Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Tambeeh: Humari mobile app mein "Mukhtasar Saheeh Namaze Nabawi" mojood hai. Aap us kitab ko zaroor parhein. ……………… Romanised: Ibrahim Salafi Tehreer: Dr. Shafiq ur Rahman Hafizahullah Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
Giyara (11) Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ki Shahadat!
Is hadees se bahut si baaten maloom hoti hai jin mein se ek yeh hai ke Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) ke nazdeek Rasoolullah ﷺ ki wafaat tak rafaulyadain mansookh nahi huwa. (Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah) Namaz Ki Niyat: Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
Niyat chunke dil se ta'alluq rakhti hai, is liye zubaan se alfaaz ada karne ki zaroorat nahi hai, aur niyat ka zubaan se ada karna Rasoolullah ﷺ ki sunnat nahi hai aur na Sahaba (Razi Allahu Anhum) ke amal se sabit hai. (tafseel ke liye dekhe namaz e nabawi page: 180) Qiyaam: Sayyiduna Imran bin Husain (Razi Allahu Anhu) bayaan farmaate hai: mujhe bawaseer ki takleef thi, Nabi e Akram ﷺ ne farmaaya:
Is se maloom huwa ke istetaa'at ke bawajood baith kar farz namaz ada karna jayiz nahi aur aur yeh Qur'an ke bhi khilaaf hai, "Aur Allah ke liye ba-adab khaday huwa karo." (Surah Baqarah: 238) (hafiz Zubair Alizai Rahimahullah) Takbeer E Oula! Qiblah ki janib mou(face) kar ke (Allahu Akbar) kehte huwe rafaulyadain kare. yani dono hath kandhon tak utthayen. Sayyiduna Abdullah bin Umar (Razi Allahu Anhu) farmaate hain:
Ise takbeer e oula is liye kehte hain ke namaz ki sab se pehli takbeer hai aur is se namaz shuru hoti hai aur ise takbeer e tehrima bhi kehte hain kiyunke is ke sath hi bahut se chizen namazi par haraam ho jaati hai. (hafiz Zubair Alizai Rahimahullah) 》 Hath utthatey waqt ungliya (normal tariqe par) khuli rakhe. na ungliyo ke darmiyaan ziyadah fasla kare na ungliya milaye. (al-Mustadrak Lil Haakim: 856 Wa Sanadahu Hasan Imam Haakim ne al-Mustadrrak 1/234 mein aur Hafiz Zehbi ne ise sahih kaha hai. Sunan Abu Dawood: 753, Jaame' Tirmizi: 240 Wa Sanadahu Hasan) 》 Rasoolullah ﷺ dono hath kandhon tak utthatey.(Sahih Bukhari: 735, Sahih Muslim: 390) 》 Nabi e Akram ﷺ (kabhi kabhi) hath kano tak buland farmaate. (Sahih Muslim: (25) 391) Shaykh Albani Rahimahullah farmaate hain ke rafaulyadain karte waqt hathon se kano ko chhone ki koi daleel nahi hai, in ko chhona bid'at hai ya waswasah, masnoon tariqa hatheliya kandho ya kano tak utthana hai, hath utthane ke maqaam mein mard aur aurat dono barabar hain, aisi koi sahih hadees maujood nahi jis mein yeh tafreeq ho ke mard kano tak aur auraten kandho tak hath buland karen. Seene Par Hath Bandhna! 》 Phir dayan(right) hath bayen(left) hath par rakh kar seene par bandha ley. Sayyiduna Hulb Tayi (Razi Allahu Anhu) farmaate hain ke maine Rasoolullah ﷺ ko seene par hath rakhe huwe dekha. (Musnad Ahmed: 5/226 Wa Sanadahu Hasan) Sayyiduna Waayil bin Hujr (Razi Allahu Anhu) Rasoolullah ﷺ ki namaz ka tariqa bayaan karte huwe farmaate hain ke Aap ﷺ ne dayan hath bayen hath ki hatehli (ki pusht) uske jod aur kalayi par rakha. (Sunan Nasai: 890 Wa Sanadahu Sahih, Ise Imam ibne Hibbaan ne al-Mawaarid: 485 mein aur Ibne Kuzaima ne: 480 mein ise sahih kaha hai) Hamen bhi dayan hath bayen hath par is tarha rakhna chahiye ke dayan hath bayen hath ki hatehli ki pust, jod aur kalayi par aajaye aur dono ko seene par bandha jaaye taake tamaam riwayaat par amal ho sake. Sayyiduna Sahl bin Sad (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke logon ko Rasoolullah ﷺ ki taraf se ye hukm diya jaata tha: "Namaz mein dayan hath bayen ziraa' (kalayi) par rakhen." (Sahih Bukhari: 740) Seene Par Hath Bandhne Ke B'ad Ki Duayen: Sayyiduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ takbeer e oula aur qiraat ke darmiyaan kuch dear chup rehte, pas maine kaha: mere maa baap aap par qurban, Aye Allah ke Rasool ﷺ! aap takbeer aur qiraat ke darmiyaan khamosh reh kar kya padhte hain? Aap ﷺ ne farmaaya, yeh padhta hon:
Phir Yeh Padhen:
Aadaab E Tilawat: Rasoolullah ﷺ ki zawja e mohtarma (Razi Allahu Anha) se riwayat hai Aap ﷺ "Alhumdulillahi Rabbil 'Aalameen" padhte phir tehar kar "Ar-Rahman Nir-Raheem” padhte phir tehar kar "Maaliki Yaumiddeen" padhte thhey. (Musnad Ahmed: 6/288, Hadees: 26470, Wa Sanadahu Sahih) Mazkoorah hadees kasrat taraq ke sath marwi hai, is masle mein ise buniyaadi haisiyat haasil hai, ayimma e salaf e saleheen ki ek jamaa'at har ayat par waqf farmaati thi agar ma-b'ad ki ayat ma'naa ke lihaaz se pehli ayat ke muta'alliq hoti thi, phir bhi qat' kar ke padhte thhey. Tilawat e Qur'an ka masnoon tariqa yehi hai lekin aaj aam qari hazraat is tarha tilawat karne se guraez karte hain. Rafaulyadain: Rafaulyadain yani dono hathon ka utthana namaz mein chaar jagah saabit hai: ● Shuru namaz mein (takbeer e tehrima ke waqt), ● Ruku mein jaane se qabl, ● Ruku se uthne ke b'ad aur ● Teesri rakat ki (shuruwaat) ibtedaa mein. In maqamaat par rafaulyadain karne ke dalaayil darj zail hai: Sayyiduna Abdullah bin Zubair (Razi Allahu Anhu) farmaate hain:
Sayyiduna Ali (Razi Allahu Anhu) farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ namaz ke shuru mein, ruku mein jaane se pehle, ruku se sar utthaney ke b'ad aur do rakaten padh kar khaday hote waqt rafaulyadain karte thhey. (Sunan Abu Dawood: 744, Wa Sanadahu Hasan, Imam Tirmizi ne ise hasan sahih kaha hai) Sayyiduna Abu Humaid Saa'edi (Razi Allahu Anhu) ne Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) ke ek majme' mein bayaan kiya ke Rasoolullah ﷺ jab namaz shuru karte, jab ruku mein jaate, jab ruku se sar utthatey aur jab wo rakaten padh kar khaday hote tou rafaulyadain karte thhey, tamaam Sahaba (Razi Allahu Anhum) ne kaha: tum sach bayaan karte ho, Rasoolullah ﷺ isi tarha namaz padhte thhey. (Sunan Abi Dawood: 730 Wa Sanadahu Sahih, Jaame' Tirmizi: 304. Imam Ibne Hibbaan ne al-Mawaarid, Hadees: 491 mein aur Imam Tirmizi ne ise sahih kaha hai) Imam Ibne Kuzaima is hadees ko riwayat karne ke b'ad farmaate hain ke maine Muhammad bin Yahiya rahimahullah ko ye kehte huwe suna ke jo shaks Hadees e Abu Humaid sunne ka bawajood ruku mein jaate waqt aur is se sar utthatey waqt rafaulyadain nahi karta tou uski namaz naqis hai. (Sahih Ibne Kuzaima: 588 Wa Sanadahu Sahih) (Mazeed Rafaulyadain Ke Bahut Se Dalaayil Maujood Hai) Ruku Ka Bayaan: Ruku mein jaate waqt (Allahu Akbar) keh kar dono hath kandho (ya kano tak) utthayen, jaisa ke Ibne Umar (Razi Allahu Anhu) ka farmaan hai:
● Ruku mein peeth(pusht) bilkul seedhi rakhe aur sar ko peeth ke barabar, yani sar na tou uncha ho aur na nichey aur dono hathon ki hatehliya dono ghotno par rakhe. (Sahih Muslim: 498) ● Dono hathon(bazuon) ko taan kar rakhe zara khham na ho, ghotno ko mazboot thame. (Sunan Abu Dawood: 734 Wahuwa Hadees Sahih, Imam Tirmizi ne: 304 mein aur Imam Nawawi ne al-Majmu' 3/407 mein ise sahih kaha hai) ● Ruku ki haalat mein Nabi e Akram ﷺ ki hatehliya aap ke ghotno par yu rakhi hoti thi jaise ke aap ne ghotno ko pakda huwa ho. (Jaame' Tirmizi: 260 Wa Sanadahu Hasan, Imam Tirmizi ne ise hasan sahih kaha hai) ● Ruku ki haalat mein Nabi e Akram ﷺ apni kohniyon ko pehluon se door rakhte thhey. (Jaame' Tirmizi: 260 Wa Sanadahu Hasan) Ruku Ki Duayen: Sayyiduna Huzaifah (Razi Allahu Anhu) farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ruku mein farmaate:
Aap ﷺ iska hukm detey thhey ke ruku mein "Subhaana Rabbiyal 'Azeem" padhen, dekhe Sunan Abu Dawood: 869 Wa Sanadahu Sahih, Wa Sahhaha Ibne Kuzaima: 601,670. Ibne Hibbaan (al-Ahsaan: 1895), Haakim: 1,225 2/477) Maimoon bin Mehraan tabayee Rahimahullah farmaate hain ke ruku sujood mein teen tasbihaat se kam nahi padhni chahiye. (Musannaf Ibne Abi Shaiba: 1/250, Hadees: 2571, Wa Sanadahu Hasan) Itminaan Namaz Ka Rukn Hai:
Qaoma Ka Bayaan: Ruku se sar utthatey huwe rafaulyadain karte huwe seedhe khaday ho jaaye. (Bukhari wa Muslim, iski takhreej tafseel se guzar chuki hai) ● Agar aap imam ya munfarid hain tou ruku se qaoma ke liye khaday hote waqt ye padhen:
Agar aap muqtadi hain to ye kahen:
Rifaa'ah bin Raafi' (Razi Allahu Anhu) riwayat karte hain ke hum Rasoolullah ﷺ ke peechey ek din namaz padh rahe thhey, jab aap ne ruku se sar utthaya tou farmaaya:
Tambeeh: Bahut se logon ko qaoma ka ilm nahi ke yeh kya hai, waazeh ho ke ruku se uthne ke b'ad itminaan se seedha khada rehne ko qaoma kehte hain, Rasoolullah ﷺ ruku se sar uttha kar seedhe khaday rehte aur baday itminaan se qaoma ki dua padhte. Sayyiduna Bara (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ka ruku aur sajdah aur do sajdon ke darmiyaan baithna aur ruku se (utth kar qaoma mein) khada hona barabar hota tha, siwaye qiyaam ke aur (tashahud mein) baithne ke (ye chaar chizen: ruku, sajdah, jalsa aur qaoma tawaalat mein taqreeban barabar hoti thi) (Sahih Bukhari: 792. Muslim: 792) B'az awqaat Aap ﷺ ka qaouma bahut lamba hota tha, Anas (Razi Allahu Anhu) farmaate hain ke Nabi Akram ﷺ is qadr lamba qaouma karte ke hum kehte ke aap bhool gaye hain. (Sahih Muslim: 473) Sajde Ke Ahkaam: ● Abu Huraira (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
Sayyiduna Ibne Umar (Razi Allahu Anhu) ki (darj zail) hadees is par shahid hai: Nafe' (Rahimahullah) riwayat karte hain ke Ibne Umar (Razi Allahu Anhu) apne hath ghutno se pehle rakhte aur farmaate ke Rasoolullah ﷺ aisa hi karte thhey. (Sahih Ibne Kuzaima: 627 Wa Sanadahu Hasan. al-Mustadrak Lil Haakim: 1/226 Hadees: 821. Imam Haakim, Zehbi aur Ibne Kuzaima ne ise sahih kaha hai) Ghutno se pehle hath rakhne ko Imam Auzaai, Malik, Ahmed bin Hanbal aur Shaykh Ahmed Shakir (Rahmatullah Alaihim) wagairahuma ne ikhtiyaar kiya hai, Ibne Dawood ne bhi kaha: mera rujhaan Hadees e Sayyiduna Ibne Umar (Razi Allahu Anhu) ki taraf hai kiyunke is bareme Sahaba aur Tabayeen se bahut si riwayaat hain. ● Sajde mein paishani aur naak zameen par tikaye. (Sahih Bukhari: 812. Muslim: 490) ● Sajde mein dono hath kandho ke barabar rakhe. (Sunan Abu Dawood: 734 Wahuwa Hadees Sahih. Ibne Kuzaima ne hadees: 640 mein aur Tirmizi ne hadees: 70 mein ise sahih kaha hai) ● Sajde mein dono hathou ko kano ke barabar rakhna bhi durust hai. (Sunan Abu Dawood: 726 Wa Sanadahu Sahih. Imam Ibne Hibbaan ne al-Mawaarid, hadees: 485 mein ise sahih kaha hai, neez Imam Tirmizi ne bhi isi mafhoom ki riwayat: (271) ko sahih kaha hai) ● Sajde mein dono hatehliya aur dono ghotne zameen par khoob tikayen. (Sunan Abu Dawood: 859 Wa Sanadahu Hasan. Imam Ibne Kuzaima ne ise sahih kaha hai) ● Nabi e Akram ﷺ farmaaya: "Us shaksh ki namaz nahi jis ki naak paishani ki tarha zameen par nahi lagti. (Sunan Daarqutni 1/348 Hadees: 2. Wa Sanadahu Hasan. Ise Imam Haakim ne al-Mustadrak 1/270 mein aur Ibne Jauzi ne ise sahih kaha hai) ● Paaon ki ungliyon ke sirey qiblah ki taraf muday huwe rakhen (Sahih Bukhari: 828. Sunan Nasai: 1159. Sahih Ibne Kuzaima hadees: 689) aur dono qadam bhi khaday rakhe (Sahih Muslim: 486) ● Aidiyo ko milayen. (Sunan al-Kubra Lil Baihaqi 2/116 hadees: 2719. Imam Ibne Kuzaima hadees: 654, Wa Sanadahu Hasan. Haakim ne al-Mustadrak: 1/228 mein aur Zehbi ne ise sahih kaha hai) ● Sajde mein seena, paet aur raane zameen se unchi rakhe, paet ko raano se, aur raano ko pindliyo se judaa rakhe aur dono raane bhi ek doosre se alag alag rakhe. (Sunan Abu Dawood: 730 Wa Sanadahu Sahih, 734, Wahuwa Hadees Sahih. Jaame' Tirmizi: 304. Imam Tirmizi aur Ibne Kuzaima ne ise sahih kaha hai) ● Sajde mein kohniya na tou zameen par tikaye aur na karwaton se milaye (balki zameen se unchi, karwaton se alag, kushada rakhe) (Sahih Bukhari: 828) ● Sajde ki halat mein Nabi e Akram ﷺ apne bazuon ko zameen par nahi lagatey thhey balki inhen uttha kar rakhte aur pahlon se door rakhte yahan tak ke pichliy janib se dono baghlo ki safedi nazar aati thi. (Sahih Bukhari: 807. Muslim: 497) ● Rasoolullah ﷺ farmaate hain: "Mujhe hukm diya gaya hai ke main saat(7) haddiyon par sajdah karon paishani, dono hathon, dono ghotno aur dono qadmo ke panjo par aur yeh ke hum (namaz mein) apne kapdo aur balo ko ekkhatta na kare." (Sahih Bukhari: 809, 812. Sahih Muslim hadees: 490) Auraten Bazu Na Bichayen: Bahut si auraten sajde mein bazu bichaa leyti hain, aur paet ko raano se milakar rakhti hain aur dono qadam bhi zameen par khaday nahi karten, waazeh ho ke yeh tariqa Rasoolullah ﷺ ke farmaan aur sunnat e paak ke khilaaf hai sune! Rasoolullah ﷺ farmaate hain: "Tum mein se koi (mard ya aurat) apne bazu sajde mein is tarha na bichaye jis tarha kutta bichaata hai." (Sahih Bukhari: 822. Muslim: 493) Nabi e Akram ﷺ ke is farmaan se saaf 'ayaan hai ke namazi (mard ya aurat) ko apne dono hath zameen par rakh kar dono kohniyan zameen se uttha kar rakhni chahiyen, neez peat bhi raano se judaa rahe aur seena bhi zameen se uncha ho. Meri mu'azzaz musalmaan behno! apne payare Rasool e Akram ﷺ ke irshaad ke mutabiq namaz padho, aap musalmaan mardo aur auraton ko eksaan irshaad farmaate hain: "Sajde mein apne dono hath zameen par rakh aur apni dono kohniyan buland kar." (Sahih Muslim: 494) Rasoolullah ﷺ jab sajdah karte tou agar bakri ka bachcha hathon(baahon) ke nichey se guzarna chahata tou guzar sakta tha. (Sahih Muslim: 496) Sajde Ki Duayen: Sayyiduna Huzaifa (Razi Allahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ sajde mein (yeh dua) padhte:
Darmiyaani Jalsa (Do Sajdon Ke Darmiyaan Baithna) Abu Humaid Saa'edi (Razi Allahu Anhu) ki riwayat hai:
Aap ﷺ ka ma'mool tha ke baithte waqt apna dayan paaon khadaa kar leyte. (Sahih Bukhari: 828) Aur dono paaon ki ungliyan qiblah rukh karte. (Sunan Nasaai: 1159 Wa Sanadahu Sahih. Imam Ibne Kuzaima ne hadees: 689 mein ise Abu Humaid se Hasan Li-Zatihi sanad ke sath riwayat kiya hai aur Imam Ibne Hibbaan nr ise sahih kaha hai. neez dekhe Sahih Bukhari: 282) Aur kabhi kabhi Aap ﷺ apne qadmo aur apni aidiyo par baithte. (Sahih Muslim: 536) Nabi e Akram ﷺ ka jalsa sajde ke barabar hota tha. (Sahih Bukhari: 820) Kabhi kabhi ziyadah (dear tak) baithte yahan tak ke b'az log kehte ke aap (doosra sajdah karna) bhool gaye. (Sahih Bukhari: 821. Muslim: 472,473) Jalse Ki Masnoon Duayen: Sayyiduna Huzaifa (Razi Allahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ dono sajdon ke darmiyaan yeh padha karte thhey,
Doosra Sajdah: Jab aap poore itminaan se jalse se farigh hon tou phir doosra sajdah karen aur pehle sajde ki tarha is mein bhi baday khusho' aur khuzo aur kamil itminaan se dua padhen aur phir utthey. Jalse Isterahat: Doosra sajdah kar leyne ke b'ad ek rakat poori ho chuki hai, ab doosri rakat ke liye aap ne uthna hai lekin uthne se pehle jalse isterahat mein zara baith kar uthtey is ki surat yeh hai: Rasoolullah ﷺ (Allahu Akbar) kehte huwe (doosre sajde se) uthtey aur apna bayan paaon modtey huwe (bichaatey aur) us par baithtey hatta ke har haddi apni apni jagha pohach jaati, phir (doosri rakat ke liye) khaday hote. (Sunan Abu Dawood: 730 Wa Sanadahu Sahih. Jaame' Tirmizi: 304. Sunan Ibne Maajah: 1061. Imam Nawawi ne al-Majmu' 3/443 mein Imam Tirmizi aur Ibne Qayyim ne ise sahih kaha hai) Rasoolullah ﷺ apni namaz ki taaq (pehli aur teesri) rakat ke b'ad khaday hone se qabl seedhe baithtey thhey. (Sahih Bukhari: 823) Jalse isterahat se uthtey waqt dono hath zameen par teak kar utthey. (Sahih Bukhari: 824) Doosri Rakat: Rasoolullah ﷺ jab doosri rakat ke liye khaday hote tou Surah Fatiha ki qiraat shuru kar detey aur sakta nahi karte. (Sahih Muslim: 599) Pehla Tashahud: Is ko qaaidah e oula bhi kehte hain, doosri rakat ke b'ad (doosre sajde se uttha kar) bayan paaon bichaa kar us par baith jaaye aur dayan paaon khada rakhe. (Sahih Bukhari: 827,828) Dayan hath apne dayen ghotne aur bayan hath bayen gothne par rakhe. (Sahih Muslim: 579) Sayyiduna Abdullah bin Zubair (Razi Allahu Anhu) ki riwayat mein hai:
Maloom huwa ke namazi ko rukhsat hai, chahe dono hath ghotno par rakhe, chahe raano par. Ab aap qaaidah e oula mein tashahud padhen, Sayyiduna Abdullah bin Masood (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: "Pas jab tum namaz mein (qaaide ke liye) baitho tou yeh padho:
Rasoolullah ﷺ darmiyaani tashahud mein, tashahud se farigh ho kar khaday ho jaate thhey. (Musnad Ahmed: 1/495 Wa Sanadahu Hasan, Imam Ibne Kuzaima ne: 708 mein ise sahih kaha hai) Masla E Rafa E Sabbaaba: Tashahud mein ungli utthana Rasoolullah ﷺ ki badi ba-barkat aur azmat wali sunnat hai, iska saboot Sunnat e Rasool ﷺ se mulaahazah farmaayen:
"Pas iske sath dua mangte." iska sahih mafhoom yeh hai ke anghosht e shahadat ke sath ishaarah farmaate jis tarha ke b'ad mein aane waali riwayat mein iski wazaahat aur tasreeh maujood hai. Wallahu 'Aalam. (hafiz Zubair Alizai Rahimahullah) Sayyiduna Abdullah bin Zubair (Razi Allahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ jab (namaz mein) tashahud padhne baithtey tou apna dayan hath dayin aur bayan hath bayin raan par rakhte aur shahadat ki ungli ke sath ishaarah karte aur apna anghotaa apni darmiyaani ungli par rakhte. (Sahih Muslim: 579) Nabi e Akram ﷺ dayen hath ki tamaam ungliyo ko band kar letey, anghotey ke sath wali ungli se ishaara karte. (Sahih Muslim: (116) 580) Sayyiduna Waayil bin Hujr (Razi Allahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ (doosre sajde se uth kar qaaidah mein) baithey, do ungliyan band kiyen (anghotay aur darmiyaan ki badi ungli se) halqah banaya aur anghosht e shahadat (kalime ki ungli) se ishaara kiya. (Sunan Abu Dawood: 726 Wa Sanadahu Sahih. Imam Ibne Hibbaan ne al-Mawaarid: 485 mein aur Ibne Kuzaima ne: 713,714 mein ise sahih kaha hai) Tashahud mein dayen hath se halqah banane ki yeh teesri masnoon kaifiyat hai. (hafiz Zubair Alizai Rahimahullah) Sayyiduna Waayil bin Hujr (Razi Allahu Anhu) farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne ungli utthayi aur aap usey hilatey thhey. (Sunan Nasai: 890 Wa Sanadahu Sahih. Imam Ibne Hibbaan ne al-Mawaarid: 485 mein aur Ibne Kuzaima: 714 mein ise sahih kaha hai) Sirf "La Ilaha Illallah" kehne par ungli utthana aur kehne ke b'ad rakh deyna kisi riwayat se sabit nahi hai. Tashahud mein shahadat ki ungli mein thoda sa kham hona chahiye. (Sunan Abu Dawood: 991 Wa Sanadahu Hasan. Imam Ibne Kuzaima ne hadees: 716 mein aur Ibne Hibbaan ne al-Mawaarid hadees: 499 mein ise sahih kaha hai) Qaaidah e tashahud se teesri rakat ke liye khaday hon tou (Allahu Akbar) kehte huwe utthey aur rafaulyadain karen, Sayyiduna Ibne Umar (Razi Allahu Anhu) ki riwayat mein hai ke jab Rasoolullah ﷺ do rakat padh kar khaday hote tou (Allahu Akbar) kehte aur dono hath utthatey. (Sahih Bukhari: 739) Ab aap teesri aur chhoti rakat badastoor padh kar baith jaaye. Aakhiri Qaaidah (Tashahud) : Is aakhri qaaide mein Rasoolullah ﷺ yun baithey thhey jaise ke Abu Humaid Saa'edi (Razi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke jab wo sajdah aata jis ke b'ad salaam hai (jab aakhri rakat ka doosra sajdah kar ke farigh hote aur tashahud mein baithtey) tou apna bayan paaon (dayin pindli ke niche se bahar) nikaaltey aur apni bayin janib ke koley par baithte. (Sunan Abu Dawood: 730 Wa Sanadahu Sahih. Imam Ibne Hibbaan ne al-Mawaarid hadees: 491 mein aur Imam Nawawi ne al-Majmu' 3/407 mein ise sahih kaha hai) Aakhri qaaide mein dayen paaon khada kar ke nasb karna mustahab hai. dekhe Sahih Bukhari: 828 aur kabhi kabhi ise bichaana bhi jayiz hai. dekhe Sahih Muslim: 579. (hafiz Zubair Alizai Rahimahullah) Bayin janib koley par baithna "Tawarruk" kehlata hai, yeh sunnat hai, har musalmaan ko aakhri qaaide mein tawarruk zaroor karna chahiye, kitne afsoos ki baat hai ke hamari auraten tou aakhri tashahud mein tawarruk kare aur mard is Sunnat e Rasool ﷺ se mehroom rahe. Nabi e Akram ﷺ ne ek shaksh ko mana' kiya jo tashahud ki halat mein bayen hath par taek lagaye huwe tha Aap ne farmaaya: "Tu is tarha na baith kiyunke (namaz mein) is tarha baithna un (yahudiyon) ka tariqa hai jinhen 'azaab diya jaata hai." (Sunan Abu Dawood: 994. Musnad Ahmed: 2/116, iski sanad hasan hai) Jab aap is qaaide mein baithay tou pehle attaihyaat padhe jis tarha doosri rakat padh kar aap ne qaaide mein padhi thi. aur rafa' e sabbaba (shahadat ki ungli uttha kar ishaara) bhi karen. attaihyaat khatam kar ke mundarijah zail durood shareef padhen:
Durood Ki B'ad Ki Duayen: Nabi e Akram ﷺ ne farmaaya hai:
Namaz Ka Iqtitaam: Sayyiduna Abdul bin Masood (Razi Allahu Anhu) riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ apne dayen taraf salaam phairtey tou kehte
Reference: | Namaz e Nabawi (sahih ahadees ki roushni mein) Tarteeb: Dr. Shafiq ur Rahman Hafizahullah. Tehqeeq wa Takhreej: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah. Page: 177-246 | |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024