Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah


Sa'eed bin Jurairi (Rahimahullah) ne kaha ke maine Abut Tufayl ('Amir bin Waasilah Razi Allahu Anhu) se suna, aap ne kaha:

رايت رسول الله ﷺ وما بقي على وجه الأرض أحد رآه غيري، قلت؛ صفه لي، قال: كان ابيض، مليحا، مقصدا

"Maine Rasoolullah ﷺ ko dekha aur is waqt roye zameen par aisa koi shaksh mere siwa zindah nahi jisne Aap (ﷺ) ka didaar kiya ho, maine (yane Sayeed bin Jurairi ne) kaha: Aap (ﷺ) ka huliyah bayaan kijiye, tou unhon ne farmaaya: Aap safeed, khoobsurat aur darmiyaana qad thhey."

(Shamail E Muhammadiyah Lit Tirmizi, Hadees: 14, Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ne ise "Sahih" kaha, dekhe: Sahih Muslim: 2340/6072)

Sahih yeh hai ke Abut Tufayl 'Aamir bin Waasilah (Razi Allahu Anhu) 110 Hijri mein foot huwe aur tamaam Sahaba e Kiraam mein aakhiri wafaat paane waale aap hi thhey. (Taqreeb ut-Tehzeeb 3111)

Riwayat e mazkoorah ka ek rawi Sufiyaan bin Wakee' bin al-Jarrah zaeef hai, lekin wo is hadees mein munfard nahi balke Bashshaar (siqah rawi) ne iski mutaaba'at kar rakhi hai.

Allah ta'ala ki aata kardah neymat ka zikr bataur e tehdees neymat jayiz hai.

Tabayee ka Sahabi se Rasoolullah ﷺ ki sifat maloom karna, iski daleel hai ke ummatiyon ko chahiye, Apne Mehboob aur Imam e Azam Sayyiduna Muhammadur Rasooullah ﷺ ka huliyah mubarak aur seerat e tayyabah maloom karen, yaad rakhen, Aap se muhabbat karen, Aap ki Ahadees e Mubarakah par amal karen aur amal karne ki talqeen bhi karen.

Sayyiduna Abut Tufayl (Razi Allahu Anhu) ke b'ad roye zameen par kisi Sahabi ke zindah rehne ka koi saboot nahi aur jin logon ne is daur ke b'ad Sahabi hone ka da'waa kiya, wo jhoote thhey.

Hafiz Ibne Hajar al-Asqalani (Rahimahullah) ne farmaaya:

لأنا معشر أهل الحديث نقطع بكذب من ادعى الصحبة بعد أبي الطفيل عامر بن واثلة، والله الهادي إلى الصواب، متمسكين بالحديث الصحيح المتواتر عنه ﷺ؛ أن على رأس مائة سنة - من حين مقاله - لا يبقى على وجه الأرض ممن هو إذ ذاك عليها أحد

"Kiyun ke hum tamaam Ahle Hadees is shakhs ko qatyi taur par jhoota samahjte hain jo Abut Tufayl 'Aamir bin Waasilah (Razi Allahu Anhu) ke b'ad Sahabi hone ka da'waa kare aur Allah hi haq ki taraf hidayat deyne waala hai, hum is Sahih Mutawaatir Hadees se hujjat pakadtey hain jis mein aaya hai ke Aap ﷺ ne farmaaya: Saw saal ke b'ad. Aap ke qaul e mazkoor ke waqt se ley kar, roye zameen par koi shakhs baqi nahi rahega, jo ke is qaul ke waqt maujood tha.

(al-Mujamma ul-Muassis Lil Mujam il-Mufehris: 2/552, Taba' Darul Marifah Beirut Lebanon)

……………… Asal Mazmoon ………………

Tehreer: Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem salafi

Refrence: Shamail e Tirmizi Az: Imam Tirmizi Rahimahullah, Tarjuma Tehqeeq wa Fawaaid Az: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page: 67-68

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2024