Asma ul Rijal ka ilamHafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
Taqreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah Musalmanon kay paas aik aesa ilam hay jo dunya ki kisi qaum kay paas nahein. Na yahodion kay paas, na eesahion kay paas, na hindowon kay paas aur na kisi aur mazhab walon kay paas hay aur yeh "Asma ul Rijal ka ilam" yani rawion ka ilam hay. Falan sahabi kis waqat musalman howay? Kab paida howay? Nabi kareem ﷺ kay paas kab aaey? Kitnay din wahan rahay? Phir wahan say kidhar gaey? Waghera. Falan tabihee kaun tha? Kis ilaqay say tahaluq tha? Us kay ustaad kaun thay? Shagird kesay hain? Yeh sacha tha ya jhoota tha? Aur siqah tha ya zaeef? Waghera. Wazeh rahay keh saaray sahaba kiram raziallaho hanhum sachay thay. Tabiheen e azam ki aksarehat sachon ki thi. Taba tabiheen ki aksarehat bhi sachon ki thi. Phir ba`ad main jhoot zayada hona shuru howa. In sab kay halat asma ul rijal ki kitabon main likhay howay mojood hain. Aik aik rawi ka tazkara keh kab paida howa? Kab faut howa? Sab kuch mojood hay. Imam ibne Hiban rahimahullah ka aik waqihah muhadiseen nay naqal kia hay keh woh farmatay hain: Main aik aadmi kay paas parhanay kay liey gaya tau woh kehta tha "hadasana hisham bin hammar". Mujhay hisham bin hammar nay yeh hadees sunahi. Falan nay hadees sunahi. Hafiz ibne hiban nay us say pocha: tu kab paida howa tha? Teri tareekh e paidahish kia hay? Us nay kaha main 264 (do so chonsath) hijri main paida howa tha. Tau ibne hiban nay us say kaha: mujhay falan nay bataya aur falan nay bhi bataya tha keh 250 (do so pachas) hijri main tera ustaad faut ho gaya tha. Dunya say rukhsat ho gaya tha. To 14 (chodah) saal ba`ad tujhay kis tarah hadeesain sunanay kay liey aa gaya tha? (Yani wo shakhas) jhoota saabit howa. Muhadiseen nay asma ul rijaal main yeh (tareeqah) akhtiar kia hay. Har cheez likhi howi mojood hay. Nabi kareem ﷺ ki hadees hay:
Logo! Main tumhain is seedhay rastay par chor kar jaa raha hoon. Aisi millat par chor kar jaa raha hoon jis ki raat bhi din ki tarah roshan hay. (sunnan ibne majah: 43 wa sanaduhu saheeh, ibne abi aasim: 47-49) Kisi ki jurhat nahein hay keh wo nabi kareem ﷺ ki hadeeson main api taraf say gar bar karay. (Agar) gar bar karay ga tau zaleel ho jaey ga, kazzab ho jaey ga. Yeh ilam kisi aur qaum kay paas nahein hay. ……………… Asal Video ……………… Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah ki asal video hamari mobile app mein isi unwan kay saath mojood hay. ……………… Hawalay ……………… Sunnan ibne maja wali riwayat main yeh alfaz hain: Saydna al-irbaaz bin sariah raziallaho hanho say marvi hay keh unhon nay rasoolallah ﷺ ko yeh farmatay howay sunna:
Imam ibne hiban ka waqihah kitabul majroheen main mojood hay:
Mamoon bin ahmad kazzab tha aur hadeesain gharnay main mashoor tha. Is shakhs nay tahasub ki bana par Nabi ﷺ say sabit shuda tareeqay "Namaz Main Rafa ul Yadain" kay khilaf hadees ghari thi. (Kitabul Majroheen: 3/ 46) |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024