Walidain Se Muhabbat

Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah


Allah ﷻ farmaata hai:

وَاعْبُدُوا اللَّهَ وَلَا تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا ۖ وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا

"Allah ki ibadat karo aur uske sath kisi ko shareek na karo aur (apne) walidain se ahsaan (nek sulook) karo."

(Surah an-Nisaa: 36)

Irshaad E Bari Ta'ala hai:

وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا

"Aur hum ne insaan ko apne walidain ke sath ahsaan (nek sulook) ka hukm diya hai."

(Surah al-Ahqaf: 15)

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai:

Maine Nabi ﷺ se pouchaa ke Allah ke nazdeek kaunsa kaam sab se ziyadah pasandeedah hai? farmaaya: namaz apne (awwal) waqt par padhna (maine) pouchaa: phir kaunsa amal (pasandeedah) hai? farmaaya: walidain se neki karna, pouchaa: phir kya hai? farmaaya: Allah ke raastey mein jihaad karna.

(Sahih Bukhari: 527, Muslim: 85)

Allah ﷻ ka irshaad hai:

وَإِن جَاهَدَاكَ عَلَىٰ أَن تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا ۖ وَصَاحِبْهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا

"Agar wo (tere walidain) mere sath shirk karne ke liye jis ka tere paas ilm nahi tujhe majboor karen tou unki ittaa'at na kar aur duniya mein un ke sath achchey tareeqe se reh."

(Surah Luqman: 15)

Is ayat se teen masaley maloom huwe:

(1) Shirk karna haraam hai.

(2) Allah aur Rasool ﷺ ki nafarmaani mein walidain ki koi ittaa'at nahi hai.

(3) Jo baat Kitaab o Sunnat ke khilaaf nahi hai us mein walidain ki ittaa'at karni chahiye.

Nabi ﷺ ne Abdullah bin 'Amr bin al-'Aas Razi Allahu Anhuma ko hukm diya tha:

أطع أباك مادام حياً ولا تعصه

"Jab tak tumhara baap zindah hai us ki ittaa'at karo aur us ki nafarmani na karna."

(Musnad Ahmed 2/165 Hadees 6538 Wa Sanadahu Sahih)

In tamaam dalaayil ke khilaaf munkir e hadees parvez sahaab likhte hain: "teesra afsana: maa baap ki ittaa'at farz hai. is silsile mein ek afsana yeh bhi hai ke maa baap ki ittaa'at farz hai." (Alamgeer Afsane: Page 17, Published: Idaarah Tuloo' e Islam Gulbarga) Parvez ki is baat ka baatil hona har musalmaan par waazeh hai. Walhumdulillah

Tambeeh: Kitaab o Sunnat ki mukhalifat mein walidain hon ya hukmaraan ya koi bhi, kisi ki ittaa'at nahi karni chahiye.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

لاطاعة في معصية الله، إنما الطاعة في المعروف

"Allah ki nafarmaani mein (kisi ki) koi ittaa'at nahi hai, ittaa'at tou ma'roof (Kitaab o Sunnat ke mutaabiq kaam) mein hai."

(Sahih Muslim: 1840, Darussalaam: 4765, Sahih Bukhari: 7257)

Ek riwayat mein aaya hai:

رضى الرب في رضى الوالد و سخط الرب في سخط الوالد

"Rab ki raza walid ki raza mein hai aur Rab ki naraazi, walid ki naraazi mein hai."

(Tirmizi: 1899 Wa Sanadahu Sahih, Ibne Hibbaan, al-Muwarid: 2026, al-Haakim Fee al-Mustadrak: 4/151,152 Hadees 7249 aur Sahih Muslim ki Shart par Sahih kaha aur Imam Zehbi ne Muwafaqat ki)

Ek aadmi ne Rasoolullah ﷺ se pouchaa ke main kis ke sath achchaa bartaao karon? farmaaya: apni maa ke sath, pouchaa; phir kis ke sath? farmaaya:

Apni maa ke sath, pouchaa; phir kis ke sath? farmaaya; apni maa ke sath, usne pouchaa: phir kis ke sath? aap ne farmaaya: phir apne baap ke sath.

(Sahih Bukhari: 5971, Muslim: 2548)

Jaahima as-Sulami Razi Allahu Anhu ko Aap ﷺ ne hukm diya:

فالز مهافإن الجنة تحت رجليها

"Pas apni maa ki khidmat lazim pakdo, kiyun ke jannat us ke qadmo ke neechey hai."

(Sunan Nasaayi: 6/11, Hadees: 3106 Wa Isnadahu Sahih)

Maa baap ki ma'roof (Kitaab o Sunnat ke mutaabiq baaton) mein nafarmani kabeerah gunaah hai.

Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ se kabeerah gunaahon ke bareme pouchaa gaya tou aap ne farmaaya:

لأشراك بالله وعقوق الوالدين وقتل النفس و شهادة الزور

"Allah ke sath shirk karna, walidain ki nafarmaani karna, kisi (be-gunaah) insaan ko qatl karna aur jhooti gawaahi deyna."

(Sahih Bukhari: 2653, Muslim: 88)

'Amir bin Malik al-'Aamari Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:

من أدرك والديه أو أحدهما ثم دخل النار من بعد ذلك فأبعده الله وأسحقه

"Jo shakhs apne walidain ya un mein se ek (walid ya walidah) ko (zindah) paaye phir us ke b'ad (un ki khidmat na karne ki wajah se) jahannum mein daakhil ho jaye tou Allah ne usey apni rahmat se door kar diya hai aur wo us par naraz hai."

(Musnad Ahmed: 4/344, Hadees 19236 Wa Sanadahu Sahih)

Khulasah:

Walidain ke sath husn e sulook aur ma'roof mein unki ittaa'at farz hai, apne Rab ko razi karne ke liye apne walidain se muhabbat karen, jihaad agar farz e 'aieen na ho tou walidain ke liye chhora jaa sakta hai.


Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah

Tehqeeq wa Taqreej: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara: 8, Safa: 47-48, Fazail E Sahabah: Safa: 150-153]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024