Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj |
Hijama Se Muraad Pachna Lagwana Hai Ya'ani Jism Ke Mutasirah Hisse Se Seengi Ke Zariye Kharaab Wa Faasid Khoon Nikalwana. Ye Aisa I'laaj Hai Jis Ki Tibbi Ehmiyat Se Inkaar Mumkin Nahi Balke Daur E Jadeed Me Scienci Lihaaz Se Bhi Isey Mujarrab Wa Mufeed Qarar Diya Gaya Hai. Humne In Sutoor Mein Saheeh Ahadees Wa Aasaar Se Hijama (Seengi) Ki Shara'i Haisiyat Waazeh Karne Ki Koshish Ki Hai: Seengi Mein Shifa HaiSyedna Jabir Bin Abdullah Razi Allahu Anhu, Muqann'a Bin Sanaan (Tabaee) Ki Taimardaari Ke Liye Tashreef Laaye Phir Unse Farmaaya: Jab Tak Tum Seengi (pachna) Na Lagwaalo Mai Yahan Se Nahi Jaunga Kyunke Mai Ne Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ko Farmaate Hue Suna Hai: ((إن فیہ شفاء )) Bila Shuba Iss Mein Shifa Hai. [Saheeh Bukhari:5697] Nabi E Kareem Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: "Shifa Teen Cheezon Mein Hai":
[Saheeh Bukhari:5681] Syedna Jabir RaziAllahuAnhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: "Agar Tumhari Dawaon Mein Shifa Hai Toh Seengi Lagwaane Mein Aur Aag Se Daaghne Mein Hai Aur Mai Daaghne Ko Pasand Nahi Karta." [Saheeh Bukhari:5704] Seengi Behtareen Dawa (I'laaj) HaiNabi E Kareem Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: "Jin Cheezon Se Tum I'laaj Karte Ho Inn Mein Se Koi Behtareen Dawa Hai Toh Wo Seengi (pachna) Lagwaana Hai." [Sunan Abu Dawud:3857, Sunan Ibn Majah:3476, iski sanad hasan hai.] Seengi Lagwaane Ke Liye Qamri Tareeq Ka InteqaabRasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaaya: "Jo Shaqs (Qamri Mahine Ki) 17,19,21 Tareeq Ko Seengi Lagwaaye, usey Har Beemari Se Shifa Hogi." [Sunan Abu Dawud:3861,iski sanad Hasan hai.] Aurtein Bhi Seengi Lagwaa Sakti HainUmmul Momineen Syedah Umme Salamah RaziAllahuAnha Ne, Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Se Seengi Lagwaane Ki Ijaazat Chaahi Toh Nabi Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Abu Taybah Ko Hukm Diya Ke Inhein Seengi Lagadein. Raawi Ke Nazdeek Abu Taybah Syedah Umme Salamah RaziAllahuAnha Ke Raza'i Bhai Ya Nabaligh Ladke The. [Saheeh Muslim:2206,Nuskha darussalam:5744] Rajeh Yehi Hai Ke Woh Uss Waqt Ghulamon Mein Seengi Lagaane Ke Maahir Nabaligh Ladke The. Haalate Ahram Mein Seengi LagwanaIbn Buhainah Razi' Allahu anhu riwayath karte hai ke "Rasoolullah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Lahi Jamal Ke muqam par halate Ahram mein Sir Ke darmiyan Seengi lagwayi thi." [Saheeh Bukhari:1836,Saheeh Muslim:1203] Syedna Abdullah bin Abbas RaziAllahuAnhu Ne Farmaaya: "Nabi Sallallahu Alaihi wasallam Ne Halate Ahram mein seengu lagwayi." [Saheeh Bukhari:5695] Roze Ki Halath Mein Seengi LagwanaSyedna Abdullah Bin Abbas Razi' Allahu anhu Se riwayath hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Roze Ki Halath Mein Seengi Lagwayi. [Saheeh Bukhari:5694] Seengi Lagwane ke Ba'd Ghusl KarnaSyadah Ayesha Razi'Allahu anha se Riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihiwasallam 4 kaamon ki wajah se Ghusl Kiya karte the: Janabath Se, Jum'ah ke din, Seengi lagwane se aur Mayyith ko ghusl Dene Ke baad. [Sunan Abu Dawud:348, Iski Sanad Hasan hai] Seengi Lagaane Waale Ko Ujrat (Paise) Dena?Abu Taybah Ne Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ko Seengi Lagaayi Toh Aap Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Hukm Diya Ke Inhein (Mazdoori Mein) Ek Saa' Khajoor Dii Jaaye Aur Aap Ne Unke Maalikon Ko Hukm Diya Ke Inn Pr Muqarrarah Kharaaj Mein Kami Karein. [Saheeh Bukhari: 2102, Saheeh Muslim: 1577] Yahaan Kharaaj Se Muraad Woh Raqm Hai Jo Ghulaam Apne Maalik Ya Maalikon Ko Azaadi Haasil Karne Ke Liye Deta Hai. Syedna Abdullah Bin Abbas RaziAllahuAnhu Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Seengi Lagwayi Aur Hajjaam Ko Usski Ujrat Dii, Agar Ye Ujrat Haram Hoti Toh Use Na Dete. [Saheeh Bukhari: 2103] Sabit Hua Ke Jin Riwayaat Mein Iss Ujrat Ko Khabees Waghaira Kaha Gaya Hai Wo Karahat par Mahmool Hai Ya Mansookh Hain. . .Wallahu'Alam Seengi Lagwaane Ke Baare Mein Chand Z'aeef Wa Ghair Saabit Riwayaat
TanmbeehJin Dinon Mein Seengi Lagwane Ki Mumaani'at Waarid Hui Hai Woh Sab Za'eef Riwayaat Hain, Kisi Bhi Din Seengi Lagwaayi Jaa Sakti Hai, Albatta qamri Mahine Ke Teen Dinon Mein Seengi Lagwana Behtar Wa Afzal Hai, Jaisa Ke Bahawala Hadees Guzr Chuka Hai. Qaraeen Kraam! Hum Ne Intehaayi Ikhtesaar Ke Saath Seengi Ki Shara'i Haisiyat Aur Iss Ke Ehkaam Safha Qirtaas Pr Muntaqil Kardiye Hain ,Ummeed Hai Ke Iss Matrook Amal Ko Jaari Wa Aam Karne Ki Koshish Ki Jaayegi. Ye Baat Hamesha Zehan Nasheen Rahe Ke Aise Maahir Mu'aallij Ka Inteqhab Karein Ko Baqhoobi Jaanta Ho Ke Jism Ke Kis Hisse Pr Kis Maqsad Ya Marz Ke Liye Seengi Lagaani Hai. [Mahnama Alhadees,Shumara:84 Safa:40-41] Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah Romanised: Hafiz Muhammad Shahed Hyderabadi [Mahnama Al-Hadees, Shumara no.84, Safa no.40-43] |
Deegar Mazameen:
1 | Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
2 | Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
3 | Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
4 | Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
5 | Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
6 | Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
7 | Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
8 | Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
9 | Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
10 | Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
11 | Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
12 | Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
13 | Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
14 | Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
15 | Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
16 | Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
17 | Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
18 | Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
19 | Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
20 | Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah |
21 | Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
22 | Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
23 | Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
24 | Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
25 | Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
26 | Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
27 | Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
28 | Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
29 | Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
30 | Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair |
31 | Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
32 | Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
33 | Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
34 | Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
35 | Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
36 | Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
37 | Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
38 | Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
39 | Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
40 | Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
41 | Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
42 | Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
43 | Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
44 | Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein |
45 | Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
46 | Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah |
47 | Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
48 | Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
49 | Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
50 | Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
51 | Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
52 | Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
53 | Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
54 | Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
55 | Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
56 | Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
57 | Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
58 | Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
59 | Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
60 | Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
61 | Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah |
62 | Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
63 | Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
64 | Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
65 | Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri |
66 | Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
67 | Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah |
68 | Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein) |
Android App --or-- iPhone/iPad App
IshaatulHadith Hazro © 2024