Maahe Muharram Ke Do Rozey |
Sayyiduna Abu Qatadah Ansari (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke Rasoolullah (ﷺ) se Yaume Aashurah ke rozey ke baare mein daryaft kiya gaya tou Aap (ﷺ) ney farmaya: يكفر السنة الماضية "Ye guzishta saal ke gunhaon ka kaffarah ban jaata hai." [Sahih Muslim:1162] Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke jab Nabi-e-Kareem (ﷺ) madina tashreef laaye tou Aap (ﷺ) ney dekha ke yehoodi yaum-e-aashura ka rozey rakhtey hai, Aap (ﷺ) ney unse (rozey rakhne ki) wajah daryaaft ki tou unhune kahan: ye ek achchaa din hai, iss din Allah Ta'ala ney bani israeel ko unke dushman se najaat dilayee thi, Musa (Aalaihis Salaam) ney bhi is (din) ka roza rakkha tha, Nabi-e-Akram (ﷺ) ney farmaya: "Musa ke sath (munasibat ke etebaar se) main zyada haq rakhta hu." chunanche Aap (ﷺ) ney roza rakkha aur is ka hukm bhi diya. [Sahih Bukhari:2004, Sahih Muslim:1130] Jamhoor ke nazdeek yaum-e-aashura se muraad muharram ka daswan (10th) din hai dekhiye.(Sharah Sahih Muslim Nawawi [8/12]) Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Ramazan ke baad afzal roze Allah ke mahiney muharram ka roza hai." [Sahih Muslim:1163] Ibtedaye Islam mein yaum-e-aashura ka roza farziyat ka darja rakhta tha, lekin jab ramazan ke rozey farz huwe tou aashure ki farziyat saqit ho gayee taham fazilat barqaraar hai. YAHOODIYO KI MUKHALIFAT... Magar kaise?:Rasoolullah (ﷺ) ney yaum-e-aashura ka roza rakha aur is ke rakhney ka hukum diya (tou Sahaba kraam (Radhi Allahu Anhum) ney arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Ye Yahood wa nasara ki tazeem wa takreem ka din hai, Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: فإذا كان العام المقبل إن شاء الله صمنا اليوم التاسع "Aainda saal hum Inshaa' Allah 9 muharram ka roza rakkhege." (Sahih Muslim:1134) Qarayeen Akraam! Is silsiley mein taqriban teen mauqif ma'roof hai,hutarteebwar in teeno ko m'aa dalail naql karenge, phir Rajeh mauqif bhi wazeh karenge. (Inshaa' Allah) 1) Pehla Mauqif:Sirf 9 Muharram ko roza rakha jayega, darj bala hadees bhi isi par daal hai, Neez iss hadees ke rawi Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) se jab aashure ke rozey se mutaliq pouchaa gaya tou unhune farmaya: "Jab tum muharram ka chand dekh lo tou din shumaar kartey raho aur 9th (nawwi) tareeq ko roza rakkho." [Sahih Muslim:1133] Ye mauqaf rakhney walo ka kehna hai ke marfoo hadees aur Sahabi ke qaul se ye ta'yun ho jaata hai ke roza sirf 9 muharram ka rakha jayega aur isse yahood ki mukhalifat bhi ho jayegee. 2) Dusra Mauqif:Rosa 10 (dus) muharram ko rakhna chahiye, albatta yahoodiyo ki mukhalifat ki bina par 9 ya 11 muharram ka roza bhi milana chahiye aur in ki daleel darj zail hai: "Yaum-e-aashura ka roza rakkho aur yahoodiyo ki mukhalifat karo (lehaza) ek din pehle ya baad ka (bhi) roza rakkho." [Musnad Ahmed 1/241 H:2145, Ibne Kuzaima:2095] Lekin ye riwayath dawood bin ali ki wajah se zaeef hai, lehaza is riwayath se 10 aur 11 muharram ko roza rakhne ka istidlaal durust nahi, Taham 9 aur 10 ki wazahat teesre mauqif mein aarahi hai. 3) Teesra Mauqif:9 aur 10 muharram ke do rozey rakhna mustahab hai aur in ke dalail darj zail hai:
Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) ke fatwa se darj zail umoor ka pata chalta hai:
Iss hadees se jahan ye maloom huwa ke yaum-e-aashura 10 muharram hai wahan yaum-e-aashura ke roze ki fazilat wa ahmiyath bhi wazeh hai. Ek Ajeeb Aiteraaz:Baaz hazraat ye aiteraaz kartey hai ke jab 10 muharram ka roza rakh liya, phir yahood ki mukhalifat tou Na huwi, lehaza sirey se 10 muharram ka roza hi Na rakkha jaye. Wazeh nusoos ke muaqabley mein is aiteraaz ki koi haisiyat nahi lekin hum ek pehlu se iss ka izalah karne ko koshis kartey hai. Nabi-e-Kareem (ﷺ) ney sirf haftey ke din roza rakhney se mana kiya hai. (Sunan Abi Dawood:2421 Wa Sanaduhu Hasan) Imam Tirmizi (Rahimahullah) mumaniath ki wajhe ye bayaan kartey hai: لان یهود یعظمون یوم السبت "Kyunke yahood haftey ke din ki ta'zeem kartey hai." [Sunan Tirmizi:744] lekin agar haftey ke sath itwaar ka roza bhi rakh liya jaye tou ye jaiz hai. [Dekhiye Sahih Ibne Kuzaima, qabl hadees:2167] Wazeh rahe ke 10 muharram ka roza na rakh kar yahood ki mukhalifat murad nahi balke 10 ke sath 9 muharram ka bhi roza rakh kar mukhalifat sabit hogi. Rajeh Mauqif:Pehle mauqif mein mazkoor Ahadees aur teesre mauqif ke dalail ki roo se hummare nazdeek rajeh yahi hai ke 9 aur 10 muharram ka roza mustahab wa masnoon hai. Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafidahullah. Romanised: romanquranohadees [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.123, Safa no.26-30] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024