Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat


Mashoor Sahabi Sayyiduna Abu Abdur Rahman Safinah Razi Allahu Anhu, Maula Rasoolullah ﷺ se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

خلافة النبوة ثلاثون سنة، ثم يؤتى الله الملك أو ملكه من يشاء​

"Khilafat e Nabuwat tees saal (30 years) rahegi, phir Allah jise chahega apna mulk aata farmayega."

(Sunan Abi Dawood, Hadees 4642 Wa Sanadahu Hasan)

Is hadees ko Tirmizi ne Hasan (2226) Ibne Hibbaan (al-Ihsaan: 6904/6943) aur Imam Ahmed Bin Hanbal (as-Sunnah Lil Khalaal: 636) ne Sahih kaha hai) Neez Dekhiye Mahnamah al-Hadees: 8, Page: 11.

Is Hadees ke rawi Sayyiduna Safinah Razi Allahu Anhu ne apne shaagird ko khulafa e rashedeen ki ta'daad gin kar samjhayi:

"Abu Bakr Razi Allahu Anhu ke do saal, Umar Farooq Razi Allahu Anhu ke dus saal, Usmaan Razi Allahu Anhu ke baara saal, Aur Ali Murtuzaa Razi Allahu Anhu ke chey saal."

Imam Ahmed Bin Hanbal Rahimahullah farmatey hai:

"Khilafat ke baray mein safinah ki (bayaan kardah) Hadees Sahih hai aur main Khulafa (rashedeen ki ta'daad) ke baray mein is hadees ka qayil hon."

(Jami' Bayaan al-Ilm Fazlah 2/225, al-Hadees: 8 Page: 12)

Sayyiduna 'Irbaaz Bin Saariyah Radhi Allahu Anhu se riwayat hai:

صلّى بنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ذات يوم، ثم أقبل علينا، فو عظنا مو عظةً بليغةً ذرفت منها العيون ووجلت منها القلوب، قال قائل؛ يا رسول الله اكأن هذه مو عظة مودع، فما ذاتعهد إلينا؟ فقال: أوصيكم يتقوى الله والسمع والطاعة وإن عبد حبشي، فإنه من يعش منكم يعدي فسيرى اختلافاً كثيراً، فعليكم بسنتي وسنة الخلفاء المهديين الراشدين تمسكو ابها وعضوا عليها بالنو اجذ، وإياكم ومحدثات الأمور، فإن كل محدثة بدعة وكل بدعة ضلالة​

"Ek din Rasoolullah ﷺ ne humein namaz padhayi phir humari taraf rukh kar ke intehaayi fasih o baleegh w'az farmaya jis se (humare) dil dehal gaye aur aankhon se aanso jaari hogaye, kisi ne kaha: Ya Rasoolullah! goya yeh alwidaa' kehne waaley ka w'az hai, Aap humein kiya (hukm) irshaad farmatey hain? Aap ﷺ ne farmaya: Main tumhen Allah se darney ki wasiat karta hon aur agar habshi bhi tumhara ameer ban jaaye tou (us ka hukm) sunna aur itaa'at karna, kiyunke mere b'ad jo shaksh zinda raha wo bahut ikhtilaaf dekhega, pas meri sunnat aur mere khulafa e Rashedeen Mehdiyeen ki sunnat ko mazbooti se, daanton ke saath pakad leyna aur muhaddasaat se bachna kiyunke (deen mein) har muhaddas bid'at hai aur har bid'at gumrahi hai."

(Sunan Abi Dawood: 4607 Wa Isnadahu Sahih)

Ise Tirmizi (2676) Ibne Hibbaan (Mawarid: 102) Haakim (al-Mustadrak 1/95,96) aur Zehbi ne Sahih kaha hai.

Is Sahih Hadees mein jin Khulafa e Rashedeen ki sunnat ko mazbooti ke saath pakadney ka hukm diya gaya hai in se muraad Sayyiduna Abu Bakr Siddiq, Sayyiduna Umar al-Farooq, Sayyiduna Usmaan Zulnorain aur Sayyiduna Ali Murtuza Razi Allahu Anhum muraad hain.

In mein se pehle do Nabi ﷺ ke sasur aur doosre do damaad hain, pehle dono Khulafa e Rashedeen mein Sayyiduna Abu Bakr Razi Allahu Anhu Sabiq ul-Emaan aur afzal B'ad e Rasool ﷺ a'Lal Itlaaq hain, phir Umar Farooq Razii Allahu Anhu ka numbar hai, doosrey dono Khulafa e Rashedeen mein Sayyiduna Usmaan Razi Allahu Anhu Aap ﷺ ke do betiyon ke shauhar hain aur Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu Sayyidah Fatima Razi Allahu Anha ke shauhar hain.

Abul Hasan al-Asha'ari (died 324 hijri) farmatey hain:

وندين الله بأن الأئمة الأربعة خلفاء راشدون مهديون فضلاء لا يوازيهم فى الفضل غيرهم​

"Aur humara yeh mazhab hai ke Ayimma e Arba (Abu Bakr o Umar Usmaan o Ali) Khulafa e Rashedeen Mehdiyeen hain, yeh sab (doosron se) afzal they, doosra koi (ummati) fazilat mein in ke barabar nahi."

(al-Ibadah Fi Usool ad-Diyanah Safa 60 Fiqrah: 29)

Abu Jafar at-Tahawai (died 321 hijri) ki taraf mansoob kitaab Aqeedah at-Tahawiyah mein bhi inhi khulafa ko Khulafa e Rashedeen qaraar diya gaya hai. dekhiye Sharah Aqeedah at-Tahawiyah Tehqeeq Shaykh Albani (Page 533_548)

Har musalmaan par yeh farz hai ke wo in Khulafa e Rashedeen aur tamaam Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ajma'een se muhabbat rakkhe.

Tanbeeh

Sahih Muslim ke b'az nuskhon mein "عن أبي ريحانة عن سفينة" ki sanad se bayaan kardah ek hadees ke b'ad likha huwa hai ke, us ne kaha: Aur Wo Boodha Hogaya Tha Aur Main Us Ki Hadees Par Itemaad Nahi Karta Tha."

(Darsi Nuskha Jild: 1 Page: 149 Hadees: 326, Sharah Ke Sath Sharah an-Nawawi Jild: 4 Page: 9 Wa Fath al-Mulhim Jild: 3 Page: 164)

Is qaul mein boodhey se kaun muraad hai? is ki tashreeh mein Allamah Nawawi wagera farmatey hain: "Wo Safinah Hai". (Sharah Sahih Muslim Lil Nawawi 4/9)

Jabke Hafiz Ibne Hajar ke tarz e aamal aur Ibne Khalfoon ke qaul se yehi saabit hota hai ke "Wo Abu Rihanah (Abdullah Bin Matar) Hai." Dekhiye Tehzeeb ut-Tehzeeb (Jild: 6 Page: 34,35) aur yehi baat rajeh hai, yane Ismaeel Bin Ibrahim (urf Ibne 'Ulaiyah) ke nazdeek Abu Rihanah Abdullah Bin Matar boodha hogaya tha aur wo (Ibne 'Ulaiyah) is (Abu Rihanah) par itemaad nahi kartey they.

Yaad rahe ke jamhoor muhaddiseen ke nazdeek Abu Rihanah mausaq hai lehaza wo Hasan Ul Hadeees hai. Walhumdulillah.

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.13, Safa no.46-48]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024