Ulama E Haq Se Muhabbat

Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah


Allah ﷻ ka irshaad hai:

يَرْفَعِ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا مِنكُمْ وَالَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ دَرَجَاتٍ ۚ

"Tum mein se emaan waalon aur ilm waalon ke darje, Allah buland farmayega."

(Surah al-Mujaadila: 11)

Maloom huwa ke Ahle Emaan Ulama (Ulama e Haq) ko 'aam Momineen wa Muslimeen par bartari wa fazilat haasil hai, Allah ﷻ ne farmaaya:

إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ

"Allah se us ke bando mein sirf Ulama hi (sab se ziyadah) dartey hain."

(Surah Faatir: 28)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

إن الله يرفع بهذا الكتاب أقواما ويضع به آخرين

"Is kitaab (Qur'an) ke (ilm wa amal ke) sath, Allah ﷻ kuch logon ko (fazilat ke sath) utthayega aur kuch ko gira deyga."

(Sahih Muslim: 269/816 Wa Tarqeem Darussalaam: 1897)

Aap ﷺ ne farmaaya:

فضل العالم على العابد كفضلي على أدناكم

"Jis tarha mujhe tum logon par fazilat haasil hai, isi tarha (har) aalim ko (har) 'aabid par fazilat haasil hai."

(Sunan Tirmizi: Hadees 2685 Wa Qaal: "Hasan Ghareeb Sahih" az-Waa ul Masabeeh: 213 Wa Qaal: Isnadahu Hasan)

Nabi e Kareem ﷺ farmaatey hain:

ليس منامن لم يجل كبيرنا ويرحم صغيرنا ويعرف لعالمنا حقه

"Jo shakhs hamare badon ki izzat na karey, choton par raham na karey aur hamare (ahle haq) aalim ka haq na pehchaane, wo hum mein (ahle haq mein) se nahi hai."

(Mushkil ul Aasaar Lit Tahaawi: 2/133 Hadees 180 Wa Sanadahu Hasan)

Aap ﷺ ka irshaad hai:

الــبــركــة مــع أكــابــركــم

"Barkat tumhare akaabir ke sath hai."

(al-Mustadrak Lil Haakim 1/62 Hadees 210, Ithaaf al-Maharah 7/601 Hadees 8563, Shob ul Emaan: 11005, Wa Sanadahu Sahih)

In dalaayil se maloom huwa ke ahle haq (ahle sunnat, ahle hadees) Ulama ko aam musalmaano par fazilat haasil hai lehaza un ka ahteraam karna zaroori hai.

Tawoos taba'yee farmaatey hain:

من السنة أن يو قرأربعة؛ العالم وذو الشيبة والسلطان والوالد، قال؛ ويقال؛ إن من الجفاء أن يدعو الرجل والده باسمه

"Sunnat yeh hai ke chaar aadmiyon ki izzat o ahteraam (khaas taur par) karna chahiye (1) Aalim (2) Umar raseedah buzrug (3) Haakim (4) aur Waalid, kaha jaata hai ke yeh zulm (aur gunaah) mein se hai ke beta apne baap ka naam ley kar pukaarey."

(Musannaf Abdur Razzaq: 11/137 Hadees 21033 wa Sanadahu Sahih)

Sahaba E Kiraam Nabi ﷺ ka bahut ziyadah ahteraam kartey thhey, Aap ke saamney is tarha baithtey goya un ke saron par parindey baithay huwe hain. (Sunan Abi Dawood: 3855, Isnadahu Sahih, Imam Tirmizi 2038 aur Imam Haakim ne 4/399 Sahih kaha aur Imam Zehbi ne muwafaqat ki)

Qaazi Fuzail bin 'Ayaaz Rahimahullah farmaatey hain:

عالم عامل معلم يدعى كبيرًا في ملكوت السموات

"Aalim ba-amal, mu'allim aasmaano ki mamlukat mein bada samjha jaata hai."

(Sunan Tirmizi: 2685 wa Sanadahu Sahih)

Darj bala digar nusoos shara'iyah ko mad e nazr rakhte huwe awaam ke liye chand ahem baaten paish e khidmat hain:

(1) Har 'aami la-ilm par zaroori hai ke wo Sahih ul Aqeedah Ulama e Haq mein se, 'aalim ba-amal ka inteqaab kar ke us ke paas jaaye aur mas'ala pouchey.

(2) Ulama e Soo se bachna waajib hai kiyunke Nabi ﷺ ne farmaaya:

من وقر صاحب بدعة فقد أعان علٰی هدم الأسلام

"Jis ne kisi bid'aati ki ta'zeem (wa izzat) ki tou us ne Islam ke giraaney mein madad ki."

(Kitaab as-Shari'ah Lil Ajuri: Page 962, Hadees: 2040, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu farmaatey hain:

إنكم في زمان؛ الصلٰوة فيه طويلة والخطبة فيه قصيرة وعلماءه كثير وخطباءه قليل، وسيأتي عليك زمان؛ الصلٰوة فيه قصيرة والخطبة فيه طويلة، خطباءه كثير وعلماءه قليل

"Tum aise zamane mein ho ke (jummah ki) namaz lambi aur khutba chota (mukhtasar) hota hai, Ulama ziyadah hain aur (qissah go) khateeb hazraat kam hain aur tujh par ek aisa zamana aayega ke (jummah ki) namaz mukhtasar aur khutba lamba hoga, (qissah go) khateeb hazraat ziyadah honge aur (haqeeqi) Ulama kam honge."

(al-Maujam ul Kabeer Lit Tabrani: Jild 9, Page 113, Hadees: 8567, Wa Sanadahu Sahih)

(3) Aalim se intehaayi ahteraam aur adab se sawaal kiya jaye ke Kitaab o Sunnat aur dalaayil se jawaab den.

(4) Aalim ka naam ley kar pukaarney ke bajaye "Shyakh Sahaab" wagerah ke alfaaz e adaab istemaal kiye jayen, Yahya bin Yamar (tabayee) ne jab "Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma se masla pouchaa tha tou farmaaya: Aye Abu Abdur Rahman." (Sahih Muslim: 8/93) yane aap ka naam leyne se ijtenaab kiya.

(5) Aalim ke saamneu hasney, aankh maarney aur shor machaney se mukammal ijtenaab kiya jaye, Abdur Rahman bin Mehdi ki majlis mein ek aadmi hans pada tou unhon ne farmaaya: "main tumhen ek mahina hadeesen nahi sunaoga." (al-Jamia Lil Akhlaaq al-Rawi wa Aadaabi al-Saami' Lil Khateeb: Jild 1, Page 193, Hadees 325, Wa Sanadahu Sahih)

(6) Ulama e Haq Rasoolullah ﷺ ke Sahih Waaris aur Auliya Allah hain. Ameer ul Momineen fil Hadees Imam Bukhari Rahimahullah farmaatey hain:

وأن العلماء هم ورثة الأنبياء، ورثوا العلم

"Aur beshak Ulama: Anbiyaa ke waaris hain, unhon ne ilm ka warsa paya hai."

(Sahih Bukhari, Kitaab al-Ilm, Baab 10, Hadees 68 se pehle)

(7) Ulama e Haq se dushmani aur bughz nahi rakhna chahiye, Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

إن الله قال؛ من عادىٰ لي وليا فقد آذنته بالحرب

"Beshak Allah ne farmaaya: jis shaksh ne mere kisi wali (dost) se dushmani rakhi tou main us shaksh ke khilaaf aylaan e jung karta hon."

(Sahih Bukhari: 6502)

Imam Malik Rahimahullah farmaatey hain ke chaar aadmiyon se ilm haasil nahi karna chahiye: 1) Bewaqoof, jis ki bewaqoofi aylaaniya ho, 2) Kazzaab, 3) Bid'aati jo apni bid'at ki taraf dawat deyta ho 4)Nek aadmi jise hadees ka kuch bhi pata na ho." (Kitaab al-Zuaafa Lil Oqaili: 1/13 Wa Sanadahu Sahih)

Aakhir mein dua hai ke Allah Ta'ala hamare dilo mein Ulama e Haq ki muhabbat bhar dey. Aameen.


Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah

Tehqeeq wa Takhreej: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.4, Safa no.45-47]

[Fazail E Sahabah, Safa no.139-142]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023