Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai


SAWAL:

Ek Masjid mein likha hua tha ki Bacchcho ko saath naa laaye, phir kisi Hadees ka Hawaala bhi tehreer tha. Kya kisi Hadees mein bacchcho ko masjid se mana kiya gaya hai? Jawaab de kar Allah se ajar payein. (Shaheedullah, Maansharah)

JAWAB:

Kisi Sahih Hadees mein bacchcho ko Masjid laane se mana nahi kiya gaya, balki jis riwayat mein mumaniat hai wo sanad ke aitbaar se sakht zaeef hai.

Imam Ibn majah Rahimahullah Ne Farmaya:

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ يُوسُفَ السُّلَمِيُّ، حَدَّثَنَا مُسْلِمُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، حَدَّثَنَا الْحَارِثُ بْنُ نَبْهَانَ، حَدَّثَنَا عُتْبَةُ بْنُ يَقْظَانَ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، عَنْ مَكْحُولٍ، عَنْ وَاثِلَةَ بْنِ الأَسْقَعِ، أَنَّ النَّبِيَّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ: ‏ (( جَنِّبُوا مَسَاجِدَكُمْ صِبْيَانَكُمْ.........))

Apni masaajid ko apne bachcho se Mehfooz rakho..... (Sunan Ibn Majah :750)

Yeh riwayat kayi wajah se Za'eef hai:

  • Utba Bin Yaqzaan “Za'eef” hai. (Al-Taqreeb: 4444).
  • Haris bin Nabhaan “Matrook” hai. (Al-Taqreeb:1051).
  • Abu Saeed Al-Shami “Majhool” hai. (taqreeb: 8131).

Tanbeeeh:

Imam Tabrani Rahmatullah ne Musnad e Shamiyyeen (4/307) mein wazahat ki hai ki yeh Abu Saeed, Abdul Qudoos Bin Habeeb hai aur wo matrook hai, dekhiye: Deewane Zoafa (2586) wagerah.

Is riwayat ka ek shahid Al-Sunan Al-Kubra -lil-Baihaqi (10/103) mein hai, lakin wo bhi Ala bin Kaseer Al- Shami matrook (taqreeb: 5254) ki wajah se sakht zaeef hai.

Iske baraks Sahih Ahadees ki roo se saabit hai ki har umar ke bachcho ko masjid laaya ja sakta hai.

Iske baraks Sahih Ahadees ki roo se saabit hai ki har umar ke bachcho ko masjid laaya ja sakta hai.

Imam Nasai Rahmatullah ne is hadees par bayein alfaaz baab qayam kiya hai:

“باب إِدْخَالِ الصِّبْيَانِ الْمَسَاجِد”

Bachcho ko masaajid mein le jaane ka bayaan. (Sunan Nasai Qabl Hadees:712)

Ek taweel hadees yeh hai ki Rabi’ Binte Mao’oz bin A’fra Razi Allahu Anhuma ne farmayaa: “hum khud (a’shoora ka) roza rakhte aur agar Allah chahta to apne chote bachcho ko bhi roza rakhwate the aur hum (in bachcho ke hamraah) masjid ki taraf jaate to unke liye oon ka khilona bana lete, jab unmein se koi iftaar ke qareeb khaane ke liye rota to ham (uski tawajjo hatane ke liye) wo (khilona) use de dete.” (Sahih Muslim:1136)

Yeh hadees daleel hai ki Ahde nabuwwat mein sahaabiyaat wa sahaaba kiraam Razi Allahu anhum apne bachcho ko apne hamrah masjid le ke jaate the.

Isi tarah Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki: “Rasoolullah ﷺ maa ke saath (aaye hue) bachche ka rona sunte, jabki aap namaaz mein hote to halki soorat, yaani ise mukhtasar kar lete (phir koi) choti soorat padhte the.” (Sahih Muslim:470)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: “Apne bachcho ko namaaz padhne ka hukm do jab wo saat saal ke ho jayein aur jab wo das baras ke hon to unhein namaaz chorne par maro aur unke bistar juda kar do.” (Sunan Abu Dawood: 494, Sunan Tirmizi: 407 Wasanaduhu Sahih)

Darj baala tahqeeq se Ma'loom hota hai ke jis riwayath me Bachon ko Masajid me Le jaane ki mumani'ath hai wo sanad ke etebar se Shadeed Za'eef hai aur deegar Sahih Ahadees se saabit hai ki bachcho ko masjid mein apne saath le kar jaana masnoon hai taaki unki tarbiyat ho aur unhein namaz ki ahmiyat ma'loom ho sake.

هذا ما عندي والله أعلم بالصواب۔

Answered By: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: Owais Salafi (via romanquranohadees)

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.126, Safa no.7-8]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023