Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat


Rasoolullah (ﷺ) ne khaibar waaley din farmaaya:

لأعطين هذه الراية غداً رجلاً يفتح الله على يديه، يحب الله و رسوله ويحبه الله و رسوله

"Main kal zaroor us aadmi ko jhandaa dunga, jis ke haath par Allah fateh deyga, wo Allah aur uske Rasool se muhabbat karta hai aur Allah aur uske Rasool (Muhammadﷺ) us se muhabbat kartey hain. Jab subh huwi tou sab log sawere sawere hi Rasoolullah (ﷺ) ke paas pohanch gaye, har aadmi yeh chaahaata tha ke usey jhandaa miley, Aap (ﷺ) ne pochaa: 'Ali bin abi taalib kahan hain? logon ne jawaab diya: Ya Rasoolullah! wo aankhon ke dard mein mubtalaa hain. Aap ne farmaaya: unhein bulaa laao, jab (Sayyiduna) 'Ali (Razi Allahu Anhu) aaye tou Aap (ﷺ) ne un ki aankhon mein apna lu'aab e mubaarak daala tou wo (fauran) is tarha theek hogaye jaise kabhi bimaar hi nahi thhey, Aap (ﷺ) ne (Sayyiduna) 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko jhandaa diya aur farmaaya: Allah ki qasam agar teri wajah se ek aadmi bhi hidaayat par aajaye tou tere liye yeh maal e ghanimat ke surq ounton se behtar hai."

(Saheeh Al-Bukhaari: 2942 wa Sahih Muslim: 34/2406)

Allah Ta'ala ne ghazwa e khaibar mein 'Ali Razi Allahu Anhu ke haath par musalmaano ko fateh naseeb farmayi, Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ka kitnaa bulanad maqaam hai ke Allah aur Rasool un se muhabbat kartey hain.

Mashoor Jaleel Ul Qadr Sahabi aur Faatih e Qadisiyyah Sayyiduna S'ad Bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu farmatey hain: Rasoolullah (ﷺ) ne 'Ali (Razi Allahu Anhu) se farmaaya:

أنت مني بمنزلة هارون من موسى، ألا أنه لا نبي بعدي

"Teri mere saath wahi manzilat hai jo Haroon ki Musa ('aalaihis salaam) se hai illa yeh ke mere ba'd koi nabi nahi hai."

(Saheeh Al-Bukhaari: 3706 wa Muslim: 30/2404)

Is hadees se Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ka 'azeemush-shaan hona saabit hota hai lekin yaad rahe ke is ka khilaafat se koi ta'alluq nahi hai, is hadees se bhi saabit hota hai ke Nabi e Kareem (ﷺ) ke ba'd qayaamat tak koi nabi paidaa nahi hoga.

Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu farmatey hain ke us zaat (Allah) ki qasam hai jis ne daana phaada (fasl ugayi) aur makhloqaat paidaa kiyen, mere saath Nabi e Ummi (ﷺ) ne wa'dah kiya tha tha ke mere ('Ali Razi Allahu Anhu ke) saath muhabbat sirf momin hi karega aur (mujh se) bugz sirf munafiq hi rakkhega." (Saheeh Muslim: 78/131)

Ma'loom huwa ke Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu se momineen muhabbat kartey hain aur bugz karney waaley munafiq hain, tamaam Ahle Sunnat Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu se muhabbat aur piyaar kartey hain.

Yaad rahe ke muhabbat ka yeh matlab qata'an nahi hai ke aadmi aap ka darjah badhaa kar mushkil kusha aur haajat rawa bana dey ya aap ke 'azeemush-shaan saathiyon aur Sahaba e Kiraam ko buraa kehna shuru kar dey, Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ne apne barey mein khoob farmaaya hai ke:

"Mere barey mein do (qism ke) shakhs halaak ho jayenge:

  1. Ghali (aur muhabbat mein na-jayiz) ifraat karney waala, aur

  2. Bugz karney waala hujjat baaz."

(Fazail E Sahabah Lil Imam Ahmed 2/571 Hadees 964 wa Isnaadahu Hasan/al-Hadees: 4 safa 15)

Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ka doosra qaul yeh hai ke:

"ek qaum (logon ki jamaa'at) mere saath (andhaa dhund) muhabbat kareygi hattaa ke wo meri (ifraat waali) muhabbat ki wajeh se (jahannum ki) aag mein dakhil hogi aur ek qaum mere saath bugz rakkhegi hattaa ke wo mere bugz ki wajeh se (jahannum ki) aag mein dakhil hogi."

(Fazail E Sahabah 2/565 Hadees 952 wa Isnaadahu Sahih, wa Kitaabus Sunnah Li Ibne Abi 'Aasim: 983 wa Sanadahu Sahih/al-Hadees: 4 safa 15)

Chunke in dono aqwaal ka ta'alluq ghaib se hai lehaza yeh dono aqwaal hukman marfoo' hain yane Rasoolullah (ﷺ) ne 'Ali Razi Allahu Anhu ko yeh baaten batayi hoon gi. Wallahu'Aalam

Ma'loom huwa ke do qism ke qiroh ho jaayenge:

  1. Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu se andhaa dhund muhabbat kar ke aap ko khuda, mushkil kusha aur haajat rawa wagera samahjne waaley ya doosrey Sahaba e Kiraam ko bura kehney waaley log masalan ghali qism ke rawafiz wagera.

  2. Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ko bura kehney waaley log maslan khawarij wa nawaasib wagera.

Tambeeh: Hakeem faiz 'aalam siddiqee (naasbi) wagera ne Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ki shaan mein jo ghustakhiyan ki hain in se tamaam ahle hadees bariyuz-zimmah hain, ahle hadees ka naasbiyon aur raafziyon se koi ta'alluq nahi hai, ahle hadees ka raastah Kitaab o Sunnat waala raastah hai yehi Ahle Sunnat hain.

Sayyiduna Ameer ul Momineen 'Umar Razi Allahu Anhu ne farmaaya ke Nabi (ﷺ) ne is haalat mein wafaat paayi ke Aap (ﷺ) 'Ali, 'Usmaan, Zubair, Talhah, Sa'd (bin abi waqaas) aur 'Abdur Rahman (bin awf) (Razi Allahu Anhum Ajma'een) se razi thhey. (al-Bukhaari: 3700)

Sayyiduna Sa'd Bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu farmatey hain:

"Jab aayat "Hum apni aulaad ley aayen aur tum apni aulaad ley aao."(Aal 'Imraan: 61) nazil huwi tou Rasoolullah (ﷺ) ne 'Ali, Fatima, Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhum) ko bulaaya, phir farmaaya: "Aye Allah! yeh mere ahl (ahle bait) hain."

(Sahih Muslim: 32/2404 Darussalaam: 6220)

Sayyidah 'Aayisha Siddiqa Radhi Allahu Anha farmaati hain ke Nabi (ﷺ) ne chaadar ke nichey Fatima, Hasan, Husain aur 'Ali (Razi Allahu Anhum) ko dakhil kar ke farmaaya: "Allah sirf yeh chaahaata hai ke ahle bait tum se najaasat door kardey aur tumhen khoob paak wa taahir kardey."(al-Ahzaab: 33) (Sahih Muslim: 2424)

In sahih ahaadees se Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ki badi fazilat saabit hai, yaad rahe ke Ummahaat ul Momineen bhi ahle bait mein shaamil hain, Sayyiduna Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu farmaatey hain ke: "Aap (ﷺ) ki biwiyaan aap ke ahle bait mein se hain." (Sahih Muslim: 2408 Darussalaam: 6225)

Umoom e Qur'an bhi isi ka muayyid hai.

Sayyiduna 'Imraan bin Haseen Razi Allahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi (ﷺ) ne farmaaya:

إن علياً مني وأنا منه وهو ولي كل مؤمن

"Beshak 'Ali mujh se hain aur main un se hoon aur momin ke wali hain."

(al-Tirmizi: 3712 wa Isnaadahu Hasan)

Yane Rasoolullah (ﷺ) 'Ali Razi Allahu Anhu se muhabbat kartey hain aur 'Ali Razi Allahu Anhu aap se muhabbat kartey hain, har momin 'Ali Razi Allahu Anhu se muhabbat karta hai.

Sayyiduna Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi (ﷺ) ne farmaaya:

من كنت مولاه فعلي مولاه

"Jis ka main maulaa hoon tou 'Ali us ke maulaa hain."

(al-Tirmizi: 3713 wa Sanadahu Sahih)

Lughat mein muqlis dost ko bhi maulaa kehtey hain. (dekhe al-Qamoos ul Waheed safa 1900)

Nabi e Kareem (ﷺ) ne Zaid bin Haaris Razi Allahu Anhu se farmaaya:

أنت أخونا و مولانا

"Tu hummara bhai aur hummara maulaa hai."

(Saheeh al-Bukhaari: 2699)

Aap (ﷺ) ne Sayyiduna Julaibib Razi Allahu Anhu ke barey mein farmaaya:

هذا مني وأنا منه

"Yeh mujh se aur main is se hoon."

(Sahih Muslim: 131/2472 Darussalaam: 6358)

Ba'z rawafiz ka hadees e wilaayat se Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ki khilaafat e bila-fasl ka d'awaa karna in dalayil e saabiqah wa digar dalayil ki ru se batil hai.

Ek da'fah Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu bimaar hogaye tou Nabi e Kareem (ﷺ) ne aap ke liye dua farmaayi:

اللهم عافه أو اشفه

"Aye Allah ise 'aafiyat ya shifaa 'aata farma" Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu farmatey hain: main is ke ba'd kabhi bimaar nahi huwa."

(Sunan al-Tirmizi: 3564 wa Qaal: "haza hadees hasan sahih" wa Isnaadahu Hasan)

Mashoor Tabayee' Abu Ishaaq as-Sabee' Rahimahullah farmaate hain:

"Maine aap (ameer ul momineen 'Ali Razi Allahu Anhu) ko minbar par khadey dekha, aap ka sar aur daadhi safeed thi."

(Kitaabul Marifati wat Taareekh Lil Farisi 2/621 wa Sanadahu Sahih, Tareekh E Damishq 17/45 Musannaf 'Abdur Razzaq 3/188,189 Hadees 5267)

Is se ma'loom huwa ke baalon ko mehandi ya surq rang lagana waajib (farz) nahi hai.

Sayyiduna Abu Bakr Siddiq Razi Allahu Anhu ne farmaaya:

ار قبوا محمداً ﷺ في أهل بيته

"(Sayyiduna) Muhammad (ﷺ) ki razaamandi aap ke ahle bait (ki muhabbat) mein talaash karo."

(Sahih al-Bukhaari: 3713)

Yane jo shaksh Sayyiduna 'Ali, Sayyiduna Husain, Sayyiduna Hasan aur tamaam Sahaba e Kiraam se muhabbat karta hai tou qayaamat ke din wo Nabi e Kareem (ﷺ) ka saathi hoga.

Sayyiduna Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu ne farmaaya:

"Sab se pehle ('Ali Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe thhey, Ibrahim an-Nakha'i (taba'yee sagheer) ne Sahabi e Rasool ke is qaul ka inkaar kartey huwe kaha ke sab se pehle Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe thhey."

(al-Tirmizi: 3735 wa qaal: "haza hadees hasan sahih" wa Sanadahu Sahih)

Yane bachchon mein sab se pehle Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe aur mardon mein Sayyiduna Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) sab se pehle musalmaan huwe thhey. Wallahu'Aalam

Sayyiduna 'Abdullah bin 'Abbas Razi Allahu Anhu farmatey hain ke:

أول من أسلم علي رضي الله عنه

"Sab se pehle 'Ali (Razi Allahu Anhu) musalmaan huwe thhey."

(Ma'jam us-Sahabah Lil Baghawi jild 4 safa 357 Hadees 1810 wa Sanadahu Sahih)

Urwah (bin az'Zubair, Taba'yee Rahimahullah) farmatey hain ke:

"Ali (Razi Allahu Anhu) aath (8) saal ki 'umar mein musalmaan huwe thhey."

(Ma'jam us-Sahabah Lil Baghawi jild 4 safa 357 Hadees 1810 wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna 'Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu farmatey hain ke:

كنا نتحدث أن أفضل (أقضى) أهل المدينة علي بن ابي طالب

"Hum baaten kartey thhey ke ahle madinah mein sab se afzal(أقضى) 'Ali bin abi taalib hain."

(Fazail E Sahabah Lil Imam Ahmed 2/604 Hadees 1033 wa Sanadahu Sahih)

Ghazwa e khaibar ke mauqe' par yahoodi ki lalkaar ka jawaab detey huwe Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ne farmaaya:

أنا الذي سمتني أمي حيدرة

"Mera naam meri maa ne haydar rakkha hai, main wo (haydar/sher) hoon."

(Sahih Muslim: 1807 Darussalaam: 478)

Phir aap ne marhab yahoodi ko qatl kar diya aur fateh khaibar aap ke haath par huwi.

Sayyiduna Abu Huraira (Razi Allahu Anhu) se riwaayat hai:

"Rasoolullah (ﷺ) Abu Bakr, Umar, Usmaan, Ali, Talha aur Zubair (Razi Allahu Anhum) hira (pahaad) par thhey ke wo (zalzaley ki wajah se) hilney laga tou Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya: ruk jaa, is waqt tere oopar Nabi, Siddiq aur Shaheed (hi) khadey hain."

(Sahih Muslim: 417 Darussalaam: 6247)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

من أذى علياً فقد أذاني

"Jis ne 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko takleef di us ne mujhe takleef di."

(Fazail E Sahabah/Ziyadaat al-Qatiyee: 1078, wa Sanaduhu Hasan, wa Lahu Shahidun Inda Ibne Hibbaan, al-Mawarid: 2202 wal Haakim 3/123 Aw Sahahahu wa Wafaqahu Zehbi)

Ek da'fah (ba'z) logon ne (Sayyiduna) 'Ali Razi Allahu Anhu ki shikayat ki tou Rasoolullah ﷺ ne khutbah irshaad farmaaya:

أيها الناس لا تشكوا علياً فو الله إنه لأخشن في ذات الله أو في سبيل الله

"Logon! 'Ali ki shikayat na karo, Allah ki qasam beshak wo Allah ki zaat ya Allah ke raasthe mein bahut ziyadah khashiyat (khauf) rakhtey hain."

(Musnad Ahmed 3/86, wa al-Haakim 3/134 wa Wafaqahu Zehbi wa Sanaduhu Hasan)

Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu ne farmaaya: Mujhe umeed hai ke Main, Usmaan, Talha aur Zubair (Razi Allahu Anhum) un logon mein honge jin ka zikr Allah ne (Qur'an e Majeed mein) kiya hai:

وَنَزَعْنَا مَا فِي صُدُورِهِم مِّنْ غِلٍّ إِخْوَانًا عَلَىٰ سُرُرٍ مُّتَقَابِلِينَ

"Aur un logon ke dilon mein jo kudoorat hogi hum usey nikaal denge aur wo chaar paayon par, bhai baney huwe ek doosrey ke saamney baithey honge."

(Fazail E Sahabah/ Ziyadaat al-Qatiyee: 1057 wa Sanaduhu Sahih)

Abu Ishaaq as-Sabi'ee farmaatey hain:

رأيت علياً....ضخم اللحية

"Maine 'Ali (Razi Allahu Anhu) ko dekha, aap ki badi aur ghani daadhi thi."

(Tabqaat Ibne Sa'd 3/25 wa Sanaduhu Sahih, Yunus Bin Ibi Ishaaq Bari Min al-Tadlees)

Imam Ahle Sunnat Ahmed bin Hanbal Rahimahullah farmaatey thhey:

ماجاء لأحد من أصحاب رسول الله ﷺ من الفضائل ماجاء لعلي بن أبي طالب رضي الله عنه

"Jitney fazail 'Ali Bin Abi Taalib Razi Allahu Anhu ke (ahadees mein) aaye hain utney fazail kisi doosrey Sahabi ke nahi aaye."

(Mustadrak al-Haakim 3/ 107,108 Hadees 4572 wa Sanaduhu Hasan)

Mukhtasar yeh ke Sayyiduna 'Ali Razi Allahu Anhu badri, Min as-Sabeeqina awwaleen, Ameer ul Momineen Khalifah e Rashid aur khalifah e Chaharum thhey, aap ke fazail beshumaar hain jin ke ihaatey ka yeh mukhtasar mazmoon mutahammil nahi hai.

Imam Abu Bakr Muhammad Bin Husain al-Ajurri Rahimahullah (died 360 hijri) farmaatey hai:

"Jaan lo, Allah hum aur tum par raham karey, beshak Allah kareem ne Ameer ul Momineen 'Ali Bin Abi Taalib Razi Allahu Anhu ko alaa fazilat aata farmaayi, khair mein aap ki paish e qidmiaan azeem hain aur aap ke manaqib bahut ziyadah hain, aap azeem fazilat waaley hain, aap jaleel ul qadr, aali martabah aur badi shaan waaley hain, Aap Rasoolullah ﷺ ke bhai aur chacha-zaad, Hasan wa Husain ke aba, musalmaano ke mard e maidaan, Rasoolullah ﷺ ka difaa' karney waaley, humpalla logon se ladney waaley, Imam, Adil, Zahid, duniya se be-niyaaz (aur) aakhirat ke talab-gaar, mutabi' e haq, batil se door aur har behtareen akhlaaq waaley hain, Allah wa Rasool aap se muhabbat kartey hain aur aap Allah wa Rasool se muhabbat kartey hain, aap aise insaan hain ke aap se muttaqi momin hi muhabbat kartey hai aur aap se sirf munafiq bad-naseeb hi bughz rakhta hai, aql, ilm, burdbaari aur adaab ka khazana hain, Razi Allahu Anhu."

(ash-Shari'ah Page No: 714,715)

Aye Allah! hummare dilo ko Sayyiduna Abu Bakr, Sayyiduna Umar, Sayyiduna Usmaan, Sayyiduna 'Ali aur tamaam Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmayeen ki muhabbat se bhar dey. Aameen.


Author: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.17, Safa no.47 aur Shumara no.18, Safa no.46]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024