Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala

Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Tambeeh: Ikhtesaar Ke Sath Yeh Mazmoon Romanised Kiya Gaya Hay.

الحمدلله رب العالمين والصلوة والسلام على رسوله الأمين، أما بعد؛

Is baat mein koi shak o shubah nahi hai ke Nabi e Kareem ﷺ duniyawi zindagi guzaar kar faot hogaye hain.

Allah ﷻ ka irshaad hai:

إِنَّكَ مَيِّتٌ وَإِنَّهُم مَّيِّتُونَ

"Beshak tum wafaat paaney waaley ho aur log bhi marney waaley hain."

(Surah az-Zumar: 30)

Sayyiduna Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne farmaaya:

ألا من كان يعبد محمدا ﷺ فإن محمدا ﷺ قدمات

"Sun lo! jo shaksh (Sayyiduna) Muhammad ﷺ ki ibaadat karta tha tou beshak Muhammad ﷺ faot hogaye hain."

(Sahih Bukhari: 3668)

Is mauqe par Sayyiduna Abu Bakr Siddeeq Razi Allahu Anhu ne (Surah aal-Imran: 144) waali Aayat tilawat farmaayi thi, in se yeh Aayat sun kar (tamaam) Sahaba e Kiraam ne yeh Aayat padhni shuru kar di. (Sahih Bukhari: 1241,1242)

Sayyiduna Umar Razi Allahu Anhu ne bhi ise tasleem kar liya. (Sahih Bukhari: 4454)

Maloom huwa ke is par Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum Ajmayeen ka ijmaa' hai ke Nabi ﷺ faot hogaye hain.

Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha ne farmaaya:

ما من نبي يمرض إلا خير بين الدنيا والآخرة

"Jo Nabi bhi bimaar hota hai tou usey duniya aur aakhirat ke darmiyaan ikhtiyaar diya jaata hai."

(Sahih Bukhari: 4586, Sahih Muslim: 2444)

Aap ﷺ ne duniya ke badley aakhirat ko ikhtiyaar kar liya, yane Aap ﷺ ki wafaat ke b'ad aap ki zindagi ukhrawi zindagi hai jise b'az ulama barzakhi zindagi bhi kehtey hain.

Ek riwayat mein hai ke Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha farmaati hain:

كنت أسمع أنه لا يموت نبي حتى يخير بين الدنيا والآخرة

"Main (Aap ﷺ se) sunti thi ke koi Nabi bhi wafaat nahi paata yahan tak ke usey duniya aur aakhirat ke darmiyaan ikhtiyaar dey diya jaata hai."

(Sahih Bukhari: 4435, Sahih Muslim: 2444)

Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha hi farmaati hain ke:

فجمع الله بين ريقي وريقه في آخر يوم من الدنيا وأول يوم من الآخرة

"Pas Allah ﷻ ne Aap ﷺ ke duniya ke aakhri din aur aakhirat ke pehle din mere aur aap ke luaab e dahan ko (miswaak ke zari'ye) jama' (ekkhatta) kar diya."

(Sahih Bukhari: 4451)

Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha se ek doosri riwayat mein hai ke:

لقد مات رسول الله ﷺ

"Yaqeenan Rasoolullah ﷺ faot hogaye."

(Sahih Muslim: 29/2974, Tarqeem Darussalam: 7453)

Inke ilaawah aur bhi bahut se dalaayil hain, in Sahih Mutawatir Dalaayil se maloom huwa ke Sayyiduna Muhammadur Rasoolullah ﷺ faot hogaye hain.

Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu apni namaz ke barey mein farmaatey thhey ke:

إن كانت هذه لصلاته حتى فارق الدنيا

"Aap ﷺ ki yehi namaz thi hatta ke Aap ﷺ duniya se chaley gaye."

(Sahih Bukhari: 803)

Ek doosri riwayat mein hai ke Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne Nabi e Kareem ﷺ ke barey mein farmaaya:

حتــى فارق الدنيا

"Hatta ke Aap ﷺ duniya se chaley gaye."

(Sahih Muslim: 33/2976 wa Darussalam: 7458)

Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu hi farmaatey hain ke:

خرج رسول الله ﷺ من الدنيا

"Rasoolullah ﷺ duniya se chaley gaye."

(Sahih Bukhari: 5414)

Is mein koi shak nahi ke wafaat ke b'ad, Nabi e Kareem ﷺ jannat mein zindah hain.

Sayyiduna Samurah bin Jundub Razi Allahu Anhu ki bayaan kardah Hadees mein aaya hai ke faristen (Jibrayeel o Mikayeel Alaihimus Salaam) ne Nabi e Kareem ﷺ se farmaaya:

إنه بقي لك عمر لم تستكمله، فلو استكملت أتيت منزلك

"Beshak Aap ki umar baqi hai jise Aap ne (abhi tak) poori nahi kiya, jab Aap yeh umar poori karlenge tou apne (jannati) mahal mein aa jaayenge."

(Sahih Bukhari: 1/185 Hadees: 1386)

Maloom huwa ke Aap ﷺ duniya ki umar guzaar kar jannat mein apne mahal mein pohanch gaye hain.

Shuhadah e Kiraam ke barey mein Payare Rasool ﷺ farmaatey hain ke:

أرواحهم في جوف طير خضر، لها قناديل معلقة بالعرش، تسرح من الجنة حيث شاءت، ثم تأوي إلى تلك القناديل

"In ki roohen sabz parindon ke peat mein hoti hain, in ke liye arsh ke neechey qadeelen latki huwi hain, wo (roohen) jannat mein jahan chahaati hain sair karti hain phir wapas un qandeelon mein pohanch jaati hain."

(Sahih Muslim: 121/188, Darussalam: 4885)

Jab Shuhadah e Kiraam ki roohen jannat mein hain tou Anbiya e Kiraam is se badarjaha 'alaa o afzal tareen maqamaat o mahallaat mein hain, Shuhadah ki yeh hayaat jannati, ukhrawi o barzakhi hai, isi tarha Anbiya e Kiraam ki yeh hayaat jannati, ukhrawi o barzakhi hai.

Hafiz Zahbi (Died: 748 Hijri) likhtey hain ke:

وهو حي في لحده حياة مثله في البرزخ

"Aur Aap ﷺ apni qabr mein barzakhi taur par zindah hain."

(Siyar 'Alaam an-Nubalaae: 9/161)

Phir aage wo yeh falsafah likhtey hain ke yeh zindagi na tou har lehaaz se duniyawi hai aur na har lehaaz se jannati hain balke Ashaab e Kahf ki zindagi se mushaabih hai. (Ayzan: 161)

Halaanke Ashaab e Kahf duniyawi zindah thhey jabke Nabi e Kareem ﷺ par ba-aiteraaf Hafiz Zahbi wafaat aa chuki hai lehaza sahih yehi hai ke Aap ﷺ ki zindagi har lehaaz se jannati hai, yaad rahey ke Hafiz Zahbi basarahat e khudh Aap ﷺ ke liye duniyawi zindagi ke aqeedeh ke mukhalif hain.

Hafiz Ibne Hajar Asqalaani likhtey hain:

لأنه بعد موته وإن كان حيا فهى حياة أخروية لا تشبه الحياة الدنيا، والله أعلم

"Beshak Aap ﷺ apni wafaat ke b'ad agarche zindah hain lekin yeh ukhrawi zindagi hai duniyawi zindagi ke mushaabih nahi hai, Wallahu Alam."

(Fath ul-Bari: Jild 7 Page 349, Tehat Hadees: 4042)

Maloom huwa ke Nabi e Kareem ﷺ zindah hain lekin Aap ki zindagi ukhrawi o barzakhi hai, duniyawi nahi hai.

Saudi Arab ke Jaleel ul Qadr Aalim Shaykh Saleh al-Fauzaan likhtey hain ke:

الذي يقول؛ إن حياته فى البرزخ مثل حياته فى الدنيا كاذب وهذه مقالة الخرافيين

"Jo shaksh yeh kehta hai ke Aap ﷺ ki barzakhi zindagi duniya ki tarha hai wo shaksh jhoota hai, yeh man-ghadat baaten karney waalon ka kalaam hai."

(At-Ta'leeq al-Muktasar 'ala al-Qasidatun Nooniyyah: Jild 2 Page 684)

Hafiz Ibne Qayyim ne bhi aise logon ki tardeed ki hai jo barzakhi hayaat ke bajaye duniyawi hayaat ka aqeedah rakhtey hain. (an-Nooniyyah, Fasl Fee il-Kalaami Fee Hayaat il-Anbiyaai Fee Quboorihim: 2/154,155)

Imam Baihaqi Rahimahullah (barzakhi) radi-arwaah ke zikr ke b'ad likhtey hain ke:

فهم أحياء عند ربهم كالشهداء

"Pas wo (Anbiya Alaihimus Salaam) apne Rab ke paas, Shuhadah ki tarha zindah hain."

(Risalah: Hayaat ul-Anbiya Lil Baihaqi Page 20)

Yeh 'aam sahih ul-aqeedah aadmi ko bhi maloom hai ke Shuhadah ki zindagi ukhrawi o barzakhi hai, duniyawi nahi hai, aqeedah Hayaat un-Nabi ﷺ par hayaati o mamaati doubandiyon ki taraf se bahut si kitaaben likkhi gayi hain maslan maqaam e hayaat, aab e hayaat, hayaat e anbiya e kiraam aur nida e haq wagerah.

Is silsiley mein behtareen kitaab mashoor Ahle Hadees Aalim Ismail Salafi Rahimahullah ki (Maslah Hayaat un-Nabiﷺ) hai, kisi Ahle Hadees kutub khaney se mangwa kar padh len.

Khulasah: Is saari tehqeeq ka khulasa yeh hai ke Nabi e Kareem ﷺ faot hogaye hain wafaat ke b'ad Aap jannat mein zindah hain, Aap ki yeh zindagi ukhrawi hai jise barzakhi zindagi bhi kaha jaata hai, yeh zindagi duniyawi zindagi nahi hai.


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.15, Safa no.13-19]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024