Ghaali Bidaati Ky
Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam


Tambeeh: Is roman urdu ky mazmoon mein kitabon ky naam ghalat ho sakty hein. Kitabon ky hawaly aur safhon ky number bhi ghalat ho sakty hein. Aisi soorat mein urdu ky asal mazmoon ki taraf rujooh krein. JazakALLAH khyrran.

Shariat Islam me yeh Bidaat aur Ahle bidat ke Muzammat me bahuth se dalail hai. Maslan:

  • Irshaad e Baari Taala hai:

    " Aur u`s din kuch chahre kaale sayaah honge ".

    [ Surah Al Imraan # 106 ]

    Iski Tashreeh me Nabi E kareem ﷺ ne farmaya :

    " Wo Khawarij hai "

    [ Musnad Ahmad # 5/262 – WaSanaduhuu Hassan ]

  • Rasulallah ﷺ ne farmaay :

    " Aur Har Bidaat Gumrahi hai "

    [ Sahih Al Muslim # 867 : Darussalam 2005 ]

    Sayyidina Abdullah Bin Umar Raziallahu Anhu ne Farmaya :

    " Har Bidaat Gumhari hai agarche [baaz] log usey accha samajte ho "

    [ Al Sunnah Al Maraij # 70 – WaSanaduhuu Saheeh ]

  • Nabi Kareem ﷺ ki ek Aur Mashoor Mutawaatir Khulaasa yeh hai ke:

    " Aap Sallallahu Alai Wasallam ki Ummat me [72] firqe hojaayenge jine sirf ek Firqa jannat hoga aur baaki sab jahannum me jayenge."

    [ Tirmizi (#2640 – WaQaala: Hassan Saheeh), Sunnan Abu Dawud (#4597); Sunnan Ibn Majah (#3992) wagairah ]

  • Rasullallah ﷺ ne farmaya :

    من وقرّ صاحب بدعۃ فقد أعان علٰی ھدم الإسلام

    " Jisne kisi Bidaati ki Izzat Wa Takreem ki tau usne Islam ko Gharaaneme Madad ki. "

    [ AlShareeha LilAaajri Safha #962 Hadees #2040, WaSanaduhuu Hassan ]

  • Sayyidina Abdullah bin Umar Raziallahu Anhu ne un mubtareen se Bidaat ka Elaan farmaya jinhone Taqdeer ka Inkaar kiya. Dekhiey Saheeh Muslim (Hadees #8, Tarqeem Darussalam #93)

    Aap Raziallahu anhu ne ek Bidaati Shaks ke Salaam ka jawab nahi diya tha. Dekhiey Sunnan Tirmizi (#2152, Waqala Haaza Hadees Hassan Saheeh) Aur Azwaah Almasabeeh (#106)

  • Sayyidina Abdullah bin Masood Raziallah Anhu ne Bidaati ko Masjid se Nikaal diya tha. Dekhiey Sunnan AlDarmi (Hadees #210, WaSanaduhuu Hassan )

  • Mash’hoor Taba’ee Siqah Al Jamah Abu Khalabi Al Hajrami Al Shaami Rahmatullah ne farmaya :

    " Beshak Bidaati log Gumrah hai aur mai Samajta hu ke wo Dozaq me hi jaayenge "

    [ Sunan Ad-Daarimi #101, WaSanaduhuu Saheeh ]

  • Siqah Tabai Imaam Abu Idris Al Khaulaani Rahmatullah Alai ne Farmaya:

    "Agar mai dekhu ke Masjid me aag lagi huwi hai jisey mai bujaa nahi sakta. tau yeh cheez mere nazdeek isse bahtar hai ke mai masjid me koi Bidaat dekhu jise Mitaa na saku."

    [ Al Sunna Lil Maroozi: #88 – WaSanaduhuu Hassan ; Doosra Nuskha: #99 ]

  • Sagheera Tabai Ibrahim bin Yazeed AlNakhee AlKaufi Rahmatullah nay Muhammad bin AlSaaeb se Farmaaya :

    " Jabtak tu apne is Rayy par hai tau hamare Kareeb bhi na aana "

    Muhammad bin AlSaaeb Marjii tha.

    [ AlBidha WalNahaa Hanhaa LilMuhammad Bin WaZaah: #137, WaSanaduhuu Saheeh, Rawayatu Mugheerah Bin Muqsam Han Ibrahim Mahmoolattun Halas Sammah Izza Rawwah Hanhu Muhammad Bhin Fazeel Bin Ghazwaan, Unzur Musnad Halabnul Juhd 1/430 Hadees 663, WalNuskhatus Sania: 644 ]

  • Ek Shakhs Bidaati tha fir usne apne Rayy se Ruju karliya. Jab Imaam Ayyub Sukhtiaani ne Imaam Mohammad Bin Sireen Rahimahullah (Siqqa Tabihi Mashoor) ko bataya tau unhone farmaya :

    Dekho wo kidar jata hai ? kyunki [ Ahle Bidat ke khilaaf ] hadees ke aakhri alfaaz bahuth saqt hai. Wo Islam me nikal jaayega fir isme wapis nahi aayega.

    [ AlBidha WalNahaa Hanhaa #147 – WaSanaduhuu Saheeh, Aau Hassan Lizzatihi ]

Bidaat ke 2 bade Kismein hain

  • Bidaat e Sughraa:

    Maslan Tashayyu Yaseer [Sayyidina Ali Raziallahu Anhu ko Sayyidina Usman Raziallahu Anhu se Afzal samajna]

  • Bidaat e Kubraa :

    Maslan : Munkareen e Taqdeer, Jahmiah, Rawafiz, Muhtazillah aur Munkareen e Hadees wagairah.

    isey Bidaat e Magfaru’ bhi kahte hai.

    [ Dekhiye : Meezan al Ittedal 1/6, Doosra Nuskha : 1/118 ; Ikhtesaal al Uloom al hadees La ibn Kaseer, Safa # 83, Nauh #23; Fatah ul Baari # 10/466; Hudda Al Saari, Safa # 385, #459 Aur Meri Kitaab: Bidhatee Ky Peechy Namaz ka Hukkam Safa 8 ]

Doosri Kism ke baareme Sahih Tahqeeq yeh hai ke is kism wali bidaati ke peeche Namaz nahi hothi. Ek Shaks ne Khible ke taraf Thuka tha tau Rasul Allah Sallallahu Alai Wasallam ne usey Imaamat se Hatadiya aur farmaya : " Yeh Tumhe Namaz na padaye ". [ Sunan Abu Dawud : 471 – Wa Sanad Hasan; Sahih Ibn Hibbaan # 334]

Jab ek Khata par Imaamat se hatadiya gaya hai tau maalum huwa ke Ghaali bidaati ke peeche namaz nahi padna chahiye. Is Sil sileme Salaf us Saliheen aur Saheeh Ul Aqeedah Ulaama ke 30 hawaale Pesh e Khidmat hai.

  • Imaam Maalik Rahmatullah Alai ne Farmaya :

    " [ Qaadriyah ] Munkireen e Taqdeer ke peeche namaz nahi padni chahiye "

    [ Al Kifaayah Al Khateeb, Safa # 124 – Sanad Saheeh ]

  • Imaam Ahmad bin Hanbal rahmatullah alai se poocha gaya ke " Jise yeh darr ho ke wo Aise Shaks ke peeche namaz padta hai jisey wo nahi jaanta?" Tau Unhone faramaya :

    " Namaz padlen, Fir jab usey maalum hojaaye ke wo [Imaam] bidaati tha tau wo Namaz dubaara paddle”

    [ Masail Saleh bin Ahmad bin Hanbal 25/2, 562 ]

  • Imaam Ahmad bin Hanbal ne farmaya :

    " Quraan Maqlood kahne waale ke peeche namaz nahi pada jaaye "

    [ Masail Ahmad bin Hanbal Ravaayat Ibn Hani ; 1/20 , 295 ]

    Is Tarah ke Mazeed Aqwaal k liye dekhiye : Al Sunnah Al Abdullah bin Ahmad [4], Sharh Mazaahib Ahle Sunnah Laa bin Shaheen [20], Seerat Al Imaam Ahmad Al Saaleh bin ahmad 1/68, Masail Ibn Haani 296, 309, Al Sunnah al Khilaal 137, 785 aur Taariq Al Islam Al Zahabi 18/84 wagairah.

  • Siqah Imaam Salaam bin Abi Matia Al Basri Rahmatullah Alai ne farmaya:

    " Jahmi ke peeche namaz na padi jaaye " [ Masail e Ahmad Rivayat Abu Dawud, Safa # 267 – Wa Sanad Saheeh, Al Sunnah Abdullah bin Ahmad : 9 ] 4) Siqah Imaam Waki Rahmatullah Alai [ Mutawaffi # 197 H ] ne farmaya : " Jahmi ke peeche namaz nahi padi jaaye "

    [ Al Sunnah Al Abdullah bin Ahmad # 33 – Wa Sanad Saheeh ]

  • Siqah Imaam Yazeed bin Haroom Rahmatullah Alai [ Mutawaffi 206 H ] ne farmaya ke Jahmi ke peeche namaz na padi jaaye. Unse Murjiah ke peeche namaz padne ke baareme poochayga ahto aapne farmaya :

    " Beshq wo Khabees hai "

    [ Al Sunnah : 55 – Wa Sanad Saheeh ]

  • Imaam Bukhari Rahmatullah Alai ne farmaya : " Muje koi Parwah nahi ke mai Jahmi ya Rafzi ke peeche namaz padu Ya Yahood wa Nasara ke peeche namaz padu " [ Khalk Afwaal Al Abaad, Safa # 22 ] Malum huwa ke Imaam Bukhari Rahmatullah ke nazdeek Jahmi aur Raafzi ke peeche namaz nahi hothi Jis tarah ke Yahood wa nasaara ke peeche namaz nahi hothi.
  • Ek Aadmi ne Imaam Sufiyan suri Rahmatullah alai ko poocha ke : " Mere ghar ke darwaaze par [ Bilkul kareeb Saamne ] ek Masjid hai jiska Imaam sahab Bidaati hai. Unohne farmaay : " Tu uske peeche namaz na pad. Usne kaha : " Baarish waali raat bhi hothi hai aur mai Boodha aadmi hu. Unhone faramaya : " Tu uske peeche namaz na pad " [ Haaliyat al Auwliya 7/28 – Wa Sanad Hasan ]
  • Imaam Abu Zumarah Anas bin Ayyaz al Madani Rahmatullah Alai [ Mutawaffi 200 H ] ne farmaya : " Jahmi ke peeche namaz na pado "[ Al Sunnah Abdullah bin Ahmad, Safa # 72 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Siqah Aabid Zuhri bin Naeem Albani Rahmatullah alai ne farmaya : " Agar tumhe Yakeen hojaaye ke wo Imaam [ Jahmi ] hai tau namaz dobaara pado, Chaahe Jahmi ho ya doosra koi Namazi ho. [ Al Sunnah Abdullah bin Ahmad, Safa # 1/73 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Imaam Abu Obaid Al Khasim bin Salaam Rahmatulalh Alai ke nazdeek bidaati ke peeche padi huwi namaz dobaara padni chahiye. [ Al Sunnah Abdullah bin Ahmad, 76 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Jab Quraan e Majeed ko Maqlooq kaha jaane laga tau fir Imaam Yahya bin Ma’een apni Namaz e Jumah dubaara padte the " [ Al Sunnah Abdullah bin Ahmad, 76 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Siqah Imaam Ahmad bin Abdullah bin Younus ne farmaya : " jo shaks Quraan ko Makhlookh kahe tau uske peeche namaz nahi padni chahiye " [ Masaail Abu Dawud :: 267 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Imaam Abu Al Hasan Ahmad bin Muhammad bin Saabit bin Usmaan Al Ghazaayi al marwazi Rahmatullah alai ne kalaami baari Taala Ya ALLAH ke Ilm ko Maqlooq kahne waale ke bareme farmaya :" Na uska Janaza pada jaaya aur na uske peeche namaz padi jaaye " [ Al Sunnah Abdullah bin Ahmad, 179 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Imaam Abu Jafar Muhammad Ali bin Al Husain Al Baaqir Rahmatullah alai ne Munkireen e Taqdeer ke baareme Farmaya : " Iske peeche namaz na pado……..jisne aise logonke peeche namaz padi tau usey apni namaz dobaara padni chahiye " [ Al Shariah lil Jaraa # 224, Hadees 495 – Sanad Hasan ]
  • Imaam Lais bin saeed Al masri ne Munkir e Taqdeer ke baareme Farmaya : " Wo Uska Mustahaq nahi ke uski Bimaari Pursi ki jaaye. Uske janaze me Haazri ko napasand kiya jaata hai aur uski Dawat ko Khubul nahi kiyaa jaata. [ Al Shariah lil Jaraa # 227, Hadees 509 – wa Sanad Hasan ]
  • Imaam Abu backr Muhammad bin Al Hasain Rahmatullah alai [ Mutawaffi # 360 H ] ne Khawarij, Qaadiriyah, Murjiah, Jahmi, Mutazila Tamaam Raafzi aur Tamaam Nawasib aur Gumrah Mubtareen [ ka Aqeedah Rakhne waale ] ke baareme farmate hai ke : " isey Salam nahi kahna chahiye aur uske peeche namaz nahi padni chahiye. " [ Al Shariah tabah Muhaqqiq, Safa # 960 Qabl Hadees # 2039 ]
  • Imaam Al Sunnah Ismail bin Muhammad al fazl Al Asbahaani Rahimatullah alai [ Mutawaffi # 535 H ] ne farmaya : " Aur Ashaab e Hadees ke Rayy me Ahle Bidaat ke peeche namaz nahi padni chahiye taake Awaam isey dekh kar kharab na hojaaye " [ al hujjah fi bayan al muhujjah wa sharah aqeedah ahle sunnah 2/508 ]
  • Abu Isaaq Ibraahim bin Al Haaris bin Mus’ab Al Abaadi Rahmatullah alai [ Imaam Ahmad ke nazdeek Pasandeedah ] ne farmaya : " Agar wo Ahle Bidaat me se ho tau usey Salam na kiya jaaye uske peeche namaz na pada jaaye aur na uska Janaza pada jaaye " [ Al Sunnah lil Khilaal 947 – Wa Sanad Saheeh ]
  • Jo Shaks Sifaate Baari Taala ka Iqraar na kare tau uske Baareme Imaam Abu Al Abbas Muhammad Isaaq bin Ibraahim Al Siraah Al Sakhfi Rahmatullah lai [ Mutawaffi 313 H ] ne farmaya : " uska Janaza na pada jaaye " [ Al Uloo Al Alil al Ghaffaar Tasneef Al Hafiz Zahabi, Safa # 156 ; Nuskhah Muhaqqiq 1231/2, Faqrah # 492 – Wa Sanad Saheeh, Mukhtasar Uloo al alee al Ghaffaar ; Safa # 232, Faqrah 282 ; ]
  • Shaikh Abdur Qaadir Jilaani Rahmatullah Alai [ Mutawaffi # 561 H ] ne Quran ko Maqlooq ya Lafzi Ba Al quran Maqlooq kahne waale Bidaati ke baareme farmaya :" Aur iske peeche Namaz nahi padni chahiye " [ Al Ghunya Li-Talibi Tariq al-Haqq 1/58 ]
  • Ghuniya Al Talibain Tarjumah : Mahboob Ahmad 1/104 ] Iske alawa aur bhi bahut se Hawale hai masalan Imaam Zaahira bin Khudaama al sakhfi Rahmatullah alai [ Mutawaffi : 160 H ] kisi Munkare Taqdeer aur kisi Bidaati ko Malum hojaane ke baad hadees nahi padate the. [ Al Jamia La aqlaaq Al Ravi Wa Aadaab Al Saami 1/331; Hadees 750 – Wa Sanad Saheeh ] Imaam Ibn Khuzaimah Rahmatullah Alai ne Farmaya : " Jo shaks Quran ko maqlooq kahe tau uska Janaza nahi padna chahiye aur musalmanonke Qabristaan me Dafan nahi karna chahiye " [ Aqeedah As-sahaab al Hadees Al Sabooni : 7 – Wa Sanad Saheeh ]

AB ASR HAAZIR KE AHLE HADEES ULAMA KE HAWALE PESH E KHIDMAT HAI :

  • Ustaaz e Mohtaram shaikh Badi' ud-Din Shah al-Rashidi rahmatullah Alai ke nazdeek bidaati ke peeche namaz nahi padni chahiye. Dekhiye unki kitaab [ Imaam Sahih ul Aqeedah hona chahiye ].
  • Hafiz Abdullah Bahawalpuri bhi Ghair Ahle Hadees ke peeche Namaz padne ke khayal nahi the, Dekhiye unki ktiaab " AHLE HADEES KI NAMAZ GHAIR AHLE HADEES KE PEECHE ". [ Rasail e Bahawalpuri, Safa # 591, - 622 ]
  • Shaikh Saaleh Bin Fauzaan se poocha gaya ke " Kya aise Imaam ke peeche Namaz padna jayaz hai Jiska yeh Aqidah ho ke Allah Har jagah Maujood hai ?? tau Unhone Jawab diya : " Isey Naseehat ki jaaye hosakta ho ke wo Taubah karle, agar wo Taubah karliya tau uskey Peeche namaz padni chahiye aur agar wo Taubah na kare aur Ddata rahe tau uskey peeche namaz nahi padni chahiye kyunki yeh Jahmi aur Hulooli [ Firqonka ] aqeedah hai aur yeh ALLAH ke saath Kufr hai. " [ Aqeedah Al Haaj fi Zau’aa al kitaab wa al Sunnah, Safa # 33 ]
  • Saudi Shaikh Abdul Azeez bin Abdullah Al Raajih ne faramaya : " Agar Bidaati Ya Faasiq Kufr Akbar yaa Shirk Akbar ki Taraf le jaate ho tau [Uske peeche] namaz sahih nahi hai aur agar Padliye tau Aadah waajib hai.

    Unhone farmaya : " Bidaati Makfoorah waale ke peeche Namaz ke Sahih na hone par Musalmaanonka Ijma hai. [ Sharh Risaalah Kitaab al Imaan 1/253 – Shamela ]

  • Jaamia Islam me Saadiq Aabaad ke Mohtamam aur Shaikh al Hadees aur Usool ke Imaam aur Mashoor Salafi Aalim Haafiz Sanaullah Zehri Hafizullah ke nazdeek bhi Ahle Bidaat ke peeche Namaz nahi hothi.
  • Abu Al Hasan Mubashir Ahmad Rabbani Saheb ka bhi yahi Mauquf hai. [ Dekhiye Apke Masail aur unka Hal Jild # 1, Safa # 151 ]

Akir me arz yeh hai ke Barelviyon aur Deobandiyon ka Hanafi aur Sahih ul Aqeedah hona saabit nahi balke yeh log Maturudi, Jahmi Wajoodi Sufi aur Ghaali Bidaati hai.

Namaz e Jumah ke Haalath me Fauth hojaane wale hafiz Muhammad Khasim Khwajah Abdul Aziz Rahamtullah Alai [ Mutawaffi # 1998 ] ne farmaya :

" Saabit huwa ke Deobandi aur Barelvi Usool me dono ek hai. Inki Ladai Apas me Shareekonki Ladai hai. " [ Markae Haq wa Batil, Safa # 7 ]

Is sil sileme baaz Ahle hadees Ulama Hafiz Abdullah, Mashoor Munazara Shaikh Sana Ullah Amrut Sari, Shaikh Abdul Gaffar Hasan Rahmatullah alai aur Haafiz Abu Muhammad Abdul Sattar al Hammaad [ Fatawa As-Sahaba Al Hadees 2/115 ] wagairah Anhum ke fatwaa Zaat khaziya ke Mazkoorah se Urm e ilm aur Shaaz ke Hukm me hai. Deobandiyonke " Haakim al Ummat " Thanvi sahab ne Ahle Hadees ko " Ahl e Hadees " ke napasandida laqab se Malqab karke fatwa jaari kiya.

" Ahl e Hadees Bahuth tarah ke hai Baaz aise hai unke peeche namaz padna Khilaaf Ahtiyaat ya Makruh ya Baatil hai, Kyunki Pairon Haal Maalum hona Fi Al faur Mushkil hai isliye Ahtiyaat yahi hai ke unke peeche namaz na padi jaaye "

[ Imdaad Al Fataawa Jild # 1, Safa # 249, Jawab Sawal No. : 293 ]

Ahle Hadees ko chahiye ke wo sirf Sahih ul Aqeedah Imaam ke peeche Namaz pade aur apni namazonko Faasir, Ghair Makhloob aur baatil honese bachaaye.

Ghaali Ahle Bidaat se Bughz rakhna Imaan ki nishaani hai aur unke peeche namaz padna uskey Munaafi hai. Nez Arz hai ke Agar Ghaali Mubtareen aur Zaalin mazloon ke peeche namaz hojaati hai tau fir Ahle Hadeesonko apni Alaidah masjide’n banane ki kya Zaroorat hai ?? Subhan ALLAH.

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Nadeem Shaikh (via romanurdu)

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.79, Safa no.31-39]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023