Dua Ke Fazail Wa Masail

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Dua Ka Lafzi Maana Pukarna Aur Bulana Hai.

1). Irshad Baari Ta'ala Hai:

﴿وَ قَالَ رَبُّکُمُ ادْعُوْنِیؔ اَسْتَجِبْ لَکُمْ - اِنَّ الَّذِیْنَ یَسْتَکْبِرُوْنَ عَنْ عِبَادَتِیْ سَیَدْخُلُوْنَ جَھَنَّمَ دٰخِرِیْنَ﴾

“Aur Tumahre Rab Ne Kaha: Mujhse Dua Maango Mai'n Tumhari Dua Qubool Karunga, Be'shak Jo Log Meri Ibadat (Dua) Se Takabbur Karte Hai'n Toh Woh Zaleel Wa Ruswa Hokar Jahannam Me Dakhil Honge.”

[Sureh Mominoon: #60]

Allah Ta'ala Ne Farmaya:

﴿اُجِیْبُ دَعْوَۃَ الدَّاعِ اِذَا دَعَانِ فَلْیَسْتَجِیْبُوْا لِیْ﴾

“Jab Dua Karne Wala Dua Karta Hai Toh Mai'n Uski Dua Qubool Karta Hun, Lihaza Mujh Se Hi Dua Maango.”

[Sureh Baqarah: #186]

Rasool Allahﷺ Ne Farmaya:

"الدعاء هي العبادة"

“Dua Ibadat Hi Hai.”

[Sunan Abu Dawood: #1479, Wa Sanad Sahih Wa Sahaha-At-Tirmidhi #2969]

Rasool Allahﷺ Ne Farmaya:

"إذا سألت فاسأل وإذا استعنت فاستعن بالله"

“Jab Tu Suwaal Kare Toh Allah Se Suwaal Kar (Yaani Allah Se Dua Maang) Aur Jab Madad Maange Toh Allah Se Madad Maang.”

[Sunan Tirmidhi: #2516, Wa Sanad: Hasan]

Rasool Allahﷺ Ne Farmaya:

“Tum Me Se Har Aadmi Apne Rab Se Hi Har Haajat (Dua) Maange, Hatta Ke Jute Ka Tasmah Agar Toot Jaye Toh Woh Bhi Allah Se Hi Maange.”

[Sunan Tirmidhi: 3604/8 Wa Sanad: Hasan]

Sabit Hua Ki Apni Tamaam Musibato'n, Bimariyo'n Zaroorato'n Aur Haajaat Me Sirf Allah Se Hi Dua Mangni Chahiye.

2). Rasool Allahﷺ Ne Farmaya:

“Jo Muslim (Musalman Dua Karta Hai, Jis Me Gunah Ya Qata Rahmi Nahi Hoti Toh Use Teen Cheeze Di Jaati Hai'n:

1- Ya Toh Uski Dua Jaldi Qubool Karli Jati Hai.

2- Ya Uski Dua Ko Uske Liye Qayamat Ka Zakheera Bana Diya Jata Hai.

3- Ya Usse Kisi Musibat Ko Taal Diya Jata Hai.

[Al Adab-Ul-Mufrad Li Bukhari: #710 Wa Sanad: Hasan]

3).Allah Ta'ala Ki Hamd Wa Sana Aur Nabiﷺ Par Durood Padhne Ke Baad Maangi Hui Dua Qubool Hoti Hai.

Dekhiye Sunan Tirmidhi: (#593 Wa Qala: "Hasan Sahih" Wa Sanad Hasan, Meri Kitab: Fazail Durood Wa Salam, Safa: 28]

4).Dua Me Haath Uthana Yaani Haath Utha Kar Dua Mangna Bahut Si Sahih Ahadith Se Sabit Hai.

Maslan Dekhiye Sahih Bukhari (#4323, 4339, 6341) Wa Sahih Muslim (2498) Waghairahuma.

5). Dua Me Chehre Par Haath Pherna Bilkul Sahih Hai.

Siqah Tabaee Imam Abu Noaim Wahab Bim Kaisaan Ne Farmaya:

Maine (Sayyeduna) Ibn Umar Aur Ibn Zubair (Razi Allahu Anhuma) Ko Dekha, Woh Dono Dua Karte, Apni Dono Hatheliya'n Apne Chehro'n Par Pherte The.

[Al Adab-Ul-Mufrad: #609 Wa Sanad: Hasan, Meri Kitab: Hadyatul Muslimeen: #22]

Is Riwayat Par Baaz-Un-Naas Ki Jarah Jamhoor Ki Taoseeq Ke Khilaf Hone Ki Wajah Se Mardood Hai.

Imam Mamar Ibn Rashid R.h (Death: 154 A.h) Dua Me Seene Tak Haath Uthate Aur Phir Apne Chehre Par Pherte The. [Musannaf Ibn Abdur'razzaq #5003, Wa Sanad Sahih]

Imam Ishaq Bin Rahwey In Ahadith (Jinme Par Chehre Par Haath Pherne Ka Zikr Hai) Par Amal Karna Mustahsin Samjhte The. [Mukhtasar Qiyam-Ul-Lail Li Marwazi, Safa: 304]

6). Raat Ke Akhiri Hisse Me Dua Qubool Ki Jati Hai Hai. Dekhiye Sahih Bukhari (1145) Wa sahih Muslim (758)

Rasool Allahﷺ Ne Farmaya:

"Azaan Aur Iqamat Ke Daoraan Me Dua Rad Nahi Hoti, Lihaza Dua Mango."

[Sahih Ibn Khuzaimah: #427, Wa Sanad: Sahih]

Bandah Jab Sajde Me Ho To Woh Apne Rab Ke Bahut Qareeb Hota Hai, Lihaza Sajdah Me Kasrat Se Dua Maange. (Dekhiye Sahih Muslim: #482)

Jumah Ke Din Khutbe Se Namaz Ke Ikhtitaam Tak Ke Darmiyani Waqt Me Dua Qubool Hoti Hai. (Dekhiye Sahih Muslim: 853)

Jumah Ke Din Aakhiri Ghadi (Yaani Asar Ke Baad Maghrib Tak) Me Dua Qubool Hoti Hai. Dekhiye Muwatta Imam Malik (Bi'tahqeeq 1/108-109 H. #239, Wa Riwayah Ibn Qasim H. 515) Sunan Abi Dawood (1046) Aur Sunan At-Tirmidhi (491 Wa Qala: "Hasan Sahih")


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Muhammad Huzaifah

Asal Mazmoon Ke Liye Dekhiye Tahqeeq Wa Ilmi Maqalat (J-4, S-567 Ta 569) Li Sheikh Hafiz Zubair Ali Rahima'hullah.

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023