Hum Ramazan Kaise Guzaren? |
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسول الأمين اما بعد Mah e Ramazan Rahmaton, Barkaton, Sa'aadaton aur Maghfiraton ka mahina hai jo hum se yeh taqaza kar raha hai ke dekhna kahin hameshah ki tarha is baar bhi meri tamaam tar Fazilaten sameentney se mehroom na reh jaana ......shayad yeh zindagi ka aakhri ramazan ho..... dubara aisa Ba-Barkat mahina naseebey mein na ho...... kya tum dekhtey nahi kitne ki aise hain jo tumhaare sath Sehri aur Iftaari mein shareek honey waaley aur Qiyaam e Ramazan mein sath khadey honey waaley thhey lekin .....aaj nazar nahi aarahe hai! kiyun?... is liye ke in ka muqarrarah waqt poora ho chuka hai. وَلَن يُؤَخِّرَ اللَّهُ نَفْسًا إِذَا جَاءَ أَجَلُهَا (Aur jab kisi ki maut aajati hai tou Allah usko hargiz muhlat nahi deyta.) ki sadaa aachuki hai balke ab tou tum bhi .....isi qataar mein khadey nazar aatey hon, anqareeb .....tumhaari baari bhi aaney waali hai, phir kiyun na is zindagi ke baqiyah lamhaat o sa'aat se faidah utthatey huwe apne ko badal den. Ma'siyat aur nafarmaani ki daldal se nikal kar zuhad o taqwa ke talaab mein ghaoutah-zan hon, lekin kaise? hum apni zindagiyon mein kis tarha inqelaab laayen? ....han! .....Rab e Kareem ne hummen ek behtareen mauqa' aata kiya hai aur wo "Mah e Ramazan" hai, hum kis tarha is mahine ke shab o roz guzaaren, taake hummara Rab e Raheem hum se Razi ho jaaye aur hummare 'amaal us ke han maqbool qaraar paayen? TOU ZAROORI HAI KE DARJ ZAIL BAATON KO MALHOOZ RAKHA JAAYE:TAWBAH:Sab se pehle apni sabiqah zindagi par ek nazar daalen ke jis qadr bhi gunaah huwe hain, Allah aur uske Rasool ki nafarmaani ki hai, khawah qaulan hai ya 'amalan tou in sab se apne Allah ke huzoor Sachchi Tawbah karen, tawbah ka mafhoom hi yeh hai ke gunaah ke kamo se lautna, gunaah ka aiteraaf aur aaindah na karney ka 'azm karna, Irshaad e Bari Ta'ala hai:
Ho sakey tou Khauf e Ilaahi se chand qatrey ansoo'on ke bhi shamil kar len, kiyun ke, Nabi ﷺ ne farmaya:
Neez Aap ﷺ ne farmaya:
HUSOOL E TAQWA:Gunaahon ko chhorne aur neki ke kaam karney par tabi'at ka mayil hona aur apne gunaahon ke anjaam se dar kar in se bachney ki koshish karna taqwa hai aur Mah e Ramazan ka bada aur ahem maqsad taqwa ka husool hai, Irshaad e Bari Ta'ala hai:
Taqwa ikhtiyaar karney ke duniyawi aur ukhrawi bahut ziyadah fawaid hain jis ka tazkirah Qur'an o Sunnat mein jaa baja milta hai, Allah ﷻ farmata hai:
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
ROZEY KI HIFAZAT:Rozey ki hifazat karna bahut zaroori hai, kiyunke agar hum ne is silsiley mein susti aur kotahi ka saboot diya aur sahih tareeqey se Rozey ki hifazat na kar sakey tou hum is ki Fazilaton aur Barkaton se mehroom reh saktey hain, is liye lazim hai ke (Rozey ke ajr o sawaab ko khatam karney waaley 'amaal maslan) jhoot, bohtaan chogli, gheebat aur ladai jhagdey se bacha jaaye, khususan zabaan ki hifazat ki jaaye aur Taqwa ikhtiyaar kiya jaye, Nabi ﷺ ne farmaya:
Yane jo shaksh bhi mazkorah khurafaat se nahi bachta us ka Rozah usey faidah nahi deyta, neez Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya:
QIYAAM UL LAIL:Allah ﷻ ke sath ta'alluq ko marboot karney ka ahem zari'ah Qiyaam ul Lail hai aur Ramazan mein Qiyaam ul Lail fazilat ke lehaz se aur bhi badh jaata hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
Yahan ek baat ka khayaal rahey ke b'az hazraat yeh samhjtey hain ke "Qiyaam e Ramazan Akeley Ghar Mein Karna Ziyadah Behtar Hai, Lehaza Hum Ghar Mein Qiyaam Karenge." lekin wo bechara saari raat bistar par sooye hi guzaar detey hain. Aur b'az hazraat Qiyaam e Ramazan ba-jamaat ko sunnat samahjney se hi inkaari hain! Aise hazraat ki Islah ke liye is lambi Hadeees ka ek hissa paish e khidmat hai jo Aap ﷺ ne Qiyaam e Ramazan ke bareme farmaya tha:
Umeed hai ke is qadr Qiyaam e Ramazan ba-jamaat ki Fazilat jaan kar heelo aur bahano se ihteraaz kiya jaayega. TILAWAT E QUR'AN E MAJEED KI KASRAT:Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Yeh haqeeqat hai ke ajr o sawaab ke lehaaz se Mah e Ramazan mein kiya huwa 'amal ziyadah Afzal hai, lekin dekhney mein aaya hai ke log Ramazan mein tou khoob Qur'an padhtey aur suntey hain aur digar mahino mein Qur'an e Majeed chhoney ki tawfeeq nahi hoti. ZIKR E ILAAHI SE ZABAAN TAR RAKHNA:Laghwiyaat aur fuzooliyat ko tark kar ke hamesha apni zabaan ko Allah ﷻ ke zikr se tar rakhna chahiye, Sayyidah Aisah Razi Allahu Anha bayaan karti hain ke:
Doosrey maqaam par Aap ﷺ ne farmaya:
Subh aur shaam ke azkaar ki bhi pabandi karni chahiye jaisa ke digar dalaayil se sabit hai. ITEKAAF:Ramazan ke aakhiri 'ashrey mein Itekaaf karna Sunnat e Nabawi hai aur yeh Tazkiyah e Nafs ka behtareen zari'ah hai, Sayyiduna Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu bayaan kartey hain ke:
AAKHIRI ASHRAH:Is ashrey mein apni tamaam tar tawanaayi is pe kharch kar deyni chahiye ke hum se hummare Allah razi ho jaaye aur hummari kamiyon, kotahiyo aur khataao se darguzar farma dey aur nekiyon ke husool mein izafah aur jazbah e sabqat ho,
Sayyidah Aisah Razi Allahu Anha bayaan karti hain ke:
LAILATUL QADR:Isi ashrey mein Lailatul Qadr hai jis ke bareme Allah ﷻ farmata hai:
Lehaza aakhri ashrey mein Lailatul Qadr ko talaash karna chahiye, kiyun ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Neez Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
EK AHEM BAAT:Jo silsila Ramazan ki mubarak Saa'aton mein qayim kiya jaye wo baqiyah giyara mahino (11 months) mein bhi barqarar rehna chahiye, kahin aisa na ho ke jo shakhs Ramazan mein Qiyaam ul Lail aur Ishraaq wagerah tak ki pabandi karta tha wo Ghair Ramazan mein Farz Namaz bhi chhor baithey aur phir usi ma'siyat o nafarmaani ki daldal mein jaa girey jahan pehle phansa huwa tha aur mahiney bhar ke "Amaal e Saliha" ki kamayi akarat kar dey. Is liye zaroori hai ke is mubarak mahiney mein apna ihtisaab kartey huwe hamesha ke liye Siraat e Mustaqeem ka inteqaab kar len aur apna har lamha har lehaaz se Qur'an o Sunnat ke mutabiq guzaar kar aakhirat mein Allah ﷻ ke han surq-roh ho jayen. In-Sha-Allah Allah ﷻ Se Dua Hai Ke Humme Apne Deen Ke Liye Chun Ley Aur Hum Se Razi Ho Jaye. (Aameen) Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah Romanised: Syed Ibraheem Salafi [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.119, Safa no.17-26] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024