Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain


Allah(ﷻ) farmata hain:

"Beshak Ahle Emaan bhai bhai hain lehaza apne dono bhaiyon ke darmiyaan sulah kara dou aur Allah sey dartey raho taake tum par raham kiya jaye." "Aye Emaan walon! koi qaoum kisi dusri qaoum ka mazaak na udayen, ho sakta hain ke wo un sey behtar ho aur auraten dusri auraton ka mazaak na udayen, ho sakta hain ke wo un sey behtar ho, tum ek dusre par aaib na lagaon aur na bure alqaab sey kisi ko pukaron, emaan laaney ke baad fasiq hona behat bura naam hain aur jo log tawba nahi karenge wahi zalim hain." "Aye Emaan walon! behat si badgumaniyon sey door raho, beshak baaz badgumaniyan gunha hain, ek dusre ki jasusi na karo aur ek dusre ki gheebat na karo, kya tumme sey koi shaksh apne murda bhai ka gosht khana pasand karta hain? tum tou us sey bura samahjte ho! aur Allah sey dartey raho, beshak Allah(ﷻ) tawba qubool karne waala hamesha raham karne waala hain." "Aye logon! humne tumhe ek mard aur ek aurat sey paida kiya aur muqtalif qaoumen aur qabiley bana diye hain taake tum ek dusre ko pehchaan sako, Allah ke darbar mein tumme sey sab sey ziyada izzat waala wo hain jo sab sey ziyada muttaqi hain, beshak Allah jaanney wala (aur har cheez se) bakhabar hain."

(Suratul Hujraat: 10-13)

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:

"Musalmaan musalmaan ka bhai hain, na wo us par zulm karta hain aur na zulm honay deyta hain, jo aadmi apne bhai ki zarorat puri karega tou Allah us ki zarorat puri karega, jo kisi musalmaan (bhai) ki musibat door karega tou Allah(ﷻ) qayamat ki musibaton mein sey us ki musibat door karega, jisne apne bhai ki parda poshi ki tou Allah qayamat ke din us ki parda poshi karega."

(Saheeh Bukhaari: 2442, Saheeh Muslim: 2580)

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:

"Ek dusre sey bughz na rakkho aur aapas mein hasad na karo aur ek dusre ki taraf (narazi se) peet na pehro aur Allah ke banden bhai bhai ban jaou, kisi musalmaan ke liye halaal nahi hain ke wo apne bhai sey teen raaton sey ziyada boycott kare."

(Muatta Imam Malik Riwayat Ibne Qasim Bit'Tehqeeq: 4, Saheeh Bukhaari: 6076, Saheeh Muslim: 2559)

Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:

"Ek dusre ke saath muhabbat, ulfat aur raham karne ki misl ek jism ki tarha hain, jab is ka ek aazah(hissa) bimaar hota hain tou sara jism is ke liye buqaar aur bedari ke saath takleef mein rehta hain."

(Saheeh Muslim: 2586 Wal'lafz Li, Saheeh Bukhaari: 6011)

Ek Saheeh hadees mein aaya hain ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:

"Aye (saari duniya ke) logon! sun lo tumhara Rab ek hain aur tumhara baap ek hain, sun lo! kisi arabi ko kisi ajmi par, kisi ajmi ko kisi arabi par, surq ko kaaley par aur kaaley ko surq par koi fazilat nahi hain siwaye Taqwa ke, kya maine tumhe pohchaa diya? logon ney kaha: Rasoolullah (ﷺ) ney pohchaa diya, phir aap ney farmaya: aaj kaunsa din hain? logon ney kaha: hurmat wala din (jummah) hain, phir aap ney poochaa: yeh kaunsa mahina hain? logon ney kaha: hurmat wala mahina hain, phir aap ney poochaa: ye kaunsa shehar hain? logon ney kaha: haram (makkah) hain, Aap (ﷺ) ney farmaya: Beshak Allah ney tum par tumhare khoon aur amwaal haraam qaraar diye hain, rawi ney kaha: mujhe maloom nahi ke aap ney izzaton ka bhi zikr kiya tha, aaj ke din ki tarha is (hurmat waley) mahine mein, is (hurmat waley) shaher mein, kya maine pohchaa diya hain? logon ney kaha: Rasoolullah (ﷺ) ney pohchaa diya hain, aap ney farmaya: hazir ghaib tak pohchaa dey."

(Musnad Ahmed 5/411 Hadees 23489 Wa Sanadahu Saheeh)

Maloom huwa ke Deen e Islam mein arabi ajmi, kaaley goorey, pathaan punjabi sindhi balochi, pakistani hindustani aur mulki gair mulki ka koi masla nahi hain balke sab ahle emaan bhai bhai hain lekin tabahi hai hain in logon ke liye jo musalmano ko firqon aur tukdiyon mein baantna chahatey hain,


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.47, Safa no.2-3]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024