Usoole Deen


Imam Abu Muhammad Abdurrahman Bin Abi Hatim Al-Razi Rahimahullah (Mutawaffa-327H) Ki Kitab "Usulussunnah wa A'eteqaduddin" Ka Urdu Tarjumah Ba Naam "Usoole Deen".

أبو محمد عبد الرحمن بن أبي حا تم قال: سألت أبي وأبا زرعة رضي الله عنهما، عن مذاهب أهل [السنة] في أصول الدين، وما أدركا عليه العلماء في جميع الأمصار، وما يعتقدان من ذلك، فقالا: أدركنا العلماء في جميع الأمصار حجازاً وعراقاً ومصراً وشاماً ويمناً، فكان من مذهبهم:

Imam Abu Muhammad Abdul Rahman bin Abu Hatim Ar-Raazi Rahimahullah ne farmaya: Maine apne walid (Abu hatim Ar raazi Mutawaffa-277H) aur Abu Zur'a (Ar-Raazi Mutawaffa-264H) Rahimahumullah se usoole deen me mazahibe Ahle sunnat ke baare mein pucha aur (ye ke) inhone tamaam shehron ke ulama (A'imma) ko kis (Aqeedeh) par paya hai aur aap dono ka kya aqeedah hai?

To unhone jawab diya: hum ne hijaz , iraq, misar, shaam aur yaman ke tamaam shehron mein ulama ko is (darj zail) mazhab par paya:

  • أن الإيمان قول وعمل، يزيد وينقص.

    "Beshak iman qaul wo amal (ka naam) hai (aur ye) zyada hota hai aur kam hota hai,

  • والقرآن کلام الله غير مخلوق بجميع جهاته.

    "Qu'ran har lehaz se Allah ka kalam hai, makhlooq nahi hai,

  • والقدر خيره وشره من الله [عزوجل].

    "Achi aur buri taqdeer, Allah ki taraf se hai",

  • وخير هذه الأمة بعد نبيها أبو بكر الصديق، ثم عمر بن الخطاب، ثم عثمان بن عفان، ثم علي بن أبي طالب رضي الله عنهم، وهم الخلفاء الراشدون المهديون.

    "Nabi (Sallallahu A'laihi wasallam) ke baad is ummat me sab se behtar Abu bakr siddiq hai, phir Umar bin khattab, phir Usman bin Affan, phir Ali bin Abi Talib (Razi'Allahu anhum) aur yahi khulafa-e-Rashideen Mahdiyyeen hai",

  • وأن العشرة الذين سماهم رسول الله صلى الله عليه [وسلم] وشهد لهم بالجنة على ما شهد به، وقوله الحق.

    "Ashrah (Mubasharah) jin ke baare mein Rasoolullah (sallallahu A'laihi wasallam) ne jannati hone ki gawahi di hai (hamare nazdeek) wo jannati hai aur Aap (sallallahu A'lahi wasallam) ki baath haq hai",

  • والترحم علیٰ جميع اُصحاب محمد صلی الله عليه [وعلی آله] والكف عما شجر بينهم.

    " Muhammad (Sallallahu A'laihi wassalam) ke tamam sahaba ke baare Mein Rahmat ki Dua Maangni chahiye aur inke darmiyan jo ekhtelafaath they unke bare mein sukoot (khamoshi ekhtiyar) karna chahiye",

  • وأن الله عزوجل علیٰ عرشه بائن من خلقه، كما وصف نفسه في كتابه وعلى لسان رسوله [صلي الله عليه وسلم] بلا كيف، أحاط بكل شيءٍ علماً، ليس كمثله شيء وهو السميع البصير.

    "Allah ta'ala Apne Arsh par baghair (Sawal) Kaifiyat (Mustawi) hai, apni makhlooq se (ba lehaze zaat) juda hai, jaisa ke usne apni kitab (Qura'n-e-Majeed) mein aur Rasoolullah (Sallallahu A'laihi wassallam) ki zuban (Mubarak par) bayan farmaya hai. Us ne har cheez ko ilm se gheir rakha hai, uski Misal koi cheez nahi aur wo sunne aur dekhne wala hai",

  • والله تبارك وتعالیٰ يری في الآخرة ويراه أهل الجنة بأبصارهم، كلامه كيف شاء وکما شاء.

    ''Allah ta'ala Aakhirat mein Nazar Aayega, Jannati log use apni Aankho se dekhenge (usi ka) kalam hai jaise chahe aur jab chahe",

  • والجنة [حق] والنار حق، وهما مخلوقتان [لا يفنيان أبدا]، فالجنة ثواب لأوليائه، والنار عقاب لأهل معصيته إلا من رحم.

    "Jannat haq hai, Jahannum haq hai aur ye donon Allah ki makhlooq hai, kabhi fana Na hongi, Allah ke dosto ke liye Jannat ka badla hai aur uske Nafarmanon ke liye Jahannum ka Azab hai, Siwaye unke jin par wo (Allah) Rahem kare",

  • والصراط حق.

    "(Pull) Sirath haq hai",

  • والميزان [الذي] له كفتان يوزن فيه أعمال العباد حسنها وسيئها حق.

    "Meezaan (Tarazu) ke do (2) pardle hai, jin me bandon ke Ache aur bure A'maal tole Jayenge",

  • والحوض المکرم به نبينا صلي الله عليه [وسلم وعلي آله] حق، والشفاعة حق.

    "Nabi (Sallallahu A'laihi wassallam) ka Hauze Kausar Haq hai, aur shifa'at haq hai",

  • وأن ناساً من أهل التوحيد يخرجون من النار بالشفاعة حق.

    "Ahle Tauheed (Musalmano) mein se (ba'z) logo ka (Aap Sallallahu A'laihi wassallam ki) shifa'at ke zariye se (Jahannum ki) Aag se Nikalna Haq hai"

  • وعذاب القبر حق.

    "Azab-e-Qabr Haq Hai",

  • ومنكر ونكير [حق].

    "Munkir-o-Nakeer (Qabr mein sawal o Jawab wale Farishte) Haq hai",

  • والكرام الكاتبون حق.

    "Kiraman katibeen (A'maal Likhne wale Farishte) Haq Hai",

  • والبعث من بعد الموت حق.

    "Mout ke baad Dobara Zinda Hona Haq Hai",

  • وأهل الکبائر فی مشيئة الله عزوجل، لا نكفر، أهل القبلة بذنوبهم، ونكل سرائرهم إلی الله عزوجل.

    "Kabeera Gunah karne walon ka muamla Allah ki Mashiyat (aur Iraade) par hai (chahe toh Azab de, chahe toh Bakhsh de) hum Ahle Qibla (Musalmano) ke Gunahon ki wajah se unki takfeer nahi karte, ham unka muamla Allah ke supurd karte hai",

  • ونقيم فرض الجهاد والحج مع أئمة المسلمين في كل دهر وزمان.

    "Har Zamane (aur elakhe) mein hum Musalman hukumranon ke saath Jihad aur Hajj ki Farziyat par Amal paira hai",

  • ولا نری الخروج على الأئمة ولا القتال فى الفتنة.

    "Hum (Musalman) hukumranon ke khilaf baghawat ke qayel nahi hai aur Na Fitne (ke daur) Mein (Ek Dusre se) qitaal ke khayel hai",

  • ونسمع ونطيع لمن ولاه (الله أمرنا) ولا ننزع يداً من طاعة.

    "Allah ne jise hamara Hakim Banaya hai, Hum uski Sunte hai aur Ita'at Karte hai aur Ita'at se apna Haath nahi kheenchte",

  • ونتبع السنة والجماعة، ونجتنب الشذوذ والخلاف والفرقة.

    "Hum (Ahle) Sunnat Wal Jama'th (ke Ijma) ki pairwi karte hai, aur shuzooz, ekhtelaf aur Firqa Bazi se Ijtenab karte hai",

  • وأن الجهاد ماضٍ منذ بعث الله [عزوجل] نبيه صلى الله عليه [وسلم] إلیٰ قيام الساعة مع أولى الأمر من أئمة المسلمين، لا يبطله شيء.

    "Jab se Allah Ta'ala ne apne Nabi (Sallallahu A'laihi wasallam) ko (Nabi-o-Rasool bana kar) Mab'oos Farmaya hai, Musalman Hukumranon ke saath milkar (Kafiron ke Khilaaf) Jihad jaari rahega. Use koi cheez Baatil nahi karegi (yani Jihaad hamesha jaari rahega)",

  • والحج كذلك.

    "Aur yahi Muamla Hajj ka (bhi) hai",

  • ودفع الصدقات من السوائم إلی أولی الأمر من [أئمة] المسلمين.

    "Musalman Hukmuranon ke paas Janwaron (aur Bakriyon) ke sadakhat (Zakaat, A'shr) Jama karaye jayenge",

  • والناس مؤمنون في أحکامهم ومواريثهم، ولايدرى ما هم عند الله [عزوجل] فمن قال: إنه مؤمن حقاً فهو مبتدع ومن قال: هو مؤمن عند اللّه فهو من الکاذبين ومن قال: إنی مؤمن باللّه فهو مصيب.

    "Log apne ehkam aur Wirasat mein Mo'min hai aur Allah ke haan unka kia Mukham hai Ma'loom nahi, Jo Shakhs apne baare mein kahta hai ke wo yaqeenan Mo'min hai toh wo Shakhs Bid'ati hai aur jo shakhs ye Dawa karta hai ke wo Allah ke haan (bhi) momin hai toh aisa Shakhs jhuton mein se hai,

    Aur jo ye kehta hai ke mai Allah ke saath Momin (yaani Allah par Emaan Rakhta) hun toh ye Shakhs Musayyib (Saheeh) hai",

  • والمرجئة مبتدعة ضلال.

    "Murjiyah Bid'ati Gumrah hai",

  • والقدرية مبتدعة ضلال، ومن أنكر منهم أن الله [عزوجل] يعلم ما يكون قبل أن يكون فهو كافر.

    "Qadriya (Taqdeer ka Inkaar karne waale) Bid'ati Gumrah hai aur inme se Jo Shakhs ye dawa kare ke Allah Ta'ala kisi kaam ke hone se pahle Uska ilm nahi rakhta toh aisa Shakhs Kafir hai",

  • وأن الجهمية كفار.

    "Jahmiyah Kuffar hai",

  • و[أن] الرافضة رفضوا الإسلام.

    "Rafziyon Ne Islam Chodh diya hai",

  • والخوارج مراق.

    "Khawarij (Deen se) Nikle hue hai",

  • ومن زعم أن القرآن مخلوق فهو کافر [بالله العظيم] کفراً ينقل عن الملة ومن شك في كفره ممن يفهم فهو كافر.

    "Jo Shakhs ye Kahta hai ke Qura'n Makhlooq hai to wo Kafir hai, Millat (Islamia) se Kharij hai Aur jo Shakhs soojh bhoojh (iqamate Hujjat) ke bawajood is Shakhs ke Kufr me Shak kare to wo (bhi) Kafir hai",

  • ومن شك في كلام الله [عزوجل] فوقف شاکاً فيه يقول: لاأدري مخلوق أو غير مخلوق فهو جهمي.

    "Jo Shakhs Allah ke Kalam ke Baare mein Shak karte hue tawaqquf kare aur kahe ke mujhe pata Nahi ke Makhlooq hai ya ghair Makhlooq to aisa Shakhs Jahmi (Bid'ati Gumrah) hai",

  • ومن وقف فى القرآن جاهلاً علم وبدع ولم يکفر.

    "Jo Jahil Shakhs Qura'n ke Baare me Tawaqquf kare toh use Samjhaya jayega, use Bid'ati Samjha jayega aur uski Takfeer nahi ki jayegi",

  • ومن قال لفظي بالقرآن مخلوق، أو القرآن بلفظي مخلوق فهو جهمي.

    "Jo Shakhs Lafzi Bil Qura'n (mere Alfaaz jin se main Qura'n padta hun) ya Al- Qura'n bi Lafzi Makhlooq (Qura'n Mere Alfaaz ke Saath Makhlooq) kahe toh wo Jehmi (Gumrah) hai",

  • [قال الشيخ أبو طالب: قال إبراهيم بن عمر: قال علي بن عبد العزيز] قال أبو محمد: وسمعت أبي رضي الله عنه يقول:

    علامة أهل البدع: الوقيعة في أهل الأثر.

    Abu Hatim Raazi Ne Farmaya:

    "Ahle bid'at ki ye A'lamat hai ke wo Ahle A'sr

    (Ahle Hadees) par Hamla karte hai",

  • وعلامة الزنادقة، تسميتهم أهل / الأثر حشوية، يريدون إبطال الآثار.

    "Zanadiqah (be deen, gumrah) ki A'lamat ye hai ke wo Ahle Hadees ko Hashwiya (Zahir parast firqa) Kehte hai, Isse inka Maqsood Ahadees ka inkar hai",

  • وعلامة الجهمية، تسميتهم أهل السنة مشبهة.

    "Jahmiyah ki A'lamat ye hai ke wo Ahle Sunnat (Ahle Hadees) ko 'Mushabbaha' (yani Ek Gumrah Firqa jo Khaliq ko Makhlooq se Tashbeeh deta hai) Kehte hai",

  • وعلامة القدرية: تسميتهم أهل السنة مجبرة.

    "Qadriya (taqdeer ka inkar karne waalon) ki A'lamat ye hai ke wo Ahle Sunnat ko 'Mujhbirah' (yani wo gumrah firqa jis ka nazariya hai ke Insan se jo fa'il (Kaam) Sadir hota hai, wo ekhtiyari nahi balke wo iske karne par Majboor hai) Kehte hai",

  • وعلامة المرجئة: تسميتهم أهل السنة مخالفة ونقصانية.

    "Murjiyah ki (Ek) A'lamat ye hai ke wo Ahle Sunnat (Ahlul hadees) ko 'Mukhalifah' aur 'Nukhsaniyah' Kehte hai",

  • وعلامة الرافضية: تسميتهم أهل السنة ثانية.

    "Rafziyah ki A'lamat ye hai ke wo Ahle Sunnat ko Saniya (Nabeta,Nasbiyah (jo ek gumrah hai)) kehte hai",

  • وظل هذا أمر عصبات معصيات]، ولا يلحق أهل السنة إلا اسم واحد ويستحيل أن يجمعهم هذه الاُسامی.

    "In Tamam (bure Namon) ki Bunyad (Bid'aat) ta'ssub aur Ma'asiyyat par hai, Ahle Sunnat ka Ek hi Naam hai aur ye Mahaal hai ke unke Bahut se (khud Sakhta) Naam Ekhatte hojaye",

  • حدثنا أبو محمد، قال: [و] سمعت أبي وأبا زرعة يهجران أهل الزيغ والبدع، ويغلطان رأيهما أشد تغليط وينكران وضع الكتاب بالرأي بغير آثار، وينهيان عن مجالسة أهل الكلام وعن النظر في كتب المتكلمين، ويقولان: لا يفلح صاحب كلامٍ أبداً. [انتهي الرسالة].

    "(Imam) Abu Hatim aur (Imam) Abu Zur'a (Rahimahumullahum) dono Gumrahon aur Bid'a'tiyon se hejr (boycott) karte the, aur unki (ghalat) aara ka Shadeed Radd karte the. Ahadees ke baghair Raay wali Kitabe likhne ki pur zoor tardeed karte the, Ahle Kalam (Mantiq wo falsafe walo) ki Majlis aur mutakallimeen ki kitabe Dekhne se (bhi) Mana karte they aur Kahte ke Sahibe Kalam kabhi Falah nahi pata (illa ye ke Marne se pehle Tauba karle)".


Translated By: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Hafiz Muhammad Shahed Hyderabadi

[Ye Mazmoon Allama Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah Ki Kitab "Tahqeeqi, Islahi aur Ilmi Maqalath" Jild no.2 safa no.17-24 Se Liya Gaya Hai.]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023