Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna!

Tehreer Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


(Ek Alim E Deen Mufti Sahaab Ko Shaykh Zubair Rahimahullah Ka Jawaab)

Jin ahadees mein daadiyan chhorney, mu'aaf karney aur badhaaney ka hukm diya gaya hai, is ke rawiyon mein se ek rawi Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma hain. Dekhe: Sahih Bukhari: 5892,5893 wa Sahih Muslim: 259.

Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma se yeh saabit hai ke wo haj aur umrey ke waqt apni daadhi ka kuch hissa (ek musht se ziyadah ko) kaat detey thhey. Dekhe: Sahih Bukhari (5892) wa Sunan Abi Dawood (2357) wa Sanadahu Hasan aur Imam Daarqutni ne Hasan kaha (2/182) Imam Haakim ne Sahih kaha (1/422) aur Imam Zehbi ne unki muwafaqat ki.

Kisi Sahabi se Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma par is silsiley mein inkaar saabit nahi hai, yeh ho hi nahi saktaa ke Sayyiduna Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhuma jaise Muttabi' e Sunnat Sahabi, Nabi ﷺ se ek hadees sune aur phir kudh hi uski mukhalifat bhi karen.

Sayyiduna Ibne Abbas Razi Allahu Anhuma ek ayat ki tashreeh mein farmaatey hain:

والأخذ من الشارب والأظفار واللحية

"Monchon, nakhuno aur daadhi mein se kaatna."

(Musannaf Ibne Abi Shaiba 4/85 Hadees 15668 wa Sanadahu Sahih, Ibne Jareer 17/109 wa Sanadahu Sahih)

Muhammad bin K'ab al-Qurazi (taba'yee, siqah aalim) bhi haj mein daadhi se kuch kaatney ke qaayil thhey. (Tafseer Ibne Jareer: 17/109 wa Sanadahu Hasan) Ibne Jareej bhi iske qaayil thhey. (Tafseer e Tabri: 17/110 wa Sanadahu Sahih) Qasim bin Muhammad bin Abi Bakr bhi jab sar mundaatey tou apni munchon aur daadhi ke baal kaattey thhey. (Ibne Abi Shaiba: Hadees 25476 wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu se marwi hai ke wo ek musht se ziyadah daadhi ko kaat detey thhey. (Musannaf Ibne Abi Shaiba: 8/375 Hadees 25479 wa Sanadahu Hasan)

Is ke rawi Amr bin Ayub ko Ibne Hibbaan ne Kitaab al-Siqaat mein zikr kiya hai (7/224,225) aur is se Shoba' bin Al-Hajjaaj ne riwayat li hai, Shoba' ke barey mein yeh umoomi qaaidah hai ke wo (aam taur par) apne nazdeek siqah rawi se hi riwayat kartey thhey, dekhe Tehzeeb al-Tehzeeb (1/4,5) is umoomi qaaidah se sirf wahi rawi mustasnaa hoga jis ke barey mein saraahat saabit ho jaye ya jamhoor muhaddiseen ne ise za'eef qaraar diya ho.

In do tawsiqaat ki wajah se Amar bin Ayub Hasan darjeh ka rawi qaraar paata hai.

Tawoos (taba'yee) bhi daadhi mein se kaatney ke qaayil thhey. (al-Tarjjal al-Khallaal: 96 Wa Sanadahu Sahih, Haroon Ibne Yusuf bin Haroon bin al-Shatawi) Imam Ahmed bin Hanbal bhi isi jawaaz ke qaayil thhey. (Kitaab Al-Tarjjal: 92)

In aasaar se maloom hota hai ke ek musht se ziyadah daadhi kaatna aur rukhsaaron ke baal leyna jayiz hai taahim behtar yeh hai ke daadhi ko bilkul khainchi na lagaayi jaaye. Wallahu 'Alam

Masla yeh nahi hai ke Sahabi ka amal daleel hai ya nahi? balke masla yeh hai ke Qur'an o Hadees ka kaunsa feham motabar hai, wo feham jo chodwin(14th) saadi hijri ka ek alim paish kar raha hai ya wo feham jo Sahaba, Taba'yeen wa Taba Taba'yeen aur Muhiddiseen Kiraam se saabit hai.!?

Hum tou wahi feham maantey hai, jo Sahaba, Taba'yeen, Taba Taba'yeen wa Muhaddiseen aur qaabil e aitemaad Ulama e Ummat se saabit hai, hamare ilm ke mutaabiq kisi ek Sahabi, Taba'yee, Taba Taba'yee, Muhaddis ya Motabar Alim ne ek mutthi se ziyadah daadhi ko kaatna haraam ya najayiz nahi qaraar diya.

Hafiz Abdullah Ropadi Rahimahullah farmaatey hain:

"Khulasa yeh hai hum tou ek hi baat jaantey hain wo yeh ke Salaf ka khilaaf jayiz nahi kiyun ke wo lughat aur istelahaat se ghafil na thhey."

(Fatawa Ahle Hadees: Jild 1, Page 111)


Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Reference: Ishaatulhadith Shumara no. 27 Page: 57-58]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024