Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah

Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Ameer ul Momineen Kahlifah Abu Yusuf Yaqoob bin Yusuf bin Abd al-Momin bin 'Ali al-Qaisi al-Kumi al-Marrakushi az-Zaahari al-Maghribi Rahimahullah (Died 595 Hijri) ne apni saltanat mein ahkaam e shari'at naafiz kiye, jihaad ka jhanda buland kiya, adl o insaaf ke sath hudood ka nifaaz kiya aur mezaan e adl qaayim ki.

Un ke barey mein Ibne Khallikaan muarrakh ne likkha hai:

وكان ملكاً جواداً عادلاً متمسكاً بالشرع المطهر يأمر بالمعروف وينهى عن المنكر كما ينبغي من غير محاباة ويصلي بالناس الصلوات الخمس ويلبس الصوف ويقف للمرأة وللضعيف ويأخذلهم بالحق و أوصى أن يدفن على قارعة الطريق ليترحّم عليه من يمر به

"Wo sakhi baadasha thhey, shari'at e mutahirah par amal karney waaley, baghir kisi khauf aur jaanibdaari ke neki ka hukm detey aur buraayi se mana' kartey thhey jaisa ke munaasib hai, logon ko paanch namazen padhatey, ooni libaas pehantey, aurat ho ya kamzor un ke liye ruk kar un ka haq dilaatey thhey, aap ne yeh wasiyat farmaayi ke mujhe raastey ke darmiyaan yane qareeb dafan kiya jaaye taake waahan se guzarney waaley mere liye rahmat ki dua karen."

(Wafayaat al-A'yaan: Jild 7 Page 10)

Is Mujahid aur Sahih ul Aqeedah Khalifah Rahimahullah ke barey mein Ibne Khallikaan ne mazeed likha:

وأمر برفض فروع الفقه وأن العلماء لا يفتون إلا بالكتاب العزيز والسنة النبوية ولا يقلدون أحداً من المجتهدين المتقدمين، بل تكون أحكامهم بما يؤدي إليه اجتهادهم من استنباطهم القضايا من الكتاب والحديث والإجماع والقياس

"Aur unhon ne furo'aat e fiqh (maalaki fiqh ki kitaaben) chhor deney ka hukm diya aur farmaay: ulama sirf Qur'an e Majeed aur Sunnat e Nabawiyah (Hadees) ke mutaabiq hi fatwey den aur mujtahideen mutaqaddimeen mein se kisi ki taqleed na karen balke apne ijtehaad o istinbaat ke mutaabiq Qur'an, Hadees, ijmaa' aur qiyaas se faisley karen."

(Tareekh Ibne Khallikaan, Wafayaat al-A'yaan: Jild 7 Page 11)

Bi'ainih yehi manhaj, maslak aur dawat ahle hadees (ahle sunnat) ki hai. Alhumdulillah!

Ahle hadees ko kizb o iftiraa ke sath angrezi daur ki paidawaar kehney waaley zara aankhen khol kar chatti(6th) sadi ke is taqleed na karney waaley khalifah ke halaat padhen taake inhen kuch nazar aaye.

Is mujahid khalifah ke barey mein Hafiz Zehbi ne likha hai ke unhon ne muqallid ke barey mein kaha:

Qur'an aur Sunan Abi Dawood (Hadees ki kitaab) par amal karo ya phir talwar hazir hai.

(Siyar A'lam an-Nabula: 21/314, mulkhasan)

Hafiz Zehbi ne mazeed farmaaya:

وعظم صيت العباد والصالحين في زمانه وكذلك أهل الحديث وارتفعت منزلتهم عنده فكان يسألهم الدعاء وانقطع في أيامه علم الفروع وخاف منه الفقهاء وأمر بإحراق كتب المذهب بعد أن يجرد ما فيها من الحديث فأحرق منها جملة في سائر بلاده كالمدونة وكتاب ابن يونس ونوادر ابن أبي زيد والتهذيب للبرادعي والواضحة لابن حبيب ••

قال محيي الدين عبد الواحد بن علي المراكشي في كتاب المعجب له؛ ولقد كنت بفاس فشهدت يؤتى بالأحمال منها فتوضع ويطلق فيها النار

"Aur un ke zamaney mein ibaadat guzaaron aur saleheen ki shaan buland ho gayi aur isi tarha ahle hadees ka maqaam un ke han bulad huwa aur wo un se dua karwaatey thhey, un ke zamaney mein ilm e furoo' khatam ho gaya (yane taqleedi fiqh ka ikhtitaam huwa) aur (naam nihaad taqleedi) fuqaha un se darney lagey, unhon ne Ahadees ko 'alayhidah karney ke b'ad (taqleedi) mazhab ki kitaabon ko jalaaney ka hukm diya lehaza poorey mulk mein mudawwanah, kitaab Ibne Yunus (al-Maalki), Nawadir Ibne Abi Zaid, Tehzeeb al-Barda'yi aur Ibne Habeeb ki al-Waazihah jaisi kitaaben jala di gayen.

Muhyi ad-Deen Abd al-Waahid bin Ali al-Marrakushi ne apni kitaab al-Mu'jib (Page 354) mein kaha: main fes (ek shahar) mein tha jab maine dekha, kitaabon ke bhaar laaye jaatey phir rakh kar jala diye jaatey thhey."

(Tareekh ul Islam Liz Zehbi: Jild 42 Page 216)

Aye Allah! is mujahid khalifah aur ameer ul monineen ko jannat mein 'ala maqaam naseeb farmaa aur hummare gunaah bakhsh kar apne fazl o karam se sahih ul aqeedah mujahideen aur momineen ki musaahabat ataa farmaa. Ameen.


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.75, Safa no.45]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023