Ilm Kaise Uthta Hai?Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
الـحـمـد لله رب الـعـالـمـيـن والـصـلـوة والـسـلـام عـلـى رسـولـه الـأمـيـن، أمـابـعـد؛ Ahle ilm ka khitta e arz par maujood hona logon ke liye baa'is e rahmat o sa'aadat hai aur unka yahan se chale jaana hasrat o yaas ke ilaawah buraiyaan aam hone ka zari'ah hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:
Sayyiduna 'Amr bin 'Aas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke maine Rasoolullah ﷺ ko yeh farmaate huwe suna:
'Amaar bin Abi 'Amaar bayaan karte hain ke jab Sayyiduna Zaid bin Saabit (Razi Allahu Anhu) faut huwe tou Sayyiduna Abdullah bin Abbas (Razi Allahu Anhuma) ne farmaaya:
Maloom huwa ke ilm uthne se muraad Ulama ka faut hona hai, jon jon ahle ilm is duniya se jaa rahe hain tou maashare mein bad-amani, fitna o fasaad, maasiyat o nafarmaani aur qatl o ghaarat ki bhi kasrat ho rahi hai jis se yeh baat waazeh ho jaati hai ke Ulama e Haq mahalle, ilaaqe, shehar aur mulk o millat ke liye baa'is e rahmat o barkat hote hain. Abu al-'Alaa Hilaal bin Khabbaab bayaan karte hain ke maine Sa'eed bin Jubair (Rahimahullah) se dariyaaft kiya: Aye Abu Abdillah! logon ki halakat o barbaadi ki nashaani kya hai? unhon ne farmaaya:
Tambeeh: Musannaf ke aksar nuskhon mein "Saabit bin Zaid" hai jo ke khataa hai, sahih "Saabit bin Yazeed" hai aur yeh siqah raawi hain, dekhe "Jaame' Bayan al-'Ilm wa-Fazlih Li Ibne Abdul Bar (1/483)" aur kutub e asma al-rijaal wagerah, neez Abu Usaamah Hammad bin Abi Usaamah Bari Minat Tadlees hain. Is mein koi shak nahi ke ahadees e mazkoorah mein in umoor ki ittillaa' di jaa rahi hai jo qurb e qayamat waaqi' honge lekin yeh bhi haqeeqat hai ke ilm o ulama ki 'adm maujoodgi mein jahalat ka daur e daurah hota hai jis bina par duniya mein be-rah rawi aur gunaah 'aam ho jaate hain lehaza 'awaam o khawaas aur arbaab hal o aqd ko chahiye ke Ulama e Kiraam ke saamne mushkilaat aur rukawaten khadi karne ke bajaye unki qadr karte huwe deeni mu'aamalaat mein unse ta'awun karen aur jo is duniya se chale gaye hain unhen apni duaon mein hamesha yaad rakhen. (Allah unki maghfirat kare Allah un par raham kare) sath hi ahle ilm ke liye bhi lamha e fikriyah hai ke wo digar masrofiyaat mehdood kar ke tehreer, taqreer aur tadrees ke zariye se doosron tak apna ilm khoob pohchaaiyen taake jab is duniya se rukhsat hon tou kitaabon aur shagirdon ki surat mein sadqa e jaariyah rahe. Qaht ur-Rijaal ke is daur mein Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ki wafaat bahut bada saaniha hai aur yeh silsilah jaari hai kabhi Ustaaz Hafiz Abdul Mannaan Noorpuri (Rahimahullah) ki judaayi tou kabhi Dr. Abdur Rashid Azhar (Rahimahullah) ka hum se bichhadna, lehaza talbaa se guzarish hai ke husool e ilm ke liye sanjeedgi se laayiha e amal tayyar karen. Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:
Yeh mazmoon maine apne ustad mohtaram Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ki wafaat ke mauqa' par likha tha, haaliyah ayyaam mein ahle ilm ki ek badi ta'daad masalan: ustaz ul-Ulama Shaykh ul Hadees Maulana Abdul Hameed Hazarwi, Shaikh ul Hadees Maulana Abdur Rasheed Hazarvi, Tajweed o Qirat ke mahir Maulana Qari Yahya Rasool Nagri, Shaykh ul Hadees Maulana Rahmatullah Rabbani aur Shaykh ul Hadees Maulana Muhammad Yunus Butt (Rahimahumullah) achanak aur bahut jald hamein chhor kar chal diye... قَدَّرَ اللہُ، وَمَا شَآءَ فَعَلَ Allah ta'ala in tamaam buzrugon ki maghfirat farmaaye aur hamein in ke liye sadqa e jaariyah banaye aur is mission ko mazeed badhaane ki tawfeeq aata farmaaye. Ameen Ya Rabbal 'Alameen.
……………… Asal Mazmoon ……………… Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah Romanised: Syed Ibraheem salafi Refrence: Manama Ishaatulhadith Shumara 112, Page 15-16 |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024