Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat

Abu Ahmed Waqas Zubair


الحمد للّٰہ رب العالمین، حمدًا کثیرًا طیبًا مبارکًا فیہ، کما یحب ربنا ویرضی، والصلاۃ والسلام علی رسولہ ونبیہ ﷺ و علٰی آلہ وصحبہ وسلم تسلیمًا مزیدًا، أما بعد:

Allah ﷻ apni kamaal e rahmat ki badaulat apne bandon ko apni raza o khushnoodi ke besh bahaa mawaaqi' naseeb farmaata hai taake bandey un mein Allah ﷻ ke huzoor nekiyan aur itaa'at ke kaam bajaa laa kar apne gunaahon ki bakhshish, us ki rahmat o mawaddat aur buland darjaat ka in'aam paa saken, ab bandon ko chahiye ke in awqaat ko ghanimat jaantey apne ta'alluq ko Allah malik ul mulk se mazboot karen aur sa'aadat aur kaamrani ka husool mumkin banayen.

Inhi mawaaqi' mein se ek 'ashrah zul hijjah bhi hai jis ki fazilat o ahmiyat aur ahkaam, Qur'an o Hadees mein mukhtalif andaaz se bayaan kiye gaye, iska sabab bayaan kartey huwey Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmaatey hain:

وَالَّذِی یَظْہَرُ أَنَّ السَّبَبَ فِی امْتِیَازِ عَشْرِ ذِی الْحِجَّۃِ لِمَکَانِ اجْتِمَاعِ أُمَّہَاتِ الْعِبَادَۃِ فِیہِ وَہِیَ الصَّلَاۃُ وَالصِّیَامُ وَالصَّدَقَۃُ وَالْحَجُّ وَلَا یَتَأَتَّی ذَلِکَ فِی غَیْرِہِ

"Ashrah zul hijjah ke baaqi aiyaam se imteyaaz ka ek sabab yeh maloom hota hai ke is mein badi badi ibadaat jama' ho jaati hain jaise namaz, rozah, sadqah aur haj, ibadaat ka yeh ijtemaa' baaqi aiyaam mein nahi hota."

(Fath ul Baari: 2/460)

Allah ﷻ Ne In Dus Raaton Ki Qasam Khaayi Hai:

Imam Ibne Qayyim Rahimahullah farmaatey hain:

وہو سبحانہ یقسم بأمور علی أمور وإنما یقسم بنفسہ الموصوفۃ بصفاتہ وآیاتہ المستلزمۃ لذاتہ وصفاتہ وإقسامہ ببعض المخلوقات دلیل علی أنہ من عظیم آیاتہ

"Allah ﷻ bahut se umoor ke liye doosrey umoor ki qasam khaata hai aur kabhi wo apni zaat e mubarakah ki qasam khaata hai jo us ki sifaat e 'aaliyah se muttasif hai aur kabhi apni aayaat ki jo us ki zaat o sifaat se judi huwen hain, us ka apni b'az makhloqaat ki qasam khaana is baat par dalaalat kinaa hai ke wo makhlooq us ki azaam nashaaniyon mein se hai."

(at-Tibiyaan fi Aqsaam ul Qur'an Li Ibne Qayyim: Page: 1)

Chunanche Allah ﷻ qasam khaatey huwey farmaata hai:

"Qasam hai fajr ki aur dus raaton ki."

(Surah al-Fajr: 1,2)

Sayyiduna Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmaatey hain:

إن اللیالي العشر اللاتي أقسم اللہ بہنّ: ہن اللیالي الأُ وَل من ذي الحجۃ

"Allah ﷻ ne jin dus raaton ki qasam khaayi hai, yeh zul hijjah ki pehli (dus) raaten hain."

(Tafseer E Tabri: 11/530, Wa Sanadahu Sahih)

Imam Mujahid bin Jabr Rahimahullah (Died: 101 Hijri) farmaatey hain:

"Is se muraad "ashrah zul hijjah" hai."

(Tafseer E Tabri: 11/531, Wa Sanadahu Hasan)

Ma'roof sunni mufassir Imam Ibne Jareer at-Tabri Rahimahullah (Died: 310 Hijri) farmaatey hain:

والصواب من القول في ذلک عندنا؛ أنہا عشر الأضحی لإجماع الحجۃ من أہل التأویل علیہ

"Hummare nazdeek is muta'alliq sahih baat yeh hai ke in (dus raaton) se muraad zul hijjah ki dus (raaten) hi hain kiyunke tamaam mufassireen ne ijmaa'yi taur par is se yehi daleel pakdi hai."

(Tafseer e Tabri: 11/531)

Ma'roof muhaddis o mufassir Imam Ibne Kaseer Rahimahullah (Died: 774 Hijri) farmaatey hain:

واللیالي العشر: المراد بھا عشر ذي الحجۃ

"Dus raaton se muraad zul hijjah ki dus (raaten) hain."

(Tafseer Ibne Kaseer: 14/338)

Imam Ibne Rajab Hanbali Rahimahullah (Died: 595 Hijri) farmaatey hain:

أما اللیالي العشر فھي عشر ذي الحجۃ ھذا الصحیح الذي علیہ جمھور المفسرین من السلف وغیرہم

"Sahih baat yehi hai ke dus raaton se muraad zul hijjah ki dus (raaten) hain, isi par jamhoor awaayil mufassireen wagerah bhi hain."

(Lataif al-Ma'arif Fima Li Mawasim al-Aam Min al-Wazaif Li Ibne Rajab: Page: 260)

Mazeed farmaatey hain:

وقد أقسم اللہ تعالٰی بلیالیہ، •••••• وھذا یدل علی فضیلۃ لیالیہ لکن لم یثبت أن لیالیہ ولا شیئًا منھا یعدل لیلۃ القدر

"Allah ﷻ ne is ('asharey) ki raaton ki qasam khaayi hai jo ke is ki raaton ki fazilat par dalaalat karti hai lekin yeh baat qata'an sabit nahi ke is 'ashrah ki tamaam ya b'aaz raaten lailatul qadr ke barabar hain."

Mazeed farmaatey hain:

والتحقیق ما قالہ بعض أعیان المتأخرین من العلماء أن یقال؛ مجموع ھذا العشر أفضل من مجموع عشر رمضان وإن کان في عشر رمضان لیلۃ لا یفضل علیھا غیرھا۔ واللہ أعلم

"Tehqeeq shudah baat yehi hai ke jo muta-akh-khireen mein se kibaar ulama ne kahi hai ke kaha jaaye; yeh 'asharh majmoo'yi taur par ramazan ke (aakhri) 'ashrey se majmoo'yi aitebaar se afzal hai goya ke ramazan ke aakhri 'ashrey mein ek aisi raat hai jis ki fazilat mein barabari kisi raat ko haasil nahi."

(Lataif al-Ma'arif Li Ibne Rajab: Page: 267)

Nek Aamaal Ki Targheeb:

Sayyiduna Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhuma se riwayat hai, Nabi ﷺ ne farmaaya:

(مَا العَمَلُ فِی أَیَّامٍ [العشر] أَفْضَلَ مِنْہَا فِی ہَذِہِ؟)) قَالُوا: وَلاَ الجِہَادُ؟ قَالَ؛ ((وَلاَ الجِہَادُ، إِلَّا رَجُلٌ خَرَجَ یُخَاطِرُ بِنَفْسِہِ وَمَالِہِ، فَلَمْ یَرْجِعْ بِشَیْءٍ))

"Kisi din ka amal (Allah ﷻ) ke han in (dus) dino ke amal se afzal nahi." Sahaba ne pouchaa: kiya jihaad bhi nahi? tou Aap ne farmaaya: "Jihaad bhi nahi, magar wo shaksh jo kudh dushmano se ladtey huwey apni jaan o maal ki baazi laga di aur (in mein se) kisi cheez ke sath wapas na lautey."

(Sahih Bukhari: 969)

Ek doosri riwayat mein Imam Sayeed bin Jubair Taba'yi Rahimahullah Sayyiduna Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhuma se riwayat kartey hain, Nabi ﷺ ne farmaaya:

((مَا مِنْ عَمَلٍ أَزْکَی عِنْدَ اللَّہِ عَزَّ وَجَلَّ وَلَا أَعْظَمَ أَجْرًا مِنْ خَیْرٍ یَعْمَلُہُ فِی عَشْرِ الْأَضْحَی)) قِیلَ:وَلَا الْجِہَادُ فِيْ سَبِیلِ اللہِ؟ قَالَ: ((وَلَا الْجِہَادُ فِيْ سَبِیلِ اللہِ عَزَّ وَجَلَّ إِلَّا رَجُلٌ خَرَجَ بِنَفْسِہِ وَمَالِہِ فَلَمْ یَرْجِعْ مِنْ ذَلِکَ بِشَیْءٍ)) قَالَ: وَکَانَ سَعِیدُ بْنُ جُبَیْرٍ إِذَا دَخَلَ أَیَّامُ الْعَشْرِ اجْتَہَدَ اجْتِہَادًا شَدِیدًا حَتَّی مَا یَکَادُ یَقْدِرُ عَلَیْہِ۔

"Allah ﷻ ke nazdeek koi aamal is se ziyadah pakizah aur ajr ke lehaaz se bada nahi jo 'asharah zul hijjah mein kiya jaye, kaha gaya: Allah ke raastey mein jihaad bhi nahi? Aap ne farmaaya: Allah ﷻ ke raastey mein jihaad bhi nahi, siwaye is shaksh ke jo apni jaan o maal ley kar nikley phir kisi shai ke sath wapas na lautey." Qasim bin Ayoob (rawi) farmaatey hain: Sayeed bin Jibair Rahimahullah jab is 'ashrah mein dakhil hotey tou is qadar (amal mein) mehnat kartey ke apni taqat se badh kar koshis kartey.

(Sunan Daarmi: 1815, Wa Sanadahu Hasan, Dekhe Sharah Mushkil ul Aasaar Lit Tahaawi: 7/416 Hadees 2970)

Ashrah Zul Hijjah Ke Rozey:

Hunaidah bin Khalid ki zawjah (sahabiyah) Nabi ﷺ ki b'az azwaaj se bayaan karti hain:

کَانَ رَسُولُ اللہِ ﷺ یَصُومُ تِسْعَ ذِي الْحِجَّۃِ

"Rasoolullah ﷺ zul hijjah ke (pehley) naw dino ke rozey rakhtey."

(Sunan Abi Dawood: 2437, Sunan Nasaayi: 2374, Wa Sanadahu Sahih)

Imam Abu Dawood ne is hadees par is tarha baab qaayim kiya:

باب في صوم العشر

'Ashrah zul hijjah ke rozey ka bayaan.

Tambeeh: Ek riwayat mein Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha farmaati hain:

مَا رَأَیْتُ رَسُولَ اللہِﷺ صَائِمًا فِی الْعَشْرِ قَطُّ

"Maine Rasoolullah ﷺ ko 'ashrah (zul hijjah) mein rozey rakhtey nahi dekha."

Ek doosri riwayat mein hai:

أَنَّ النَّبِیَّﷺ لَمْ یَصُمِ الْعَشْرَ

"Nabi ﷺ 'ashrah (zul hijjah) mein rozey na rakhtey."

(Sahih Muslim: 1176)

Imam Baihaqi Rahimahullah (Died: 458 Hijri) farmaatey hain:

وَہَذَا الْحَدِیثُ أَوْلَی مَعَ مَا سَبَقَ ذِکْرُہُ مِنَ الْحَدِیثِ الَّذِيْ رُوِيَ عَنْ عَائِشَۃَ أَنَّہَا قَالَتْ: مَا رَأَیْتُ رَسُولَ اللہِ ﷺ صَائِمًا فِی الْعَشْرِ قَطُّ لِأَنَّ ہَذَا مُثْبِتٌ فَہُوَ أَوْلَی مِنَ النَّافِيْ

"Yeh hadees (Hunaidah bin Khalid ke tareeq waali) aur is ke sath jo (is 'ashrey) se muta'alliq peechey zikr huwa, awlaa aur rajeh hai is hadees se jo ke Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha ne bayaan ki ke "maine Rasoolullah ﷺ ko in dus dino mein rozey rakhtey nahi dekha." kiyunke mazkoorah bala riwayat (rozey rakhney) ko sabit kar rahi hai, is liye wo rozey rakhney ki nafi karney waali hadees se rajeh aur awlaa hai."

(Fazail al-Awqaat Lil Baihaqi: 175, mazeed dekhe: Sunan al-Kubra: 4/688)

Imam Nawawi Rahimahullah (Died: 676 Hijri) farmaatey hain:

ہو متأول علی انہا لم ترہ ولا یَلْزَمْ مِنْہُ تَرْکُہُ فِيْ نَفْسِ الْأَمْرِ لِأَنَّہُ ﷺ کَانَ یَکُونُ عِنْدَہَا فِی یَوْمٍ مِنْ تِسْعَۃِ أَیَّامٍ وَالْبَاقِی عِنْدَ بَاقِی أُمَّہَاتِ الْمُؤْمِنِینَ أَوْ لَعَلَّہُﷺ کَانَ یَصُومُ بَعْضَہُ فِيْ بَعْضِ الْأَوْقَاتِ وَکُلَّہُ فِی بَعْضِہَا وَیَتْرُکُہُ فِی بَعْضِہَا لِعَارِضِ سَفَرٍ أَوْ مَرَضٍ أَوْ غَیْرِہِمَا وَبِہَذَا یُجْمَعُ بَیْنَ الْأَحَادِیْث

"Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha ke qaul ki wazaahat is tarha se ki jaa sakti hai ke unhon ne Nabi e Kareem ﷺ ko rozey ki haalat mein na dekha ho, is se yeh laazim nahi aata ke aap ne haqeeqat mein in rozon ko chhora tha kiyunke aap ne naw mein se ek din in ke paas tehartey thhey, aur baqi aiyaam digar Ummahaatul Momineen ke paas, aur yeh bhi mumkin hai ke aap kabhi is 'ashrey ke chand din tou rozah rakhtey hon aur chand din chhortey hon, aur kabhi poora 'ashrah rozah rakha ho aur kabhi safar ya marz ya kisi aur sabab se poora 'ashrah rozey ko tark kiya ho, is wazaahat se ahadees mein tatbeeq di jaa sakti hai."

(al-Majmoo' Sharh ul Muhazzab: 6/387)

Mazeed farmaatey hain:

فلیس في صوم ہذہ التسعۃ کراہۃ بل ہی مستحبۃ استحبابا شدیدًا لا سیما التاسع منہا وہو یوم عرفۃ

"In naw dino mein rozey rakhna makroh nahi balke mustahab aur shadeed mustahab hain aur khaas taur par 9 zul hijjah ko jo yaum e 'arfah hai."

(Sharh Sahih Muslim Lil Nawawi: 8/78)

Imam Abdullah bin 'Awn Rahimahullah (Died: 150 Hijri) farmaatey hain:

کَانَ مُحَمَّدٌ یَصُومُ الْعَشْرَ عَشْرَ ذِي الْحِجَّۃِ کُلِّہِ، فَإِذَا مَضَی الْعَشْرُ وَمَضَتْ أَیَّامُ التَّشْرِیقِ أَفْطَرَ تِسْعَۃَ أَیَّامٍ مِثْلَ مَا صَامَ

"Imam Muhammad bin Sireen Rahimahullah (Died: 110 Hijri) mukammal 'ashrah zul hijjah ke rozey rakhtey tou jab 'ashrah zul hijjah aur aiyaam e tashreeq guzar jaatey tou naw din rozey ka naagah kartey jaise pehle rozey rakhtey."

(Musannaf Ibne Abi Shaibah: 2/300, Wa Sanadahu Sahih)

Yahan mukammal 'ashrah se muraad 9 din hi hain kiyunke agley alfaaz se zahir hai. Wallahu Aalam!

Arfah Ke Din Ki Fazilat:

Yaum e 'arfah zul hijjah mein se ahem tareen din hai aur is ke muta'addid fazail hain:

(1) Allah ﷻ Ka Yaum E 'Arfah Ki Qasam Khana:

Allah ﷻ farmaata hai:

((وشاھد ومشھود))

"Qasam hai haazir honey waaley ki aur jis ke paas haazir huwa jaaye."

(Surah al-Burooj: 3)

Aksar mufassireen ka mawqif hai ke is aayat e kareemah mein "شاهد" se muraad Jummu'ah" ka din aur "مشهود" se muraad 'Arfaat ka din hai jaisa ke Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu, Sayyiduna Ali bin Abi Talib Razi Allahu Anhu aur Imam Qataadah Rahimahullah se Sahih aur Hasan isnaad se marwi hai. (Dekhe Tafseer E Tabri: 11/481-482)

(2) Deen Ki Takmeel Aur Itmaam E Ne'mat Ka Din:

Sayyiduna Taariq bin Shihaab Razi Allahu Anhu, Sayyiduna Umar bin Khattaab Razi Allahu Anhu se riwayat kartey hain ke ek yahoodi ne un se kaha: Aye Ameer ul Momineen! tumhaari kitaab mein ek aayat hai jise tum padhtey ho, agar hum yahoodiyon par utarti tou hum zaroor us din eid ka din bana leyte, Umar Razi Allahu Anhu ne pouchaa: kaunsi aayat hai? wo kehney laga:

الیوم اکملت لکم دینکم واتممت علیکم نعمتی ورضیت لکم الاسلام دینا (المائدۃ: 3)

tou Umar Razi Allahu Anhu farmaaney lagey: hum is din aur jagah ko jaantey hain jis mein yeh Nabi ﷺ par utri, us waqt Aap 'arfaat (ke maidaan) mein jummu'ah ke din khadey thhey.

(Sahih Bukhari: 45/7268, Sahih Muslim: 3017)

Ek doosri riwayat mein Sayyiduna Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhuma farmaatey hain:

فإنھا نزلت في یوم عیدین في یوم جمعۃ ویوم عرفۃ

"Beshak yeh aayat do eid ke dino mein utri, jummu'ah ka din aur 'arfah ka din."

(Sunan Tirmizi: 3044, Wa Sanadahu Sahih)

(3) Yaum E 'Arfah Ahle Islam Ke Liye Eid Ka Din:

Sayyiduna 'Uqbah bin Amir al-Juhani Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

یَوْمُ عَرَفَۃَ، وَیَوْمُ النَّحْرِ، وَأَیَّامُ التَّشْرِیقِ عِیدُنَا أَہْلَ الْإِسْلَامِ، وَہِیَ أَیَّامُ أَکْلٍ وَشُرْبٍ

"Yaum e 'Arfah qurbaani ka din aur aiyaam e tashreeq hum Ahle Islam ke liye eid hain aur yeh aiyaam khaaney peeney ke hain."

(Sunan Tirmizi: 773, Sunan Nasaayi: 3007, Wa Sanadahu Hasan)

(4) Arfah Ke Din Allah ﷻ Ka Apne Bando (Haajiyon) Par Fakhar Karna Aur 'Aam Bakhshish Farmaana:

Sayyidah Aisha Razi Allahu Anha farmaati hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

مَا مِنْ یَوْمٍ أَکْثَرَ مِنْ أَنْ یُعْتِقَ اللہُ فِیہِ عَبْدًا مِنَ النَّارِ، مِنْ یَوْمِ عَرَفَۃَ، وَإِنَّہُ لَیَدْنُو، ثُمَّ یُبَاہِي بِہِمِ الْمَلَائِکَۃَ، فَیَقُولُ: مَا أَرَادَ ہَؤُلَاءِ

"Allah ﷻ 'arfah ke din se ziyadah kisi din bhi apne bando ko jahannum se azaad nahi karta aur (Allah ﷻ) apne bando ke qareeb hota hai phir farishton ke saamney apne bando par fakhar kartey huwey farmaata hai ke in saarey bando ka kya iradah hai.?"

(Sahih Muslim: 1348)

(5) 'Ashrah Zul Hijjah Ka Sab Se Azeem Amal Haj:

Allah ﷻ farmaata hai:

"Aur Allah ke liye logon par is ghar ka haj (farz) hai jo is tak pohanchney ki taqat rakhey."

(Surah aal-Imran: 97)

Allah ﷻ ne Ibraheem Alaihis Salaam ko hukm farmaaya:

"Aur logon mein haj ka aylaan kar dey, paidal aur har laaghar sawaari par aayenge jo har door daraaz raaston se aayenge."

(Surah al-Haj: 27)

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke maine Nabi e Kareem ﷺ se suna, Aap ne farmaaya:

مَنْ حَجَّ لِلَّہِ فَلَمْ یَرْفُثْ، وَلَمْ یَفْسُقْ، رَجَعَ کَیَوْمِ وَلَدَتْہُ أُمُّہُ

"Jisne Allah ke liye haj kiya ke na koi fahash baat ki aur na koi gunaah ka kaam (tou) wo is din ki tarha lauta jis din uski maa ne jana tha."

(Sahih Bukhari: 1521, Sahih Muslim: 1350)

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

العُمْرَۃُ إِلَی العُمْرَۃِ کَفَّارَۃٌ لِمَا بَیْنَہُمَا، وَالحَجُّ المَبْرُورُ لَیْسَ لَہُ جَزَاء ٌ إِلَّا الجَنَّۃُ

"Ek umrah se doosra umrah darmiyaani (waqt) ka kaffarah hai aur nekiyon se bhar poor maqbool haj ki jazaa jannat ke siwa kuch nahi."

(Sahih Bukhari: 1773, Sahih Muslim; 1349)

(6) 'Asharh Zul Ka Azeem Din:

Sayyiduna Abdullah bin Qurt Razi Allahu Anhu se riwayat hai, Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:

إِنَّ أَعْظَمَ الْأَیَّامِ عِنْدَ اللَّہِ تَبَارَکَ وَتَعَالَی یَوْمُ النَّحْرِ، ثُمَّ یَوْمُ الْقَرِّ

"Allah tabaraka wa ta'ala ke nazdeek sab se azeem din qurbaani ka din hai, phir "yaum ul qar" hai."

(Sunan Abi Dawood: 1765, Musnad Ahmed: 4/350, Wa Sanadahu Sahih)

Yaum ul Qar: Eid ul azha ka doosra din muraad hai.

Qurbaani:

Qurbaani hummare baap Ibraheem Alahis Salaam ki azeem sunnat hai jise Allah ﷻ ne Ummat e Muhammadiyah ﷺ ke liye bhi jaari farmaa diya, jaisa ke Allah ﷻ ne farmaaya: "Aur hum ne is ke badlay mein badi qurbaani di." (Surah as-Saaffaat: 107)

Yane Ismail Alaihis Salaam ki jagah unhen ek maindha diya jo ke bataur qurbaani tha.

Chunanche Allah ﷻ ne farmaaya:

"Hum ne har ummat ke liye qurbaani muqarrar ki hai taake wo in chaopaayon par Allah ka naam len jo us ne inhen diye hain, so tumhaara Ilaah ek hi Ilaah hai tou usi ke farmaanbardaar ho jaao aur aajizi karney waalon ko khushkhabri suna dijiye."

(Surah al-Haj: 34)

Allah ﷻ ne farmaaya:

"(Aye Nabi) keh dijiye beshak meri namaz, meri qurbaani, meri zindagi aur meri maut Allah ke liye hai, jo jahaano ka Rab hai."

(Surah al-An'aam: 162)

Allah ﷻ farmaata hai:

"Allah ﷻ ko hargiz na in ke gosht pohanchegen aur na in ke khoon aur lekin isey tumhaara tqawa pohnchega isi tarha us ne inhen tumhaare liye taabe' kar diya, taake tum Allah ki badaayi bayaan karo ke us ne tumhen hidayat di aur neki karney waalon ko khushkhabri suna dijiye."

(Surah al-Haj: 37)


Tehreer: Abu Ahmed Waqas Zubair

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.142-143-144, Safa no.21]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024