Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? |
Ba'az Log Mukhalifat Baraye Mukhalifat Ke Aadi Hote Hain Ya Bughz ki Aag Mein Jal Rahe Hote Hain Aur Ye Aag us waqt Khoob Bhadakti Hai Jab unke Mukhalif Ki Koi Baat unke Hathe Chadh Jaye, Khwah Wo Jhoot Hi Ho, iss Ki Ek Jhalak uss Waqt Dekhne Mein Aayi Jab Mirza Jahelimi Ne Shaik-Ul-Islam Hafiz Ibne Taimiya Rahimahullah Ke Khilaf Herzah serayi Ki, To yaar Logoun Ne Iss Par Mirza Sahib Ki Giraft Na Ki, Albatta Hasbe Aadat Muhaddis-Ul-Asar Zubair Ali Zai Rahimahulla Ko Aade Hathoun Liya Aur Seene Ka Saara Keena Zuban Wo Qalam Ke Zariye Bahar Kiya, Bawajood Ye Ke Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahulla Kayi Mawaq'e Aur Andaz Se Mirza Jahelimi Se Bara'at Karchuke Hai. Dr.Hafiz Abdul Basit Faheem Hafizahullah (Mudarris Masjide Nabawi) Ne Ek Whatsapp Group Mein Wazeh Bhi Kiya Ke Shaik Zubair Ali Zai Rahimahullah Apni Wafaat Se Taqreeban Do Maah Qabl Jab Umreh Ki Sa'adat Ke Liye gaye, to Waha Shaik Rahimahullah ne Mirza Ali jahelimi Se Bara'at Ka Ae'laan Kiya, Waqtan Fawaqtan Apne Talamizah Se Bhi Iss Baat ka izhaar Karte Rahte The. Hum yahan do umoomi ghalat fahmiyon ka izala karna bhi munasib samajhte hain: (1) Kya Muhammad Ali Mirza, Shaikh Zubair Alizai (Rahimahullah) Ka Shagird Hai?Mirza Mohammed Ali Ye Taasir Dene Ki Koshish Karta Hai Ke Mai Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ka Shagird Hun Aur Kayi Aam O Qaas Is Taasir Ko Qubool Bhi Karlete Hain, Halanke Ye Baat Bilkul Ghalat Hai Ke Mirza Mausoof, shaik Rahihmahullah Ka Shagird Hai, Iss Aarzi Ta'lluq Ka Pase Manzar Ye Hai Ke Mirza saheb Apne Sathiyoun Ke Hamrah Shaik Rahimahullah Ki Khidmat Me hazro Pahoncha , Aap Se Bahuth se Sawalat Kiye Jinke Jawabat Se Mutma'in Hokar Mirza saheb Ne Ahle Hadees Hone Ka A'elaan Kiya, Jo Is Rah Ke Raahi Hai Wo Khoob Jante Hain Ke Naye Rahe Haq qubool Karne Waale Sathiyoun Ko Kis Qadar Tawajjah Di Jaati Hai, isi Bina Par Shaik Rahimahullah Ne Khususi Tawajjah Di Aur Yaad Rahe ke Mirza Hamesha Ki Tarha Ek Sail (sawal karne wala) Hi Hota, Jis Tarha sainkdon log Rozana Phone Par Ya Mulaqat Karke Apne Sawalat ke jawabath hasil karte the aur Inn May se kabhi kisi ne Shagird Hone Ka Da'wa Nahin Kiya. Wazeh Rahe Ke Jab Tak Mirza Muhammed Ali Khud Ko Ahle Hadees Kahta Raha Aur Salaf E Saliheen Ka Qadr Daan Raha, Shaik Rahimahullah Ne Isski Islah Ki Gharz Se Raabta Barqarar Rakha, Lekin Jab Ye Ahle Hadees Aur uss Ke Manhaj Se Munharif Hogaya Aur Islah Ke Pehlu Ma'doom Hote chale Gaye To Muhaddis-ul-Asr Hafiz zubair ali zai Rahimahullah Ne Na Sirf Raabta Khatam Kiya Balke Bara’at Ka E'elaan bhi Kardiya, Kyunke Shaik Rahimahullah Ghayyoor Ahle Hadees The, Walillaahil Hamd. Madaris Mein Asaatizah Se Baqaida Padhne Waale Aur Farigh Ut Tahseel Bhi Baghawat Ki Raah Ekhtiyaar Karlete Hain Aur Wo Manhaj-E-Salaf Se Mun Modhlete Hain, Sir Se Paoun Tak Ghair Islami Huliya Banalete Hain, To Kya Aise Mein un MadarisYa Asatizah Ko Mat'oon Kiya Ja Sakta Hai? Bilkul Nahi, to phir Mirza Muhammad Ali to faqat aik sail (sawal karne wala) tha, uski nisbath Muhaddis-ul-Asr ki taraf karke unhe Mat'oon kiya jasakta hai? Jabke Shaik Rahimahullah uss se Bara'at Ka Elaan bhi Karchuke Hon, Umeede waseq hai Ke Iss Wazahat Ke Ba'ad Ye Ghalat Fehmi Door Hojaye gi Ke Mirza Muhammed Ali, Shaik Rahimahullah Ka Shagird Hai, Mazeed Baran Ba'd Az Bara'at Aap Ka usse Kisi Qism Ka Koi Ta'lluq Nahi Raha. (2) Kiya Hafiz Zubair Alizai (Rahimahullah) Ne Shaikh-ul-Islam Imaam Ibne-Taimiyah (Rahimahullah) Ki Tauheen Ki Hai?Ise Ghalat Fehmi Ke Bajaye Bohtaan Kehna Hi Durust Hoga Ke Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ne Shaik-Ul-Islam imam ibne Taimiyah Rahimahullah Ki Tauheen ki. wal i'yaazu billah. Mahnamah “ALHADEES” hazro Ke Safhaat Shahid Hain Ke Jab Bhi Kisi Ghair Ahle hadees Ne Shaikh-Ul-Islam Ke Khilaf Har Za Serayi Ki Koshish Ki To Muhaddis-ul-Asr Ne use Dandan Shikan Jawab Diya. Shaik-Ul-islam ki Arba'een Ko Urdu Tarjume, Umda Tahqeeq Aur Ilmi Fawaed Ke Saath Shay'e Kia jo Mazkoorah Bohtan Lagane Waloun Ke Munh Par aik Tamancha Hai. Kitab Ke Aghaaz Me Bhar Poor Mahnat Aur Muhabbat Se Shaik-Ul-islam Ke Halaat wo Khidmaat Ko Safhe Qirtas Par Muntaqil Kiya, Jise Hum Maujuda Surate haal Ke peshe nazar Mahnamah Isha'atul Hadees Ke Safhat Ki Zeenat Banarahe Hain. Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah Romanised: Hafiz Muhammad Shahed Hyderabadi [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.141, Safa no.39-40] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024