Zahoor e Imam Mahdi — Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسوله الأمين، أمام بعد؛

Sahih aur hasan ahaadees sey saabit hai ke qayaamat sey pehle, musalmaano ka ek khalifa hoga jis ke daur mein Allah ta'ala zameen ko 'adl wa insaaf sey bhar dega. Is khalifa ka laqab Imam Mahdi hai, jin ke daur mein(bani israil ki taraf bheje gae) Sayyiduna Eesa Ibne Maryam('alaihimus salaam) aasmaan sey zameen par naazil honge. Imam Mahdi ke khurooj wa zuhoor ke baare mein b'az sahih wa hasan ahaadees baa hawaala wa tas'heeh darje zail hain:

Sayyiduna Abu Hurairah(razi Allahu 'anhu) sey riwayat hai ke Rasoolullahﷺ ne farmaaya:

كيف أنتم إذا انزل ابن مريم فيكم و إمامكم منكم؟

"Tumhaara uss waqt kya haal hoga jab ibne Maryam tumhaare darmiyaan naazil honge aur tumhaara Imam tum me sey hoga."?

(Sahih Bukhari:3449, Sahih Muslim:155, tarqeem darus salaam:392)

Iss hadees mein Imam sey muraad(ek qaul mein) Imam Mahdi aakhir uz-zamaan hai. Dekhiye: "Ikmal Ikmal al-Mu'allim" Li Muhammad bin Khalifah al-Washtani al-Ubbi (Sharah Ubbi 'alaa Sahih Muslim Jild 1 Safa 450, Kitaabul Emaan Hadees: 244)

Hafiz Ibne Hibbaan ne iss hadees sey istedlaal kiya ke nuzoole Eesa bin Maryam ummat mein imaamat(khilaafat wa hukumat) rahegi. (Dekhiye al-Ihsaan(15/213), Hadees (6802), dusra nuskha: 6764)

TAMBEEH:

B'az riwaayaat mein "فأمّكم" ka lafz aaya hai, jis ki tashreeh mein Imam Muhammad bin 'Abdur Rahmaan bin abi Zaib al-Madani(Rahimahullah) (Died: 158 hijri) ne farmaaya:

فأمّكم بكتاب ربكم عزوجل و سنة نبيّكم ﷺ

"Phir woh(Syedna Eesa 'alihimus salaam) tumhaari imaamat (hukumat) karenge: tumhaare Rab 'azzawajal ki kitaab aur tumhaare Nabi ﷺ ki sunnat ke saath."

(Sahih Muslim, Kitaabul Emaan:246, tarqeem darus salaam:394)

Sayyiduna Jabir bin 'Abdullah al-Ansaari sey riwaayat hai ke maine Nabi ﷺ ko farmaate hue suna:

((لا تزال طایٔفة من أمتي يقاتلون على الحق ظاهرين إلٰى يوم القيامة)) قال؛ ((فينزل عيسى بن مريم فيقول أميرهم؛ تعال صلّ لنا، فيقول؛ لا، إن بعضكم علٰى بعض أمراء، تكرمة اللّٰه هذه الأمة))

"Meri ummat ka ek giroh qayaamat tak hamesha haq par qitaal karte hue ghalib rahega, phir Eesa bin Maryam('alaihimus salaam) naazil honge toh unn(musalmaanon) ka ameer kahega: Aaiye! humein namaaz padhaaiye toh woh farmaaenge: Nahi, tum ek dusre par umaraa ho, Allah ne iss ummat ko fazeelat bakhshi hai."

(Sahih Muslim:156, darus slaam:395)

Hadees e mazkoor mein ameer sey muraad Mahdi hain.

Sayyiduna Jabir bin 'Abdullah al-Ansaari(razi Allahu 'anhu) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:

يكون في اخر أمتي خليفة يحثي المال حثيًا ولا يعدّه عدًا

"Meri ummat ke aakhir mein ek khalifa hoga jo(logon mein) giney baghair maal udaayega ya'ni taqseem karega."

(Sahih Muslim:2913, darus salaam:7315 Sharah as-Sunnah Lil Baghawi 15/86,87 Hadees 4281 Baab al-Mehdi Wa Qaal: "Haza Hadees Sahih")

Iss hadees mein khalifa sey muraad Iman Mahdi hain.

Sayyiduna Abu sa'eed al-Khudri(razi Allahu 'anhu) sey riwayat hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

يخرج في آخر أمتي المهدي، يسقيه الله الغيث، وتخرج الأرض نباتها، و يعطي المال صحاحاً، و تكثر الماشية، و تعظم الأمة، يعيش سبعاً، أو ثمانياً، يعني حججاً

"Meri ummat ke aakhir mein Mahdi aaega jis ke liye Allah ta'ala baarish naazil farmaaega aur zameen apni nabaataat ugal degi, 'adl wa insaaf sey maal taqseem karega, maweshi zyada hojaaenge aur ummat ka ghalba hoga, woh(apne zuhoor ke baad) 7 ya 8 saal zindah rahega."

(Al-Mustadrak 4/557,558 Hadees(8673) Wa Sanadahu Sahih)

Isey Haakim aur zahbi dono ne sahih kaha hai aur iss ki sanad sahih hai. Nez dekhiye Sahih Muslim(2913, darus salaam:7315)

Sayyiduna 'Ali bin Abi Talib(razi Allahu 'anhu) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:

المهدى منا أهل البيت، يصلحه اللّٰه في ليلة

"Mahdi hum mein sey hai: Ahle bait sey, Allah usey ek raat mein durust kardega."

(Musnad Ahmed 1/84, Wa Sanadahu Hasan, Hadees(645), Sunan Ibne Majah: 4085)

Iss hadees ki sanad hasan li zaatihi hai. Yaseen al-'Ijli al-Kufi aur Ibraheem bin Mohammad bin al-Hanafiya dono jamhoor muhaddiseen ke nazdeek siqaa wa sudooq hone ki wajah sey hasan ul-hadees they aur un par jarh mardood hai.

Sayyidah Umme Salma(razi Allah 'anha) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

المهدي من عترتي من ولد فاطمة

"Mahdi mere ahle bait mein se: Fathima ki aulaad mein sey hoga."

(Sunan Abi Dawood:4284, Wa Sanadahu Hasan, Sunan Ibne Maaja:4086)

Sayyiduna 'Abdullah bin Mas'ood(razi Allahu 'anhu) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:

لا تذهب الدنيا أولا تنقضي الدنيا حتى يملك العرب رجل من أهل بيتي، يواطىٔ اسمه اسمى

"Duniya uss waqt tak khatam nahi hogi jab tak 'arbon ka baadshah(hakim) mere ahle bait mein sey ek aadmi naa ban jaae jis ka naam mere naam jaisa(ya'ni Muhammad) hoga."

(Musnad Ahmed 1/377, Hadees(3573), Safah(430), Hadees(4098), Wa Sanadahu Hasan, Sunan Abi Dawood:4282, Sunan Tirmizi:2230 Wa Qaal: Hasan Sahih" wa Sahaha az-Zehbi fee talkhees al-Mustadrak 4/442)

Iss hadees ke raawi Qari Asim bin Abi al-Najud al-Kufi(rahimahullah) jamhur ke nazdeek moosaq hone ki wajah sey hasan ul-hadess they lihaza unn par jarh mardood hai aur baaqi sanad hasan hai.

Faaida:

Fitr bin Khalifa(sudooq hasan ul-hadees wa siqaa al jamhoor) waghairah ki riwayaat mein izaafa bhi hai ke Aapﷺ ney farmaya:

و اسم أبيه اسم أبي

"Aur uss ke baap ka naam mere baap ke naam par hoga."

(Musannaf Ibne Abi Shaibah: Nuskha Muhammad Awwamah al-Taqleedi: 21/292 Hadees 3880 Wa Sanadahu Hasan, al-Mau'jam ul Kabeer Lil Tabraani 10/163 Hadees 10213)

Ya'ni Imam Mahdi ka naam Mohammad bin 'Abdullah hoga.

Sayyiduna 'Ali(razi Allahu 'anhu) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:

لو لم يبق من الدهر إلا يهم لبعث اللّٰه عز و جل رجلاً من أهل بيتي يملؤها عدلاً كما ملىٔت جوراً.

"Agar duniya mein sey sirf ek din baaqi rah gaya toh bhi Allah ta'ala mere ahle bait mein sey ek aadmi mab'oos farmaaega jo duniya ko 'adl wa insaaf sey bhar dega jaisa ke woh zulm wa sitam sey bhari hui thi."

(Sunan Abi Dawood:4283 Wa Sanadahu Hasan, Fitr bin Khalifah Hasan ul Hadees wa Baaqi al-Sanad Sahih)

Sayyiduna Ayesha siddiqua(razi Allahu 'anha) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:

العجب إن ناسًا من أمتي يؤمون البيت برجل من قريش قد لجأ بالبيت حتى إذا كانوا بالبيداء خسف بهم.

"Ta'jub hai ke meri ummat mein sey kuch log quraish ke ek aadmi par hamla karne ke liye bait ullah ka rukh karenge jis ne bait ullah mein panah li rakhi hogi phir jab woh baida(muqaam) par pahunchenge toh zameen mein dhansaa diye jaaenge."

(Sahih Muslim:2884, darus salaam:7244)

Sayyidah Umme Salma(razi Allahu 'anha) sey riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:

يعوذ عائذ بالبيت فيبعث إليه بعث فإذا كانوا ببيداء من الأرض خسف بهم.

"Ek panah lene wala bait ullah mein panah lega phir iss par ek lashkar hamla karega, jab woh baida zameen par pahunchenge toh inhe dhansa diya jaaega."

(Sahih Muslim:2882, daarus salaam:7240)

In ahaadees-e-marfoo'a ka khulasa ye hai ke qayamat sey pehle Imam Mahdi ka zuhoor mutawaatir ahaadees sey saabit hai aur ye aisa sach hai jis mein kisi qism ka shak wa shuba nahi hai.

Bahut Se Ulama E Kiraam ne khurooj mehdi waali ahaadees ko mutawaatir qaraar diya hai masalan:

1) Hafiz Abul Husain Muhammad bin al-Husain al-Aabri as-Sijzi (Fath al-Baari 2/493,494 Hadees 3449, al-Manar al-Munif Li Ibn al-Qayyim Safa 141,142)

2) Muhammad bin Jaffar bin Idrees al-Kattani (Nazm al-Mutanaasar Minal Hadees al-Mutawaatar Safa 236 Hadees 289)

Tafseel ke liye dekhiye Dr. Abdul 'Aleem Abdul 'Azeem al-Bastawi ki kitaab "al-Mahdi al-Muntazar Fi Zaw al-Ahadees wal Aasaar as-Saheehah" (safa 40,43)

AB IMAM MAHDI KE BAARE MEIN B'AZ AASAAR PASH-E-KHIDMAT HAIN:

1) Sayyiduna 'Ali(razi Allahu 'anhu) ne farmaaya:

"Fitna hoga, iss me log iss tarah tapenge jis tarah sona bhatti mein tapta hai lihaza ahle Shaam ko bura naa kaho kyun ke unn mein abdaal hain aur Shaami zaalimon ko bura kaho... phir log qitaal karenge aur inhein shikist hogi phir haashmi zaahir hoga toh Allah ta'ala inhein dubaara baaham sher wa shakar banaadega aur apni ne'maton ki faraawaani farmaadega phir log isi haalat par hoge ke dajjaal ka khurooj hoga."

(Al-Mustadrak Lil Haakim(4/553), Hadees(8658) Imam Haakim ne is ko "saheeh" kaha hai aur Hafiz Zehbi ney unki muwafiqat ki hai)

2) Sayyiduna 'Abdullah bin 'Abbas(razi Allahu 'anhuma) ne farmaaya:

"Mujhe umeed hai ke ek din aisa aaega ke hum: ahle bait mein sey ek nau jawaan ladka zaahir hoga, uss par fitne aaenge lekin woh fitnon sey bachaa rahega, woh iss ummat ka mu'amla seedha kardega."

السنن الواردة في الفتن وغوائلها والساعة وأشراطها للدانى ج٥ ص١٠٤٣ ح٥٥٩ وسنده حسن

(Musannaf Ibne Abi Shaibah (15/196), Hadees(37620))

Sayyiduna Ibne 'Abbas(razi Allahu 'anhuma) sey riwayat hai ke:

منا ثلاثة؛ منا الفساح و منا المنصور و منا المهدي

"Hum mein sey 3 hain: khoon bahaane wala, jiski madad ki jaaegi aur Mahdi."

(Musannaf Ibne Abi Shaibah (15/197), Hadess(37631) Wa Sanadahu Hasan)

3) Ek sahaabi sey riwayat hai ki uss waqt tak Mehdi Zaahir nahi honge jab tak nafs-e-zakiyyah qatal na hojaae... (Musannaf Ibne Abi Shaibah (15/199) Hadees(37642) Wa Sanadahu Hasan)

4) Sayyiduna 'Abdullah bin 'Amr bin al-'Aas(razi Allahu 'anhu) ne ahle kufa ke baare mein farmaaya:

فإنهم أسعد الناس بالمهدي

"Kufa wale Mahdi ke saath khush bakht honge."

(al-Fitan Lil-Daani(5/1058,1059), Hadees(578) Wa Sanadahu Hasan)

In ahaadees aur aasaar ka khulasa ye hai ke qayamat sey pehle Mohammad bin 'Abdullah Al-Fatmi Al-Hashmi naam ke ek khalifa honge jinhein Imam Mahdi kehte hain, unke zamaane mein Sayyiduna Eesa('alahimus salaam) naazil honge aur rooye zameen par Deen e Islam ka ghalba hoga.

Muta'addid 'ulma-e-kiraam ne Imam Mahdi ki ahaadees ko sahih wa saabit qaraar diya hai maslan Imam Tirmizi, Hafiz Ibne Hibban, Haakim, 'Aqeeli aur Zahbi waghair hum. Dekhiye Maulana Muneer qamar Nawab Uddin(Hafizahullah) ki kitaab: "zuhoor-e-Imam Mehdi ek atal haqeeqat"

TAMBEEH:

Ek riwayat mein aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

ولا المهدي إلا عيسى بن مريم

"Aur Eesa bin Maryam ke 'ilaawah Mahdi nahi."

(Sunan ibne Maaja:4039)

Ye riwayat 4 wajah sey za'eef ya'ni mardood hai:

1: Hasan Basri(rahimahullah) mudallis they aur ye riwayat 'an sey hai.

2: Mohammad bin Khalid Al-Jundi majhool rawi hai aur uss ki tauseeq Imam ibne ma'een sey sabit nahi hai.

3: Ibaan bin Salih ne Hasan Basri sey ye hadees nahi suni.

4: Muhaddiseen-e-kiraam mein sey kisi ne bhi iss riwayat ko sahih nahi kaha balke Baihaqi, Hakim aur Zahbi waghair hum ne isey "munkar" ya'ni za'eef wa mardood kharaar diya hai..

Dekhiye meri kitaab:

تخريج النہایتہ في الفتن والملاحم (مخطوط ص٢/٧١ ح١٠٧)

………… Asal Mazmoon …………

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: BINTE KHURSHEED ALI

Reference: Manama Ishaatulhadith Hazro Shumara 61, Page 18-23

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024