Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelahHafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
Sawal:
Al-Jawab:irshaad Baari Ta'la hai:
iss Ayat e Kareema ki Tashreeh mein imaam ibne jareer Tabari rahimahullah ne farmaya:
iss Ayat e Kareema se Sayyida Ayesha Raziallahu Anha ne istedlaal karke farmaya:
Maloom hua ke sirf Allah Ta'la hi Alimul Ghaib hai , Nez uska ilm har waqt har jagah ko muheet hai , vo " Jamee maakaana wa jamee maa yakoon" ( ’’جمیع ماکان و جمیع ما یکون‘‘ ) kaa ilm jaanta hai aur koi cheez bhi uske ilm se baahar nahi - Nabi Kareem ﷺ ne Farmaya:
Sayyiduna Abdullah bin Umar raziallahu anhu se riwayat hai ke Nabi kareem ﷺ ne farmaya :
Tambeeh: Shaikh Muhammad Naasiruddin Albani rahimahullah ko badi galti lagi ke inhone zikr aur adm-e-Zikr waale falsafe ki roo se iss Hadees ko " Shaaz Aula " Qaraar dekar apne silsila Zaeefa ( 7/348 : Ha : 3335 ) mein Naqal kardiya - jabke unke baraks Shaikh Ahmed Muhammad Shakir al misri rahimahullah ne iss Hadees ke baare mein farmaya : ’’إسنادہ صحیح‘‘ iski sanad Saheeh hai - (Al Musnad ba Tahkeek Ahmed Shaakir : 7/276 ) iss Hadees se Do (2) baatein saaf saabith hain : 1. Nabi kareem ﷺ ko paanch (5) cheezon ki Chaabiyan nahee dee gayi - 2. In paanch cheezon ke alawa har cheez ki Chaabiyan Aap ﷺ ko dedi gayi - Sayyiduna Abdullah bin Masood Raziallahu anhu ne farmaya:
Iss Hadees ke raawi Abdullah bin Salma jamhoor Muhaddiseen ke nazdeek mousiq hone ki wajeh se Sadooq hasanul Hadees hai - ( dekhiye Musnad ul Humaidi batehqiqi ka haashiya : Ha : 57 ) Amro bin marah ki riwayat ki wajeh se ye Hadees Abdullah bin Salma ke ikhtelaat se pehle ki hai - Is silsile mei mufassal dalaail ke liye kutube Hadees ki taraf rujoo farmayein - Ek Ayate Kareema ki tafseer mei Hafiz ibn Kaseer al Dimashkhi rahimahullah ne farmaya :
Allah Taala ne apne Nabi e Kareem ﷺ se Farmaya :
Imaam ibn Jareer rahimahullah ne likha hai :
Ab Sawaal ye hai ke kya Ambiya aur Rasool bhi Allah ta'ala ki ittelaa aur wahee se ba'az Ghaib jaante the..? Toh iske Jawab se pehle Jaleel ul Qadr Mufassireen kiraam aur Ulama e azaam k (10) hawale peshe khidmat hai : Hawala Number 1 : Ahle Sunnat ke mashoor siqa Imaam Abu Jafar Muhammed bin Jareer bin Yazeed ul Tabari Rahimahullah ( mutwafa 310 Hij ) ne Surah Al -Jinn ( Ayat : 26,27 ) ki tafseer mei farmaya :
Hawala Number 2 : Imaam ibn Jareer se taqriban do sadiyan pehle mufssir Quraan Imaam Qatada bin da'ama al basri rahimahullah ( mutwafa : 117 Hij ) ne farmaya :
Hawala Number 3 : Imaam Abu Muhammed Hussain bin Mas'ood ul Baghwi al fira'a rahimahullah ( Mutwafa 516 Hij ) ne Surah Aal-e-Imraan ( Ayat : 179 ) ki tafseer mei farmaya :
Imaam Baghwi ki is tafseer se Saaf sabit ho gaya ke Allah ta'ala ne apne Rasool ﷺ ko Ghaib ( ki khabron ) mei se ba'az ka Ilm ataa farmaya tha - Hawala Number 4 : Imaam Abu Al Hasan Ali bin Ahmed Al Wahdi An nesaboori rahimahullah ( Mutwafa 468 Hij ) ne farmaya :
Hawala Number 5 : Hafiz ibn al Jawzi ( Mutwafa 597 Hij ) ne Farmaya :
Hawala Number 6 : Qaazi Abu Bakr Muhammed bin Abdullah urf ibn ul arabi AlMaalki ( Mutwafa 543 Hij ) ne munafiqeen ka rad karte huye farmaya :
Hawala Number 7 : Abu Abdullah Muhammed bin Ahmed al Qurtubi al Ansari ( Mutwafa 671 Hij ) ne Farmaya :
Nez dekhiye Tafseer Qurtubi : Jild : 8 , Safa : 299 , Surah At - Tauba : 127 ) Hawala Number 8 : Imaam Abu Hayaan Muhammed bin Yousuf al Andalusi ( Mutwafa 745 Hij ) ne Farmaya :
Hawala Number 9 : Hafiz ibn Taimiyyah Rahimahullah ( Mutwafa 728 Hij ) ne ba'az Ambiya ke barei mei Farmaya :
Hawala Number 10 : Hafiz ibn ul Qayyim rahimahullah ( Mutwafa 751 Hij )
Mazeed tafseel ke liye dekhiye Tafseer bezaavi ( 1 /195 ) , Tafseer sa'albi ( 3/219 ) , Irshad ul Qaari Lilqistalaani (186/7 ) , Al Darul Masoon fee uloomul Kitaab ul Maknoon ( 6/399 ), Jalaalain ( Safa : 92 ) Azwa'a ul bayaan ( 2/196 ) aur Al Tafseer ul Sahih lihikmath Basheer ( 4/548 ) wagaira - Hafiz ibn Hajar al asqalaani Rahimahullah ne ek Aayat ki Tafseer mei Farmaya :
Aasaar Salaf Saaliheen , Aayaate Kareema aur Ahadees Sahiha ka is mas'ale mei khulasa darj zel hai : 1 - Sirf Allah hi Aalimul Ghaib hai aur yeh iski Sifate Khaas hai jis mei koi bhi iska sahreek nahi - 2 - jamee'A maakaana wa maayakoon , yaani saara aur kul ilm e Ghaib sirf Allah hi jaanta hai - 3 - Paanch cheezon ( maslan Qiyamath wagaira ) ka ilm sirf Allah ke paas hai aur maqlookh mei se koi bhi in paanch Cheezon ka ilm nahi jaanta - 4 - Rasoolon aur Ambiya'on ko ba'az ilm-e-Ghaib ki it'laa di gayi thi - Rasoolullah ﷺ ke Ilm-e-Ghaib ke barei mei do firkhon ke mut'zaad nazriyaat darj zel hain : 1 - Rasool ﷺ Takmeele Quran ke baad jamee'a maakaana wa Maa yakoon ka ilm baazanAllah jaante hain - Yeh Barelvi Raza Khani ka aqeeda hai - Is nazariye ki koi Sareeh Daleel Quraan , Hadees , ijma'a aur Aasaar e Salaf Saliheen se saabit nahi aur na Takmile Quraan ki mat'een taariq ka ilm kisi Haddes ya khabar mei moujood hai - Is Jawab ke shuru mei guzar chuka hai ke Sayyida Ayesha Siddiqua Raziallahu anhuma ne Farmaya tha :
Ummul momineen Ayesha raziallahu anhuma ye baat masrukh taaba'ee ke samne Farmayi thi , jisse saabit hua ke unka ye Qaoul Rasoolullah ﷺ ki wafaat aur Takmile Quraan ke baad ka hai - 2 - Ba'az log ek falsafa ghadte hai ke jo Ghaib wahee Ya Allah ki taraf se it'laa O akhbaar ke zariye se maloom ho , isei Ghaib nahi kehte , lihaza Nabi ﷺ kisi khism ka Ghaib nahi jaante the balke ek shaks ne mere samne kaha : Rasoolullah ﷺ ek zara barabar Ghaib bhi nahi jaante the - ( Astaghfirullah , ma'az Allah ) Ye baaz mubtida aur jadeed mutkallimeen ka aqeeda hai jis ki koi daleel Quraan , Hadees , ijmaa aur Aasare Salaf Saaliheen mei moujood nahi , balke ye aqeeda sarasar baatil aur Sareeh gumrahi hai - Ba'az Aale Deoband ne Nabi ﷺ ke ilm ki wasiat ka inkaar kiya aur dusri taraf kaha :
Arz hai ke shaitaan aur Malikul Maut ki wus'ate ilm ke barei mei na koi nas Qata'ee hai , na khabr wahid Sahih aur na Aasaar mei se koi Sahih asr , lihaza mazkurah ibarat baatil hai aur Nabi ﷺ ke ilm ka shaitaan ke batil ilm se makhaarna karna Aap ﷺ ki bhot badi touheen hai - Ba'az aale Deoband ne jamee'a haiwanat wa bahayim aur har sabee wa majnoon ke sath baaz ulume Ghaibiya ka intesaab kiya aur Nabi ﷺ ke ilm se tashbihana muqabla kiya - ( dekhiye Ashraf Ali Thanvi ki hifzul imaan ma'a al tehrifaat : 116 , Tib'a Anjuman Irshadul muslimeen Lahore ) Ye saara bayaan batil aur gustakhi hai - in ahle bidat ke muqable mei Ahle Sunnat wal Jamaath (Ahle Hadees) ka aqeedah ye hai ke Rasoolallah ﷺ ko jo ba'az Ghaib Allah ta'ala ne bataya , voh Aap jaante the aur jo nahi bataya vo nahi jaante the - Hafiz ibn Abdul barr rahimahullah ( Mutwafa 463 Hij ) ne ek Hadees ki tashree mei likha :
Abul Waleedul baaji ( Mutwafa 494 Hij ) ne ek Hadees ki tashree mei Farmaya :
Aakhir mei batore faida aur batore Tambiya arz hai ke makhlookh mei se Nabi kareem ﷺ ka ilm sab se zyada hai - Sahaba ikraam ka ye Takiya Kalaam tha aur voh kasrat se Farmaya karte the ke " Allahu Wa rasooluhu a'alam " yaani Allah aur uska Rasool sab se zyada jante hai - Dekhiye Sahih Bukhari ( 53 ,87 , 425 ---7447 ) , Sahih Muslim ( 8 [93] 17 [116] 30 [143]---2969 [7439] ) aur Muwatta Imaam Malik ( 1/192 Ha 452 --- ) Abeed bin Ameer bin Qatada rahimahullah se riwayat hai ke ek din ( Sayyiduna ) Umar Raziallahu anhu ne Nabi ﷺ ke sahaba se kaha :
Yaani saaf saaf Jawab do - isse maloom hua ke Rasoolullah ﷺ ki wafaat ke baad " Allahu Warasooluhu aalam " nahi kehna chahiye balke sirf Allahu aalam kehna chahiye - Mustadrak al Haakim ( Jild : 3 , Safa :543 Ha 6307 , Makhtoota Masoor : Jild : 3 , Safa : 291 ) ki ek riwayat mei ’’اللہُ وَرَسُولُہُ أَعْلَمُ‘‘ (Allahu Warasuluhu aalam) ke alfaz aaye hai aur Haakim ne isei "Sahih ala Shartul Shaikhain " Qaraar diya , lekin iski sanad munqate hone ki wajeh se "Zaeef" hai - iske raavi Abdullah bin Ubaid ullah bin Abi Maleek rahimahullah ki Sayyiduna Umar Raziallahu anhu se mulakaat sabit nahi aur na riwaayat mei ye Saraahat hai ke inhonei isei Sayyiduna Abdullah bin Abbas Raziallahu anhu se suna tha - wallahu aalam Mashoor Ahle Hadees Aalim Hafiz Salahuddin Yousuf Hafizullah ne likha :
In Dalaail se maloom hua ke Allah hi Aalimul Ghaib hai aur wahi Al- Ghaib jaanta hai , Nez Allah ne apne Nabiyon aur Rasoolon ko ba'az Ghaib ki it'laa farmayi thi - Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah Romanised: Irfan Shaik [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.102, Safa no.11, Fatawa ilmia, baab: "Tawheed O Sunnat ke masail"] |
Deegar Mazameen:
1 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
2 | Hadees Se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
3 | Ulama E Haq Se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
4 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
5 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
6 | Quran e Majeed se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
7 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
8 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
9 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
10 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat | الشیخ ابو احمد وقاص زبیرحفظہ اللہ |
11 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
12 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
13 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
14 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
15 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
16 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
17 | Allah ﷻ Se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
18 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat | حافظ شیر محمد الاثری حفظہ اللہ |
19 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
20 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
21 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
22 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
23 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
24 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein | حافظ محمد یونس اثری |
25 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
26 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
27 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
28 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
29 | Fashion Ki laher | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
30 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
31 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
32 | Maahe Muharram Ke Do Rozey | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
33 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
34 | Fazail E Yaum Ul Juma’ | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
35 | Fazail E Salaam | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
36 | Usoole Deen | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
37 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
38 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
39 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
40 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
41 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? | فضیلۃ الشیخ حافظ ندیم ظہیر حفظہ الله |
42 | Namaz e Fajr Ka Waqt | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
43 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
44 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
45 | Walaa Tafarraqoo | فضل اکبر کاشمیری |
46 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
47 | Hidayat Ka Raasta | محدّث العَصر حَافظ زبیر علی زئی رحمہ اللہ |
Maktaba AlHadith Hazro © 2019 - All rights reserved.