Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah)

Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah


الـحـمـد لله ربّ العالمين والصّلاة والسّلام على رسوله الأمين، أما بعد؛

Is zameen par makkah aur madinah wo do azeem shehr hain jin ki muhabbat har us dil mein basi huwi hai jis mein emaan maujood hai, har musalmaan in shehron ko dekh kar apni aankhon ko thandda karne ke liye bechain rehta hai, ahle emaaan hamesha in ki azmat o hurmat ka paas rakhte hain jo aghyaar o kuffaar ko ek aankh nahi bhataa, wo inke taqaddus ko pamaal karne ke liye har tarha ke hathkanday istemaal karte hain, zer e nazr sutoor mein madinah taiyibah ke fazail likhne ka maqsad bhi yehi hai ke ahle islam ke dilo mein in pakeezah shehron ki muhabbat ujagar ho aur aghyaar o kuffaar ki kisi bhi chaal ka kabhi hissah na bane.

YASRIB SE MADINAH:

Madinah taiyibah ko pehle "yasrib" kaha jaata tha, jaisa ke munafiqeen ka qaul bayaan karte huwe Allah ﷻ ne farmaaya:

وَإِذْ قَالَت طَّائِفَةٌ مِّنْهُمْ يَا أَهْلَ يَثْرِبَ لَا مُقَامَ لَكُمْ فَارْجِعُوا

"Aur jab in mein se ek giroh ne kaha: aye ahle yasrib! tumhare liye teharne ki koi surat nahi, pas laut chalo."

(Surah al-Ahzaab: 13)

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

أمرت بقرية تأكل القرى يقولون؛ يثرب، وهي المدينة تنفي الناس كما ينفي الكير خبث الحديد

"Mujhe ek basti ke bareme hukm diya gaya hai jo doosri bastiyon ko khaati (yane un par ghalib aati) hai, log usey yasrib kehte hain aur wo madinah hai (bure) logon ko (yeh basti) is tarha bahar nikaal deyti hai jis tarha bhatti lohe ka rang wagerah bahar nikaal deyti hai."

(Sahih Bukhari: 1871, Sahih Muslim: 1382, Muwatta Imam Malik: 511 aur alfaaz isi ke hai)

Nabi e Kareem ﷺ jab makkah se madinah hijrat kar ke aaye, us ke b'ad se yeh madinah taiyibah ke naam hi se ma'roof hai, ab sirf isi naam se pukaarna chahiye...

MADINAH TAIYIBAH KE LIYE NABI E KAREEM ﷺ KI DUAYEN:

Madinah ki muhabbat ke liye aap ne yun dua farmaayi:

اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة أو أشد

"Aye Allah! hamare dilo mein madinah ki muhabbat makkah jaisi ya us se bhi ziyadah daal dey."

(Sahih Bukhari: 1889)

Madinah ke saa' wa mud mein barkat ke liye yun dua farmaayi:

اللهم بارك لنا في صاعنا وفي مدنا وصححها لنا وانقل حماها إلى الجحفة

"Aye Allah! hamare saa' aur mud (ke paimaano) mein barkat aata farma aur madinah ki faza hamare liye muwaafiq bana dey aur iska bukhaar juhfah muntaqal kar dey."

(Sahih Bukhari: 1889)

Nabi e Kareem ﷺ ne madinah ke liye dugni barkat ki dua yun farmaayi:

اللهم اجعل بالمدينة ضعفي ما جعلت بمكة من البركة

"Aye Allah! madinah mein makkah se dugni barkat aata farmaa."

(Sahih Bukhari: 1885)

MADINAH BEHTAREEN LOGON KA 'UMDAH MASKAN HAI:

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

"Madinah tou zargar ki bhatti ki tarha hai, zangaar aur mail kuchail ko nikaal deyta hai aur 'umdah ko nikhaar deyta hai."

(Sahih Bukhari: 7211, Sahih Muslim: 1383, Muwatta Imam Malik: 85)

Sayyiduna Sufiyaan bin Zuhair Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke maine Rasoolullah ko farmaate huwe suna:

"Yeman fateh hoga, phir ek qaum aayegi (aur madinah se nikal kar) wo apne ghar waalon aur maatehaton ko apne sath ley jaayenge, halanke madinah un ke liye behtar hoga agar wo jaante hote, iraq fateh hoga, phir ek qaum aayegi jo apne ghar waalon aur maatehaton ko ley kar safar karenge, halanke un ke liye madinah behtar hoga agar wo jaante hote aur shaam fateh hoga, phir ek qaum aayegi jo apne ghar waalon aur maatehaton ko ley kar safar karenge aur un ke liye madinah behtar hoga agar wo jaante hote."

(Sahih Bukhari: 1875, Sahih Muslim: 1388, Muwatta Imam Malik: 479)

NABI E KAREEM ﷺ KI MADINAH SE MUHABBAT:

Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ jab safar se wapas taahreef laate aur madine ke dar o diwaar dekhte tou sawaari teez bhagaate aur jis jaanwar par sawar hote usey madine ki muhabbat ki wajah se (teez bhaagne ke liye) harkat deyte. (Sahih Bukhari: 1802)

MADINAH MEIN TA'OON AUR DAJJAAL DAKHIL NAHI HO SAKTE:

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

على أنقاب المدينة ملائكة، لا يدخلها الطاعون ولا الدجال

"Madine ke raaston par farishte hain, is mein ta'oon aur dajjal dakhil nahi ho sakte."

(Sahih Bukhari: 1880, Sahih Muslim: 1379, Muwatta Imam Malik: 270)

MADINE KI MUSEEBATON PAR SABR KARNE KI FAZILAT:

Sayyiduna Zubair Razi Allahu Anhu ke ghulaam Yuhannas Rahimahullah se riwayat hai ke wo Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma ke paas fitney (musalmaano ki baahami jung,) ke daur mein baithay huwe thhey ke un ki ek laundi salaam karne ke liye aayi tou arz kiya: aye Abu Abdur Rahman! main (madine se) nikal jaana chahati hon, hum par halaat bahut sakht hai, Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma ne us se kaha: aye kam-aql! baith, maine Rasoolullah ﷺ ko farmaate huwe suna hai: "Madine ki museebaton aur sakhtiyon par jo bhi sabr karega tou main qayamat ke din us par gawaah ya us ka shifarashi honga." (Sahih Muslim: 1377/482, Muwatta Imam Malik: 406)

MADINAH HARAM HAI:

Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne jab uhad (pahaad) ko dekha tou farmaaya:

هذا جبل يحبنا ونحبه، اللهم! إن إبراهيم حرم مكة وإني أحرم ما بين لابتيها

"Yeh pahaad hum se muhabbat karta hai aur hum is se muhabbat karte hain, Aye Allah! Ibrahim ('alaihis salaam) ne makkah ko haram qaraar diya aur main in do kaali zameeno ke darmiyaan (madinah) ko haram qaraar deyta hon."

(Sahih Bukhari: 3367, Muwatta Imam Malik: 403)

MADINAH KE B'AZ MAQAMAAT KI FAZILAT:

Sayyiduna Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة

"Mere ghar aur mere minbar ke darmiyaan jannat ke baghon mein se ek bagh hai."

(Sahih Bukhari: 1195, Sahih Muslim: 1390, Muwatta Imam Malik: 154)

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة ومنبري على حوضي

"Mere ghar aur mere minbar ke darmiyaan (ki zameen) jannat ke baghon mein se ek bagh hai aur mera minbar mere haous par hai."

(Musnad Ahmed: 465/2,533, Muwatta Imam Malik: 154: Sahih)

UHAD PAHAAD:

Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne jab uhad (pahaad) ko dekha tou farmaaya:

هـذا جـبـل يـحـبـنـا ونـحـبـه

"Yeh pahaad hum se muhabbat karta hai aur hum is se muhabbat karte hain."

(Sahih Bukhari: 3367, Muwatta Imam Malik: 403)


Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Ishaatulhadith Shumarah: 129-132, Page: 126-130]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023