Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? |
Muhaddis e Asr Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah se sawaal kiya gaya ki: Kya Sahih ul Aqeedah musalmaano ka ahl e bid’at aur gumraahon se Mubahala karna jaaiz hai? To unhon ne jawaab diya: فَمَنْ حَاجَّكَ فِيهِ مِن بَعْدِ مَا جَاءَكَ مِنَ الْعِلْمِ فَقُلْ تَعَالَوْا نَدْعُ أَبْنَاءَنَا وَأَبْنَاءَكُمْ وَنِسَاءَنَا وَنِسَاءَكُمْ وَأَنفُسَنَا وَأَنفُسَكُمْ ثُمَّ نَبْتَهِلْ فَنَجْعَل لَّعْنَتَ اللَّهِ عَلَى الْكَاذِبِينَ Tarjumah: Phir Aap ke paas ilm aa jane ke baad jo shakhs jhagda kare to keh den: Aao! Hum apne bete bulayen aur tum apne, hum apni aurtein bulayen aur tum apni, aur hum apne ashkhaas bulayen aur tum apne ashkhaas bulaao phir hum Mubahala karen ke jhooton par Allah ki la’nat ho. (Surah Aal e Imran, Surah No:3 Ayat No: 61) Is Ayat e Kareemah ka shaan e nuzool yeh hai ke Rasoolullah ﷺ ke paas Najran se do Esaai: Aqib aur Syed aaye taaki Aap (ﷺ) se Mubahala karen. Un mein se ek ne doosre se kaha: Mubahala na karna, Allah ki Qasam! Agar woh Nabi huwa to hum Mubahale ke baad kabhi kaamyaabi mein nahi rahenge aur na hamari nasal baqi rahegi. (Dekhiye Sahih Bukhari: 4380 ikhtisaar ke saath) Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhu ne farmaya: Agar woh log Nabi ﷺ se Mubahala karne ke liye bahar nikalte to wapsi par apne ghar waalon aur maal mein se kuch bhi na paate yani sab kuch tabah ho jaata. (Tafseer Abdur Razzaq: 1/129 Hadees no: 411, is ki Sanad Sahih hai, Tafseer Ibn e Jareer At-Tabari: 3/212 is ki Sanad Sahih hai) Neez dekhiye Musnad Ahmed (1/248 Hadees no: 2225) Mash-hoor Siqah Taba’ee Qatadah Rahimahullah ne farmaya: Mujhe pata chala hai ke Nabi ﷺ ahl e Najran (ke Esaaiyon) se Mubahala karne ke liye nikle phir jab unhon (Esaaiyon) ne Aap ko dekha to dar gaye phir woh (Esaai Mubahale ke baghair hi) wapas chale gaye. (Tafseer Abdur Razzaq: 1/129 Hadees no: 411, is ki Sanad Sahih hai, Tafseer Ibn e Jareer At-Tabari: 3/212, is ki Sanad Sahih hai) Is Ayat ki tashreeh mein yeh bhi aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne Ali (bin Abi Talib), Fatima, Hasan aur Hussain (Radhiallahu Anhum) ko bulaya aur farmaya: اللَّهُمَّ هَؤُلَاءِ أَهْلِي Tarjumah: Aye Allah! Yeh mere ahal hain. (Sahih Muslim: 2404) In dalail se maloom huwa ke agar shar’ee zaroorat ho to Sahih ul Aqeedah (aur qabil e aitimaad, nek) musalmaano ka kuffar ke khilaaf Mubahala karna jaaiz hai. Mubahala karne ka matlab yeh hai ke do fareeqon ka baaham jama ho kar Allah se dua karna ke aye Allah! Jo haqq par nahi aur jhoota hai use halaak kar de, tabah o barbaad kar de, us par la’nat bhej. Irshad e Baari Ta’ala hai: إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ Tarjumah: Allah to yeh iradah karta hai ke aye ahl e bait! Tum se paleedi (gandagi) ko door kar de. (Surah Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 33) Is ki tashreeh mein Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma ne farmaya: نزلت في نساء النبي ﷺ خاصة Tarjumah: Yeh (Ayat) khaas taur par Nabi e Akram ﷺ ki biwiyon ke baare mein nazil hue. Is riwayat ke Rawi Mash-hoor Siqah Taba’ee Ikrimah Rahimahullah ne farmaya: من شاء باهلتُه أنها نزلت في أزواج النبي ﷺ Tarjumah: Jo chaahe main Mubahala karne ke liye tayyar hun ke yeh (Ayat) Nabi ﷺ ki azwaaj (biwiyon) ke baare mein nazil hue. (Tafseer Ibn e Abi Tatim ba-hawala Tafseer Ibn e Kaseer: 5/169-170 is ki Sanad Hasan hai. Doosra Nuskha 11/153, Tareekh e Dimashq Li-Ibn e Asakir: 73/111 is ki Sanad Hasan hai, tarjumah umm ul Momineen Umm e Habeebah Rimla bint e Abi Sufyan Radhiallahu Anhuma. Main (Hafiz Zubair Ali Zai) kehta hun: Tareekh e Dimashq mein “Zaid An-Nahwi” hai jabki sahih “Yazeed An-Nahwi” hai) Is Asar se maloom huwa ke agar shar’ee zaroorat ho to Sahih ul Aqeedah, nek aur qabil e aitimaad musalman ya musalmaano ka ahl e bid’at ya gumrahon aur kuffar ke khilaaf Mubahala karna jaaiz hai lekin yaad rahe ke sirf Nabi ﷺ ka Mubahala aisa hai ke muqable mein aane waale har shakhs ki tabahi aur barbadi yaqeeni hai, jabki ummatiyon ke Mubahale mein yeh baat nahi hoti lehaza behtar hai ke Mubahala na kiya jaaye. Muhaddis Burhan-ud-Deen Al-Biqa’ee ne likha hai: Hamare Ustaaz Hafiz Ibn e Hajar Al-Asqalani ka Ibn ul Ameen naam ke ek shakhs se Ibn e Arabi ke baare mein Mubahala huwa. Us aadmi ne kaha: Aye Allah! Agar Ibn e Arabi gumraahi par hai to tu mujh par la’nat farma. Hafiz Ibn e Hajar ne kaha: Aye Allah! Agar Ibn e Arabi hidayat par hai to tu mujh par la’nat farma. Woh shakhs us Mubahale ke kuch maheene baad raat ko andha ho kar mar gaya. Yeh waqi’ah 797 Hijri ko Zul-Qa’da mein huwa tha aur Mubahala (taqreeban do maheene pehle) Ramadhan mein huwa tha. (Tambeeh ul Ghabbi: 136-137, Ilmi maqalat: 2/470-471) Khulasa e TehqeeqJahan tak ho sake Mubahala se bachna chahiye aur fiqhi aur ijtihadi masail ki wajah se musalmaano ka aapas mein Mubahala karna jaaiz nahi hai balki dalail ke saath fareeq e mukhalif ko samjhaana chahiye aur agar bahut zaroorat ho to phir Kufr o Islam ke ikhtilaaf aur sareeh aur ijtima’ee aur Salaf e Saliheen ke muttafiqa aqeede par Sahih ul Aqeedah nek samajhdaar ashkhaas kattar mubtadi’een aur gumrahon ke khilaaf Mubahala kar sakte hain lekin yaad rahe ke qat’ee nateeja sirf Nabi ﷺ ke Mubahale ka hi tha, baqi ummatiyon ke Mubahale ka nateeja aur anjaam yaqeeni maloom nahi hai. Wallahu A’lam. (Fatawa Ilimiyah Al-Ma’roof Tauzeeh ul Ahkaam: 2/71-74, Maahnaama Isha’at ul Hadees, Shumarah No: 70, Page No: 11-13) Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah Romanised: Umar Asari (via romanquranohadees) [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.28, Safa no.11-13] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024