeenan us ne mujh se muhabbat ki aur jisne in dono se bughz kiya tou yaqeenan us ne mujh se bughz kiya."

(Musnad Ahmed: 2/440 Hadees 9673 Wa Fazaayil as-Sahabah Li Ahmed: 1376 Wa Sanadahu Hasan, Wa Sahhahul Haakim 3/166 Hadees 4777 Wa Wafaqahuz Zehbi)

عبدالرحمٰن بن مسعود الیشکری وثقه ابن حبان ٥/١٠٦، والحاکم والذهبی وقال الهیثمی فی مجمع الزوائد ٥/٢٤٠، ’’وھو ثقة‘‘ فحدیثه لا ینزل عن درجة الحسن

Is riwayat ko doosri jagah Hafiz Zehbi ne qawi qaraar diya hai. (Dekhe Tareekh ul Islam 5/95 Wa Qaal: "Wa Fil Musnad Bi-Isnaad Qawi")

Ek dafah Nabi ﷺ khutba dey rahey thhey ke Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhuma) tashreef ley aaye tou aap minbar se utar gaye aur unhen pakad kar apne saamney ley aaye, phir khutba shuru kar diya." (Tirmizi: 3774 Wa Sanadahu Hasan, Abu Dawood: 1109, Nasaayi: 3/108 Hadees 1414, Wa Qalal Tirmiz: "Haza Hadees Hasan Ghareeb" Wa Sahhahul Tabri Fi Tafseer 28/81 Wa Ibne Kuzaimah: 1456,1801 Wa Ibne Hibbaan, Mawarid uz-Zamaan: 2230 Wal Haakim 1/287, 4/189 Wa Wafaqahuz Zehbi, Wa Qalal Zehbi Fi Tareekh ul Islam 5/97 "Isnaadahu Hasan")

Amr bin al-'Aas Razi Allahu Anhu Ka'bey ke saaye taley baithey huwe thhey ke Husain bin Ali Razi Allahu Anhu ko aatey huwe dekha tou unhon ne farmaaya:

ھذا أحب أھل الأرض إلٰی أھل السماء الیوم

"Yeh shaksh aaj aasmaan waalon ke nazdeek zameen waalon mein sab se ziyadah mehboob hai."

(Tareekh e Damishq; 14/181 Wa Sanadahu Hasan)

یونس بن ابی اسحاق برئ من التدلیس کما فی الفتح المبین فی تحقیق طبقات المدلسین ٢/٦٦ ص ٤٨


Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah

Tehqeeq wa Taqreej: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.26, Safa no.26 aur Shumara no.27, Safa no.26]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023