Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main

Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Mashoor tabahi imam ata bin abi rabah se riwayat hay keh main saydna abdullah bin umar raziallaho hanho ke pas tha, phir aik nojawan ne un se omama (paghri) latkane ke bare me pocha tau ibne umar raziallaho hanho ne farmaya: inshallah tahala main tujhe ilam ke sath jawab doonga, Rasoolullah ﷺ ki masjid me hum das (10 afrad) : abu bakar, umar, usman, ali, ibne mas-hood, huzaifa, ibne oauf, abu saeed al-khudri (Rasoolullah ﷺ aur main) mojood the keh aik ansari nojawan ne aa kar Rasoolullah ﷺ ko salam kia aur baith gaya.

Phir (ansari nojawan ne) araz kia: ae ALLAH key rasool! momino me afzal kaun he?

Aap ﷺ ne farmaya: jis ka akhlaq sab se acha he.

Us (nojawan) ne kaha: momino me sab se zayada samjdar kaun he?

Aap ﷺ ne farmaya: jo maut ko zayada yad karta he aur maut aane se pehle sab se zayada us ki tayari karta he, yahi log samajdar (aqalmand) hain.

Phir woh nojawan khamosh ho gaya aur Nabi ﷺ ne us ki taraf rukh kar ke farmaya: ae jamaat mohajireen! agar tum paanch (5) cheezon ke sath azmae gae aur ye cheezein tumhare darmayan waqiaha ho gai (tau) main ALLAH ki panah chahta hoon (keh ye cheezein tumhare darmayan pai jaein):

1- Jis qaum me bhi fahashi zahir ho gi, phir wo usse (alania) kare ge tau us qaum me tahoon aur aisi bemarian phail jaein gi, jo un ke aba-o-ajdad me nahi thi.

2- Jo log map taul me kami kare ge to unhe qahat sali, rizaq ki tangi aur hukmarano ke zulam ke sath pakar lia jae ga.

3- Aur jo log zakat nahi de ge tau asman se barish ke qatron ko rok lia jae ga, aur agar janwar na hote tau barish hi na hoti.

4- Aur jo log ALLAH aur uske rasool ke sath mohahida tor de ge (yani la ilah ilallah aur muhammad rasaulallah par amal nahi kare ge) tau ALLAH ghairo se unke dushman (yani kuffar) un par musalat kar de ga, aur wo unke hathon se baz chezein (maslan ilaqe, maal, waghera) le le ge.

5- Aur jab unke hukmaran kitabullah ke mutabiq faisle nahi kare ge, tau ALLAH une aapas me lara de ga.

Phir aap ﷺ ne abdul rakhman bin oauf raziallaho hanho ko hukam dia keh aik foji garoh tayar kare, jis par aap ﷺ ne une ameer banaya.

Subh ko saydna abdul rakhman bin oauf raziallaho hanho kale rang ke mote sooti kapre ka omama bandh kar aae tau nabi ﷺ ne une apne qareeb bolaya aur omama khol dia, aap ne une safaid omama bandhwaya aur char (4) unglian ya iske qareeb unki peeth par latka dia aur farmaya: ae ibne oauf! is tarah omama bandho kionke ye acha aur behtareen he.

Phir nabi ﷺ ne bilal raziallaho hanho ko hukam dia keh woh jahanda unke hawale kar de. Tau uno ne ALLAH ki hamd bayan ki aur nabi ﷺ par durood parha, phir farmaya: ibne oauf! ise pakar lo phir akathe ho kar ALLAH ke raste me jihad karo, unse laro jo ALLAH ko nahi mante, khayanat na karo, ghadari aur bewafahi na karo, musla na karo (yani dushman ke hath paon aur nak waghera na kato) bacho ko qatal na kar. Ye he ALLAH ka mohahidah aur uske nabi ﷺ ki seerat.

(Almustadrak lil-hakim jild 4 safaha 540 hadees 8623 wasahahu wawafiqahu al-zahbi, wasanaduhu hasan, almakhtood almusawar 4/ 240-241)

Tambeeh: Almustadrka ke matboha nuskhe (aur makhtote) me ali bin hamshaz aur abu al-jamahir ke drmayan obaid (bin muhammad alghazi al-hasqalani) ka wasta reh gaya he. Dekhie itehaf almohra (8/ 590 hadees 10015)

Asal mazmoon ke liay dekhie tahqeeqi wa ilmi maqalat (jild 3 safaha 597 aur 598)

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024