Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se MuhabbatTehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
Hafiz Zehbi Rahimahullah (Died: 748 Hijri) Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ke bareme farmaate hain:
Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu bayaan karte hain:
Is riwayat se maloom hota hai ke aap ne Rasoolullah ﷺ ki dus saal khidmat ki hai. Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ke bareme Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:
Allah Rabbul 'Izzat ne yeh dua qubool farmayi jis ke natijeh mein saw(100) ke qareeb aap ke bete, betiyan, potey potiyan aur nawase nawasiyan thhey. (dekhe: Sahih Muslim: 2481) aur aap ke maal mein is qadar barkat daal di gayi ke aap ka bagh saal mein do dafa' phal deyta tha aur us bagh mein rayhaan (ka pawdaa) tha jis se kasturi jaisi khushboo aati thi. (Sunan Tirmizi: 3833 Wa Sanadahu Sahih) Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ke angoor saal mein do dafa' phal detey thhey. (Dekhe: al-Tabqaat Li Ibne S'ad 7/19) Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ne farmaya:
Aap (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:
Aap mustajaab ud-dawaat bhi thhey, ek dafa' barish nahi ho rahi thi aur faslon ko paani ki aashad zaroorat thi, lehaza Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ne dua farmayi tou fauran badal aagaye aur khoob barish huwi." (Dekhe: al-Tabqaat Li Ibne S'ad: 7/21,22 Wa Sanadahu Hasan) Aap ne maidaan e jihaad mein bhi Rasoolullah ﷺ ka bharpoor sath diya aur aap ki bahut ziyadah khidmat ki, Ishaaq bin Usman al-Kilabi ne Musa bin Yunus bin Malik Rahimahullah se pouchaa ke Anas Razi Allahu Anhu ne Nabi e Kareem ﷺ ke sath kitne ghazwaat mein hissa liya? tou unhon ne farmaaya: aath(8) ghazwaat mein. (al-Tareekh ul-Kabeer Lil Bukhari: 1/398, Wa Sanadahu Sahih) Sayyiduna Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke ek shaksh ne Rasoolullah ﷺ se qayamat ke bareme dariyaaft kiya tou Aap ne farmaaya: tuney us ke liye liye kya taiyari ki hai? us ne arz kiya: koi taiyari nahi lekin main Allah aur uske Rasool se muhabbat karta hon, Aap ﷺ ne farmaaya: "tu jis se muhabbat karta hai usi ke sath hoga." Sayyiduna Anas Razi Allahu Anhu ne farmaaya: main Nabi ﷺ Abu Bakr aur Umar (Razi Allahu Anhuma) se muhabbat karta hon aur mujhe umeed hai ke main apni muhabbat ki wajah se un ke sath honga, agarche mere amaal un jaise nahi hain." (Sahih Bukhari: 3688, Sahih Muslim: 2639) Aye Allah! hamare dil apni muhabbat apne Rasool (Sayyiduna Muhammad ﷺ) aur unke tamaam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ki muhabbat se bhar dey. aameen Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah Romanised: Syed Ibraheem Salafi [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.114, Safa no.40-41] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024