Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah

Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Sawal:

Rasoolullah ﷺ ko dee gayi Ghaibi Khabrein aur ilm e Ghaib se Muta'allik ulma e Ahle Sunnath ka Mauqif kya hai??

Al-Jawab:

irshaad Baari Ta'la hai:

قُل لَّا يَعْلَمُ مَن فِى ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلْأَرْضِ ٱلْغَيْبَ إِلَّا ٱللَّهُ ۚ وَمَا يَشْعُرُونَ أَيَّانَ يُبْعَثُونَ

keh dijiye ke asmaano walo mein se zameen waalo mein se sivaaye Allah ke koyi ghayb nahi jaanta, unhe to ye bhi nahi maloom ke kabh utha khade kiye jayenge ?

(Surah Naml - 27 : 65)

iss Ayat e Kareema ki Tashreeh mein imaam ibne jareer Tabari rahimahullah ne farmaya:

Allah ta'la apne Nabi ﷺ se farmata hai ke , Aye Muhammad ﷺ ! Qayamath ke baare mein poochne waale Mushrikeen se jo kahtey hain ke Qayamath kab aayegi ? Kahdo!

Allah ne jo ilm Apne paas rakha hai Aur Makhlooq se usey chupaa diya hai uss Al Ghaib ko Aasmano aur Zameen mein koi nahee janta aur Qayamath bhi isi ( Al Ghaib ) mein se hai .

( Tafseer Tabari : Jild 20 , Safa : 5 )

iss Ayat e Kareema se Sayyida Ayesha Raziallahu Anha ne istedlaal karke farmaya:

’’وَمَنْ زَعَمَ أَنَّ مُحَمَّدًا ﷺ یَعْلَمُ مَا فِی غَدٍ فَقَدْ أَعْظَمَ عَلَی اللہِ الْفِرْیَۃَ‘‘

" Aur jisne Da'wa kiya ke Muhammad ﷺ Jaantey thae jo kal hogaa tho iss ne Allah par bada iftara'a baandha , Yaani boht bada jhoot bola " -.

( kitaabut Tawheed li ibn Khuzaimah : Safa : 223 , Ha : 324 wa sanadahu Saheeh - Al Mustakhraj li Abi Nu'aim Al Asbahani 1/242 , Ha : 442 Wasanadahu Saheeh - Saheeh Abi Awaana : Jild : 1 Safa : 154 , Ha : 304 )

Maloom hua ke sirf Allah Ta'la hi Alimul Ghaib hai , Nez uska ilm har waqt har jagah ko muheet hai , vo " Jamee maakaana wa jamee maa yakoon" ( ’’جمیع ماکان و جمیع ما یکون‘‘ ) kaa ilm jaanta hai aur koi cheez bhi uske ilm se baahar nahi -

Nabi Kareem ﷺ ne Farmaya:

((مَفَاتِحُ الغَیْبِ خَمْسٌ لاَ یَعْلَمُہَا إِلَّا اللہُ: لاَ یَعْلَمُ مَا فِيْ غَدٍ إِلَّا اللہُ، وَلاَ یَعْلَمُ مَا تَغِیضُ الأَرْحَامُ إِلَّا اللہُ، وَلاَ یَعْلَمُ مَتَی یَأْتِی المَطَرُ أَحَدٌ إِلَّا اللہُ، وَلاَ تَدْرِی نَفْسٌ بِأَيِّ أَرْضٍ تَمُوتُ، وَلاَ یَعْلَمُ مَتَی تَقُومُ السَّاعَۃُ إِلَّا اللہُ))

" Ghaib ki paanch chaabiyan hai jinhein Allah ke siwa koi nahi jaanta : kal kyaa hoga ? isey Allah ke siwa koi nahi jaanta , Arhaam ( Maa ke pet ) mein kyaa poshida hai ? isey Allah ke siwa koi nahi jaanta aur Allah ke siwa koi nahi jaanta ke baarish kab hogee , kisi jaandaar ko ye nahi maloom ke zameen ke kis ( hisse par ) uski maut aayegi aur Allah ke siwa koi bhi nahi jaanta ke Qiyamath kab aayegi "-.

( Saheeh Bukhari : 4697 )

Sayyiduna Abdullah bin Umar raziallahu anhu se riwayat hai ke Nabi kareem ﷺ ne farmaya :

((أُوتِیتُ مَفَاتِیحَ کُلِّ شَيْءٍ إِلَّا الْخَمْسَ))

" Mujhe har Cheez ki Chaabiyan dee gayee hain siwaye paanch ke " .

Phir Aapne Surah Lukman ki Aayat : 34 ki tilawat farmayee

( Musnad Ahmed : 2/85,86 : Ha : 5579 wasanadahu Saheeh - Al mojamul Kabeer li Tabrani : 12/ 360,361 : Ha : 13344 )

Tambeeh: Shaikh Muhammad Naasiruddin Albani rahimahullah ko badi galti lagi ke inhone zikr aur adm-e-Zikr waale falsafe ki roo se iss Hadees ko " Shaaz Aula " Qaraar dekar apne silsila Zaeefa ( 7/348 : Ha : 3335 ) mein Naqal kardiya - jabke unke baraks Shaikh Ahmed Muhammad Shakir al misri rahimahullah ne iss Hadees ke baare mein farmaya : ’’إسنادہ صحیح‘‘ iski sanad Saheeh hai - (Al Musnad ba Tahkeek Ahmed Shaakir : 7/276 )

iss Hadees se Do (2) baatein saaf saabith hain :

1. Nabi kareem ﷺ ko paanch (5) cheezon ki Chaabiyan nahee dee gayi -

2. In paanch cheezon ke alawa har cheez ki Chaabiyan Aap ﷺ ko dedi gayi -

Sayyiduna Abdullah bin Masood Raziallahu anhu ne farmaya:

’’أُوتِيَ نَبِیُّکُمْ ﷺ مَفَاتِیحَ کُلِّ شَيْءٍ غَیْرَ خَمْسٍ‘‘

Aap ke Nabi ﷺ ko paanch ke alawa sab Chaabiyan ataa ki gayi - phir unhonei ( Surah Luqman Ayat : 34 ) ki tilawat farmayi -

( Musnad Ahmed : 1/386 : Ha : 3659 wasanadahu Hasan - Musnadul Humaidi batehqiqi : 125 - Wakhala ibn Kaseer : ’’وھذا إسناد حسن‘‘ iski Sanad Hasan hai )

Iss Hadees ke raawi Abdullah bin Salma jamhoor Muhaddiseen ke nazdeek mousiq hone ki wajeh se Sadooq hasanul Hadees hai - ( dekhiye Musnad ul Humaidi batehqiqi ka haashiya : Ha : 57 )

Amro bin marah ki riwayat ki wajeh se ye Hadees Abdullah bin Salma ke ikhtelaat se pehle ki hai - Is silsile mei mufassal dalaail ke liye kutube Hadees ki taraf rujoo farmayein -

Ek Ayate Kareema ki tafseer mei Hafiz ibn Kaseer al Dimashkhi rahimahullah ne farmaya :

’’إِنَّ اللہَ یَعْلَمُ الْغَیْبَ جَمِیعَہُ۔۔۔‘‘

Beshak Allah saara ( kul ka kul ) Ghaib jaanta hai --

( Tafseer ibn Kaseer 4/403 , al- Ambiya : 110 )

Allah Taala ne apne Nabi e Kareem ﷺ se Farmaya :

﴿قُلْ لَّآ اَمْلِکُ لِنَفْسِیْ نَفْعًا وَّ لاَ ضَرًّا اِلاَّ مَا شَآءَ اللہُ - وَلَوْ کُنْتُ اَعْلَمُ الْغَیْبَ لاَ سْتَکْثَرْتُ مِنَ الْخَیْرِ - وَمَا مَسَّنِیَ السُّوؔءُ﴾

" Keh dijiye : Main apni jaan ke liye naf'a aur nuqsaan ka Malik nahi magar jo Allah ta'ala chahe aur agar mai Al-Ghaib jaanta toh bahoth si khair jama karleta aur mujhe koi takleef na pahunchti-"

( Al-A'raaf : 188 )

Imaam ibn Jareer rahimahullah ne likha hai :

Agar mai voh jaanta jo hone vala hai aur abhi tak nahin hua toh khair kaseer ikhatti karleta -

( Tafseer Tabari 5/590 )

Ab Sawaal ye hai ke kya Ambiya aur Rasool bhi Allah ta'ala ki ittelaa aur wahee se ba'az Ghaib jaante the..? Toh iske Jawab se pehle Jaleel ul Qadr Mufassireen kiraam aur Ulama e azaam k (10) hawale peshe khidmat hai :

Hawala Number 1 :

Ahle Sunnat ke mashoor siqa Imaam Abu Jafar Muhammed bin Jareer bin Yazeed ul Tabari Rahimahullah ( mutwafa 310 Hij ) ne Surah Al -Jinn ( Ayat : 26,27 ) ki tafseer mei farmaya :

’’فَلَا یُظْہِرُ عَلَی غَیْبِہِ أَحَدًا، فَیُعْلِمُہُ أَوْ یُرِیہِ إِیَّاہُ ﴿إِلَّا مَنِ ارْتَضَی مِنْ رَسُولٍ﴾ فَإِنَّہُ یُظْہِرُہُ عَلَی مَا شَاءَ مِنْ ذَلِکَ‘'

Bus voh apne Ghaib per kisi ko mutla'a nahi karta , taa ke voh ise jaan le ya dekh le , siwaye Rasool ke jis per voh raazi hai " toh usey isme se jo chahe itlaa de deta hai -

( Tafseer Tabari : Jild : 29 , Safa : 76 )

Hawala Number 2 :

Imaam ibn Jareer se taqriban do sadiyan pehle mufssir Quraan Imaam Qatada bin da'ama al basri rahimahullah ( mutwafa : 117 Hij ) ne farmaya :

’’﴿إِلَّا مَنِ ارْتَضَی مِنْ رَسُولٍ﴾ فَإِنَّہُ یُظْہِرُہُ مِنَ الْغَیْبِ عَلَی مَا شَاءَ إِذَا ارْتَضَاہُ‘‘

" Siwaye jis Rasool per voh raazi ho ", toh ise Ghaib mei se jo chahta hai bata deta hai - agar us ( yaani Allah ta'ala ) ki razamandi ho -

( Tafseer ibn Jareer ul Tabari 29/77 wasanadahu Sahih )

Hawala Number 3 :

Imaam Abu Muhammed Hussain bin Mas'ood ul Baghwi al fira'a rahimahullah ( Mutwafa 516 Hij ) ne Surah Aal-e-Imraan ( Ayat : 179 ) ki tafseer mei farmaya :

’’فَیُطْلِعُہُ عَلَی بَعْضِ عِلْمِ الْغَیْب‘‘

Bus voh ( Allah ) isei (apne Rasool ko) ba'az ilm Ghaib per mutl'a farmata hai -

( Tafseer Baghwi : Jild : 1 , Safa : 378 )

Imaam Baghwi ki is tafseer se Saaf sabit ho gaya ke Allah ta'ala ne apne Rasool ﷺ ko Ghaib ( ki khabron ) mei se ba'az ka Ilm ataa farmaya tha -

Hawala Number 4 :

Imaam Abu Al Hasan Ali bin Ahmed Al Wahdi An nesaboori rahimahullah ( Mutwafa 468 Hij ) ne farmaya :

’’والمعنی أن من ارتضاہ [للرسالۃ والنبوۃ] فإنہ یطلعہ علٰی ما شاء من غیبہ‘‘

aur ma'ani yeh hai ke jise voh risalat aur nabuwat ke liye chun le toh usey apne Ghaib mei se jis per chahe itla'a dedeta hai

( Al waseet fee Tafseerul Quran ul Majeed 4/369 , Surah Al-Jinn : 26,27 )

Hawala Number 5 :

Hafiz ibn al Jawzi ( Mutwafa 597 Hij ) ne Farmaya :

’’والمعنی: أن من ارتضاہ للرسالۃ أطلعہ علٰی ماشاء من غیبہ‘‘

Aur ma'ani yeh hai : Jise voh risalat ke liye chun le toh apne Ghaib mei se jis per chahe usey itla'a dedeta hai -

( Zaad ul Maseer : 385/ 8 , Surah Al- Jinn : 26,27 )

Hawala Number 6 :

Qaazi Abu Bakr Muhammed bin Abdullah urf ibn ul arabi AlMaalki ( Mutwafa 543 Hij ) ne munafiqeen ka rad karte huye farmaya :

’’وأنّ اللہ یطلعہ علٰی ماشاء من غیبہ‘'

Aur Beshak Allah usey ( Sayyiduna Muhammed ﷺ ko ) apne Ghaib mei se jo chahe itla'a dedeta hai -

( Ahkamul Quraan 2/1033 , Surah At-Tauba : 127 )

Hawala Number 7 :

Abu Abdullah Muhammed bin Ahmed al Qurtubi al Ansari ( Mutwafa 671 Hij ) ne Farmaya :

’’فإنہ یظھرہ علٰی مایشاء من غیبہ لأنّ الرسل مؤیدون بالمعجرات و منھا الإخبار عن بعض الغائبات‘‘

Bas voh inhein apne Ghaib mei se jo chahe itla'a deta hai , kyunke Rasoolon ki mo'jizat ke sath ta'eed ki gayi aur in ( mo'jizat ) mei se baaz Ghaibon ki khabr dena (bhi) hai -

( Tafseer Qurtubi : 19 / 27 - 28 , Surah Al - Jinn : 26 - 27 )

Nez dekhiye Tafseer Qurtubi : Jild : 8 , Safa : 299 , Surah At - Tauba : 127 )

Hawala Number 8 :

Imaam Abu Hayaan Muhammed bin Yousuf al Andalusi ( Mutwafa 745 Hij ) ne Farmaya :

’’فَإِنَّہُ یُظْہِرُہُ عَلَی مَا یَشَاءُ مِنَ ذَلِکَ‘‘

Bus voh is ( Ghaib ) mei se jo chahe , Aap ( ﷺ ) ko it'laa dedeta hai -

( Al Bahrul Muheet : Jild : 8 , Safa : 348 , Surah Al - Jinn : 26 - 27 )

Hawala Number 9 :

Hafiz ibn Taimiyyah Rahimahullah ( Mutwafa 728 Hij ) ne ba'az Ambiya ke barei mei Farmaya :

’’وَمِنْہُمْ مَنْ أَطْلَعَہُ عَلَی مَا شَاءَ مِنْ غَیْبِہِ‘‘

Aur un mei se voh bhi hai jinhei uss ( Allah ) ne apne Ghaib mei se baaz per it'laa farmayi -

( Majmu fatawa : 28 / 605 )

Hawala Number 10 :

Hafiz ibn ul Qayyim rahimahullah ( Mutwafa 751 Hij )

’’اسْتِدْرَاکٌ لِمَا نَفَاہُ مِنَ اطِّلَاعِ خَلْقِہِ عَلَی الْغَیْبِ سِوَی الرُّسُلِ، فَإِنَّہُ یُطْلِعُہُمْ عَلَی مَا یَشَاءُ مِنْ غَیْبِہِ……‘‘

" Aur lekin Allah apne Rasoolon mei se jise chahta hai chun leta hai " Nafi per istadraak hai ke Allah apni makhluqaat mei se Rasoolon ke siwa kisi ko Ghaib per it'laa nahi deta , bus vo jo chahta hai apne Ghaib mei se inhei it'laa dedeta hai ---

( Zaad ul Ma'ad : Jild : 3 , Safa : 220 , Fazl fee zikr ba'az ul Ahkam wal gayaat al mahmuda --- )

Mazeed tafseel ke liye dekhiye Tafseer bezaavi ( 1 /195 ) , Tafseer sa'albi ( 3/219 ) , Irshad ul Qaari Lilqistalaani (186/7 ) , Al Darul Masoon fee uloomul Kitaab ul Maknoon ( 6/399 ), Jalaalain ( Safa : 92 ) Azwa'a ul bayaan ( 2/196 ) aur Al Tafseer ul Sahih lihikmath Basheer ( 4/548 ) wagaira -

Hafiz ibn Hajar al asqalaani Rahimahullah ne ek Aayat ki Tafseer mei Farmaya :

’’فَإِنَّہُ یَقْتَضِي اطِّلَاعَ الرَّسُولِ عَلَی بَعْضِ الْغَیْبِ‘‘

Bus us ka ye taqaza hai ke Rasool ko ba'az Ghaib per it'laa di jaaye -

( Fath ul Baari 8/514 tehat 4778 Hadees )

Aasaar Salaf Saaliheen , Aayaate Kareema aur Ahadees Sahiha ka is mas'ale mei khulasa darj zel hai :

1 - Sirf Allah hi Aalimul Ghaib hai aur yeh iski Sifate Khaas hai jis mei koi bhi iska sahreek nahi -

2 - jamee'A maakaana wa maayakoon , yaani saara aur kul ilm e Ghaib sirf Allah hi jaanta hai -

3 - Paanch cheezon ( maslan Qiyamath wagaira ) ka ilm sirf Allah ke paas hai aur maqlookh mei se koi bhi in paanch Cheezon ka ilm nahi jaanta -

4 - Rasoolon aur Ambiya'on ko ba'az ilm-e-Ghaib ki it'laa di gayi thi -

Rasoolullah ﷺ ke Ilm-e-Ghaib ke barei mei do firkhon ke mut'zaad nazriyaat darj zel hain :

1 - Rasool ﷺ Takmeele Quran ke baad jamee'a maakaana wa Maa yakoon ka ilm baazanAllah jaante hain - Yeh Barelvi Raza Khani ka aqeeda hai -

Is nazariye ki koi Sareeh Daleel Quraan , Hadees , ijma'a aur Aasaar e Salaf Saliheen se saabit nahi aur na Takmile Quraan ki mat'een taariq ka ilm kisi Haddes ya khabar mei moujood hai -

Is Jawab ke shuru mei guzar chuka hai ke Sayyida Ayesha Siddiqua Raziallahu anhuma ne Farmaya tha :

Aur jis shaks ne daawah kiya ke (Sayyiduna) Muhammed ﷺ jaante the jo kal hoga , toh isne Allah per bada iftara'a baandha yaani bahut bada jhoot bola -

( Sahih Abi Awaana : 304 )

Ummul momineen Ayesha raziallahu anhuma ye baat masrukh taaba'ee ke samne Farmayi thi , jisse saabit hua ke unka ye Qaoul Rasoolullah ﷺ ki wafaat aur Takmile Quraan ke baad ka hai -

2 - Ba'az log ek falsafa ghadte hai ke jo Ghaib wahee Ya Allah ki taraf se it'laa O akhbaar ke zariye se maloom ho , isei Ghaib nahi kehte , lihaza Nabi ﷺ kisi khism ka Ghaib nahi jaante the balke ek shaks ne mere samne kaha : Rasoolullah ﷺ ek zara barabar Ghaib bhi nahi jaante the - ( Astaghfirullah , ma'az Allah )

Ye baaz mubtida aur jadeed mutkallimeen ka aqeeda hai jis ki koi daleel Quraan , Hadees , ijmaa aur Aasare Salaf Saaliheen mei moujood nahi , balke ye aqeeda sarasar baatil aur Sareeh gumrahi hai -

Ba'az Aale Deoband ne Nabi ﷺ ke ilm ki wasiat ka inkaar kiya aur dusri taraf kaha :

" Shaitaan wa Malikul Maut ko ye was'at nas se saabit huyi , fakhr aalim ki was'at ilm ki kounsi nas Qata'ee hai ke jis se tamaam nason ko rad kar ke ek shirk saabit karta hai --- "

( Dekhiye baraheen khataa bajawab Anware Sata'a 55 )

Arz hai ke shaitaan aur Malikul Maut ki wus'ate ilm ke barei mei na koi nas Qata'ee hai , na khabr wahid Sahih aur na Aasaar mei se koi Sahih asr , lihaza mazkurah ibarat baatil hai aur Nabi ﷺ ke ilm ka shaitaan ke batil ilm se makhaarna karna Aap ﷺ ki bhot badi touheen hai -

Ba'az aale Deoband ne jamee'a haiwanat wa bahayim aur har sabee wa majnoon ke sath baaz ulume Ghaibiya ka intesaab kiya aur Nabi ﷺ ke ilm se tashbihana muqabla kiya - ( dekhiye Ashraf Ali Thanvi ki hifzul imaan ma'a al tehrifaat : 116 , Tib'a Anjuman Irshadul muslimeen Lahore )

Ye saara bayaan batil aur gustakhi hai - in ahle bidat ke muqable mei Ahle Sunnat wal Jamaath (Ahle Hadees) ka aqeedah ye hai ke Rasoolallah ﷺ ko jo ba'az Ghaib Allah ta'ala ne bataya , voh Aap jaante the aur jo nahi bataya vo nahi jaante the -

Hafiz ibn Abdul barr rahimahullah ( Mutwafa 463 Hij ) ne ek Hadees ki tashree mei likha :

’’و فیہ أنہ کان ﷺ لا یعلم الغیب و إنما کان یعلم منہ ما یظھرہ اللہ علیہ‘‘

Aur is Hadees mei ye hai ke Beshak Aap ﷺ Ghaib nahin jante the aur Aap sirf voh jaante the jo Allah aap per zahir farmata tha -

Al Tamheed lima fee Al Muwatta minal ma'ani wal asaaneed : Jild : 6 , Safa : 251 )

Abul Waleedul baaji ( Mutwafa 494 Hij ) ne ek Hadees ki tashree mei Farmaya :

’’لأنہ لا یعلم من الغیب إلا ما اطلع علیہ بالوحي‘‘

Kyunke Beshak Aap Ghaib mei se nahi jante the siwaye us ke jis ki aap ko wahee ke zariye se it'laa di gayi thi -

( Al Muntakhi Sharh ul Muwatta : Jild : 7 , Safa : 129 , kitabul Akhzi baab 1 )

Aakhir mei batore faida aur batore Tambiya arz hai ke makhlookh mei se Nabi kareem ﷺ ka ilm sab se zyada hai -

Sahaba ikraam ka ye Takiya Kalaam tha aur voh kasrat se Farmaya karte the ke " Allahu Wa rasooluhu a'alam " yaani Allah aur uska Rasool sab se zyada jante hai - Dekhiye Sahih Bukhari ( 53 ,87 , 425 ---7447 ) , Sahih Muslim ( 8 [93] 17 [116] 30 [143]---2969 [7439] ) aur Muwatta Imaam Malik ( 1/192 Ha 452 --- )

Abeed bin Ameer bin Qatada rahimahullah se riwayat hai ke ek din ( Sayyiduna ) Umar Raziallahu anhu ne Nabi ﷺ ke sahaba se kaha :

Yeh Aayat : tumhare khayal mei kis ke barei mei Naazil huyi..? Toh inhonei kaha : ’’اللہ أعلم‘‘ ( Allahu alam ) Allah sab se zyada jaanta hai - toh Umar Raziallahu anhu gusse huye aur Farmaya : kaho hum jaante hai hai ya nahi jaante

( Sahih Bukhari : Jild : 2 , Safa : 651 , Ha 4538 , Fath ul Baari : Jild : 8 , Safa : 202 )

Yaani saaf saaf Jawab do - isse maloom hua ke Rasoolullah ﷺ ki wafaat ke baad " Allahu Warasooluhu aalam " nahi kehna chahiye balke sirf Allahu aalam kehna chahiye -

Mustadrak al Haakim ( Jild : 3 , Safa :543 Ha 6307 , Makhtoota Masoor : Jild : 3 , Safa : 291 ) ki ek riwayat mei ’’اللہُ وَرَسُولُہُ أَعْلَمُ‘‘ (Allahu Warasuluhu aalam) ke alfaz aaye hai aur Haakim ne isei "Sahih ala Shartul Shaikhain " Qaraar diya , lekin iski sanad munqate hone ki wajeh se "Zaeef" hai - iske raavi Abdullah bin Ubaid ullah bin Abi Maleek rahimahullah ki Sayyiduna Umar Raziallahu anhu se mulakaat sabit nahi aur na riwaayat mei ye Saraahat hai ke inhonei isei Sayyiduna Abdullah bin Abbas Raziallahu anhu se suna tha - wallahu aalam

Mashoor Ahle Hadees Aalim Hafiz Salahuddin Yousuf Hafizullah ne likha :

" Haan albatta Allah taala apne Rasoolon mei se jis ko chahta hai Ghaib ki baaton per mutlaa farmata hai jis se ba'az dafa in per munafiqeen ka aur unke halaat aur unki saajishon ka raaz faash ho jata hai -"

( Ahsanul Bayaan : Safa : 163 , Haashiya 3 , Aal-e-Imraan :179 )

In Dalaail se maloom hua ke Allah hi Aalimul Ghaib hai aur wahi Al- Ghaib jaanta hai , Nez Allah ne apne Nabiyon aur Rasoolon ko ba'az Ghaib ki it'laa farmayi thi -


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Irfan Shaik

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.102, Safa no.11, Fatawa ilmia, baab: "Tawheed O Sunnat ke masail"]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024