Zabaan Ki Hifaazat

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah


Allah Taala ne insaan ko jin be shumaar nematon se nawaaza hai un mein se zabaan ek bahut badi ne’mat hai, zabaan quloob o azhaan ki tarjumaan hai, is ka sahih iste’maal zariya husool e sawaab aur ghalat iste’maal wa’eed azaab hai, yahi wajah hai ke Ahadees e Nabawiyyah ﷺ mein "Islaah E Zabaan" ko zaroori qaraar diya gaya hai.

Momin Ki Shaan:

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

مَنْ کَانَ یُؤْمِنُ بِاللہِ وَالیَوْمِ الآخِرِ فَلْیَقُلْ خَیْرًا أَوْ لِیَصْمُتْ

"Jo shakhs Allah aur yaum e aakhirat par imaan rakhta hai (use chahiye ya to) woh bhalaayi ki baat kahe warna khamoosh rahe."

(Sahih Bukhari: 6018, Sahih Muslim: 74/47)

Ahl e Imaan ki guftgu behtareen aur pur taseer hoti hai, aur woh hamesha fuzooliyyaat se ihtiraaz karte hain.

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

مِنْ حُسْنِ اِسْلَامِ الْمَرْءِ تَرْکُہٗ مَالَا یَعْنِیْہِ

"Fuzool baaton ko chhor deyna, aadmi ke Islam ki achchaayi ki daleel hai."

(Muatta imam malik: 2/ 903 H 1737 Wa-Sanaduhu Hasan)

Behtareen Musalmaan:

Sayyiduna Abu Musa Radhiallahu Anhu farmaate hain ke main ne arz kiya aye Allah ke Rasool! Musalmaanon mein se kaun afzal hai? to Aap ﷺ ne farmaaya:

مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُوْنَ مِنْ لِسَانِہِ وَیَدِہِ

"Jis ki zabaan aur haath se doosre musalmaan mehfooz hun."

(Bukhari: Hadees 11, Muslim: 66/42)

Kehte hain ke zabaan ka nishtar (lohe ke) neze se ziyada gehra zakhm karta hai, lihaaza behtareen musalmaan banne ke liye apni zabaan par control aur doosre musalmaan ki ’izzat e nafs ka khayaal bahut zaroori hai.

Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai ke main ne ek din Nabi e Kareem ﷺ se (un ki doosri biwi Sayyedah Safiyyah Radhiallahu Anha ki baabat) arz kiya: Aap ke liye Safiyyah ka aisa aisa hona kaafi hai. ba’z raawiyon ne kaha ke Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha ki muraad yeh thi ke woh pastah qad hain to Aap ﷺ ne (Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha se) farmaaya:

لَقَدْ قُلْتِ کَلِمَۃً لَوْ مُزِجَ بِھَاالْبَحْرُ لَمَزَجَتْہُ

"Tu ne aisi baat kahi hai ke agar use samandar ke paani mein mila diya jaaye to woh us ka zaaiqa badal daale."

(Sunan Abi Dawood: 4875)

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

اِنَّ دِمَاءَ کُمْ وَاَمْوَالَکُمْ وَاَعْرَاضَکُمْ بَیْنَکُمْ حَرَامٌ

"Ya’ni ek musalmaan ke liye doosre musalmaan ka khoon, maal aur us ki ’izzat o aabru qaabil ehtraam hain."

(Bukhari: 67)

Jannat Ki Zamanat:

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

مَنْ یَضْمَنْ لِی مَا بَیْنَ لَحْیَیْہِ وَمَا بَیْنَ رِجْلَیْہِ، أَضْمَنْ لَہُ الجَنَّۃَ

"Jo shakhs mujhe apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zamaanat de to main us ke liye jannat ki zamaanat deta hun."

(Bukhari: 6474)

Jis tarah zabaan aur sharmgaah ki hifaazat karne ki bana par jannat ki bashaarat di gayi hai aise hi un dono ki hifaazat mein kotaahi karne waalon ke liye tambeeh baleegh hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

اَتَدْرُوْنَ مَا اَکْثَرُ ماَ یُدْخِلُ النَّاسَ النَّارَ؟ أَلْاَجْوَفَانِ: اَلْفَمُ وَالْفَرَجُ

"Kya tum jaante ho ke logon ko kasrat ke saath kaun si cheez jahannam mein daakhil kare gi? woh do khokli cheezein, zabaan aur sharmgaah hain.

(Sunan Tirmizi: 2004, Sunan Ibne Majah: 4246 Wa-Sanaduhu Sahih)

Zabaan Ke Khatraat:

Sayyiduna Sufyan bin Abdullah Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke: main ne arz kiya ya Rasoolullah ﷺ: mujhe aisi baat batlaaiye jis ko main mazbooti se thaam lun. Aap ﷺ ne farmaaya: "Tum kaho mera Rabb Allah hai, phir us par jam jaao. main ne arz kiya: ya Rasoolullah! sab se ziyada khatre waali cheez jis ka aap ko mujh se andeesha ho kiya hai? Aap ﷺ ne apni zabaan pakdi phir farmaaya: yeh (zabaan) hai. (Sunan Tirmizi: Hadees 2410 Wa-Sanaduhu Sahih)

Ek dafa Nabi ﷺ ne Mu’aaz Radhiallahu Anhu ke poochne par Namaz, Zakat, Roza, Hajj e Baitullah aur Jihaad ke mutalliq ba-tafseel bayan farmaaya: aakhir mein farmaaya: Kya main tujhe aisi baat na batlaaun jis par in sab ka daar o madaar hai? main ne kaha: aye Allah ke Rasool kiun nahi. Aap ﷺ ne apni zabaan pakdi aur farmaaya: Is ko rok ke rakh. main ne arz kiya, kiya hum zabaan ke zariye jo guftgu karte hain is par bhi hamaari girift ho gi? Aap ﷺ ne farmaaya: teri maa tujhe gum paaye logon ko jahannam mein aundheh munh girne waali zabaan ki kaati hue kheti (guftgu) ke siwa aur kiya hai?! (Sunan Tirmizi: Hadees 2616 Wa-Sanaduhu Hasan)

Maloom hawa ke zabaan ka ghalat iste’maal aadmi ke a’maal (Namaz, Roza, Zakat, Hajj, Jihaad) waghera ko barbaad kar sakta hai, aur jannat ki bajaaye jahannam ka indhan bana sakta hai.

Pehle Tolo — Phir Bolo:

Hamesha dauraan guftgu tadabbur o tafakkur ko malhooz rakhna chahiye kiunki zabaan ki zara si be-itedaali insaan ko duniya o aakhirat ke aalaam o masaaib se do chaar kar sakti hai.

Irshaad e Baari Taala hai:

مَایلْفِظُ مِنْ قَوْلٍ إلاَّ لَدَیہِ رَقِیب عَتِید

"Insaan jo lafz bhi bolta hai uske paas hi ek nigraan maujood hota hai."

(Surah Qaaf ٓ: 18)

Ya’ni insaan ki har baat record hoti hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

"Aadmi ek baat karta hai us mein ghaur o fikr nahi karta aur woh us baat ki wajah se mashriq o maghrib ke darmiyaan masaafat se bhi ziyada jahannam ki taraf gir jaata hai."

(Sahih Bukhari: 6477, Sahih Muslim: 49/2988)

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

"Jab insaan subah karta hai to us ke tamaam aazaa zabaan ki mannat samaajat karte hain aur kehte hain ke: hamaare baare mein tujhe Allah se darna chahiye. bila shuba hamaara mu’aamla tere saath waabasta hai, agar tu durust rahe gi to hum bhi durust rahein ge aur agar tujh mein tedha pan aa gaya to hum bhi tedhe ho jaayenge.

(Sunan Tirmizi: 2407 Wa-Sanaduhu Hasan)

Ya’ni pehle zabaan daraazi, gaali galoch hoti hai phir ladaayi jhagda hota hai, to maar jism ko hi bardaasht karna padti hai isi liye jism ke saare aazaa zabaan ke saamne mannat samaajat karte hain. har do Ahadees se wazeh ho gaya ke zabaan ka iste’maal sahih na karne ki wajah se dono jahaanon mein khasaare ka saamna hai.

Khamooshi Mein Najaat:

Rasoolullah ﷺ farmaaya:

مَنْ صَمَتَ فَقَدْ نَجَا

"Jo shakhs khamoosh raha woh najaat paa gaya."

(Sunan Tirmizi: 2501 Wa-Sanaduhu Hasan,

Mazeed tehqeeq ke liye dekhiye "Azwah ul Masabeh" Lil Ustaaz Hafiz Zubair ’Ali Zai Rahimahullah: Raqm 3836)

Mazeed irshaad farmaaya:

لَا تُکْثِرُوا الْکَلَامَ بِغَیْرِ ذِکْرِ اللہِ فَاِنَّ کَثْرَۃَالْکَلَامِ بِغَیْرِ ذِکْرِ اللہِ قَسْوَۃٌ لِلْقَلْبِ اِنَّ أَبْعَدَ النَّاسِ مِنَ اللہِ الْقَلْبُ الْقَاسِیْ

"Allah ke zikr ke alawah ziyada baatein na kiya karo is liye ke Allah ke zikr ke alawah ziyada baatein dil ki sakhti hai, aur logon mein Allah se sab se ziyada daur sakht dil (waala aadmi) hai."

(Sunan Tirmizi: Hadees 2411 Wa-Sanaduhu Hasan)

Imam Nawawi Rahimahullah farmaate hain:

"Jaanna chahiye ke har mukallaf insaan ke liye munasib hai ke woh har qasam ki guftgu se apni zabaan ki hifaazat kare, sirf woh guftgu kare jis mein maslihat wazeh ho, aur jahaan maslihat ke aitbaar se bolna aur khamoosh rehna dono barabar hun to phir khamoosh rehna sunnat hai. is liye ke ba’z dafa jaaiz guftgu bhi haraam ya makrooh tak pahuncha deti hai aur aisa aam taur par hota hai aur salaamti ke barabar koi cheez nahi."

(Riyadh as-Salheen: 2/ 389 Taba’ Daar-us-Salam)

………… Asal Mazmoon …………

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: RomanQuranoHadees.com

Reference: Manama Ishaatulhadith Shumara 2, Page 20-22

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024