Allah ﷻ Se Muhabbat


Allah ﷻ zameen o aasmaan aur tamaam makhloqaat ka khaliq hai, usi ne apne dono hathon se Aadam 'Alaihis Salaam ko mitti se banaya aur un ke zawjah Hawwa 'Alaihas Salaam ko paidaa farmaaya aur phir un dono se insaano ki nasl jaari farmaayi, Allah ne insaano aur jaandaar makhloqaat ke liye tarha tarha ke rizq aur ne'maaten paidaa kiyen aur wahi mushkil khusha, haajat rawa aur fariyaad-ras hai.

Allah ﷻ ka irshaad hai:

وَإِن تَعُدُّوا نِعْمَةَ اللَّهِ لَا تُحْصُوهَا

"Aur agar tum Allah ki ne'maton ko shumaar karna chaaho tou shumaar nahi kar saktey."

(Surah an-Nahl: 18)

Beshumaar ne'maton aur fazl o karam waaley Rab se muhabbat karna insaan par farz hai.

Allah ﷻ ka irshaad hai:

وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ

"Aur ahle emaan sab se ziyadah Allah se muhabbat kartey hain."

(Surah al-Baqarah: 165)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

احبوا الله لما يغذوكم من نعمه، واحبوني بحب الله، واحبوا اهل بيتي لحبي

"Allah tumhen jo ne'maten khilaata hai un ki wajah se Allah se muhabbat karo aur Allah ki muhabbat ki wajah se Mujh se muhabbat karo aur meri muhabbat ki wajah se meri ahle bait se muhabbat karo."

(Sunan Tirmizi: 3789, Wa Sanaduhu Hasan, Mahnamah al-Hadees: 26)

Allah ﷻ farmaata hai:

وَاشْكُرُوا لِلَّهِ إِن كُنتُمْ إِيَّاهُ تَعْبُدُونَ

"Aur Allah ka shukr ada kartey raho agar tum sirf usi ki hi ibaadat kartey ho."

(Surah al-Baqarah: 172)

Mazeed farmaya:

إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ اللَّهُ وَجِلَتْ قُلُوبُهُمْ

"(Kamil emaan waaley) momin wo hain jab un ke saamney Allah ﷻ ka zikr kiya jaata hai tou un ke dil (khauf o umeed ke sath) laraz jaatey hain."

(Surah al-Anfaal: 2)

Nabi ﷺ ka irshaad e mubarak hai:

ثلاث من كن فيه وجد حلاوة الإيمان، ان يكون الله ورسوله احب إليه مما سواهما، وان يحب المرء لا يحبه إلا لله، وان يكره ان يعود في الكفر كما يكره ان يقذف في النار

"Jis shaksh mein teen chizen hon tou us ne emaan ki mithaas paa li: (awwal) yeh ke us ke nazdeek har cheez se ziyadah Allah aur uske Rasool mehboob hon (duwam) wo jis se muhabbat karey sirf Allah hi ke liye muhabbat karey (suwam) wo kufr mein laut jaana is tarha na-pasand karey jaise wo aag mein girna na-pasand karta hai."

(Sahih Bukhari: 16, Sahih Muslim: 43)

Mazeed farmaya:

Ek maa jitni apne bachchey se muhabbat karti hai Allah ﷻ us se bahut ziyadah apne bando se muhabbat karta hai.

(Sahih Bukhari Hadees: 5999, Sahih Muslim Hadees: 2754)

Allah ﷻ ka irshaad hai:

نَبِّئْ عِبَادِي أَنِّي أَنَا الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

"Mere bando ko bata do ke beshak main gunaah mu'aaf karney waala aur raham karney waala hon."

(Surah al-Hijar: 49)

Allah ﷻ farmaata hai:

قُلْ يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَىٰ أَنفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِن رَّحْمَةِ اللَّهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا ۚ إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

"(Meri taraf se) keh do: Aye mere (Allah ke) bando! jinhon ne apni jaano par zulm kiya hai, Allah ki rahmat se mayoos na ho jaao beshak Allah (shirk ke siwa) saarey gunaah mu'aaf farmaata hai, beshak wo ghafoor ur raheem hai."

(Surah az-Zumar: 53)

Allah ﷻ ka irshaad hai:

"Jo log meri wajah se ek doosrey se muhabbat kartey hain tou un ke liye meri muhabbat wajib hai."

(Musnad Ahmed, Zawaid Abdullah bin Ahmed: 5/328 Wa Sanaduhu Sahih)

Allah se muhabbat ka yeh laazmi taqaza hai ke insaan har waqt Allah par tawakkal karey aur isi par sabir o shakir rahey:

Ek dafaa' ek 'arabi (baddu) ne Rasoolullah ﷺ par talwaar taan kar puchaa: tujhe mujh se kaun bachayega? Aap ﷺ ne (kamaal e itmenaan se) farmaaya: Allah, tou us 'arabi ke hath se talwaar gir gayi.

(Musnad Ahmed: 3/390 Hadees: 15190, Yeh Hadees Sahih Hai, Sahih Ibne Hibbaan: 2872 (2883)

(Tambeeh: Is riwayat ke rawi Abu Bishr Jafar bin Abi Wahshiyah ne Sulaimaan bin Qais al-Yshkry se kuch nahi suna lekin wo un ki kitaab/sahifey se riwayat kartey thhey aur kitaab se riwayat karna chaahe bataur e wajaadah hi ho, Sahih hai basharteke kitaab ke darmiyaan waastey par jaraj ya muhaddiseen ka inkaar sabit na ho, Wallahu Alam, Ghauras bin al-Haris al-'Arabi ka qissah ikhtisaar ke sath Sahih Bukhari (2910) aur Sahih Muslim (843) mein maujood hai, ghauras ne wapas jaa kar apni qaum ke logon se kaha tha ke "main us ke paas se aaya hon jo sab se behtar hai" yeh is ki daleel hai ke ghauras musalmaan ho gaye thhey)

Allah ke Habeeb Muhammadur Rasoolullah ﷺ apne Rab se itni ziyadah muhabbat kartey thhey ke wafaat ke waqt bhi farmaa rahey thhey:

اللهـم الرفيق الأعلى

"Aye mere Allah! apni baargah mein 'alaa rafaqat ataa farma."

(Sahih Bukhari Hadees: 4463, Sahih Muslim Hadees: 2444)

Allah Se Muhabbat Ki Chand Nishaaniyan Darj Zail Hain:

  1. Tawheed o Sunnat se muhabbat aur Shirk o Bid'at se nafrat

  2. Nabi e Kareem ﷺ se waalihanah muhabbat aur aap ka difaa'

  3. Sahaba e Kiraam, Tabayeen e Uzzaam, Ulama e Haq aur Ahle Haq se muhabbat

  4. Kitaab o Sunnat se muhabbat aur Taqwa ka raastah

  5. Gunaaho aur nafarmaani se ijtenaab

  6. Riya ke baghir, khuloos e niyat ke sath ibaadaat mein Sunnat ko mad e nazr rakhtey huwey inhimaak

  7. Maroof (Neki) se muhabbat aur Munkar o Makrooh se nafrat

  8. Kitaab o Sunnat ke ilm ka husool aur Kitaab o Sunnat ke muqaabley mein har qaul o fael ko rad kar deyna

  9. Infaaq fi Sabeelillal (Allah ke raastey mein us ki raza mandi ke liye kharch karna)

  10. Khauf o Umeed ki halat mein kasrat e azkaar aur dawat e sabitah par amal.

Allah ﷻ se dua hai ke wo hummare dil apni aur apne Rasool ﷺ ki muhabbat se bhar dey aur humme hamesha Kitaab o Sunnat par gaamzan rakhey. (Aameen)


Taleef: Hafiz Sher Muhammad Al-Asri Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.33, Safa no.62-64]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024