Walaa Tafarraqoo (وَلَا تَفَرَّقُوا)


Islam ek mukamal zabita hayaat hain jo Qur'an ve Hadith par mushtamil hain. Yehe doo masadir hidayat ve rehnumaye kay sarchishmein hain aur gumrahe ve zalalat se bachney kay liye kaafi hain. Jo kuch Qur'an ve Hadith mein hain woh haqq hain aur jo kuch is ke khilaaf hain woh batil hain.

{فَمَا ذَا بَعْدَ اَلْحَقِّ اِلَّا الضَّلَالُ}

(phir haqq kay baad kya hain? sirf gumrahe)

Lekin afsoos sadd afsoos ke aaj insaanu ke aksariyat Qur'an ve Hadith se jahil hain ya phir maslak parasti, akabir-parasti aur firqa-parasti wagairah mein is qadr mubtala Hain ke asal Deen unn par mushtabah hochuka Hain, yehe wajah Hain ke har taraf firqa-parasti ke wabah phail chuki Hain.

Murawwajah taqleedi mazaahib is ke zindah misaale hain.

Hafiz ibn AlQayyim ne farmaya:

حدثت هٰذه البدعة في القرن الرابع المذموم عليٰ لسان رسول اللہ صلى الله عليه وسلم.

(Taqleed ke) yeh biddat chothi Sadi mein paida huye jis(sadi)ke mazamat Rasool Allah sallallaho alyhe wasalam ne apni(muqadas) zubaan se farmaye Hain.

(A'elaam Almuwaqe'een2/208)

Lihaaza baaz-un-naas ka in taqleedi mazaahib ko "islaam ke bachaav ka samaan" kehna baatil ve mardood Hain. Isse tarah Ale- Taqleed: hanfiyu aur shaafiyu ke mabain khoonraiz ladayaan be huye Hain.

(dekheye Mu'jam Albuldaan1/209,3/117)

Taqleedi mazaahib ko itefaaq ve itehaad ka sabab tehraana mahaz hatt-dharmi Hain.

Isse tarah taqleedi mazaahib ke pairukaaru ne Baitullah mein chaar musalle bana rakhey thay aur ek dusre ke iqtida mein nimaaz padna gawaara nehe kartey thay.

(mulahiza ho Talefaatei Resheedia safa517)

Allah ta'ala farmata Hain:

وَاعْتَصِمُوْا بِحَبْلِ اللّٰهِ جَمِيْعًا وَّلَا تَفَرَّقُوْا

Aur sab mil Kar Allah ke rassi ko mazboot pakadlo aur tafaruqa mein ne pado.

(Al-Imran:103)

Allah ke rassi se muraad Kitaab-ul-Allaah Hain. Rasool Allah sallallaho alyhe wasalam farmatey Hain:

(ألا وإني تارك فيكم الثقلين: أحدهما كتاب الله[عزوجل] هوا حبل الله، من اتبعه كان علي الهديٰ ومن تركه كان علي الضلالة)

{Aagah raho! Mein tum mein Doo bhari cheezein chodh Raha huu unn mein se ek Allah Azza wa Jalla ke kitaab Hain, woh Allah ke rassi Hain jiss ne isske ittiba'a ke woh Hidayat par rahega aur jis ne isse chodh Diya woh gumrahi par hoga}.

(Muslim:2408,6228)

Iss Hadith se maloom huwa ke Hablullah (Allah ke rassi) se muraad Kitaab-ul-Allah hain. Kitaab-ul-Allah ka itlaaq Hadith par b Kiya jaata Hain.

(Mulahiza farmaye Sahih Bukhari:6842,6843 ve Sahih Muslim:4418).

Wazeh huwa ke Hablullah se muraad Qur'an ve Hadith yaani Allaah ka Deen Hain jis ko thamney ke takeed ke geye Hain. Allaah ke Nabi sallallaho alyhe wasalam ne bhi isko Allaah ke pasandeedah cheez qaraar detey huye irshaad farmaya:

((و أن تعتصموا بحبل الله جميعًا ولا تفرّقوا.))

"aur yeh ke tum sab milkar Allaah ke rassi ko mazbooti se pakadlo aur firqay firqay na bano."

(Muslim:4481)

Sayyiduna Huzaifa Radi-Allahu-Anhu ne jab Nabi sallallaho alyhe wasalam se fitnon ke daur ke muta'aliq sawal Kiya thaa to AAP sallallaho alyhe wasalam ne yeh jawaab diya:

فاعتزل تلك الفرق كلها.

"{Aise halat mein} tum tamaam firqon se alahidah hojaana."

(Sahih Bukhari: 7084,Sahih Muslim:4784).

Aur Sayyiduna Abdullah bin umro bin AlAas Radi-Allahu-Anhu ko yeh farmaya tha:

((خذ ما تعرف ودع ما تنكر.))

"Jo kuch tumhey ma'loom ho Ussi ko apnaye rakho aur Jo kuch naho jantey usey chodh Do.".

(Abu Dawood:4343 wa isnaduhu Hasan)

Sayyiduna Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se riwayat Hain ke Rasool Allaah sallallaho alyhe wasalam ne farmaya:

((تعمل ما تعرف وتدعو ما تنكر وتعمل بخاصة نفسك وتدع عوام الناس))

"Tumhey Jo ma'loom ho is par Amal karo aur jisse tum nahi jantey iusey chodh Do, khaas apney liye Amal karo aur Awaam-un-Naas ko chodh Do."

(Sahih ibn Hibaan.AlAhsaan:5922 wa sanaduhu sahih, dusra nuskha:5953).

Sayyiduna Abu sa'laba Alkhushanee Radi-Allahu-Anhu se riwayat Hain ke Rasool Allaah sallallaho alyhe wasalam ne farmaya:

((فعليك بخاصة نفسك ودع العوام))

"khaas apni fikar karo aur awaam ko chodh do."

(Tirmizi:3058wa isnaduhu Hasan,wa Qaal AlTirmizi :"Hasan Ghareeb".)

Is ka Matlab yeh Hain ke fitno ke door mein firqa bandi chodh Kar Hamesha Qur'an ve sunnat par Amal paira rehna chahiye.

TAFARUQ KA SABAB:

Jahal,Taqleed, Ta'sub aur khawahishaat wagairah Hain. Iss se bacney ka ek hi nuskha Hain ke sirf Allah ko rassi ko thaama Jaye aur gair janibdaari se Qur'an ve Hadith ke Dawat de Jaye. Allaah ke wahi ko thamney waalon ka iftiraaq ki raah par Aana aur tanzeemey banana khair ve barkat ka ba'is nahi balki Fashil ve ikhtelaaf ka sabab Hain. Agar kissi ko yeh waswasa sataye ke Sahaba kiraam ke darmiyaan bhi Do grouh ban chukey thay to mu'adbana arz Hain ke Sahaba ka yeh Amal ijtehaadi khata ke binaa par Tha. Yeh firqa bandi aur tanzeem saazi ke daleel nahi ban sakta. Sahaba kiraam ne ijtehaadi khata ke binaa par ek dusrey ko qatal bhi Kiya Tha. Ma'loom huwa ke yeh istidlaal baatil Hain. Muhadiseen kiraam ne koi tanzeem nahi banaye thee aur is ke bawujood Qur'an ve Hadith ke khidmat ke liye unhuu ne apni zindagiya khapa de thee. Dawat ke liye tanzeemey banana aur musalmaano ko aapas mein ladaana zuroori nahi. Agar koi yeh shubha waarid karey ke jab khilafat ka door Tha to tanzeemo ki Kya zuroorat thee? To ham yeh sawaal karney ka haqq rakhtey Hain ke iske Kya daleel Hain ke jab khilafat Na ho to firqay,Partiya aur tanzeemey banana Kar ta'sub ko Hawa detey phirey!

Qarieene Kiraam!

Agar shaksiyaat se bala tar hokar khalis Qur'an ve Hadith ke taraf loogon ko bulaya Jaye to is Dawat mein koi ta'sub nahi. Ta'sub to tab Hain ke kisse khaas firqey,maslak aur imaam ke taraf bulaaya Jaye ya mujoodah kaagzi ameero ke itaa'at ke Dawat de jaye. Aur aisa karna Allaah ke hukum وَلَا تَفَرَّقُوْا ke khilaaf Hain. Algaraz firqa bandi se bachtey huye sirf Sayyiduna Muhammad Rasool Allaah sallallaho alyhe wasalam ko apna muqtada aur rehnuma banaye. Salaf Saliheen kay faham ke roushni mein sirf APP sallallaho alyhe wasalam ke ittiba'a kejeye. Salaf Saliheen(Sahaba ve Tabi'een) isse nuktye par mutahid thay aur yehe Salafi Dawat Hain.

وكل خير في اتباع من سلف

وكل شر في ابتداع من خلف

"Aur Salaf ke(ba-daleel) ittiba'a mein har qism ke khair Hain aur baad waalo ke bid'aat mein har qism ka Shar Hain."

Rasool Allaah sallallaho alyhe wasalam ke Hadith hain:

((لا اختلفوا فإن كان من قبلكم اختلفوا فهلكوا))

"Ikhtelaaf na Kiya karo,kyunki tum se pehle log ikhtelaaf ke wajah se tabah hogaye.

(Bukhari:2410)

Firqa bandi ikhtelaaf ka sabab Hain aur ikhtelaaf ve tanaza'aat buzdili aur kamzoori ka ba'iss hain.

Allaah Ta'ala ka farmaan hain:

((وَلَا تَنَازَعُوْا فَتَفْشَلُوْا وَتَذْهَبَ رِيْحُكُمْ)

Aur apas mein ikhtelaaf mat karo warna buzdil banjaoge aur tumhara ru'ab khatam hojayega.

(AlAnfaal:46)

Ahadeeth mein mazkoor lafaz "Jama'at" se kisse khaas party ya tanzeem par istidlaal karna sahih nahi hain kyunki is sabab se muta'aliq tamaam ahadeeth jama karney se wazeh hota Hain ke is se muraad musalmaano ka khaleefa, ijma'a ya Namaz waali jama'at Hain.

Agar khilaafate islaamia Na ho to musalmano ko chahiye ke koi party ya tanzeem Na banaye aur tamam partiyon aur jama'ato se alahidah hojaye jaisa ke Sayyiduna Huzaifa Radi-Allahu-Anhu ke bayaan karda Hadith mein guzar Chuka Hain.

Tanzeemey aur Jama'atey banana Qur'an ve sunnat ke khilaaf hain, isse musalmaano ka khuloos shadeed mutasir hota Hain. Isse aankho par ta'asub ka parda Cha jata Hain, yeh shaksiyaat mein ghulu ka sabab Hain. Baaz log ghulu mein is tarah hadd se guzar jaatey hain ke agar inka leader ya Ameer din ko raat ya raat ko din keh dey to bhi yeh ussey basar ve chishim qubool karletey Hain aur Puri koshish karkey ghalat baat ko sahih sabit karney ke liye duraazkar ta'weeley talash kartey rehtey hain.

Firqa bandi ney musalmaano mein shukook wo shubhaat aur ta'subaat ko parwaan chadaaya Hain. Khair-Alquroon mein is ka naam ve nishaan tak Nahi Tha,yeh baad ke pydawar hain. Tanzeemo ka kaarkano khusoosan nawjawaan se hamari guzaarish Hain ke fitno ke is dour mein apney Imaan ke hifazat karey, issey fitno se bachaie. Apney maqsadi hayaat ko pehchaniye, Allaah ke ebaadat Kay liye kamar Basta hojaye. Allaah se Ta'aluq qaayim karey, ilm shar'ee haasil karey aur baymaqsad aur layaani umoor ko chodh dey. Party aur tanzeemo quyood se aazaad hokar in zimmadariyon ko apnaye Jo shar'eyat ne ham par aa' ed ke Hain. Party manshoor ek khaas fikar par mabni hotey hain Jo ke waqt guzarney Kay saath saath apni mout aap marjatey Hain jabki salaf Saliheen kay manhaj par Dawat ilallaah ka kaam qayamat tak baaki rahega. In Sha Allaah

Tehreer: Fazal Akbar Kashmiri

Romanised: Aamir ibn Abdul Qayoom (via: romanquranohadees)

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.25, Safa no.2-4]

Deegar Mazameen:

1 Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
2 Imaam Ahmed Rahimahullah Ka Ruju? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
3 Zahoor e Imam Mahdi: Ek Naa Qabil e Tardeed Haqeeqat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
4 Zabaan Ki Hifaazat Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
5 Ilm Kaise Uthta Hai? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
6 Aakhiri Sahabi e Rasool ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
7 Ibne Arabi Sufi Ka Rad Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
8 Sayyeduna Ali (R.a) Ka Faislah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
9 Haq ki taraf Ruju Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
10 Dua Ke Fazail Wa Masail Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
11 Sayyiduna Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
12 Kalima Tayyiba ka Sabooth Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
13 Nabi E Kareem ﷺ Ka Mehboob Shehr (Madinah Taiyibah) Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
14 Narmi Karen! Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
15 Biwi Par (Maroof Umoor Me) Apne Shaohar Ki Itaa'at Farz Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
16 Walidain Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
17 Mojooda Halat Saheeh Hadees Ki Roshni Main Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
18 Asma ul Rijal ka ilam Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
19 Hadees Ka Munkir Jannat Se Mehroom Rahega Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
20 Ghair Muqalid Aur Ahle Hadees Mein Faraq Hafiz Muaz Bin Zubair Alizai Hafizahullah
21 Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
22 Hadees Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
23 Ulama E Haq Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
24 Ek Musht Ke B'ad Daadhi Kaatna Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
25 Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum Ajmaeen) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
26 Quran e Majeed se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
27 Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Ka Ihtiraam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
28 Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
29 Poori Ummat Kabhi Bil-Ijmaa Shirk Nahi Karegi Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
30 Ashrah Zul Hijjah Ki Fazilat O Ahmiyat Abu Ahmed Waqas Zubair
31 Shaykh Zubair Alizai, Dr. Farhat Hashmi Ko Sunne Ki Naseehat Karte Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
32 Rasoolullah ﷺ Aur Ba'az Ghaib ki ittelah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
33 Aik Saheeh ul Aqeedah Yahni Ahle Hadees Baadashah Ka Azeem o Shaan Qissah Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
34 Nabi Kareem ﷺ Kay Mohjazay Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
35 Muhaddiseen E Kiraam Ne Zaheef Riwayaat Kiyun Bayaan Kiyen? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
36 Qabar Mein Nabi ﷺ Ki Hayaat Ka Masala Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
37 Allah ﷻ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
38 Rasoolullah ﷺ Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
39 Masjid Mein Auraton Ki Namaz Kay 10 Dalaayil Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
40 Hum Ramazan Kaise Guzaren? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
41 Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu Anhu) Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
42 Namaz E Hanafi Ya Rasoolullahﷺ Wali Muhammadi Namaz? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
43 Kia Qur'an E Majeed Zameen Par Rakhna Jahiz Hay? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
44 Zubair Alizai Rahimahullah Muaasireen Ki Nazar Mein
45 Ameer Mu'aawiya Razi Allahu Anha Sey Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
46 Khulfa E Rashedeen Se Muhabbat Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah
47 Gaane Bajaane aur Fahaashi ki Hurmat Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
48 Kia ALLAH (ﷻ) har jagah maujood hy? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
49 Fashion Ki laher Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
50 Allah(ﷻ) Arsh Par Mustawi Hai Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
51 Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
52 Maahe Muharram Ke Do Rozey Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
53 Chalees Masail Jo Sarhatan Sirf ijmaa’ Se Sabit Hain Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
54 Fazail E Yaum Ul Juma’ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
55 Fazail E Salaam Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
56 Usoole Deen Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
57 Bacchcho ko Masjid mein Lay Jaana Masnoon Hai Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
58 Kia Mirza Muhammad Ali, Sheikh Zubair Alizai Rahimahullah Ka Shaagird Hy? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
59 Hijama Seengi Lagwana Ek Sharai Elaaj Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
60 Akeli Aurat Ka Na Maharm Driver Ky Saath Safar Karna Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
61 Muqtadiyon Ko Farz Namaz Ke Liye Saff Me Kab Khade Hona Chahiye? Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah
62 Namaz e Fajr Ka Waqt Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
63 Kya Mubahala Karna Jaaiz Hai? Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
64 Mardon Aur Auraton Ki Namaz Mein Farq Aur Aal E Taqleed Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
65 Walaa Tafarraqoo Fazal Akbar Kashmiri
66 Ghaali Bidaati Ky Peechy Namaz Parhny Ka Hukkam Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
67 Hidayat Ka Raasta Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah
68 Namaz E Nabawi Takbeer E Oula Se Salaam Tak (Sahih Ahadees Ki Roushni Mein)

Android App --or-- iPhone/iPad App

IshaatulHadith Hazro © 2023