Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai


Allah Rabb Ul Aalameen Ka Arsh Par Mustawi Honay Ka Mas’ala

Qur’an E Majeed Ki Roshni Mein Allah(ﷻ) ney farmaya:

إِنَّ رَبَّكُمُ اللَّهُ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ​

"Beshak tumhara Rabb Allah hai jisne aasmaano aur zameen ko chhe (6) dino mein paidaa kiya, phir arsh par mustawi huwa."

(Al-A’raaf: 54)

[Neez Dekhiye: Surah Yunus: 3, Surah Ar-Ra’d: 2, Surah Taha: 5, Surah Al-Furqan: 59, Surah As-Sajdah: 4, Surah Al-Hadeed: 4]

Istewaa ka matlab hai irtifaa’, a’la, ya’ni buland huwa hai.

Dekhiye: Saheeh Bukhari, Kitab ut Tawheed aur Tehqeeqi Maqalaat: 1/13-14)

وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ​

"Uska arsh pani par tha."

(Hood: 7)

[Neez Dekhiye: Surah At-Taubah: 129, Surah Al-Ambiya: 22, Surah Al-Mominoon: 86,116, Surah An-Naml: 26, Surah Al-Momin: 7,15, Surah Az-Zukhruf: 82, Surah Al-Burooj: 15]

وَيَحْمِلُ عَرْشَ رَبِّكَ فَوْقَهُمْ يَوْمَئِذٍ ثَمَانِيَةٌ​

"Aur us din aap ke Rabb ka arsh apne upar uthayenge aath (8) (farishtey)."

(Al-Haaqqa: 17, Neez dekhiye: Az-Zumar: 75)

أَأَمِنتُم مَّن فِي السَّمَاءِ أَن يَخْسِفَ بِكُمُ الْأَرْضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ​

"Kya tum us sey bekhauf ho jo aasmaan mein hai (ya’ni upar) hai ke wo tumhen zameen mein dahnsa dey, phir wo teezi ke sath hilney lag jaye."

(Al-Mulk: 16)

[Neez Dekhiye: Surah Al-Mulk: 17, Surah Al-Qisas: 38, Surah Al-Momin: 36,37, Surah Bani Israael: 32, Surah Al-anaam: 18,61, Surah An-Nahl: 56, Surah Al-baqrah: 144]

وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينًا○ بَل رَّفَعَهُ اللَّهُ إِلَيْهِ ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا​

"Aur unhon ney yaqinan usey qatl nahi kiya (ya’ni Esa Alaihis Salam ko) balke Allah ney usey apni taraf utha liya aur Allah ghalib hikmat wala hai."

(An-Nisa: 157,158 Neez dekhiye: Aal Imraan: 44)

Is par ummat ka ijmaa’ hai ke Esa Alaihis Salaam aasmaan par utha liye gaye they aur aasmaan mein zinda hain. Aasmaan se utrengey aur dajjaal ko qatl kar dengey.

Dekhiye: Tehqeeqi Maqalaat: 1/87

يُدَبِّرُ الْأَمْرَ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الْأَرْضِ ثُمَّ يَعْرُجُ إِلَيْهِ فِي يَوْمٍ كَانَ مِقْدَارُهُ أَلْفَ سَنَةٍ مِّمَّا تَعُدُّونَ​

"Aasmaan se zameen tak tadbeeri umoor karta hai, phir wo (amr) uski taraf chadhta hai ek din mein (ke) jis ki miqdaar hazaar saal hai."

(As-Sajda: 5)

إِلَيْهِ يَصْعَدُ الْكَلِمُ الطَّيِّبُ وَالْعَمَلُ الصَّالِحُ يَرْفَعُهُ​

"Uski taraf chadhti hain pakizah baaten aur saleh aamal wahi usey (bhi) upar uthaata hai."

(Faatir: 10)

وَجَاءَ رَبُّكَ وَالْمَلَكُ صَفًّا صَفًّا​

"Aap ka Rabb aayega aur farishtey saf ba saf."

(Al-Fajr: 22)

فَاطِرُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ جَعَلَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَاجًا وَمِنَ الْأَنْعَامِ أَزْوَاجًا ۖ يَذْرَؤُكُمْ فِيهِ ۚ لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ ۖ وَهُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ​

"Us jaisa koi bhi nahi hai aur wo sunney, dekhney wala hai."

(Ash-Shura: 11)

Ahadees-E-Nabawi (ﷺ) Ki Roshni Mein:

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: Allah kahan hai? to laundi ney arz kiya: Aasmaan mein (ya’ni aasmaano se upar) hai. Aap (ﷺ) ney farmaya: Main kaun hun? Laundi ney kaha: Allah ke Rasool. Aap (ﷺ) ney farmaya: "Isey azaad kar do ye mominah hai."

(Saheeh Muslim: 537, Kitab ut Tawheed Li Ibne Khuzaimah: 1/279, Is ki sanad saheeh hai)

Jaabir Bin Abdullah (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney yaum-e-arafah ke khutbe mein farmaya: Kya maine pahuncha diya? Tou Sahaba ney jawaab diya: Ji han. Aap (ﷺ) ney aasmaan ki taraf ungli utthayi aur farmaya: "Aye Allah! gawaah reh."

(Saheeh Muslim: 1/397, Hadees No: 1218)

Abdullah Bin Amr Bin Al-Aas (Radhi Allahu Anhu) se riwayat ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: Raham karney walon par Rahman raham farmata hai, tum zameen walon par raham karo tum par jo aasmaan mein (upar) hai raham farmayega."

(Tirmidhi: 2/14, Imam Tirmidhi ne is Hadees ko Hasan Sahih hai, Imam Hakim ne bhi sahih kaha hai: 4/159 aur Imam Zehbi ne unki muwafaqat ki hai)

Abu Sa’eed (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Aur main uska ameen hun jo aasmaan mein hai. mere paas subah aur shaam aasmaan ki khabrein aati hain."

(Sahih Bukhari: 2/624, Hadees No: 4351, Sahih Muslim: 1/341, Hadees No: 1064)

Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Mujhe us zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! Jo mard apni biwi ko apne bistar par bulaata hai, phir wo inkaar kar deti hai to wo jo aasmaan mein hai us aurat par naraaz ho jaata hai jab tak mard us sey razi na ho jaye."

(Sahih Muslim: 1/464, Hadees No: 1436)

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Hamara Rabb Tabaraka wa Ta’ala har raat duniya ke aasmaan par nazil hota (utarta) hai."

(Muatta Imam Malik: Page No: 197, Alfaaz isi ke hain, Sahih Bukhari: 2/1116, Hadees No: 1145, Sahih Muslim: 1/258, Hadees No: 757, Ye Hadees Mutawatir Hai)

Nabi (ﷺ) ney farmaya: "(Nek roh se) kaha jaata hai: "Pakiza nafs ko khush aamadeed" isi tarha kaha jaata hai yahan tak ke us roh ko us aasmaan tak pahuncha diya jaata hai jis mein Allah(ﷻ) hai."

(Musnad Ahmed: 2/264, Is ki sanad sahih hai)

Aur farmaya: "Jab Allah ney takhleeq puri kar di to apne arsh ke upar (ek kitaab mein) likh kar rakh diya ke meri rahmat mere ghazab par ghalib hai."

(Sahih Bukhari: 2/1104, Hadees No: 7422, Alfaaz isi ke hain, Sahih Muslim: 2/356, Hadees No: 2751)

Neez farmaya: "Qayamat ke din sab behosh ho jaayenge (phir main sab se pehle hosh mein aaunga) to dekhunga ke Musa (Alaihissalam) arsh ke paayon mein se ek paaya pakdey khade hain (ya’ni wo mujh se pehle hosh mein aa jayenge)."

(Sahih Bukhari: 2/1104, Hadees No: 7427, Alfaaz isi ke hain, Sahih Muslim: 2/267, Hadees No: 2373)

Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney farmaya: "Phir wo (maut ka farishta) apne Rabb ki taraf wapas gaya aur kaha: Tu ney mujhe apne bandey (Musa Alaihis Salaam) ki taraf bheja."

(Sahih Bukhari: 1339, 2407, Sahih Muslim: 2372)

Aasaar-E-Sahaba Ki Roshni Mein:

Jab Rasoolullah (ﷺ) fout huwe to Ameer ul Momineen Sayyiduna Abu Bakr Siddiq (Radhi Allahu Anhu) ney khutba diya: "Jo Muhammad (ﷺ) ki ibadat karta tha tou wo jaan ley ke bila-shuba Muhammad (ﷺ) fout ho chuke hain aur jo Allah ki ibadat karta tha to wo jaan ley ke Allah aasmaan mein zinda hai us par maut nahi aayegi."

(Ar Radd Alal Jehmiyah Lil Daarmi: Page No: 78, Is ki sanad hasan hai, At Tareekh ul Kabeer: 1/201-202)

Umm ul Momineen Sayyidah Zainab Bint e Jahash (Radhi Allahu Anha) Nabi ki dusri biwiyon (ﷺ) par fakhr kartey huwe farmaya karti thi: "Mujhe Allah(ﷻ) ney saat aasmaano ke upar se Nabi (ﷺ) ki biwi banaya hai."

(Sahih Bukhaari: 7420)

Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) ney Umm ul Momineen Aisha (Radhi Allahu Anha) se kaha: "Allah ney aap ki bara’at saat aasmaano ke upar se nazil ki hai."

(Tabqaat Ibn e Sa’ad: 8/70 Is ki sanad hasan hai aur is ki asl Sahih Bukhari: 2/669 mein hai)

Abdullah Bin Mas’ood (Radhi Allahu Anhu) ney farmaya: "Aasmaan e duniya aur dusre aasmaan ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai aur har aasmaan ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai. Saaton aasmaan aur kursi ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai aur kursi aur paani ke darmiyaan panch-sao (500) saal ka faasla hai. Kursi pani ke upar hai aur Allah kursi ke upar hai aur tumhare aamaal jaanta hai."

(Kitab ut Tawheed Li Ibn e Khuzaimah: 1/244, Is ki sanad hasan hai)

Salmaan Faarsi (Radhi Allahu Anhu) ney farmaya: "Beshak Allah haya farmata hai jab banda uski taraf hath phaylata hai ke unhen khali lauta dey."

(Mustadrak Hakim: 1/497, Imam Haakim ne is hadees ko shaykhain ki shart par saheeh qaraar diya hai aur zehbi ney unki muwafaqat ki hai. Ye hadees marfoo’an bhi saheeh sabit hai. Dekhiye: Abu Dawood: 1488, Tirmidhi: 3556, Ibn e Majah: 3865)

Umm ul Momineen Sayyidah Aaisha (Radhi Allahu Anha) ney farmaya: "Allah(ﷻ) arsh ke upar se jaanta hai ke main Usmaan ke qatil ko pasand nahi karti thi."

(Ar Radd Alal Jehmiyah Lil Daarmi: Page No: 27, Allamah Albani ne is ki sanad ko saheeh kaha hai, Muktasar Al-Uloo’: Page No: 104)

Is par Sahaba aur Tabayeen ka ijmaa’ hai ke Allah(ﷻ) saat aasmaano se upar arsh par mustawi hai (jis ki kayfiyat hamen maloom nahi) iske khilaaf Sahaba aur Tabayeen se kuch bhi sabit nahi hai.

Jehmiyah Ke Shubhaat Aur Unke Jawabaat:

Baaz log kehtey hain: (Aayat) "Wo unke sath hai wo jahan bhi ho."

(Surah Al-Mujaadilah: 7)

Isi tarha wo aayat ke “Hum shah e ragg se ziyada qareeb hain.

(Surah Qaaf: 16)

In aayaat ka mafhoom ye hai ke saath honay se muraad Allah(ﷻ) ka ilm hai isi par Sahaba aur Tabayeen ka ijmaa’ ho chuka hai.

(Tawheed e Khalis, Page No: 276, Ar Radd Alal Jehmiyah Lil Daarmi: Page No: 19, Sharh Hadees un Nuzool: Page No: 74)

Dusra yeh ke digar aayaat mein khudh ilm ka (na’lam, ya’lam wagera ) zikr hai. Jo is baat ki qawi daleel hai ke yeh saath honay sey muraad ilm hai.

Teesre ye ke digar aayaat, saheeh ahadees aur ijmaa’ e sahaba in aayaat ke umoom ki takhsees karte hain.

Yaad rahe ke Quran o Hadees mein ye kahien bhi nahi hai ke Allah har jagah (apni zaat ke saath) maujood hai,

تعالى الله عن ذلك علوًا كبيرًا​

Aur Allah ke liye "hazir" ka lafz Quran o Hadees aur ijmaa’ se bilkul bhi sabit nahi hai.

Aqli Dalail:

  • Log dua kartey waqt haath upar uthaatey hain.
  • Nabi (ﷺ) meraaj ki raat aasmaano par Allah ke paas gaye they.
  • Farishtey aasmaano se zameen par utartey hain aur zameen se aasmaano par jaatey hain aur Allah un sey apne bandon ke bare me sawaal karta hai, halanke wo khudh sab se ziyada jaanta hai.
  • Khaliq apni makhlooq se juda hai.

Tambeeh:

Is mauzo par tafseeli behas ke liye dekhiye “Maqalaat (1/13)” aur “Fatawa Ilmiyyah Al-Ma’roof Tauzeeh Ul Ahkaam (1/29-55)” wagera .


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.116, Safa no.11-16]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023