Kalima Tayyiba ka Sabooth

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Sawal:

Kyaa Kalima Tayyiba "Laa ilaaha illallaah Muhammadur Rasoolullah" ka Sabooth kisi SAHEEH Hadees mein MiLta hai??

AL jawab:

imaam Abu Bakr Ahmed bin AL Hussain AL Baihaqi Rahimahullah (Mutawaffa : 458 Hijj) ne Farmaya:

’’أخبرنا أبو عبداللہ الحافظ: ثنا أبو العباس محمد بن یعقوب: ثنا محمد ابن إسحاق: ثنا یحیی بن صالح الوحاظي: ثنا إسحاق بن یحیی الکلبي: ثنا الزھري: حدثني سعید بن المسیب أن أبا ھریرۃ رضي اللہ عنہ عن النبي ﷺ قال: ((أنزل اللہ تعالٰی في کتابہ فذکر قومًا استکبروا فقال: ﴿اِنَّھُمْ کَانُوْآ اِذَا قِیْلَ لَھُمْ لَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللہُ یَسْتَکْبِرُوْنَ﴾ وقال تعالٰی: ﴿اِذْ جَعَلَ الَّذِیْنَ کَفَرُوْا فِیْ قُلُوْبِھِمُ الْحَمِیَّۃَ حَمِیَّۃَ الْجَاھِلِیَّۃِ فَاَنْزَلَ اللہُ سَکِیْنَتَہٗ عَلٰی رَسُوْلِہٖ وَعَلَی الْمُؤْمِنِیْنَ وَاَلْزَمَھُمْ کَلِمَۃَ التَّقْوٰی وَکَانُوْآ اَحَقَّ بِھَا وَاَھْلَھَا﴾ وھي: لاإلٰہ إلا اللہ محمد رسول اللہ)) استکبر عنھا المشرکون یوم الحدیبیۃ یوم کاتبھم رسول اللہ ﷺ في قضیۃ المدۃ‘‘

Hamein Abu Abdullah AL Haafiz (imaam Haakim Sahab AL Mustadrak) ne Khabar dee (kaha) : Hamein AbuL Abbas Muhammad bin Yaqoob ne Hadees bayan kee (kaha) : Hamein Muhammad bin ishaaq (bin Ja'afar, Abu Bakr AL Saghaani) ne Hadees bayan kee (kaha) : Hamein Yahiya bin Saaleh AL Wahaazi ne Hadees Bayan kee ( kaha) : Hamein ishaq bin Yahya AL Kilbi ne Hadees bayan ki (kaha) : Hamein (ibn Shihaab) AL Zohri ne Hadees bayan kee (kaha) : Mujhe Saeed bin AL Musayyib ne Hadees Bayan kee, Beshak inhein, Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu ne Nabiﷺ se Hadees Bayan kee, Aapﷺ ne Farmaya : ALLAH TA'ALA ne Apni kitaab mein NaziL farmaya tho Takabbur karne waali Ek Qaum ka zikr kar ke Farmaya : Yaqeenan Jab inhein Laa ilaaha illallaah - لَآ اِلٰہَ اِلاَّ اللہُ Kaha jaata hai tho takabbur karte hain. (Surah AL Saaffat : 37: 35)

Aur ALLAH Ta'ala ne Farmaya : Jab Kufr karne Walon ne Apne DiLon mein Jaahiliyyat waali Zidd Rakhi tho ALLAH Ne apna Sukoon wa itminaan Apne Rasool aur Mominoon Par Utaara aur inke Liye 'Kalimatut Taqwa' ko Laazim Qarar diya aur voh iske Ziyadah Mustahiq aur AhaL Thea. (Surah AL Fath : 26)

Aur voh (Kalimatut Taqwa) LAA iLAAHA iLLALLAAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH hai.

Sulaah Hudaibiyyah waale Din Jab Rasoolullahﷺ ne Muddat (Muqarrar karne) waale Faisle Main Mushrikeen se Muwaahidah kiyaa tho Mushrikon ne iss KaLime se Takabbur kiya thaa.

(Kitaab AL Asmaa Was Sifaat LiL Baihaqi : Safa 105,106 h Doosra Nuskha : Safa 131 - Teesra Nuskha Matboo'A Anwaar Muhammadi Allahabad Ha : 1313, Safa 81, Baab Maa jaa'a Fee FazLuL Kalimatu Fee Akhab ibraheem Alaihis Salam)

iss Riwayat ki Sanad Hasan Liz Zaatihi hai.

Haakim, Asim, Muhammad bin ishaaq AL Masghaani, Zohri aur Saeed bin AL Musayyab Aala Darje ke Siqa Hain.

(1) yahya bin Saaleh AL Wahaazi SAHEEH Bukhari wa SAHEEH Muslim ke Raawi aur Jamhoor Muhaddiseen ke Nazdeek Siqa thae - imaam Abu Haatim Ar Raazi ne Kaha : Sasooq - imaam Yahya bin Maeen ne Kaha : Siqa (AL Jarh Wat TadeeL Li ibn Haatim : 9/158 Wa Sanadahu SAHEEH)

imaam Bukhari Rahimahullah ne Farmaya:

ویحي ثقۃ

Yahya Siqa hain.

( Kitaab AL Zuafa uL Sagheer : 145, Taba'a Hindiyya)

Yahya bin Saaleh par Darj ZeL Ulama ki Jarh Milti hai:

(1) Ahmed bin Hambal

(2) ishaaq bin Mansoor

(3) Uqaili

(4) Abu Ahmed AL Haakim

imaam Ahmed ki Jarh ki Buniyaad Ek MajhooL insaan hai h Dekhiye (AL Zuafa LiL uqaili : 4/408)

Ye Jarh imaam Ahmed ki Tauseeq se Muaariz hai.

Abu Zur'aa Ad Dimashqi ne kaha:

’’لم یقل یعني أحمد بن حنبل في یحیی بن صالح إلا خیرًا‘‘

Ahmed bin Hambal Ne Yahya bin Saaleh ke Baare mein Sirf Khair hi Kaha hai.

(Tareekh Dimashq Li ibn Asaakir : 68/78, Wa Sanadahu SAHEEH)

ishaaq bin Mansoor ki Jarah ka Raawi Abdullah bin Ali hai. (Az Zuafa LiL Uqaili : 4/409)

Abdullah bin Ali ka Siqa wa Sadooq hona Saabith Nahi hai, Lihaaza ye Jarh Sabith hi nahi hai.

Uqaili ki Jarah ( AL Zuafa uL kabeer mein nahi mili Albatta Taarikh dimashq : 68/79) mein ye Jarah Zaroor Moujood hai Lekin iss jarah ka Raawi Yousuf bin Ahmed Gair Mausiqh (MajhooL uL HaaL) hai Lihaza ye Jarah bhi Sabith nahi hai.

Abu Ahmed AL Hakim (aur Ba Sharte Sehath Ahmed, ishaaq bin Mansoor aur Uqaili) ki jarah Jamhoor Muhaddiseen ki Tauseeq ke Mukaable mein Mardood hai.

Haafiz Zahbi ne Kaha:

’’ثقۃ في نفسہ، تکلم فیہ لرأیہ‘‘

Voh bazaate Khud Siqa thae, inki Raaye ki wajah se (Abu Ahmed AL Haakim wagairah ki taraf se) in mein kalaam kiya gaya hai.

(Ma'arifatur Ruwaat AL Mutakallim feehim bima Laa yoojab AL Radd : 367)

Haafiz ibn Hajar ne Kaha : Khalid bin Mukhallid aur Yahya bin Saaleh Dono Siqa hain - (Fath uL Baari : jild 9 Safa 524 Ha : 5378)

Aur kaha:

صدوق من أھل الرأي

(Taqreeb ut Tehzeeb : 7568)

Taqreeb ut Tehzeeb ke Muhaqqiqeen ne Likha hai:

’’بل ثقۃ‘‘

Balke voh Siqa Thae.

(AL Tahreer : jild 4 Safa 88)

Khulaasa At Tehqeeq: Yahya bin Saaleh Siqa wa SAHEEH uL Hadees hain.

(2) ishaaq bin Yahya bin Alqama AL Kalbi AL Hamsee AL Awsee SAHEEH BUKHARI (Shawaahid ke) Raawi hain - (Dekhiye SAHEEH AL BUKHARI : 682, 1355, 3299, 3443, 3927, 6647, 7000, 7171, 7382)

Haafiz ibn Hibban Rahimahullah ne inhein KitaabuL Siqaat : jild 6 Safa 49 mein Zikr kiya aur SAHEEH ibn Hibban (AL Ahsaan : 6074) mein inse riwayat Lee hai.

Daarqutni Rahimahullah ne Kaha:

’’أحادیثہ صالحۃ والبخاري یستشھدہ ولا یعتمدہ فی الأصول‘‘

inki Hadees Saaleh (Acchi hain), imaam Bukhari Shawaahid mein inse Riwayat Lete hain aur Usool mein inn par Aitemaad Nahi Karte.

(Sawalat AL Haakim LiL Daarqutni : 280)

Tambeeh: imaam Bukhari Shawaahid mein jiss Raawi se Riwayat Lete hain voh inke Nazdeek Siqa Hota hai - (iLLa Ye ke Kisi Khaas Raawi Ki Takhsees Sabith Hojaye) (Dekhiye Shuroot AL Ayimma AL Sunnatu Muhammad bin Taahir AL Maqdasi : Safa 18 - Doosra Nuskha : Safa 14)

Abu Awaana Rahimahullah ne SAHEEH Abi Awaana (AL Mustakhraj ALaa SAHEEH Muslim) Mein inse Riwayat Lee hai - (jild 2 Safa 293)

Haafiz ibn Hajar Rahimahullah ne Kaha:

’’صدوق، قیل: إنہ قتل أباہ‘‘

Saccha hai, kaha gaya hai ke iss ne Apne Baap ko Qatal kiya thaa.

(Takreeb Ut Tehzeeb : 391)

Baap ko QatL karne Wala Qissa TehzeebuL Kalaam ( Taba'a Maussussatu AL Risaala : jild 1 Safa 202) main Adhoora (Gair MukammaL) Sanad:

أبو عوانۃ الأسفرائني عن أبي بکر الجذامي عن ابن عوف قال: یقال‘‘

Se Marwi hai - ye Qissa Kayee Lihaaz se Mardood hai:

1- Abu Awaana Tak Sanad Gayab Hai.

2- Abu Bakr AL Jazaami NAA Maloom hai.

3- kaha Jaata hai (یقال) ka QaaiL, NAA Maloom hai.

Saahib-E-TehzeebuL Kalaam ne Bagaid kisi Sanad ke Muhammad bin Yahya AL Zahli Rahimahullah se Naqal kiya hai ke inhone ishaaq bin Yahya ko Tabqa saaniya mein Zikr kiya aur kaha :

مجہول: لم أعلم لہ روایۃً غیر یحیی بن صالح الوحاظي فإنہ أخرج إليّ لہ أجزاء من حدیث الزہري فوجد تھا مقاربۃ فلم أکتب منھا إلا شیئًا یسیرًا‘‘

MajhooL hai, Mere iLm mein Yahya bin Saaleh AL Wahaazi ke Siwa kisi ne iss Se Riwayat bayaan nahi kee - inhone Mere Saamne iss ki Zohri se Hadeeson ke ijzaa pesh kiye tho maine Dekhaa ke ye Riwayat Mukhaarab (Saheeh Wa Maqbool aur Siqa Raawiyon ke Kareeb kareeb) hain - Maine inn mein se Thodi Riwayatein hee Likhi hain.

(jild 1 Safa 202)

Haafiz Abu Bakr Muhammad bin Moosa AL Haazmi ( Mutawaffa : 591 Hijj) ne imaam Zohri ke Shaagirdon ke Tabqa Saaniya ke Baare mein kaha ke voh Muslim ki Shart par hain. (shuroot AL AyimmatuL Khamsah: Safa 57)

Maloom huwa ke ye Raawi imaam Muhammad bin Yahya AL ZahLi ke Nazdeek Majhool hone ke saath Siqa Wa Sadooq aur Makhaarib UL Hadees hai, Ba soorate Deegar ye Jarah Jamhoor Muhaddiseen ke Muqaable mein Mardood hai.

Khulaasa Tehqeeq: ishaaq bin Yahya AL Kilbi HASAN UL HADEES hain.

Faidah: Laa iLaaha iLLAL Laah Muhammadur Rasoolullah Waali yahi Riwayat Shuaib bin Abi Hamzah ne " ANN Zohri ANN Saeed bin AL Musayyib ANN Abi Hurairah " Ki Sanad se Bayan kar Rakhi hai - (KitaabuL Eemaan Li ibn Mandah : jild 1, Safa 359 Ha :99 Wa Sanadahu SAHEEH iLaa Shuaib bin Abi Hamzah)

iss Shaahid ke Saath ishaaq bin Yahya ki Riwayat Mazeed Qawi hojati hai. WaLhamdulillah

Doosri Daleel: Laa iLaaha iLLAL Laah Muhammadur Rasoolullah par Musalmaano ka ijmaa' hai.

Haafiz ibn Hazam Likhte hain:

’’فھذا إجماع صحیح کا لإجماع علٰی قول لا إلٰہ إلا اللہ محمد رسول اللہ‘‘

Pas ye ijmaa Saheeh hai jaisa ke Laa iLaaha iLLAL Laah Muhammadur Rasoolullah ke kaLme par ijmaa' hai.

(AL Muhalla Li ibn Hazam : jild 10 Safa 423, AL Ayin, Mas'ala : 3025)

Haafiz ibn Hazam Mazeed Likhte hain:

’’وکذلک ما اتفق علیہ جمیع أھل الإسلام بلاخلاف من أحد منھم من تلقین موتاھم: لا إلٰہ إلا اللہ محمدرسول اللہ‘‘

Aur isi Tarah Tamaam Ahle islaam Bagair kisi ikhtelaaf ke iss par Muttafiq hain ke Marne Walon ko (Mauth ke Waqt) Laa iLaaha iLLAL Laah Muhammadur Rasoolullah (padhne) ki Talqeen karni chahiye.

(AL FasL FiL MaLAL waL Ahwaa' Wan NahL : jild 1 Safa 621 - AL Radd ALaa Mann Za'am An AL Ambiyaa Alaihis Salam Laiswa Ambiya AL Yaum)

Maloom Huwa ke Kalima ikhlaas : Kalima Tayyiba Laa iLaaha iLLAL Laah Muhammadur Rasoolullah Kaa Saheeh Hadees aur ijmaa se Sabooth Maujood hai.

والحمدللّٰہ وصلی اللہ علٰی نبیہ وسلم

Tambeeh: Mufti Muhammad ismaeel Tooro Deobandi ne "Shash Kalme" ke Tahat Likha hai:

’’کلمہ طیبہ لا الہ الا اللہ محمد رسول اللہ

Tarjuma : Nahi hai koi Ma'bood Siwaye ALLAH ke aur Hazrat Muhammad (ﷺ ) ALLAH ke Rasool hain.

(Saheeh Bukhari - Saheeh Muslim : jild 1 Safa 73)‘‘

{ Mukhtasar Nisaab : Safa 24 Taba' : 2005 iswi, DaaruL iftaa Jaama islamiya, Sadar Kaamraan Market Rawalpindi }

Ye Mukammal Kalima Naa tho SAHEEH BUKHARI ki kisi Hadees mein Likha huwa hai aur Naa SAHEEH MUSLIM ki kisi Hadees mein iss Tarah Maujood hai.

Mufti Bane huwe Ulama ko Apne Tehreeron mein ehtiyaat karni Chahiye aur Galat Hawalon se Kulli ijtenaab Karna Chahiye.


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: irfan Shaik

[Fataawa iLmiyaa AL Ma'roof TauzeehuL Ahkaam, jild 1 Safa : 75 - 80]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023