Fazail E Yaum Ul Juma’ (By Sheikh Nadeem Zaheer Hafizahullah) |
Tamaam din to Allah Rabb ul Izzat ke hain, lekin in dino mein jo fazilat "yaum ul juma’ (juma’ ke din)" ko haasil hai wo kisi aur din ko nahi hai juma’ ke din ko Allah ﷻ ney bahut saarey aizazaat aur ikhtesasaat se nawaza hai, jin ki tafseel Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney batadreej bayaan farmayi hai. Behtareen Din:Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: خير يوم طلعت فيه الشمس يوم الجمعة "Jis behtareen din mein suraj tuloo’ hota hai wo juma’ ka din hai." (Saheeh Muslim Hadees: 854, Tarqeem: Darussalam) Aadam (Alaihis Salaam) Ka Yaum E Paidaish:Juma’ ke din Aadam (Alaihis Salaam) paidaa huwe, usi din jannat mein dakhilah aur usi din jannat se khurooj huwa jaisa ke Farmaan E Nabawi (ﷺ) hai: فيه خلق الله آدم وفيه أدخل الجنة، وفيه أخرج منها "Isi (juma’ ke din) mein Allah ﷻ ney Aadam (Alaihis salaam) ko paidaa kiya aur usi din wo jannat mein pahunche aur usi din wahan se nikalay gaye." (Saheeh Muslim: 854) Qayamat Ka Din:Jahan juma’ ka din ki bahut si khususiyaat hain wahien ek aham khususiyat isi din qayamat ka zuhoor pazeer (zaahir hona, aana) hona hai, Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney farmaya: ولا تقوم الساعة إلا في يوم الجمعة "Aur qayamat juma’ ke din (hi) aayegi." (Saheeh Muslim: 854) Azmat-E-Juma’:Yehi wajah hai ke juma’ ke din ki azmat o jalalat ki bina par is kayenaat mein insaan aur jinnaat ke alawah sari makhlooq ye din aajizi aur girya wizari ke sath guzaar deti hai. Chunanchey Hadees E Nabawi (ﷺ) hai: وما من دابة إلا وهى مصيخة يوم الجمعة من حين تصبح حتى تطلع الشمس شفقاً من الساعة إلا الجن والانس "Jinno aur insano ke alawah tamaam jaandaar juma’ ke din subah sadiq se ley kar tuloo’ e aaftaab tak qayamat ke muntazir hotey hain." (Jis ki kaifiyat ka ilm Allah hi ko hai) (Abu Dawood: 1046, Is Ki Sanad Ustaad e Mohtaram Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ke Mutabiq Saheeh Hai) Ya’ni insaan bawajood iske ke Nabi-E-Kareem (ﷺ) ney farmaya: "Qayamat juma’ ke roz hi aayegi" ghaflat ka shikaar hai aur aakhirat ko bhula kar duniya ki rangeeniyon mein mubtala (dooba) hai, jabke is ke bar’aks (opposite) dusrey jaandaar (qayamat ke khauf se) juma’ ka din pareshani ki halat mein guzaar deyte hain. Pichle Gunaahon Ka Kaffarah:Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: الصلوات الخمس، والجمعة إلى الجمعة، ورمضان إلى رمضان مكفرات ما بينهن إذا اجتنبت الكبائر "Panch namaazen, ek juma’ se dusrey juma’ tak, ramazan se (dusrey aaney waley) ramazan tak apne apne darmiyani ke waqfe ke gunaahon ka kaffarah hain bashart yeh ke (shart yeh hai ki) kabeerah gunaahon se bacha jaye." (Saheeh Muslim: 233) Juma’ Ke Din Aur Uski Raat Foot Honay Waaley Shakhs Ke Mutalliq Irshaad E Nabawi (ﷺ) hai: من مات يوم الجمعة أو ليلة الجمعة وقي فتنة القبر "Jo aadmi juma’ ke din ya juma’ ki raat (juma’ se pehle wali raat) ko mara usey qabr ki aazmaish se mehfooz kar diya jaata hain." (Musnad Ahmed: 2/220 Hadees: 5773, mazeed tehqeeq ke liye dekhiye ustaaz Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ki "azwa ul masabeh tahqeeq mishkat ul masabeh" Raqm: 1367) Qubuliyat Ki Ghadi:Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: إن في الجامعة لساعة لا يوا فقها عبد مسلم وهو قائم يصلي يسأل الله تعالى شياً إلا أعطاه إياه، وأشار بيده يقللها "Juma’ ke din mein ek aisi ghadi hai ke jo musalmaan bandah bhi us waqt mein khada ho kar namaz padhey aur kisi cheez ka sawaal karey to Allah ﷻ use ata farma deyta hai, Aap (ﷺ) ney hath ke ishare se samjhaya ke ye waqt bahut mukhtasar hota hai." (Bukhari: 893, Muslim: 852) Dusri hadees mein hai: "Juma’ ka din baarah (12) ghadiyon par mushtamil hota hai, un mein ek ghadi aisi hai jo musalmaan bhi us waqt mein Allah ﷻ se sawaal kar raha ho to Allah ﷻ usey ata farma deyta hai, usey namaz e asr ke baad aakhri ghadi mein talash karo." (Abu Dawood: 1048, Is Ki Sanad Saheeh Hai) Baaz ulama "qubuliyat ki ghadi" ke ta’een mein ikhtelaaf kartey hain lekin musalmaan ki haisiyat se hamein sara din raza-e-ilaahi (Allah ki raza) ki talash mein guzaar deyna chahiye_ Tarik-E-Juma’ (Juma’ chhodne waale) Ka Anjaam:Jis tarha upar zikr ki gayi ahadees se juma’ ki fazilat o ahmiyat ka bakhubi andaza lagaya jaa sakta hai aise hi darj zail hadees (juma’ ko bila uzr chhodne ki wayeed) se ye samajhna mushkil na hoga ke juma’ chhodne waala, Allah ﷻ ki naraazgi mol ley kar (haasil kar ke) jahannum ka eendhan ban raha hai_ Irshaad E Nabawi (ﷺ) hai: لقد هممت أن آمر رجلاً يصلي بالناس ثم أحرق على رجال يتخلفون عن الجماعة بيوتهم "Maine pukhta irada kiya ke kisi aadmi ko hukm dun wo logon ko namaz padhaye, phir jo mard namaz-e-juma’ se peechey reh jaatey hain unhen unke gharon sameet jala dun." (Saheeh Muslim: 652) Mazeed farmaya: "Log namaz-e-juma’ chhodney se baaz aa jayen warna Allah ﷻ unke dilon par muhar laga deyga, phir wo ghafilon mein se ho jayenge." (Saheeh Muslim: 865) Ya Rabb al Aalameen hamen un logon mein se kar dey jo juma’ ke din teri rehmaten, neymaten samettey hain aur in fazail ke ahel hain aur un jaisa na karna jin ke dil teri yaad se ghaflat ki bina par muhar lagaaye huwe ho chuke hain. (Aameen) Author: Hafiz Nadeem Zaheer Hafidahullah Romanised: Syed Ibraheem Salafi (via romanquranohadees.com) [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.1, Safa no.20-21] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024