Ibne Arabi Sufi Ka Rad

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Wahdatul Wujood ke baday dayi aur mashoor hulooli Sufi Ibne Arabi ka mukhtasar aur jaame' rad paish e khidmat hai:

(1) Hafiz Ibne Hajar Asqalani (Rahimahullah) kehte hain ke maine apne ustaaz (shaykh ul islam) Sirajuddin al-Balqeeni se Ibne Arabi ke bareme pouchaa tou unhon ne fauran jawaab diya ke wo kafir hai. (Lisaan ul-Mizaan, Jild 4, Safa 319, Doosrah Nuskah: Jild 5, Safa 213, Tanbihul Ghabiyy Ila Takfir Ibn Arabi al-Baqa'yi Rahimahullah: Safa 159)

Ibne Arabi ke bareme Hafiz Ibne Hajar ka ek gumrah shaksh se mubaahalah bhi huwa tha jis ka tazkirah aage aaraha hai. In-Sha-Allah

(2) Hafiz Ibne Daqeeq al-'Eid ne Abu Muhammad 'Izuddin Abdul Aziz bin Abdus Salaam as-Salami ad-Damishqi ash-Shafayi Rahimahullah (Died 660 Hijri) se Ibne Arabi ke bareme pouchaa gaya tou unhon ne farmaaya:

شيخ سوء كذاب مقبوح، يقول بقدم العالم ولا يرى تحريم فرج ……

"Ganda, kazzaab (aur) haq se door shaksh (tha) wo aalam ke qadeem hone ka qaayil tha aur kisi sharamgah ko haraam nahi samhjta tha ……"

(al-Wafi bil-Wafiyaat: Jild 4, Safa 125, Wa Sanadahu Sahih, Tanbihul Ghabiyy: 138)

Ibne Abdus Salaam ka yeh qaul darj zail kitaabon mein bhi doosri sanado ke sath mazkoor hai, (Tanbihul Ghabiyy: Safa 139, Wa Sanadahu Hasan) (Majmuah' Fatawa Ibne Taimiyah: Jild 2, Safa 244, Wa Sanadahu Hasan) (Mizaan ul-'Itedaal: 3/659) (Lisaan ul-Mizaan: 5/311,312, Doosrah Nuskha: 6/398)

Tambeeh: al-Wafi bil-Wafiyaat mein kaatib ki ghalti se "Abi Bakr bin al-Arabi" chap gaya hai jabke sahih lafz Abi Bakr ke baghair "Ibne Arabi" hai.

(3) Siqah aur Jaleel ul-Qadr Imam Abu Hayyaan Muhammad bin Yusuf al-Andlusi Rahimahullah (Died 745 Hijri) ne farmaaya:

ومن ذهب من ملاحدتهم إلى القول بالإ تحاد و الوحدة كالحلاج والشوذى وابن أحلى وابن العربي المقيم كان بدمشق وابن الفارض وأتباع هؤلاء كابن سبعين والتستري تلميذه وابن مطرف المقيم بمرسية والصفار المقتول بغر ناطة وابن اللباج وأبو الحسن المقيم كان بلورقة وممن رأيناهُ يُرمى بهذا المذهب الملعون العفيف التلمساني ……

"Aur in mulhideen mein se jo ittehaad aur wahdat (wahdatul wujood) ka qaayil hai jaise (Husain bin Mansoor) al-Hallaaj, Shawzi, Ibne Ahla, Ibne Arabi jo damishq mein muqeem tha, Ibne Faariz aur inke pairokaar jaise Ibne Sabyeen aur uska shagird Tustari, mursiyah mein rehne waala Ibne Mutarrif aur ghirnatah mein qatl hone waala al-Saffaar, Ibne al-Labbaaj aur luraqah mein rehne waala Abul Hasan aur humne jinhen is maloon mazhab ki tohmat ke sath dekha hai jaise 'Afeef Tilimsaani ……"

(Tafseer al-Bahr al-Muheet: Jild 3, Safa 464,465, Surah Maidah: 17)

(4) Tafseer Ibne Kaseer ke musannif Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah likhte hain:

وله كتابه المسمى بفصوص الحكم فيه أشياء كثيرة ظاهرها كفر صريح

"Aur is ki kitaab jis ka naam Fusoos al-Hikma hai, is mein bahut si chizen hai jin ka zaahir kufr e sareeh hai."

(al-Bidaya wan-Nihayah: Jild 13, Safa 167, Wafiyaat 638 Hijri)

(5) Hafiz Ibne Taimiyah Rahimahullah likhte hain:

ولم يمدح الحيرة أحد من أهل العلم والإيمان ولكن مدحها طائفة من الملاحدة كصاحب الفصوص ابن عربي وأمثاله من الملاحدة الذين هم حيارى ……

"Ahle ilm aur ahle emaan mein se kisi ne bhi hairat ki tareef nahi ki lekin mulhideen ke ek giron ne iski tareef ki hai jaise Fusoos al-Hikam waala Ibne Arabi aur is jaise doosre mulhideen jo hairaan o pareshaan hain ……"

(Fatawa Ibne Taimiyah: Jild 11, Safa 385)

Hafiz Ibne Taimiyah aur Hafiz Ibne Qayyim dono ke bareme Mulla Ali Qari Hanafi likhte hain:

ومن طالع شرح منازل السائرين تبين له أنهما كانا من أكابر أهل السنة والجماعة ومن أولياء هذه الأمة

"Aur jisne Manazil as-Saireen ki sharah ka mutaala'ah kiya hai tou us par waazeh huwa ke wo (Ibne Taimiyah aur Ibne Qayyim) dono Ahle Sunnat wal-Jamaa'at ke akabir aur is ummat ke awliya mein se hai."

(Jama ul-Wasaail Fi Sharah ash-Shamail: Jild 1, Safa 207)

Muhaddis Baqa'yi likhte hain ke hamare ustaaz Hafiz Ibne Hajar al-Asqalani ka Ibnul Ameen naami ek shaksh se Ibne Arabi ke bareme mubaahalah huwa, us aadmi ne kaha: Aye Allah! agar Ibne Arabi gumraahi par hai tou tu mujh par laanat farmaa, Hafiz Ibne Hajar ne kaha: Aye Allah! agar Ibne Arabi hidayat par hai tou tu mujh par laanat farma... wo shaksh is mubaahalah ke chand din b'ad raat ko ondha ho kar mar gaya. yeh waqiyah 797 hijri ko zul qaidah mein huwa tha aur mubaahalah ramzan mein huwa tha. (Tanbihul Ghabiyy: Safa 136,137)

Mulla Ali Qari Hanafi ka hawala guzar chuka hai*** jis mein unhon ne kaha hai ke Ibne Arabi ki jamaa'at ke kufr mein shak na karo.

Mulla Ali Qari wahdatul wujood ke rad mein apni kitaab ke aakhir mein likhte hain:

فإن كنت مؤمنا و مسلما حقاو مسلما صدقا فلا تشك في كفر جماعة ابن عربي ولا تتوقف في ضلالة هذا القوم الغوي والجمع الغبي فإن قلت؛ هل يجوز السلام عليهم ابتداء؟ قلت؛ لا ولا رد السلام عليهم بل لا يقال لهم؛ عليكم، أيضا فإنهم شر من اليهود والنصارى وإن حكمهم حكم المرتدين …… ويجب إحراق كتبهم المؤلفة ويتعين على كل أحد أن يبين فساد شقاقهم وكساد نفاقهم فإن سكوت العلماء واختلاف ﴿بعض﴾ الآراء صار سببا لهذا الفتنة وسائر أنواع البلاء ……

"Phir agar tum sachche musalmaan aur pakke momin ho tou Ibne Arabi ki jamaa'at ke kufr mein shak na karo aur is gumraah qaum aur bewaqoof akht ki gumraahi mein tawaqquf na karo, phir agar tum poucho: kya inhen salaam kehne mein ibtidaa ki jaa sakti hai? main kehta hon: nahi aur na inke salaam ka jawaab diya jaaye balke inhen waalaikumu ka lafz bhi nahi kehna chahiye kiyunke yeh yahoodiyon aur nasraniyon se ziyadah bure hain aur inka hukm murtadeen ka hukm hai …… in logon ke likhi huwi kitaabon ko jala deyna wajib hai aur har aadmi ko chahiye ke in ki firqah parasti aur nifaaq ko logon ke saamne bayaan kar dey kiyunke ulama ka sukoot aur b'az rawiyon ka ikhtilaaf is fitne aur tamaam museebaton ka sabab hai."

(ar-Rad 'Alal Qayileen Bi-Wahdatul Wujood: Safa: 155,156)

Neez Dekhe'n Tahqeeqi Maqalat (Jild 2 Safa 467-468)

(8) Qazi Taqiuddin Ali bin Abd al-Kafi as-Subki ash-Shafayi ne Sharah al-Minhaj ke baab al-Wasiyah mein kaha:

ومن كان من هؤلاء الصوفية المتأخرين كإبن عربي وغيره فهم ضلال جهال خارجون عن طريقة الإسلام

"Aur jo in mutakhkhiren sufiyaa mein se hai jaise Ibne Arabi wagerah tou yeh gumraah jaahil hain (jo) Islam ke tariqe se kharij hain."

(Tanbihul Ghabiyy: Safa 143)

(9) Shamsuddin Muhammad al-'Ezari ash-Shafayi ne apni kitaab "al-Fatawa al-Muntashirah" mein Fusoos al-Hikam ke bareme kaha:

قـال الـعـلـمـاء؛ جميع مافيه كفر لأنه دائر مع عقيدة الإتحاد ……

"Ulama ne kaha: is mein saare ka saara kufr hai kiyunke yeh ittehaad ke aqeedeh mein mushtamil hai."

(Tanbihul Ghabiyy: Safa 152)

(10) Muhaddis Burhanuddin al-Baqa'yi ne Takfeer Ibne Arabi par Tanbihul Ghabiyy ke naam se kitaab likhi hai jis ke hawale aap ke saamne paish kiye gaye hain.

Maloom huwa ke Aam Ulama aur Jaleel ul Qadr Muhaddiseen Kiraam ke nazdeek Ibne Arabi Sufi aur Wahdatul Wujood ka aqeedah rakhne waale log gumraah aur gumraah karne waale hain, jin Ulama ne Ibne Arabi ki tareef ki hai ya use Shaykh e Akbar ke khud saakhtah laqab se yaad kiya hai, unke do giroh hain:

1- Jinhen Ibne Arabi ke bareme ilm hi nahi

2- Jinhen Ibne Arabi ke bareme ilm hai, inke teen giroh hain:

Pehley: Jo Ibne Arabi ki kitaabon aur uski taraf mansoob kufriyah ibaraat ka yeh keh kar inkaar kar deyte hain ke yeh Ibne Arabi se saabit nahi hain.

Dosrey: Jo tawilaat ke zariye se kufriyah ibaraat ko musharraf bah islam karne ki koshihs karte hain.

Tesrey: Jo in ibaraat se kulliyatan muttafiq hain, is teesre giroh aur Ibne Arabi ka ek hi hukm hai aur pehle do giroh agar bazaat e kudh Sahih ul-Aqeedah hain tou jahalat ki wajah se la-ilm hain.

Aakhir mein arz hai ke Wahdatul Wujood ek ghair islami aqeedah hai jis ki tardeed Qur'an e Majeed, Ahadees e Sahihah, Ijmaa', Asaar e Salaf e Saleheen aur Aql se saabit hai, masalan Irshaad e Bari Ta'ala hai:

أَأَمِنتُم مَّن فِي السَّمَاءِ أَن يَخْسِفَ بِكُمُ الْأَرْضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ

"Kya tum bekhauf ho us se jo aasmaan par hai ke tumhen zameen mein dhansa dey phir wo doalne lage."? (Surah al-Mulk: 16)

Rasoolullah ﷺ ne ek laundi se pouchaa:

أيــــــــــــن الله

"Allah ta'ala kahan hai"?

Us ne jawaab diya:

فـــــــــــى السّماء

"Aasman par hai"

Aap ﷺ ne pouchaa: main kaun hon? us ne kaha: Aap Allah ke Rasool hain, Aap ﷺ ne us laundi ke malik se farmaaya:

أعـتـقـهـا فـإنـهـا مـؤمـنـة

"Ise azaad kar do kiyunke yeh emaan waali hai."

(Sahih Muslim: 537, Tarqeem Darussalaam: 1199)

Abu Bakr al-Talmanki ne kaha: "Ahle sunnat ka is par ijmaa' hai ke Allah ta'ala apni zaat ke sath saat aasmano se oopar apne arsh par mustawi hai aur ma'yiat se muraad uska ilm (o qudrat) hai." (Sharh Hadees al-Nuzool Li Ibne Taimiyah: Safa 144,145 Mulakhkhasan)

Tambeeh: Wahdatul Wujood ke qaayil Husain bin Mansoor al-Hallaaj al-Hulooli ke bareme tafseel tehqeqe ke liye dekhe Ishaatulhadith Shumarah 21, Safa 8-11

……………… Asal Mazmoon ………………

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

Asal Mazmoon Ke Liye Dekhe'n Tahqeeqi Maqalat (Jild 2 Safa 468-472) Fatawa ilmia (Jild 1 Safa 63-67) Li-Sheikh Al-Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024