Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ

Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Seerat E Rahmatullil 'Alameen Ke Chand Pehlou! (Nabi E Kareem ﷺ Ke Bareme Mukhtasar Halaat E Zindagi)

NAAM WA NASAB:

Sayyiduna Abu Qasim Muhammad bin Abdullah bin Abdul Mutallib (Shaibah) bin Hashim (Amr) bin Abdi Manaaf (al-Mughairah) bin Qusai (Zaid) bin Kilaab bin Murrah bin K'ab bin Luayi bin Ghalib bin Fehr bin Malik bin Nazar bin Kinanah bin Khuzaimah bin Mudrikah ('Aamir) bin Ilyaas bin Muzar bin Nizaar bin Ma'ad bin Adnaan, Ismail bin Ibraheem Khaleelullah (Alaihimas Salaatu Was Salaam) ki aulaad mein se.

Aap ki walidah ka naam Aamina binte Wahab bin Abdi Manaaf bin Zuhrah bin Kilaab bin Murrah hai.

WILADAT:

Mahe Rabiul Awal (571 eswi) baroz e saumwar (jis saal abraha kafir ne apne haathi ke sath makkah par hamla kiya tha aur Allah ne usey uski fauj sameet tabah kar diya tha) aap ki wiladat huwi.

Aap ke waalid Abdullah aap ki paidaish se taqreeban mahina ya do mahine pehle faot huwe, (Dekhe: as-Seeratun Nabawiyah Lil Zehbi, Page 49) aur jab aap saat saal ke huwe tou aap ki walidah faot ho gayen phir aap ke dada Abdul Mutallib ne aap ki parwarish ki aur jab aap aath saal ke huwe tou Abdul Mutallib bhi faot ho gaye, un ki wafaat ke b'ad aap ke chacha Abu Taalib ne aap ko apni kifaalat mein ley liya.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

دعوة أبي إبراهيم و بشارة عيسى بي و رؤيا أمي التي رأت

"Main apne aaba (dada) Ibraheem (alaihis salaam) ki dua aur (bhai) Esa (alaihis salaam) ki basharat (khush khabri) hon aur apne maa ka khawab hon jise unhon ne dekha tha."

(Musnad Ahmed: 4/127, Hadees 17150, Wa Sanadahu Hasan Li Zaatihi)

HULIYAH MUBARAK:

Aap ﷺ ka chehra chand jaisa (khoobsurat, surkhi maayil safeed aur pur noor) tha, aap ka qad darmiyaana tha aur aap ke sar ke baal kaano ya shaano tak pohanchtey thhey.

NIKAH:

Sayyidah Khadijah binte Khuwaylid bin Asad bin Abdul Uzzah bin Qusai Razi Allahu Anha se aap ki shadi huwi aur jab tak Khadijah Razi Allahu Anha zinda rahen aap ne doosri shadi nahi ki.

AULAAD:

Qasim, Tayyab, Taahir (aur Ibraheem) Razi Allahu Anhum

BANAAT:

Ruqiyah, Zainab, Umme Kulsum aur Fatima Razi Allahu Anhunna.

PEHLI WAHI:

Ghaar E Hira mein Jibreel E Ameen Alaihis Salaam tashreef laaye aur Surah al-'Alaq ki pehli teen aayaat ki wahi aap ke paas laaye. 610 eswi (us waqt aap ki umar chalees saal thi)

'AAM UL HUZN:

Hijrat E Madinah se teen saal qabl Abu Taalib aur Sayyidah Khadijah Razi Allahu Anha faot ho gaye.

HIJRAT:

622 eswi mein aap apne azeem saathi Sayyiduna Abu Bakr as-Siddieeq Razi Allahu Anhu ko ley kar Makkah se hijrat kar ke Madinah Tayyaba tashreef ley gaye.

MAKKI DAUR:

Rasoolullah ﷺ nabuwat ke b'ad Makkah mein terah(13) saal rahey.

MADNI DAUR:

Aap ﷺ hijrat ke b'ad Madinah mein dus(10) saal rahey aur phir wafaat ke b'ad Ar-Rafiq al-A'ala ke paas tashreef ley gaye.

GAZWA E BADR:

2 hijri ko badr Islam aur kufr ka pehla bada ma'rakah huwa jis mein abu jahl maara gaya.

GAZWA E UHAD:

3 hijri, is gazwey mein sattar ke qareeb Sahaba E Kiraam maslan Sayyiduna Hamzah bin Abdul Mutallib Razi Allahu Anhu shaheed huwe aur Rasoolullah ﷺ zakhmi huwe.

GHAZWA E KHANDAQ:

5 hijri (ahzaab e kuffaar ne Madinah par hamla kiya aur na kaam wapas gaye.

SULAH HUDAIBIYAH:

6 hijri, iska zikr Qur'an E Majeed mein bhi hai.

GHAZWA E KHAIBAR:

7 hijri, khaibar fateh huwa.

FATEH MAKKAH:

8 hijri, Makkah fateh huwa aur Rasoolullah ﷺ ne Ahle Makkah ko mu'aaf kar diya. is saal ghazwa e hunain bhi huwa tha.

GHAZWA E TABOOK:

9 hijri

HAJJATUL WIDAA':

10 hijri

DAWAT:

Qur'an, Hadees, Tawheed aur Sunnat aap ki dawat hai, aap ne logon ko shirk wa kufr ke ghata-toap andheron se nikaal kar Tawheed wa Sunnat ke noraani raastey par gaamzan kar diya.

Aap ﷺ ne farmaaya:

"Musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karta hai aur na us par zulm honey deyta hai."

(Sahih Bukhari: 2442, Muslim: 2580)

AKHLAAQ:

Aap ﷺ akhlaaq ke sab se a'ala darje par faayiz thhey

Irshaad E Bari Ta'ala hai:

وإنـك لـعـلى خـلـق عــظيــم

"Aur aap 'azeem akhlaaq par hain."

(Surah al-Qalam: 4)

Aap ﷺ ne farmaaya:

أكمل المؤمنين إيمانًا احسنهم خلقًا وخياركم خياركم لنسائهم خلقًا

"Momino mein mukammal emaan waaley wo hain jin ke akhlaaq achchey hain aur tum mein se behtareen log wo hain jo apni auraton se achchey akhlaaq ke sath paish aatey hain."

(Sunan Tirmizi: 1162, Wa Qaal Haza Hadees Hasan Sahih)

MU'ALLIM E INSAANIYAT: Ek Sahabi Razi Allahu Anhu farmaatey hain: maine Aap ﷺ se behtareen mu'allim (ustaaz) achchey tareeqe se taleem deney waala koi nahi dekha, na pehle aur na b'ad, Allah ki qasam! aap ne mujhe na daanta, na maara aur na bura bhala kaha." (Sahih Muslim: 537)

MU'AAMALAAT: Aap ﷺ ne farmaaya:

إن خـيـاركـم احـسـنـكـم قـضـاء

"Tum mein se behtareen log wo hain jo behtar tareeqe se qarz ada karen."

(Sahih Bukhari: 2305, Muslim: 1601)

Neez farmaaya:

دع ما يريبك إلى ما لا يريبك فإن الصدق طمأنينة وإن الكذب ريبة

"Shak waali cheez ko chhor do aur yaqeen waali cheez ko ikhtiyaar karo kiyunke yaqeenan sachchayi itminaan hai aur jhoot shak wa shubah hai."

(Sunan Tirmizi: 2518, Wa Qaal: Haza Hadees Sahih)

Nabi ﷺ ne kabhi kisi khaney mein naqs nahi nikaala, agar pasand farmaatey tou kha letey aur agar pasand na farmaatey tou chhor detey thhey. (Sahih Bukhari: 5409)

WAFAAT:

11 hijri baroz saumwar, mahe rabiul awal mein Rasoolullah ﷺ khataman nabiyeen wa rahmatullil aalameen is duniya se tashreef ley gaye, us waqt aap ki umar mubarak 63 saal thi...

صلى الله عليه و آله وأصحابه وأزواجه وسلم


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.63, Safa no.34-36]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023