Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat |
Allah Tabarak Wa Ta'ala Farmaatey Hain: 《وَ مِنَ النَّاسِ مَنۡ یَّشۡتَرِیۡ لَہۡوَ الۡحَدِیۡثِ لِیُضِلَّ عَنۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ بِغَیۡرِ عِلۡمٍ ٭ۖ وَّ یَتَّخِذَہَا ہُزُوًا ؕ اُولٰٓئِکَ لَہُمۡ عَذَابٌ مُّہِیۡنٌ. 》 "Aur Logon Mein Se Baaz Aise Hain Jo Lahwal Hadees Khareedtey Hain Taake Logon Ko Jihalat Ke Saath Allah Ke Raastey Se Gumraah Karde Aur (Deen E Islam) Se Istihza (Mazaq) Karein,Yehi Woh Log Hain Jinhe Zaleel Karne Waala Azaab Hoga." [Surah Al Luqman 31: Ayat 06] Iss Ayat Mubaraka Mein "Lahwal Hadees" Ki Tashreeh Mein Sayyiduna Abdullah Bin Mas'ood (RaziAllahuAnhu) Farmaatey Hain: 《الغناء والذي لا إله إلا هو.》 "Uss Zaat Ki Qasam Jiske Siwa dusra Koi iLaah Nahin Hai, Iss Ayat Mein (Lahwal Hadees) Se Muraad "Ghina" (Gaana Bajaana) Hai." [Musannaf Ibn Abi Shaibah 6/309 Hadees 21123 Wasanaduhu Hasan.] Iss Asr Ko Imam Haakim Aur Imam Zahbi Donon Ne Sahih Kaha Hai. [Al Mustadrak 2/411 Hadees 3542] Ikrimah Tabaee Farmatey Hain: 《هو الغناء.》 Ye Ghina (Gaana) Hai. [Musannaf Ibn Abi Shaibah 6/310 Hadees 21127 Wasanaduhu Hasan] Qur'ane Paak Mein Allah Ta'ala Unn Logon Ki Mazammat Karte Hue Jo Deen-E-Haq Ke Mukhalif Hain Farmata Hai: ﴿وَاَنۡتُمۡ سٰمِدُوۡنَ.﴾ "Aur Tum Ghaflat Mein Pade Ho". [Surah Al-Najm 53: Ayat 61] Iss Ayat Ki Tashreeh Mein Mufassire Quran Abdullah bin Abbas (RaziAllahuAnhu) Farmatey Hain: 《هو الغناء بالحميرية، اسمدي لنا: تغني لنا.》 "Saamidoon Se Muraad Himyari Zubaan Mein Gaana Bajaana Hai. "Ismadee Lanaa" Ka Matlab Hai: Hamare Liye Gaao." [Al-Sunan Al-Kubra Lil Baihaqi 10/223 Wa Sanaduhu Qawi Sahih , Rawahu Yahya Al Qattan An Sufyaan As Sawri bihi] Sayyiduna Abu Amir Ya Abu Malik Al Ash'ari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Rasoolullahﷺ Ne Farmaaya: 《ليكونن من أمتي أقوام، يستحلون الحر والحرير، والخمر والمعازف، ولينزلن أقوام إلى جنب علم، يروح عليهم بسارحة لهم، يأتيهم - يعني الفقير - لحاجة فيقولون: ارجع إلينا غدا، فيبيتهم الله، ويضع العلم، ويمسخ آخرين قردة وخنازير إلى يوم القيامة.》 "Meri Ummat Mein Aisi Qaumein Zaroor Paida Hogi Jo Zina, Resham, Sharaab Aur Baajon (Aalat E Mosiqi=Musical instruments) Ko Halaal Samjhengey Aur Baaz Qaumein Pahaad Ke Paas Rehti Hogi Aur Jab Shaam Ko Apna Rewad (Sheeple) Lekar Waapis Hogi, Uss Waqt Unke Paas Koi Zarurat Mand (Faqeer) Aayega Toh Kahengey: "Kal Subaah Hamarey Paas Aao". Allah Taala unhe Raat Ko Hi Halaak Kardega Aur Pahaad Ko Giradega Aur Baaqiyon Ko Bandaron Aur Suwaron Ki Shakl Mein Badaldega Aur Qiyamat Tak Woh Isi Haal Mein Rahengey". [Sahih Bukhari 2/837 Hadees 5590, Sahih Ibn Hibban:6719] Iss Hadees Ke Baare Mein Shaykh Ibn Al Salah Farmaatey Hain: 《والحديث صحيح معروف الاتصال بشرط الصحيح.》 Ye Hadees Sahih Ki Shart Ke Saath Sahih Muttasil Mashhoor Hai. [Muqadma ibn Al salah Safa 90] Iss Hadees Par Hafiz Ibn Hazm Waghairah Ki Jarh Mardood Hai. Saheehain (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim) Ki Tamaam Marfoo Ba sanad Muttasil Riwayaat Yaqeenan Sahih Aur Qatayi al Saboot Hain. Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai ke Rasoolullahﷺ Ne Farmaaya: 《إن الله حرم عليكم الخمر والميسر والكوبة...كل مسكر حرام.》 Beshak Allah Ne Tum Par Sharaab, Juwa Aur Koobah Haraam Kiya Hai Aur Farmaaya: Har Nasha Dene Waali Cheez Haraam Hai". [Musnad Ahmad 1/289,350 Hadees 3274 Wa isnaaduhu Sahih, Sunan Abi Dawud:3696] Iss ke Ek Rawi Ali Bin Bazeemah Farmate Hain Ke: "Al-Tabl" Yani Dhol Hai. [Sunan Abi Dawud, Hadis no.3696, Wa isnaaduhu Sahih] Sayyiduna Abdullah Bin Amr Bin Al-Aas(RaziAllahuAnhu) Se Riwayat Hai Ke Nabiﷺ Ne Farmaaya: 《إن الله عزوجل حرم الخمر والميسر والكوبة والغبيراء و كل مسكر حرام.》 "Beshak Allah Azzawajal Ne Khamr (Sharaab) Juwa, Dholki Bajaana Aur Makayi Ki Sharaab Ko Haraam Qaraar Diya Hai Aur Har Nasha Dene Waali Cheez Haraam Hai" [Musnad Ahmad 2/171 Hadees 6591 Wasanaduhu Hasan.] Iss Riwayat Ke Raawi Amar Bin Al Waleed Bin Abdah Jamhoor Ke Nazdeek Siqa Wa Mauseq Hain, Lehaza Inn Ki Hadees Hasan Ke Darje Se Nahi Girti. Mehmood Bin Khalid Al Dimashqi Ne Sahih Sanad Ke Saath Imam Nafe' Se Naqal Kiya Hai Ke "Sayyiduna Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Ek Dafa Baansori (Flute) Ki Aawaz Suni Toh Apne Kaanon Mein Ungliyaan Daaldi Aur Farmaaya: Nabi Kareemﷺ Ne Aisa Hi Kiya Tha". [Sunan Abi Dawud:4924, Wa isnaduhu Hasan, Al-Muajam -ul-Kabir lil tabrani 1/13, Musnad Ahmed:2/38,H:4965,Al Sunan Al kubra Lil Baihaqi 1/222] Iss Hadees Ke Baare Mein Allamah Ibn Al Wazeer Al Yemeni Ne "Taudheeh ul Afkar" (Jild 1 Safa 150) Mein Likha Hai: "صحيح علي الأصح" Yani Sab Se Sahih Ye Hai Ke Ye Hadees Sahih Hai. Sayyiduna Anas Bin Maalik (RaziAllahuAnhu) Se Riwayat Hai Ke Nabiﷺ Ne Farmaaya: 《صوتان ملعونان في الدنيا والآخرة مزمار عند نعمة ورنة عند مصيبة.》 "Do Aawazon Par Dunya Aur Aakhirat (Donon) Mein Laanat Hai, Ek Khushi Ke Waqt Baaje Ki Aawaz Aur dusra Gham Ke Waqt Shor Machaana Aur Peetna. [Kashful Astar an Zawaid 1/377, Iss Hadees Ki Sanad Hasan Hai.] Hafiz Munziri Farmaate Hain: "ورواته ثقات" Aur Iss Ke Raawi Siqah (Aur Qaabile E'temaad) Hain. [Al targheeb wal tarheeb 4/350] Hafiz Heysmi Ne Farmaaya: "ورجاله ثقات" Yaani Iss Ke Raawi Siqa Hain. [Majmau' al-Zawa'id 3/13] Inn Aayat E Kareema Aur Ahaadese Mubaraka Ki Roushni Mein Muhaqqiq Ulamaa Ne Faisla Kiya Hai Ke Gaane Bajaane Ke Aalaat Aur Inn Ka Istemal Bilqasd (Jaan Boojkar Sunna) Haraam Hai. Public Gaarion Mein Tape Recorders Ka Shor:Ek Musalmaan Jise Maloom Hai Ke Gaana Bajaana Haraam Hai , Woh Apne Aapko Har Mumkin Tareeqe Se Iss Haraam Kaam Se Bachaata Hai. Ab Agar Woh Kahin Safar Ke Liye Public Gaadi Mein Sawaar Hota Hai Toh Driver Hazraat Aur Company Waale Log Usey Apne Pasandeedah Gaane Sunane Par Hatdharmi Se Datey Rehte Hain , Woh Kya Karega ? Gaadi Se Utar Jaaye Ya Phir Taaqat Ka Istemal Karke Ye Haraam Kaam Rokde? Toh Arz Hai Ke Inn Faasiq wa Faajir Drivers Aur unke Haamiyon Ko Iss Baat Ka Paband Karne Chahiye Ke Aamatul Muslimeen Ko Takleef Na Dein. Rasoolullahﷺ Ne Farmaaya: 《المسلم من سلم المسلمون من لسانه ويده.》 "Musalmaan Woh Hai Jiske Haath Aur Zubaan Se Dusrey Musalmaan Mehfooz Rahein". [Sahih Bukhari:10, Sahih Muslim:40] Ek Riwayat Mein Hai: 《لايدخل الجنة من لا يأمن جاره بوائقه.》 "Woh Shaks Jannat Mein Daakhil Nahin Hosakta Jiske Shar Se Uska Padosi Mehfooz Nahi Hai." [Sahih Muslim:46] FAHASHI AUR USKA SAD-E-BAABKuffar Aur Munafiqeen Ki Saazishon Ki Wajeh Se Musalmaano Mein Fahaashi Aur Behayaayi Bhi Musalsal Phail Rahi Hai. Gande Aur Fahash Gaano Ki Laanat Kya Kam Thi Ke Ab TV, VCR, DISH ANTENNA, CABLE, INTERNET CAFE'S, Mobile Ki Shaytaani bell (aur music) Aur Nangi Wa Gandi Tasaweer Ki Bahtaat Horahi Hai. Saari Kayenaat Ka Rab Allah Taala Ne Farmaaya: 《اِنَّ الَّذِیۡنَ یُحِبُّوۡنَ اَنۡ تَشِیۡعَ الۡفَاحِشَۃُ فِی الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَہُمۡ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ ۙ فِی الدُّنۡیَا وَ الۡاٰخِرَۃِ ؕ وَ اللّٰہُ یَعۡلَمُ وَ اَنۡتُمۡ لَا تَعۡلَمُوۡنَ.》 Jo Log Chahte Hain Ke Emaan Laane Waalon Ke Grouh Mein Fahashi Phayele, Woh Duniya Aur Akhirat Mein Dardnaak Saza Ke Mustahiq Hain, Allah Jaanta Hai Aur Tum Nahi Jaantey. (Surah Al-Noor 24:Ayat 19) Ye Ayat Mubarak Apne Shaane Nuzool Ke Saath Muqayyad Nahi Hai Balke العبرة بعموم اللفظ》 Ke Usool Se Fahashi Phailaane Waali Har Cheez Par Iska Hukm yeksaan Hai. Badkaari Ke Adde, Cinema Hall, Gandi Films, Clubs, Gande Hotels, Raqs Gaahein, Gande Qisse Kahaniyaan Aur Jinsi Fahash Ash'aar gharzaike Badaqlaaqi Phailaane Waale Tamaam Ashyaa Iss Ayat Ke Umoom Mein Shaamil Hain Lehaza Ye Sab Cheezein Haraam Aur Qaabil E Saza Hai. Agar Zimame Kaar Nek Aur Sache Musalmaanon Ke Haath Mein Hon Toh Unpr Laazim Hai Ke Fahashi Ke Ye Tamaam Adde Aur Zaraaye Poori Quwwat Se Band Kardein Aur Inn Af'aale Faahishah Ke Murtakib Ko Shadeed Saza Dijaaye Taake Ainda Kisi Dusre Ko Iski Himmat Na Ho. Mashoor Tabaee Muhammad bin Al Munkadir Rahimahullah Farmate Hain: "Qiyamat Ke Din Kaha Jayega Ke Kahaan Hain Woh Log Jo Apne Aapko Aur Apne Kaamo Ko Lahw Wa La'ab Aur Shaytani Bajon Se Bachaate The ? Unhe Khushbodaar Baagichon Mein Le Jaao, Phir Farishton Se Kaha Jaayega: unhein Meri Hamd o Sana Sunao Aur Khushkhabri Dedo Ke Unhe Na Koi Qauf Hai Aur Na Koi Gham Hoga" .(Taḥrīm al-nard wa-al-shaṭaranj wa-al-malāhī lil-imam abu bakr al-Ajurri:66, wasanaduhu Sahih) Yehi Qaul Dusre Sanadh ke Saath Mufassir E Quran Mujahid (Tabaee) Rahihmahullah Se Bhi Marwi Hai.(Aizan:68) Allah Taala Se Dua Hai Ke Tamaam Musalmaan Gaane Bajaane, Mausiqi, TV, VCR Aur Cinema Gharon Ko Chordh Kar Quran Aur Sunnat Ki Taraf Rujoo Karein, Tawheed Aur Sunnat Ka Bol Baala Karne Ki Koshish Karein Aur Shirk wa Kufr Aur Bidaat Ko Khatm Karne Mein Sache Dil Aur Saheeh Emaan Ke Saath Masroof Rahein Taake Duniya Mein Khilafat Aur Uski Barkaat Ek Baar Phir Qayem Hojaaye. Allah Se Dua Hai Ke Allah Inn Na Samajh Logon Ko Bhi Hidayat De Jo Inkaar E Hadees Ke Raaste par Gaamzan Hokar Gaane Bajaane Ke Aalat Aur Music Ko "Halaal" Saabit Karne Par tule hue hain. Joo Log Apne Mobile Ki Ghantiyon ke zariye se Namaziyon Ko Takleef Dete Hain Allah Unhe Bhi Hidayat De. (Ameen) Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah Romanised: Mubashir Uddin Original Mazmoon: [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.14, Safa no.8-11] and [Maqalath Jild 1 safa 629-634] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024